Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Khwaish Apnaa Apnaa
Page 12 of 12 • 1, 2, 3 ... 10, 11, 12
Khwaish Apnaa Apnaa
Khwaish Apnaa Apnaa is a story about two rival hearts, Pranav and Garima. They want to destroy eachother at any cost, will they ever fall in love?
Story By: Diipendu Dutta
Pictures and Other Creations By: Diipendu Dutta
Story: Khwaish Apnaa Apnaa
Started On: April 29, 2009
Genre: Drama
Ended On: October 5, 2014
No. of Episodes: 200
Dipendu_Dutta- Guest
Episode 191
OM Mittal dekhte hain ke Pranav aur Garima eksaath milne aye hain.
OM Mittal: Mujhe pata nahi ke main theek ho paunga ya nahi... lekin meri ab sirf ek choti si khwaish hai... Jis nafrat ke bandhan mein tum dono kabhi bandhe thhe, osey hamesha ke liye pyaar ke rishtey mein badal do... Tum dono hamesha ke liye ek ho jaao...
Garima: papa, aap bilkul theek ho jayenge. Maine OM Mittal ko hamesha haalat se mukabla karte hue dekha hai...
Pranav: haan papa... aap bilkul theek ho jayenge.
OM Mittal: tou tum dono yeh waada karo... tum dono phir se ek ho jaoge...?
[ Pranav aur Garima OM Mittal ko promise karte hain. ]
Story 7 Writer- Admin
- Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 192
Garima: Pranav, andar humne papa ko jo saath rehne ka promise kia hai, I hope tumne osey serious nahi lia hoga... Kyunki mujhe pata hai ke ab hum dono ke beech mein kuch bhi theek nahi ho sakta hai...
Garima yeh keh kar hospital se bahar chali jaati hai. Pranav Garima ko parking area mein car mein bethne se rok kar, Garima se kehta hai-
Pranav: Garima suno...!
[ Garima peeche palat kar dekhti hai. ]
Pranav Garima ke taraf dekh raha houta hai lekin dil se woh Garima ko bahut miss karaha houta hai.
[ Pranav Garima ke paas jata hai. ]
Pranav: Jis ladki se maine hamesha se nafrat kia, osne hamesha sirf mera achha chaha... main yeh kabhi dekh nahi paya ke tum mujhse kitna pyaar karti ho...
Garima: Pranav, bas. Ab hamare beech 5 saal ka faasla hai... aur kuch kehne sunne ko nahi reh gaya... papa ees halat mein hain esiliye main yehan ayi thi, esey tum kuch aur mat hi samjho tou achha hoga...
Pranav: Garima...
[ Pranav bend down on his knees. ]
Pranav: Please mere zindagi mein wapas ajao...
[ Garima Pranav ke taraf dekhti hai. ]
Garima: (mann mein kehte hue) Pranav... sab kuch bahut mushkil hai... dil mein pyaar hai...lekin tumhare aur mere beech ye nafrat ki jo diwaar hai... ye ab shayad kabhi nahi tootega...
Garima wahan se apne car mein chali jaati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 193
Aaj court ka final hearing hai. Aaj yeh decide ho jayega ke Pari ki custody Pranav aur Garima mein se kisey milegi...
Mittal Mansion mein badi-dadi aur choti-dadi ke saath baaki family members bhi houte hain. Sab ko pata chalta hai ke OM Mittal ki condition critical hai. Mittal family members jaldi se hospital jaane ke liye nikalte hain. Choti-dadi jaldi se Garima ko phone karti hai.
Garima ko OM Mittal ke bare mein pata chalta hai. Garima jaldi se hospital jaane ke liye nikalti hai.
Garima: Pranav, hamari kuch khwaish aksar sach bhi ho jati hain... tumne pehli baar bhagwaan ke saamne dil se khwaish maangi hai... tou woh zaroor sun lenge...
Pranav: Garima, mujhe tumhare har yakeen par yakeen hai...
Situation abhi tense hai. Operation poora houte hi, Doctor family ko yeh batate hain ke- OM Mittal ab safe hain.
Yeh soon kar Garima aur Pranav khush hou kar ekdusre ko galey laga lete hain. But next seconds mein woh dono khud ko sambhal lete hain.
Garima: Pranav, aaj court mein Pari ke custody par final hearing hai... tum saath chal rahe ho?
Pranav: haan... Â
[ Car mein jaate hue- ]
Pranav Garima car mein bethe hain aur driver car chala raha hai. Pranav Garima ke taraf dekhta hai. Garima Pranav ke kal wale baat ko soch rahi houti hai jo osne hospital ke bahar kaha tha.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 194
Garima yaad karti hai jab OM Mittal ke safe houne ka khabar mila, tab Pranav aur Garima ne ekdusre ko galey lagaya, tab ek pal ke liye bhi, koi dusri baatein yaad nahi rahi. Garima ko yeh realise ho jata hai ke Pranav aur Garima ne divorce lekar kitni badi Galati ki hai.
Court room mein Pari ki custody par final hearing shuru houti hai.
[ Garima Pranav ke taraf dekhti hai. ]
Judge Pari se sawaal puchte hain- Pari silent hai. Judge ek baar Pranav aur Garima se sawaal puchte hain ke dono mein se kaun Pari ki custody lena chahta hai.
Tabhi Pranav uth kar court ko yeh kehta hai ke- "Pari ki custody, uski maa Garima Mittal ko milni chahiye..."
Garima yeh dekh kar yakeen nahi houta hai. Jis Pranav Mittal ne kabhi Garima se badla lene ke liye haar nahi mana, aaj wahi Pranav Mittal pehli baar Garima se haar maan raha hai...
Pari witness box se bhaag kar Pranav aur Garima ke paas jaati hai. Pari apne mummy-papa (Garima-Pranav) ke haath ekdusre ke haath mein rakh deti hai aur Judge ke taraf dekh kar poore court room mein kehti hai- "Please judge uncle, mere mummy aur papa ko mila do na?"
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 195
Gayathri: Pranav...? Garima...? Kya sach mein tum dono?
Garima: (Pranav aur Pari ke taraf dekh kar, smile karte hue Gayathri se kehte hue) HAAN MAA...MAINE AUR PRANAV NE EKSAATH REHNE KA FAISLA KIA HAI...
Yeh soon kar poore family members ke chehre par smile wapas ajati hai.
Pranav: haan maa... Mujhe aur Garima ko ek kia hai, hamaari Pari ne... Jab pari ne aaj courtroom mein hume ek hou jane ke liye judge se request ki, hum dono ko osi waqt yeh pata chala ke main aur garima kabhi alag hue hi nahi thhe...
Choti-dadi: main tou hamesha se jaanti thi! Pranav aur Garima bane hi ekdusre ke liye hain... bhagwaan jinhe ekdusre ke liye banata hai, osey kabhi alag nahi houne deta!
Garima: lekin dadi, ab papa kaise hain?Â
Gayathri: (khush hou kar kehte hue) doctor ne kaha hai ke ab sab kuch normal hai... kuch hi dino mein unko hum ghar lekar aa sakte hain...
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 196
Mittal Mansion, Mumbai.
Ab Mittal Mansion mein sab kuch theek ho chuka hai. Choti-dadi Garima se baat karte hue-
Choti-dadi: arre Garima! Garima! Jab se OM ne business se retirement lekar Pranav aur Parth ko business handover kar dia hai... Tab se OM tou Pari ka bestfriend bann gaya hai!
Garima: dadi, papa itna badal jayenge maine tou kabhi socha nahi tha...
Choti-dada: arre aisa hota hai, jab ghar mein bachhe ho tou badon ko bhi bachhe banne mein time nahi lagta! Ab tu Pranav ko hi dekh na! Ab tou who teri har baat maan leta hai...Afterall ek good news jo ane ko hai...
Garima: Haan, lekin maine Pranav ko abhi tak yeh bataya nahi ke main pregnant hoon... Aaj jab Pranav ghar ayenge, main unhe yeh surprise dena chahti hoon...
Gayathri: Garima, lekin ab tujhe apna zyada dhayan rakhna hai... ab se tu ghar par aaraam karegi and no office!
Garima: okay maa... lekin...
Gayathri: ab lekin kahan se agaya!
Garima: maa... main apne ghar ek baar jana chahti hoon... bahut din ho gaye maa aur baba se miley hue...
Gayathri: arre tou tu unhe yehan bula ley na?Â
Garima: maa, please mujhe jaane do na?
Gayathri: theek hai jaa...lekin apna dhayan rakhna aur jaldi ane ki koshish karna...
Garima: okay maa.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 197
Nandani: Garima... ( Nandani route hue Garima ke galey lag jati hai. )
Garima Nandani se uske pareshan houne ka reason puchti hai. Nandani batati hai ke uska pati Sudeep 2 mahine se missing hai. Esi baat se Nandani bahut upset hai. Garima Sudeep ke ghar par Sudeep ke parents se baat karti hai, pata chala ke Sudeep ghar par nahi hain. Garima ko thoda ajeeb laga jis tarah se Sudeep ke parents ne yeh bataya ke unhe ees bare mein koi knowledge nahi hai.
Garima Nandani ke saath Sudeep ke ghar pahuchti hai. Sudeep ke ghar ke neighbours Nandani ko wahan dekh kar baatein karne lagte hain. Garima ke puchne par Neighbour Garima aur Nandani ko batate hain ke Sudeep ki dusri shaadi houne wali hai.
Garima aur Nandani Sudeep ke parents se ees baat ka jawaab mangte hain. Sudeep ke parents bahut arguments ke baad jaa kar accept kar lete hain ke Sudeep khud dusri shaadi kar raha hai kyunki Sudeep ko aisa lagta hai ke Nandani ka character thik nahi hai. Garima ko yeh soon kar bahut gussa ata hai. Garima kuch calls karti hai.
Thode der mein wahan Police ajati hai. Garima police ko Sudeep ke bare mein sab batati hai. Police Garima, Nandani, Sudeep ke parents aur sab ko yeh batati hai ke bina divorce diye dusri shaadi karna illegal hai esiliye Sudeep ko ees wajah se jail jana bhi padd sakta hai. Yeh soon kar Sudeep ki mummy chupke se ghar ke andar chali jaati hai sudeep ko phone karne ke liye. Police garima ke kehne par pehle se hi number trace karahi thi, aur ab unhe pata chal chukka tha ke sudeep kaunse location mein hai. Police Sudeep ko dhundte hue Pune aate hain.
Garima yehan Nandani ke saath Pune aati hai. Nandani Sudeep se sawaal karti hai ke sudeep ne nandani ke saath jo kia woh bhi ek dhoka hai. Sudeep police ko poori baat batata hai aur apni galti accept karta hai. Nandani decide karti hai ke woh aise insaan ke saath nahi reh sakti jise oos par yakeen nahi hai. Nandani esiliye sudeep ko divorce dey kar apne life mein aage badhne ka decision leti hai. Nandani Garima se kehti hai ke ab woh apna career banakar apne future ke bare mein sochegi aur apne majboori aur ghar ke chaar diwaar se bahar niklegi.
Garima to police-inspector: Nandani jaisi aisi kitni ladkiyan aaj bhi hain jinhe shaadi se dhoka mila hai. Aaj bhi kuch ladkiyan aise dhoke ke wajah se sucide kar leti hain ya phir woh toot jaati hain. Aise haalat mein bahut zaroori hai ke har ladki apne-aap ko sambhale aur yeh baat dhayan rakhe ke life mein ek rishtey ke toot jane se zindagi nahi rukk jaati hai. Humey apne liye bhi jeena chahiye.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 198
[ Pranav smile karta hai. ]
[ Garima Pranav ke kaano mein dheere se kehti hai- ]
Garima: Pranav, tum phir se papa banne wale ho...
Pranav: sach!!?
Pranav yeh soon kar bahut khush hou jata hai aur Garima ko apne bahon mein utha leta hai. Pranav Garima ko pyaar se galey laga leta hai.
Pranav phir se papa banne wala hai aur bahut zyada khush hai. Pranav zorr se chillate hue yeh goodnews Mittal family mein sab ko sunata hai. OM Mittal aur Gayathri yeh soon kar bahut khush houte hain.
Mittal Mansion mein ek grand celebration party houti hai. Party mein V.I.P. guests se lekar ghar ke relatives bhi aye hain. Garima ke parents aur maasi aur Nandani bhi aye hain, Garima aur Pranav ko wish karne ke liye.
Pranav aur Garima ghar ke sab elders aashirwaad lete hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 199
Nandani: Pranav aur Garima ke perfect couple hain... Lekin inki kahaani kuch alag hi tarah se shuru hui thi... College mein pehli baar yeh dono miley thhe. Nafrat se jahaan se Pranav aur Garima ek hue thhe wahi nafrat aaj pyaar mein badal gayi...
OM Mittal: haan, yeh sach hai. Mera beta Pranav... Jise maine hamesha se apne bade bĂªte Samay se compare kia aur kabhi Pranav ko laayak beta nahi samjha... Meri Galati thi aur mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Aaj usne khud ko prove kar ke dikhaya hai ke woh ek achha beta bhi hai aur ek achha pati aur pita bhi... Lekin aaj main yeh accept karta bhi hoon aur keh raha hoon, I am proud of you my son!
FLASHBACK TRANSITION: Pranav and Garima first time they met, became enemies.
Â
Maasi: Nafraton ki diwaar ko aakhir pyaar ne torr hi dia... aur Pranav aur Garima ko mila hi dia... Garima hamesha se ek achhi beti rahi, ek achhi patni aur bahu bhi bani... lekin usne apne morals aur principles ko bhi haar ne nahi dia...
FLASHBACK TRANSITION: Garima first time slapped Pranav, helped him in his weak time.
OM Mittal and Gayathri making the annoucement: Eesiliye humne yeh decide kia hai, ke, Pranav aur Garima ki phir se shaadi karvai jayegi... Lekin ees baar, oon dono ke dil mein ekdusre ke liye sirf Pyaar hoga...
[ After the party, Pranav and Garima sitting outside in the garden area, near the beautiful water-fountain area. ]
Pranav: 7 saal pehle shuru hui thi hamaari yeh kahaani... Jahan hum miley, ekdusre ko sirf nafrat karte thhe... Ekdusre se shaadi ki jis se hum ekdusre ko barbaad kar sakey...
Garima: aur pata bhi nahi chala, kab woh do log, jinki Khwaish ek hi thi, ekdusre ko barbaad karna... Wahi Khwaish kab pyaar mein badal gayi... Pata hi nahi chala...
Pranav: sach mein, aaj mera dil yeh zaroor manta hai, Nafrat kabhi Pyaar se jeet nahi sakti... Hamari apni apni Khwaish thi, lekin pyaar har nafrat ko torr sakti hai...
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 200
Garima dulhan ke tarah ready kia ja raha hai. Gayathri, Nandani, Garima ki Maasi aur Maa Garima ko ready kar rahe houte hain. Aaj Garima ke aankhon mein woh chamak hai jo pehli baar kisi dulhan ke aankhon mein houta hai.
Nandani: Garima, achha hua aaj Ankita yehan nahi hai... Lekin woh hai kahan???
Garima: Ankita hamesha ke liye U.S. chali gayi hai. Lekin jaane se pehle, ek letter dey kar gayi hai... oske wajah se jo problems hue, osne hum sab se maafi mangi hai.
Nandani: chalo jo hua achha hua.
-----
Pranav bhi dulha bann kar, apne shaadi wale sherwaani mein mandap par betha apni dulhan ka intezar karaha hai. Pandit-ji mantra padh rahe hain.
[ Background sound: crowd talking ]
Ab dulhan ko bulaya jata hai. Garima ghungat mein, dheere se chal kar Pranav ke paas akar beth jaati hai. Poori family aaj bahut khush hai. Wedding rituals aage badhte hain aur Dulha aur Dulhan 'Phere' lene ke liye uth jate hain. Dono apna phere shuru karte hain-
>>> >>> >>> >>> >>>
Pranav: (dil se apne mann mein kehte hue)Â pehla vachan hoga, ke har ache-bure palon mein tumhara saath dunga...
Garima: dusra vachan---
Garima: choutha vachan---
Garima: panchva vachan---
Garima: chatva vachan---
Pranav: har pal oski zindagi ka khubsurat pal hoga...
Pranav-Garima: ees shaadi ke har vachan ko nibhate hue, ekdusre se hamesha pyaar karenge...
-----
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 12 of 12 • 1, 2, 3 ... 10, 11, 12
» Khwaish Apnaa Apnaa Picture Gallery
» POSTER: 'Khwaish Apnaa Apnaa 2'
» Khwaish Apnaa Apnaa
» 'Khwaish...' Hits with 500 views in a day!
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer