Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Khwaish Apnaa Apnaa
Page 2 of 12 • 1, 2, 3, ... 10, 11, 12
Khwaish Apnaa Apnaa
Khwaish Apnaa Apnaa is a story about two rival hearts, Pranav and Garima. They want to destroy eachother at any cost, will they ever fall in love?
Story By: Diipendu Dutta
Pictures and Other Creations By: Diipendu Dutta
Story: Khwaish Apnaa Apnaa
Started On: April 29, 2009
Genre: Drama
Ended On: October 5, 2014
No. of Episodes: 200
Dipendu_Dutta- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Pranav apne room se baahar nikalta hai aur breakfast table tak pahuchta hai.
Om : poore 10 minute late hou tum! Jo shaks waqt ki kimat ko nahi samajh sakta hai, kya woh buisness ko khaak samjhega?!..............
Pranav : sorry dad...
Om : sorry my foot! Aaj tumhari saza yeh hogi ke tum college bina breakfast kiye jaoge!
Gayathri : yeh aap kaise baat kar rahey hain... Pranav se bas choti si bhool--
Om : bhool??? magar ab yeh koi bachha nahi raha!
Om : agar ahinda mere paas pranav ki koi bhi shikayat, koi bhi complain aayi.... Agar pranav ne phirse koi bhi galati kii tou.... Mujhe pranav ke khilaaf strict action lena padega! Did you get that pranav?! ( gusse se pranav ko kehte hue )
Pranav nazarein jhukaaye wahaan se college ke liye nikal jata hai. Magar Jab pranav bahar apne car mein beithne hi wala tha tabhi wahaan gayathri aakar pranav ko breakfast ek tiffin mein pack karke wahaan lekar ati hai aur pranav ko samjhakar osey dobara koi bhi galati karne se mana karti hai.
Gayathri : beta yeh lo tiffin...
Pranav : maa aap kyun mujhe har baar ees tarah tiffin dene chali aati ho? Main koi school jata bachha nahi hoon...
Gayathri : magar harkatein tou tu bilkul bachho jaisa karta hai na!
Gayathri : dekh, tu apne dad ka gussa janta hi hai... Phir bhi tu hamesha galatiyan karte rehta hai? Itna mann-mani karta hai???
Pranav : maa dad kabhi mujhe samajhte nahi hain tou main kyun samjhoon unhe? P.M apne rules khud banata hai!
Pranav wahaan se speed mein car chalate hue college ke liye chala jata hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Pranav apne car mein college ke liye jaa raha tha ke achaanak oske car mein kuch problem hou jata hai.
Pranav : ohh no!......
Nandani : garima aaj tou oos shaks kaa parda-faash houkar hi rahega! I hope ke hamara plan sucessful rahey...
Garima : i hope so.... Kal oos shaks ke wajah se mera accident houne wala tha aur aaj oske car ke number se oska pata chal jayega... Magar mujhe aisa kyun lag raha hai ke---
Nandani : ab tum zyada mat socho! Woh jo koi bhi hai woh aaj college ata hi hoga...
Garima aur Nandani jahaan se guzar rahe thhey wahin se Pranav apne bike par jaa raha tha.
Pranav Garima ke bahut paas se guzarte hue jaa raha tha.
Magar garima ne pranav ko dekhna nahi aur na hi pranav ne garima ko dekha.
-------------------------
Garima : ( pareshaan houte hue ) nandani, kya woh shaks jo koi bhi hai...... Kahin woh aaj college naa aya tou???
Nandani : dekh tu negetive mat soch! Woh jo koi bhi hai, aaj pakra jayega! Aur hum khud principal ke paas oos shaks ko ley jayenge aur oski complain karenge...
Garima : i hope woh shaks aaj college aaye...
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Garima : ( pareshaan houte hue ) nandani, kya woh shaks jo koi bhi hai...... Kahin woh aaj college naa aya tou???
Nandani : dekh tu negetive mat soch! Woh jo koi bhi hai, aaj pakra jayega! Aur hum khud principal ke paas oos shaks ko ley jayenge aur oski complain karenge...
Garima : i hope woh shaks aaj college aaye...
Nandani : tension ko kam karne ke liye main abhi tumhare liye ek ice-cream laati hoon...
Garima : thanks...
Garima apne books ko paas waale bench par rakh deti hai.
Garima : yeh nandani aane mein itna late kar rahi hai... Main abhi nandani ko dekhkar aati hoon...
Pranav apne friends ke saath baatein karte hue osi bench par beith gaya magar jab osne dekha kekisi ne apne books wahaan rakhe thheytabhi pranav ne oon books ko uthaakar kahin side mein rakhne wala hi tha ke tabhi wahaan Garima aakar Pranav ka haath rokk leti hai.
Garima : ( bahut gusse se ) tumhari itani himmat ke tum mere books ko fekne waale thhey?!
Garima : kya tumhe itna bhi nahi sikhaya hai kisi ne ke books ko fekna achha nahi???
Tabhi wahaan nandani aati hai.
___
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
interesting. update soon
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Pranav : magar main tou bas een books ko... l]ees se pehle pranav apne baat kehta oos se pehle garima ne bahut gusse mein pranav se kaha- ]
Garima : ( bahut gusse mein ) maine apne aankhon se dekha ke tum mere books ko fekne waale thhey!...
Tabhi wahaan nandani aati hai.
Nandani : garima tum kyun khama-kha eespar gussa kar rahi hou... Maine bhi dekha ke woh tumhare books ko fekne nahi wala tha, balki onhe side mein rakhne hi jaa raha tha...
Garima : nandani maine khud eesko mere books ko fekte hue dekha hai!
-------------
Pranav wahan se chala jata hai.
Nandani Garima ko wahaan se ley jaati hai.
Nandani : garima dekh tu oos car waale shaks ka gussa eespar mat utaar...
Garima : magar maine khud... [ Tabhi classes shuru hou jaate hain- ]
Garima aur Nandani apne classes ke liye jaldi se chaley jaate hain.
Scene : Garima aur Nandani apne class mein enter karte hain ke tabhi garima ko phirse wahi deekh jata hai jo garima ke books ko fekne wala tha.
___
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Garima aur Nandani apne classes ke liye jaldi se chaley jaate hain.
Scene : Garima aur Nandani apne class mein enter karte hain ke tabhi garima ko phirse wahi deekh jata hai jo garima ke books ko fekne wala tha.
Garima Pranav ko gusse se dekhte hue apne bench ke taraf beithne ke liye jaa rahi thi. Pranav bhi Garima ke taraf gusse se dekhe jaa raha tha.
[size=9]Mechanic : Pranav sahaab apka car jo kharab hou gaya tha woh abhi theek hai. Apka car college ke car parking area mein hai...[/size]
Pranav : theek hai...
( Garima ne Pranav ko woh keys lete hue dekha. Garima ko Pranav par shakk hua. )
Garima : ( mann mein sochte hue ) tou ees ghamandi ka naam pranav hai... Waise eski shakal maine kahin dekhi thi... Kahin yeh wahi car wala shaks tou nahi??? Kal oos car waale shaks ka chehra aur..... Pranav ka chehra..... ???
--------------
Classes ke khatam houne ke baad Garima aur Nandani ne jaisa plan kia tha oos car waale shaks ke car ka number ko pata karne ka. Jab Garima aur Nandani wahaan car parking area mein pahuchkar oos car ko dhund rahey thhey tou woh car onhe kahin nahi mili.
Garima ko yaad ata hai ke aaj pranav ko kisi ne oske car ke keys diye thhey tou eska matlab aaj woh college aate waqt apne car mein nahi aya tha.
Garima : nandani i think humne kisi ghamandi ladke ke car ko check nahi kia...
Nandani : ghamandi ladka???
Garima : haan! Mujhe poora yakeen hai ke.... Aaj jo ladka mere books ko fekne wala tha, wahi woh car wala shaks hai... Humey oske car ka number bhi check karna chahiye...
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Garima : nandani i think humne kisi ghamandi ladke ke car ko check nahi kia...
Nandani : ghamandi ladka???
Garima : haan! Mujhe poora yakeen hai ke.... Aaj jo ladka mere books ko fekne wala tha, wahi woh car wala shaks hai... Humey oske car ka number bhi check karna chahiye...
Nandani : ohh god! Tumne oos ladke ko abhi tak maaf nahi kia??? Ab yeh zaroori tou nahi ke wahi ladka woh car wala shaks hou???
Nandani : theek hai... Hum oos ladke car ka number bhi check karenge...
Garima aur Nandani, Pranav ke car ko dhundne lagey magar pranav ka car kahin nahi mila.
Nandani : i think woh ladka jaa chuka hai...
Garima : jab humey woh car kahin nahi mila eska matlab yeh hai ke pranav hi woh car wala shaks hai!
Nandani : hmmm tumhe oska naam kaise pata???
Garima : kyunki aaj kisi ne osey oske car ke chaabiyaan dete hue osey kaha ke oska car ab theek hai...
Nandani : tou eska matlab woh pranav aaj college apne car mein nahi aya...
Garima : aur eseliye ospar mera shak galat nahi... Iam sure ke pranav hi woh car wala shaks hai!
Nandani : magar garima, humey tou pranav ka car kahin nahi mila........ I think ab humey bhi ghar chalna chahiye...
Garima : shayad tum sahi keh rahi hou...
Garima aur Nandani wahaan se jaane hi waale thhey ke tabhi Pranav apne
car mein wahaan se guzarte hue jaa raha tha. Nandani aur Garima ne oos car ke number plate ko dekha aur osko dekhkar pehchan lia aur tabhi onki nazar oos car waale shaks par padii. Woh car wala shaks Pranav tha.
Nandani : ( mann mein sochte hue ) ohh no...... ab tou pranav gaya!
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Sahil kohli- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 32
Location : delhi
Join Date : 2007-11-25
My Diary
About me:
*Medal*: SAHIL KOHLI- Fan of the year 2009
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Nandani aur Garima ne oos car ke number plate ko dekha aur osko dekhkar pehchan lia aur tabhi onki nazar oos car waale shaks par padii. Woh car wala shaks Pranav tha.
Nandani : ( mann mein sochte hue ) ohh no...... ab tou pranav gaya!
Garima pranav ke car ke saamne jaakar khari hou jaati hai. Pranav car drive kar raha tha aur oski nazar jab saamne padii tou osne jaldi se break lagaya!
Pranav ne jab dekha ke saamne garima hai tabhi osko bahut gussa aya aur eesbaar osne bhi thaan lia!
Scene : pranav apne car se neechey utarte hue.
Pranav : ( bahut gusse mein kehte hue )tumhe dekhayi nahi deta! Agar marne ka itna hi shauk hai tou kahin aur jaao... Yeh P.M ka car hai...
Garima : ( bahut gusse mein kehte hue ) mr. pranav mittal! Yeh car agar P.M ki hai tou apko kisne yeh license dey dia ke aap kisi par bhi car chalakar chale jayenge?!
Pranav : ( attitude ke saath ) ees duniya mein aisa koi bhi nahi hai jo P.M ke raaste mein aasake! Jo aajtak mere raaste mein aya......... Woh jaan se gaya!
Garima Pranav ke paas, bahut paas jaati hai aur osey zorr se ek thappar maarti hai!
=================
Scene : Garima ka woh thappar poore college ko sunayi deti hai. Poora college wahaan ajata hai. College ke har student se lekar wahaan ka watchman tak, sab loug Pranav ko dekh rahey thhey.
Garima : suniye, aap sab suniye! Miliye ees namune se! Yeh janaab ka jabhi bhi mood houta hai, kisi par bhi car chala dete hain bina yeh parwa kiye ke..... Kahin oos saamne waale shaks ko kuch hua ya nahi...
Garima : yeh janaab itneee ghamandi hain ke yeh bhi kehte hain jo aajtak enke raste mein aya..... Woh jaan se gaya...
Poora college pranav par hass raha tha.
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
i wonder pranav is insult ka badla kaise lega???
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
virgosaumya- Regular Juniour Member
-
Zodiac :
Age : 39
Location : delhi
Join Date : 2008-03-27
My Diary
About me:
*Medal*:
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Sahil kohli- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 32
Location : delhi
Join Date : 2007-11-25
My Diary
About me:
*Medal*: SAHIL KOHLI- Fan of the year 2009
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Tabhi wahaan Pranav ke dost aakar pranav ke ees insult ke liye garima ko jawaab dene jaa rahey thhey, magar tabhi pranav apne doston ko rouk leta hai, garima ko kuch bhi kehne se.
Garima : kyun, tum mein mujhe jawaab dene ki itani bhi himmat nahi rahi eseliye tumne apne namune doston ko bhi bula liya??? Jaise namuna tum hou, waise tumhare dost!
Garima Nandani ko lekar wahaan se chale jaati hai. Pranav gusse se Garima ko jaate hue dekh raha tha.
===========
Garima ke wahaan se jaate hii, Pranav ke dost pranav se oske garima ko reply na dene ke baare mein poochte hain-
_________________________________________
Pranav : osne aaj P.M ko thappar maara hai...... Ab osey jawaab, P.M khud dega, aur aisa jawaab milega..... Jis se woh kabhi aahinda bhool nahi payegi!
Pranav wahaan se chala jata hai.
--------------
Garima apne ghar pahuchti hai aur dekhti hai ke ghar mein oske sasuraal waale aaye hain.
Garima kii maa osey jaldi se osey tyaar houne ko kehti hai. Garima ka mood bahut kharaab tha, eseliye garima ne apne houne waale sasuraal waalon se kuch na kehkar, wahaan se direct mein room mein chali jaati hai.
Garima ke aise behaviour se sudeep, jis se garima ki shaadi houne waali hai, oske gharwaalon ko bura lagta hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Garima ke aise behaviour se sudeep, jis se garima ki shaadi houne waali hai, oske gharwaalon ko bura lagta hai.
Maa : main abhi garima ko bulakar laati hu...
Garima kii maa oske room mein osey tyaar karke, theek se ley jaane ke liye wahan ati hai.
Maa : garima, yeh sab kya hai?..........
Maa : main tumse kuch pooch rahi hu!
College mein aaj jo hua, oske wajah se Garima ka mood-off tha.
Garima : maa aapko pata hai aaj college mein---(tabhi garima ki maa boli)
Maa : tu abhi tak college ke baaton se baahar nahi ayi hai??? Dekh abhi bahar sudeep ke gharwaale beithe hain..... Tumhe unke saamne achhe se pesh ana hai...
Garima : magar maa---
Maa : main aur kuch nahi sunungi!
Maa Garima ko samjhate hue os se kehti hai-
Maa : dekh, agar tum apne kisi bhi baahar ke baaton ke wajah se apna mann yu kharab karogi, tou eska asar sudeep aur oske gharwaalon ko bhi dekhayi dega........
Maa : magar...... Main abhi bhi poochungi.
Maa : Kya tumhe sudeep pasand hai?
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Maa : Kya tumhe sudeep pasand hai?
Garima : haan maa, kyunki mere mummy papa ne mera rishta tyeh kia hai, tou mujhe bhi woh rishta manzoor hi hoga... Aur waise mein bhi... Agle kuch hafton mein mere aur sudeep ki shaadi bhi hai. Tou esmein poochne waali kaun si baat hai ke mujhe sudeep pasand hai ya nahi?
Maa : tou phir jaldi se tyaar houkar baahar aao...
Garima apne maa ki baat maankar, tyaar houkar baahar aati. Magar garima ke mann mein abhi bhi college waale baatein thi.
Jab garima aur sudeep ke parents baat kar rahey thhey dono ke rishte ke baare mein tab, Garima bahut chup beithi thi aur yehi baat sudeep ne bhi notice ki.
Garima aur sudeep, garden mein chalte-chalte baat kar rahey thhey.
Garima sudeep ke har sawaalon ka 'haan-naa' mein jawaab diye jaa rahi thi, kyunki garima ke mann se abhi tak college waale baatein nahi jaa rahi thi aur yeh sab sudeep bahut der se notice kar raha tha.
Sudeep : garima, kya baat hai? Main tumhe bahut der se dekh raha hoon ke tum kuch nahi bol rahi hou..... Aur agar tum kuch bol bhi rahi hou tou woh bhi haan ya naa mein???
Sudeep : sab thik tou hai na?
___
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Sudeep : garima, kya baat hai? Main tumhe bahut der se dekh raha hoon ke tum kuch nahi bol rahi hou..... Aur agar tum kuch bol bhi rahi hou tou woh bhi haan ya naa mein???
Sudeep : sab thik tou hai na?
Garima : haan haan... Tumhe aisa kyun laga? Main bilkul theek hoon, woh actually... Aaj college mein classes bahut der se khatam hua...
Sudeep : hmmm... waisee ek baat poochu?
Garima : haan?
Sudeep : tumhe abhi tak kisi se pyaar nahi hua? I mean, tumhare college mein---
Garima : please sudeep! College mein mera dhyaan sirf mere kitaabon mein houta hai... Na ke dusre lougon mein...
Sudeep : ek akhri sawaal..... Tumhare liye shaadi ke kya mayene(*thoughts) hain aur pyaar ka sahi defination kya hai?
Garima : shaadi woh pavitra bandhan hai, jismein do loug jab ekbaar bandhh jaate hain.... Tou osi ke saath unhe kuch vaadein bhi karne padte hain... Woh vaadein unhe saath janmon tak baandhe rakhti hai... Shaadi jaise rishte ke liye mere dil mein ek khaas jagah hai... Kyunki yeh rishta bhagwaan banata hai...
Garima : aur jahaan tak baat hai, pyaar kii....... Pyaar ke bahut saare sahi definations hain, magar pyaar ko agar zaahir karna ho.... Ek shabd mein....... Tou oska naam hoga "Vishwaas" ... Pyaar vishwaas ke neev par hi khara hota hai aur agar vishwaas ki neev hi kamzor hou... Tou pyaar ki imaarat bhi ekdin tootkar girr jaati hai....
Sudeep : hmmm impressive!
Garima : ab agar tumhare sawaal-jawaab ka kissa khatam hou gaya houu... Tou kya ab hum chaley? Wahaan sab hamaara intezaar kar rahe hounge...
Sudeep aur Garima eksaath lout rahey thhey tabhi garima aur sudeep ke gharwaale dono ko eksaath dekhkar bahut khush hue.
___
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Sudeep aur Garima eksaath lout rahey thhey tabhi garima aur sudeep ke gharwaale dono ko eksaath dekhkar bahut khush hue.
Tabhi phone ata hai. Garima jaakar phone recieve karti hai tou pata chalta hai ke phone oski maasi ka tha.
----------------
Maasi : garima, beta ek bahut badi problem ho gayi hai........ Kya tum abhi office asakti ho?
Garima : jee maasi, main abhi wahaan ati hoon...
Garima ke parents aur Sudeep ke parents ne woh sunn lia aur woh sab garima ke taraf dekh rahe thhey. Sudeep Garima ke paas jata hai aur oos se poochta hai.
Garima : maa, mujhe abhi office jana hoga... Maasi ne bataya ke office mein kuch zaroori kaam apada hai...
Yeh soonkar garima ki maa pareshaan hou jaati hai. Sudeep ke parents ko yeh baat achii nahi lagti hai.
Sudeep : garima, main tumhe office drop kar du?
Garima : theek hai...
Magar garima ke maa abhi bhi, ees tarah se garima ke wahaan se jaane ke wajah se, garima ki maasi par bahut gussa ata hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Khwaish Apnaa Apnaa
Udhar office mein, garima aur sudeep wahaan pahuchte hain. Garima apne maasi ke cabin mein supdeep ke saath wahaan jaati hai. Woh dono wahaan jaakar dekhte hain ke garima ki maasi bahut pareshaan thi.
Maasi : achha hua garima, tum agayi...
Garima : maasi, akhir hua kya hai? Aap itani pareshaan kyun hain?
Maasi : aaj majboori mein board meeting rakhaya hai maine...
Garima : kya! magar yeh board meeting tou 2 din baad houne waali thi?
Maasi : mujhe pata hai, kyunki ab woh deal do din baad houne waali thi, ab woh aaj hougi... Aur oska reason hai, mittals ne humaare company par case kar diya hai...
Garima : yeh aap kya keh rahin hain? Magar unhoune humaare company par case kyun kiya? Akhir wajah kya hai?
Maasi : wajah hai, ke unhoune humaare company par fraud houne ke charges aur saath hi saath, unke company ke zameen par illegal factory banane ke charges lagaye hain...
Garima : iam sure maasi, unhoune aisa ees last moment par eseliye kiya hai, jis se humara poora dhyaan ees deal se hut jaaye aur....... Humey yeh deal na miley.......
Garima : magar maasi, maine bhi aapse vaada kia hai.... Main yeh deal har haal mein, humaare company ko dilaakar hi rahungi...
Maasi : magar abhi board of directors ki meeting hai... Aise mein agar humne abhi woh project report wahaan submit nahi kiya... Tou...
__________________
Guest- Guest
Page 2 of 12 • 1, 2, 3, ... 10, 11, 12
» Khwaish Apnaa Apnaa Picture Gallery
» POSTER: 'Khwaish Apnaa Apnaa 2'
» Khwaish Apnaa Apnaa
» 'Khwaish...' Hits with 500 views in a day!
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer