Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Khwaish Apnaa Apnaa
Page 10 of 12 • 1, 2, 3 ... 9, 10, 11, 12
Khwaish Apnaa Apnaa
Khwaish Apnaa Apnaa is a story about two rival hearts, Pranav and Garima. They want to destroy eachother at any cost, will they ever fall in love?
Story By: Diipendu Dutta
Pictures and Other Creations By: Diipendu Dutta
Story: Khwaish Apnaa Apnaa
Started On: April 29, 2009
Genre: Drama
Ended On: October 5, 2014
No. of Episodes: 200
Dipendu_Dutta- Guest
Episode 143
Pranav: (mann mein sochte hue) Yeh kya hogaya hai esey? Kahin sarr pe koi injury houne ke wajah se tou aise nahi hua? Warna yeh ghamandi ladki mujhse kyun itne achhe se baat karegi???
Garima: (mann mein sochte hue) Tumse dushmani ki hai tou poore ibadat se zaroor nibhaungi. Mujhe maut dene ka bahut shauk hai na? Ab main tumhare zindagi ko sazaa bana dungi!
Tabhi wahan Choti-Dadi aur Gayathri ajaate hain.
Choti-Dadi: (khush hou kar kehte hue) Arre pranav! dekh tujhse kaun milne aya hai! tera bhai!!! Parth!
Tabhi wahan Parth ata hai. Pranav Parth ko saamne dekh kar yakeen nahi kar pata hai ke yeh wahi hai jisko usne hire kiya tha Garima ko shoot karne ke liye.
Pranav: Parth?
Parth: Hello big brother! (smiles)
Story 7 Writer- Admin
- Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 144
Pranav: I don't believe this! Mera plan fail kaise ho sakta hai?!
Ankita: Agar itni hi nafrat karte ho Garima se tou osey divorce kyun nahi dey dete???
Pranav: itni easily main osey ees rishte se azaad nahi karunga.
Ankita: Kahin...... Tumhe Garima se pyaar tou...?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 145
Pranav: itni easily main osey ees rishte se azaad nahi karunga.
Ankita: Kahin...... Tumhe Garima se pyaar tou...?
[ Pranav Ankita ka gala (neck) pakad leta hai. ]
Pranav: ek aur word aur main tumhari jaan yehin ley loonga!
"Chill bro!" -Uday wahan ata hai.
Uday: Mere paas ek plan hai jis se tum apni dushmani bhi Garima se nibha paoge aur bahut buri tarah se osey damage kar paoge...
Pranav: matlab?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 146
Uday: Mere paas ek plan hai jis se tum apni dushmani bhi Garima se nibha paoge aur bahut buri tarah se osey damage kar paoge...
Pranav: matlab?
Uday: kehte hain ke agar dushman ko barbaad karna hai tou oske dil ko torr do..... exactly tumhe Garima se pyaar ka naatak karna hoga aur jab Garima ko tum par yakeen ho jayega... jab woh tum par khud se bhi zyada bharosa karne lagegi...... tab waqt tumhara hoga ke tum oske dil ko buri tarah se torr do aur phir!
Pranav: Garima will be destroy!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 147
Friend 1: Arrey Pranav bro tu yehan?! Kaisa hai yaar!
Pranav: main theek hoon bro.
Friend 2: tuney shaadi bhi karli aur humey invite bhi nahi kia? Bhabhi saath ayi hai?
Pranav: haan, woh wahan car ke paas khadi hai.
Friend 2: yaar pranav, yeh tou wahi ladki hai na jisne college mein sabke saamne teri bahut insult ki thi.
Friend 1: aur ek baar nahi, baar baar insult ki thi ees ladki ne!
[ Peechey Garima wahan se sab soon rahi houti hai jo kuch Pranav ke friends ne oske bare mein kaha. ]
Pranav: shutup!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 148
Friend 1: aur ek baar nahi, baar baar insult ki thi ees ladki ne!
[ Peechey Garima wahan se sab soon rahi houti hai jo kuch Pranav ke friends ne oske bare mein kaha. ]
Pranav: shutup! Woh ab meri patni hai! Aur main yeh bilkul tolerate nahi karunga agar koi meri biwi ke bare mein kuch bhi kahe......
Yeh sab soonkar Garima ko yakeen nahi hou raha houta hai ke Pranav ne Garima ke liye stand lia aur yeh sab kaha.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 149
Yeh sab soonkar Garima ko yakeen nahi hou raha houta hai ke Pranav ne Garima ke liye stand lia aur yeh sab kaha.
Garima: (mann mein sochte hue) Yeh pranav ko achanak se kya ho gaya hai?
Udhar Pranav ke friends- "Pranav! Yaar tu ab badal gaya hai! Tu ab woh pehle wala Pranav Mittal nahi raha...!"
Pranav Garima ko lekar wahan se car mein beth kar chala jata hai. Raaste mein car drive karte hue Pranav bilkul chup tha. Garima baar-baar dheere se Pranav ke taraf dekh rahi thi aur mann mein soch rahi thi ke achanak se Pranav mein itna change kaise agaya?
>>>>>>>>>>>>
Gayathri: arre agaye tum dono...
Pranav: maa woh... Aap Garima ke liye khana laga dijiye aaj usne subah se theek se kuch khaya bhi nahi aur doctor ne bhi rest karne ko kaha tha......
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 150
Woh note Pranav ne Garima ko likha houta hai jismein Pranav ne apne saare galatiyon ke liye Garima se maafi maangi houti hai. Woh note padh kar Garima ko abhi bhi yakeen nahi araha houta hai.
Garima: (mann mein sochte hue) Jo aadmi kabhi apni maa ke liye bhi kabhi achha beta nahi bana... aaj woh achanak se ek achha insaan bann gaya? Kya Pranav ki yeh achhai sach hai? Yaa... koi plan?
Tabhi Garima ko oski Maasi ka phone ata hai-
Maasi: Garima, mujhe abhi pata chala hai ke Pranav Mittal ne hamare company ke saare shares humey wapas kardiye hain!
Garima: yeh aap kya keh rahi hain maasi? Are you sure? Kahin yeh Mittals ka ek aur naya plan tou nahi humey...
Maasi: nahi! nahi! Garima, now I really think ke Pranav ab badal gaya hai. Woh ab ek achha insaan banne ki koshish karaha hai...
Yeh soonkar Garima, Pranav ke liye apne judgement ko lekar soch mein padd jati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 151
Ankita: Ees pyaar ka naatak karte-karte be-aware! Kahin tumhe Garima se sach mein pyaar na ho jaye!
Pranav: oh shutup Ankita!
Ankita: Waise tumhe tou yaad hoga na, ek time tha jab tum kisi aur se bahut pyaar karte thhe?
[ Ankita ke ees baat se Pranav ko apne past ki yaad ajati hai. Pranav apne college ke first year ke time ko yaad karta hai jab woh ek ladki se mila tha jis se woh bahut pyaar karta tha. ]
Pranav: Pyaar maine apne life mein sirf ek hi ladki se kia tha aur yeh tumhe bahut achhe se pata hai. Tumhe mere baare mein sab kuch pata hai. Mera past, meri zindagi ka ek sachha pyaar koi aur thi... Aur kyun woh mere life se chali gayi yeh mujhe aaj tak pata nahi chal paya.......
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 152
[ Ankita ke ees baat se Pranav ko apne past ki yaad ajati hai. Pranav apne college ke first year ke time ko yaad karta hai jab woh ek ladki se mila tha jis se woh bahut pyaar karta tha. ]
Pranav: Pyaar maine apne life mein sirf ek hi ladki se kia tha aur yeh tumhe bahut achhe se pata hai. Tumhe mere baare mein sab kuch pata hai. Mera past, meri zindagi ka ek sachha pyaar koi aur thi... Aur kyun woh mere life se chali gayi yeh mujhe aaj tak pata nahi chal paya.......
Ankita: Oos ladki ko ab tum bhool kyun nahi jaate? Agar Garima ko oos ladki ke bare mein galti se bhi pata chal gaya tou tumhara yeh plan fail samjho pranav!
Pranav: Garima ko yeh kabhi pata nahi chal payega ke mere life mein pehle koi aur ladki thi aur woh ladki hamesha rahegi.
Ankita: lekin Karishma ko tum ab bhi pyaar karte ho yeh mujhe nahi pata tha...
Pranav: (mann mein sochte hue) Karishma, kaash agar mujhe yeh pata houta...... ke tum kyun aise achanak se mujhse saare rishte torr ke chali gayi...
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 153
Pranav: (mann mein sochte hue) Karishma, kaash agar mujhe yeh pata houta...... ke tum kyun aise achanak se mujhse saare rishte torr ke chali gayi...
Garima ko uski friend Nandani ka phone ata hai. Nandani Garima ko kuch batati hai yeh soonkar Garima Nandani se milne oske ghar jaati hai.
Wahan jaakar Garima dekhti hai ke Nandani ki engagement ho rahi hai. Garima Nandani ko wish karti hai. Lekin Nandani khush nahi lag rahi houti hai. Yeh dekh kar Garima Nandani se oske khush na houne ka reason puchti hai. Nandani Garima ko yeh batane wali houti hai ke tabhi, Garima ki nazar Nandani ke houne wale pati (fiancee) ko dekhti hai.
Nandani ka houne wala pati aur koi nahi, Sudeep houta hai. Sudeep wahi ladka hai jis se pehle Garima ki engagement hui thi aur Pranav ke wajah se Garima aur Sudeep ki shaadi nahi ho payi thi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 154
Nandani ka houne wala pati aur koi nahi, Sudeep houta hai. Sudeep wahi ladka hai jis se pehle Garima ki engagement hui thi aur Pranav ke wajah se Garima aur Sudeep ki shaadi nahi ho payi thi.
Yeh dekh kar Garima Nandani ke taraf dekhti hai. Garima ke aankho mein sawaal tha. Nandani Garima ko explain karne ki koshish karti hai lekin Garima wahan se chali jati hai.
Garima Mittal Mansion wapas ati hai. Garima Badi-dadi ke room mein ati hai, aur badi-dadi ke paas aakar chup-chap beth jati hai. Badi-dadi Garima se uske udaas houne ka reason puchti hai. Garima Badi-dadi ko Nandani ke bare mein sab batati hai. Badi-dadi Garima ko upset na houne ke liye kehti hai.
Thode der baad Garima apne room mein ajati hai. Pranav bhi pehle se wahan room mein chair par window ke paas betha kuch soch raha tha. Pranav bhi aaj apne past Karishma ko yaad kar ke upset tha. Garima bed par aakar chup-chap beth jati hai aur osey aisa lagta hai jaise osi ki best-friend Nandani ne aaj osey bahut bada dhoka dia hai, Garima se jhooth bol kar.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 155
Ek taraf Garima soch rahi thi ke jis par osne itna trust kia aaj osi best-friend ne osey dhoka dia aur woh bhi uske ex-fiancee se engagement karke. Dusre taraf Pranav, apne past Karishma ke baare mein soch raha tha, ke kitna pyaar kia tha osne Karishma se lekin woh osey ees tarah chhor ke chali gayi.
"Light on kar do..." -Pranav Garima se kehta hai.
Garima: tum kyun andhere mein bethe ho?
Pranav: bas, meri zindagi bhi ees room ke andhere jaisi ho gayi hai.......
[ Garima lights-on karti hai. ]
Garima: (friendly smile karte hue) I hope ab sab theek hai?
Pranav: (friendly smile karte hue haan kehta hai)
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 156
FLASHBACK: FADE IN
[ Pranav aur Karishma beach mein quality time spent karahe houte hain. ]
FLASHBACK: FADE OUT
Pranav: kya hogaya hamare rishte ko? Kahan chali gayi tum Karishma?...
"Pranav..."
Pranav turn ho kar peeche dekhta hai tou door ke paas koi ladki wahan thi.
Pranav: Karishma?
Woh ladki lights-on karti hai aur Pranav ko pata chalta hai ke woh Garima hai.
Garima: kya hua?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 157
Gayathri: arre Garima tum Pranav ke paas betho.
Garima chup-chap Pranav ke paas jakar beth jati hai. Pranav dekhta hai ke Garima ko kuch chahiye, Pranav jaldi se Garima ko juice glass mein fill kar ke Garima ko pass karta hai.
Gayathri aur dono dadi Pranav mein yeh change dekh kar yakeen nahi kar paate.
After a while...
Garima apne room mein clothes organise karahi houti hai tabhi osey ek diary milti hai. Garima oos diary ko table par rakhne wali houti hai ke tabhi Garima ko Karishma ka contact number milta hai.
Garima ko yaad ata hai ke kal raat Pranav ne kisi Karishma ka naam lia tha. Garima Karishma ke number par call karti hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 158
Driver: sahab woh raaste mein kuch gareeb log hain...
Om Mittal car se utar kar dekhte hain. saamne kuch beggers houte hain jo Om Mittal se hospital tak jaane ke liye lift maang rahe houte hain. Om Mittal oon gareeb (poor) logon ko bahut bure tarah se baatein sonata hai because Om Mittal ko gareeb logon se nafrat hai aur woh unhe bilkul tolerate nahi karte hain.
Om Mittal driver ko bolta hai ke woh car lekar office ke liye chale aur wahan se chale jate hain.
Om Mittal ke ees attitude ko dekh kar ek gareeb dusre gareeb se kehte hue- "Aakhir hamara kasoor kya hai? Ke hum gareeb hain? Bura waqt tou sabka ata hai na???"
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 159
Karishma ne Garima ko saare batein batayi aur woh reason bhi bataya jis ke wajah se Karishma aur Pranav ka relationship khatam ho gaya. Aur oos breakup ke baad se Pranav ek heartless insaan bann gaya jiska relationships par se bharosa uth gaya.
[ Tabhi wahan room mein Pranav ata hai. ]
Pranav room se pillow aur blanket lekar room se bahar jaraha houta hai tabhi Garima kehti hai- "Mr. Om Mittal ne tumhare aur Karishma ke relationship ko accept nahi kia, yehi reason hai na Karishma tumhare life se achanak se chali gayi?"
Pranav Garima ke taraf dekhta hai.
Pranav: what?!
Garima: haan pranav, yehi reason hai. Main aaj Karishma se milne gayi thi...aur oosne mujhe poori baat batayi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 160
Choti Dadi: arre Gayathri! Yeh Pranav aaj kal itna change kaise ho gaya hai?
Gayathri: jo bhi ho, bas Pranav aisa hi rahe...Warna kuch saal pehle jab Pranav aur Karishma ka rishta toota tha...
Choti Dadi: Gayathri nahi! Ab purane baton ko yaad karne se kuch nahi hoga. Garima bahut achhi ladki hai, woh hamare Pranav ko phir se pehle jaisa bana degi.
Gayathri: haan, bas, OM phir se koi problem na create kar dey... Warna unhe apne family se zyada business se matlab hai. Rishte tou Om ke liye kuch bhi nahi...
Udhar Pranav Garima se yeh baat soon kar yakeen nahi kar pata hai. Because ab tak Pranav ko uske aur Karishma ke relationship ke breakup ka reason pata nahi tha.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 161
OM Mittal ne Pranav aur Karishma ki shaadi ke liye permission nahi dia. Karishma gareeb ghar se belong karti hai esi wajah se OM Mittal ne Karishma aur Pranav ke shaadi ke liye manzoor nahi hue.
Yeh pata chalte hi Pranav OM Mittal ke paas jata hai.
Pranav: Papa! Aapko agar Karishma ke gareeb houne se problem tha tou Garima ko aapne kaise accept karlia?
OM Mittal: oh! tou tumhe pata chal gaya!
Pranav: that doesn't matter papa! Aap mere sawalon ka jawab dijiye.
OM Mittal: theek hai. Haan maine Garima ko accept esiliye kia kyunki..... Kyunki my son, Garima ke wajah se hamare family aur business ke reputation par risk tha. Aur koi option nahi tha.
Pranav: papa, kya aapke liye aapka business hi sab kuch hai? Aapka beta aapke liye kuch bhi nahi?
OM Mittal: my son, tum abhi yeh baat nahi samjhoge. Life mein paisa hi sab kuch hota hai jo insaan ko society mein uthne aur bethne ke layak rakhta hai. Agar paisa nahi, tou insaan ki koi izzat bhi nahi!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 162
Pranav: lekin papa, shaadi ko nibhane ke liye poori zindagi mein zaroorat paisa nahi hota....... I Loved her! I loved Karishma!
OM Mittal: aur ab? Ab tou tumhe sach ka pata chal chuka hai........ Tou Garima ko chhor kar Karishma se shaadi karlo? Tumhe kya farak padta hai ke tumhara baap press aur media ko kya jawab dega! Jaao aur kar lo apni mann-maani!
Pranav: kaash papa agar yeh sach mujhe pehle pata chala hota...Tou main aapke ees jhoothe shaan ko chhor kar bahut pehle hi chala gaya hota!
OM Mittal: Pranav!!!
Pranav wahan se gussa ho kar chala jata hai. Garima yeh conversation sunn leti hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 163
Next Day
OM Mittal finds out Pranav has sold his bike. Woh bike Pranav ki favourite bike thi because oos bike ke liye Karishma ne thode money save kiye thhe. Rest of the money, Karishma ke insist karne par Pranav ne part time job karke earn kia tha.
Pranav bahut upset hai esiliye woh ghar se kahin chala jata hai aur apna cell phone ghar par bhool jata hai. Garima apne maa aur baba se milne apne ghar jaane ke liye nikalti hai. Accidently Raaste mein Garima ke car ke saamne ek bachha ajata hai. In the mean time wahan crowd gather ho jata hai. Woh bachha wahan locally rehta hai. Crowd bahut gussa ho jati hai. In no time wahan Police bhi ajati hai.
Wahan crowd police ko poori baat bata deti hai ke Garima ke car ke neeche woh bachha agaya. Police Garima se licence aur papers mangte hain. Lekin Garima ke paas koi document na hone ke wajah se Garima problem mein ajati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 164
Inspector Garima se strict voice mein Garima se oska identification puchte hain. Garima batati hai ke woh ghar se nikalne se pehle, galti se koi documents ya ID Proof saath mein lana bhool gayi.
Inspector: Tum ameer logon ko kya lagta hai! Yeh road tumhare apni property hai jispar chalne walon ko tum log apne car se aise uda douge! Ab seedhe tarah se apna koi id proof dikhao ya phir apne ghar walon ke bare mein detail do jis se ke hum unhe contact kar sakey!
Garima: aap please mere baat ka yakeen kijiye. Main apne maa-baba se milne ja rahi thi. Meri maa ki tabiyat kharab hai. Agar mere ghar par kisi ko pata chala tou meri maa ki tabiyat (health) aur bhi kharab ho sakti hai.
Inspector: tou apne pati ka number tou dey hi sakti hain aap?
Garima jaldi se Pranav ko phone lagati hai. Koi response na milne se Garima Mittal Mansion mein phone lagati hai. Gayathri phone uthati hai. Lekin signal mein problem houne ke wajah se Gayathri ko Garima ki voice sunai nahi deti hai aur Gayathri ko pata bhi nahi chal pata hai ke Garima ne phone kia tha.
Garima bahut pareshan hou jati hai.
Garima: (mann mein sochte hue) hey ganpati bhagwan ab main kya karu?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 165
Police station ke bahar- "Thankyou Maasi..." Garima apne maasi ke galey lagte hue.
Maasi: lekin beta tum yehan kaise?
Garima apne maasi ko poori baat batati hai aur apne maasi ke saath woh apne maa-baba ke ghar jaati hai.
Maa: Garima, mujhe tumse baat karni thi. achha hua tum agayi. Nandani ne mujhe sab kuch bata dia hai. Pranav ne tumhare saath zabardasti ki aur tumhe jaan se maarne ki koshish bhi...lekin ab bas! Ab wahi hoga jo bahut pehle houna chahiye tha.
Garima: yeh aap kya keh rahi hain maa?
Maa: haan, jo pati tumhare zindagi ko narak bana kar rakh dey... oos rishte ko khatam kardena hi achha hai. Tum Pranav ko divorce dey do!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 166
Garima: Maa! yeh aap kya keh rahin hain?!
Maasi: haan Garima, didi bilkul sahi keh rahi hain... Tumhe koi zaroorat nahi hai ek aise rishte ko nibhane ka, jiske wajah se tumhari poori zindagi kharab ho jaye... Maine tou bahut samjhaya tumhe pehle bhi...please beta, ab maan bhi jaao...Leave him.
Garima: (mann mein sochte hue) sahi tou keh rahi hai maasi aur maa... aakhir mujhe kyun takleef hogi divorce paper par sign karne mein? Lekin, ab mujhe kyun takleef ho rahi hai Pranav ke life se chale jane mein? Jab ke raasta mere saamne hai.
Udhar dusre taraf Pranav, bahut bure tarah se alcohol piye jaraha tha. Pranav is in very bad state. Woh bahut upset hai.
Aur eedhar Garima, Pranav se divorce lene ke bare mein soch kar khush nahi ho paa rahi thi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 167
Nandani: Garima, college ke oos din se lekar, jab Pranav aur teri nafrat ki shuruaat hui thi, main gawaah hoon. Aur tujhe maine dekha hai, Pranav ke wajah se takleef mein. Aur ab tujhe yeh sochna hai, kya tu Pranav se alag ho kar apni zindagi jeena chahti hai ya, Pranav ke nafarat ke narak mein tujhe hamesha ke liye rehna hai...
Garima: theek hai. Main divorce papers par sign karne ke liye tyaar hoon. lekin oos se pehle main kuch kehna chahti hoon...hamara rishta shuru hua tha nafrat se. shaadi jaisa rishta zindagi bhar ka hota hai, lekin hamare rishte ki neev, oski shuruaat hi nafrat se hui thi... tou woh kaise poore zindagi chal sakta hai? Lekin abhi Pranav jis situation mein hai, osey agar kisi ne abhi nahi sambhala tou pata nahi oska kya hoga. Main ees tarah osey aise nahi chhor sakti abhi. Atleast jab tak sab kuch theek nahi ho jata, main pranav ko divorce nahi dey sakti.Â
Maasi aur Maa Garima ko samjhane ki koshish karte hain lekin Garima wahan se chaley jaate hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 168
Garima ke maa-baba ka ghar. Garima was living here since these three-months.
SCENE: Garima is doing all house-hold works. Women in neighbours are gossiping how Garima is living here, leaving her husband's home. Garima ki maa abhi bhi Garima ko convince karna chahti hai ke woh kisi bhi tarah se Pranav ko divorce dey kar apni life phir se shuru kare.
Udhar Mittal Mansion mein-
OM Mittal bhagwaan ke saamne haath jod kar, apne galatiyo ke liye pray karte hue-
OM Mittal: mere ego ke wajah se Pranav ka aaj yeh haal hai... Pranav ne khud ko poore tarah se alcoholic bana dia hai. Mujhe kuch samajh nahi araha hai ke main apni Galati kaise thik kar sakta hoon.
SCENE: Pranav apne room mein, khud ko room mein band kar rakha hai. Poora room messed-up hai. Room ke floor par alcohol ke bottles padey hue hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 10 of 12 • 1, 2, 3 ... 9, 10, 11, 12
» Khwaish Apnaa Apnaa Picture Gallery
» POSTER: 'Khwaish Apnaa Apnaa 2'
» Khwaish Apnaa Apnaa
» 'Khwaish...' Hits with 500 views in a day!
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer