Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Noorr
Page 4 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
Noorr
Story is about ambitions , dreams love & Sacrifice . A small town ambitious girl Noorr is talented classical singer and wants to fulfill her & her mother`s dream by becoming a great singer . but she had to face with many challenges & difficulties .
***************************
Last edited by on 7/1/2008, 5:02 pm; edited 1 time in total
-Diipendu- Guest
Episode 43
Noor : maa, maine aisa eseliye kia kyunki woh bhi kahin-na kahin yeh chahta tha... shayad humara milna... humare kismat ko manzoor hi na tha...
Nirmala : aisa mat kaho noor... mujhe poora yakeen hai... dekhna haalat pehle jaisa ho jayega... sab thik ho jayega...
[ Noor Nirmala ko saari baat batati hai. Noor nirmala ko yeh bhi batati hai ke usne karan se shaadi karne ka faisla kia hai aur oon dono ki shaadi bahut jald houne waali hai. yeh soon nirmala ke liye noor ko samjhana aur mushkil hou jata hai. ]
UDHAR PRATHAM ko police arrest kar leti hai. Pratham ko kuch samajh mein nahi araha hai ke police ne osey ees tarah arrest kyun kia hai.
Palak pratham se police station milne aati hai...
Palak : aww pratham... yeh sab kya ho gaya ?... tum thik tou ho na ?...
Pratham : palak, mujhe kuch samajh mein nahi araha hai ke police ne mujhe ?
Palak : wajah main jaanti hoon... noor !
Pratham : noor ?...
Palak : dekho main tumhe yehaan nahi bata sakti... maine apne lawyer se kehkar sab arrangement kar dia hai ab police tumhe yehaan jaaney denge...
Pratham : thank you palak... tum bahut achii ho... kam se kam noor ne mujhe dhoka dia magar aise mein tumne mujhe samjha...
Palak : thanks kehkar tum mujhe paraya bana rahey ho pratham...
[ Palak aur Pratham ghar jaatey hue- Palak pratham ko car mein noor ke khilaaf sab jhooth-jhooth batakar pratham ko noor ke khilaaf kar rahi thi. ]
Guest- Guest
Episode 44
Noor poore tarah se dulhan ke roop mein saji thi. Noor aaj dulhan bann kar bhi khush na thi... oske aankhon mein pratham ki yaadein thi...
[ Shaadi ka mandap saja tha. Baarat aaney hi waali thi. ]
Nirmala aur sharda noor ko dekhne aaye thhey...
Sharda : noor, mere bahut armaan thhey ke... ke tum ek din mere ghar bahu bann kar aogi... pratham se tumhari shaadi hogi...
Nirmala : noor, ek baar phir soch lo...
Udhar Noor aur karan ke shaadi ka mandap saja tha tou thik uske paas Pratham aur palak ke shaadi ka mandap bhi zorr-
shorr se tyaar tha. Saarey mehmaan aagaye thhey...
Guest : arre kya kisi ne gauri aur karan ko dekha hai ? unki jodi kuch khaas nahi lagti kam se kam mujhe tou bilkul bhi nahi !
Guest 02 : haan aur gauri dekhne mein bhi bahut sundar hai magar oski shaadi tou... woh pratham hai na ?... arre wahi jiski shaadi palak se hou rahi hai... osi se honi chahiye thhi...
Guest 03 : haan agar unki shaadi hoti tou kuch kaha jaa sakta tha ke... Rabb ne banaii hai jodi !...
Guest- Guest
Episode 45
Nirmala : noor, beta jo hua osey bhool kar ek nayi shuruat karo...
Noor : naye shuruat hi tou karne jaa rahi hoon maa... apni zindagi ki nayi shuruat karan se shaadi karke...
UDHAR KARAN KI BAARAT AATI HAI.
Sharda aur Nirmala ees shaadi se khush nahi thhey. Pratham ki baarat bhi aaney mein kuch hi deyr thi aur palak dulhan bannkar sajj chuki thi.
Palak : aakhir aaj pratham mera ho jayega ! aur... aur oos noor ko oska jawaab mill jayega...
Noor mandap par beith gayii thi aur panditji ne mantra padhna shuru kar dia tha.
Karan : gauri, maine tumhare liye ek suprise gift hai... mujhe tumhari pasand ki... tumhari pasand kis chiz mein hai maine aaj woh chiz tumhare liye chunn lia hai...
Noor : kya fark padta hai karan... jab dil kisi chiz ko chahe tab woh chiz khubsurat houti hai warna dil agar kisi ko chahna hi bandd kar dey tou koi bhi chizz pasand aaye-Na aaye... kya fark padta hai...
Noor ka yeh jawaab soonkar karan ko ajeeb laga.
Karan : gauri, kya tum ees shaadi se khush ho ?
Noor ke liye yeh sawaal bahut ooljha hua tha... woh chup rahi kyunki uske paas jawaab dene ke liye koi shabd na thhey...
Guest- Guest
Episode 46
[ Palak Pratham ke baarat ko dekh khush ho rahi thi. ]
ACHAANAK !
{ Pratham ghore se utarta hai aur kuch deyr baad... }
Pratham Palak ka haath pakar ke Noor aur Karan ke mandap ke taraf ley jata hai.
Palak : pratham yeh kya kar rahey ho ?... choro mera haath !...
Karan Noor ke maang mein sindoor bharne hi jaa raha tha ke tabhi-
RUK JAAO !...
Sharda : pratham ?
Pratham : yeh shaadi nahi ho sakti hai !...
Palak : pratham... ye sab kya kar rahe ho ?... tumhe kya ho gaya hai ?...
Guest- Guest
Episode 47
Palak : pratham... ye sab kya kar rahe ho ?... tumhe kya ho gaya hai ?...
PRATHAM PALAK KO ZORR SE EK THAPPAR MAARTA HAI...
[ Yeh dekh wahaan ka mahol sab shaant ho jata hai. Kisi ko kuch samajh mei nahi araha tha ke achanak se yeh kya ho raha hai. ]
Pratham : ankhein khul gayi hain aaj meri... itney mahino se jo shaks... jo shaks mujhe aur noor ko alag karna chahta tha woh koi aur nahi... Palak hai !...
[ yeh dekh wahaan sab hayraan hou jaate hain ]
{ Pratham wahaan sabko woh saare baatein batata hai jo itney mahino mein Palak ne sajish karke Noor aur Pratham ko kis tarah alag kia. }
<Palak ne pehle Pratham ko jhoothe case mein jail mein bandd karvaya phir Noor aur Karan ke baare mein media ko galat information dena aur phir Noor ki shaadi yehaan karan se aur uski shaadi Pratham se >
Palak yeh sab dekhkar ekdum se chup reh gayii kyunki palak ka jurm ab sabke saamne achuka tha...
Guest- Guest
Episode 48
Tabhi wahaan Police aati hai.
Inspector : Mr. Karan, aapne bilkul sahi kaha tha... Mr.Pratham ko woh proof dey dene par Mr.Pratham Palak ko uska jurm sabke saamne kabool karne par majboor ho jayegi... ab enhe arrest karna humaare liye aur asaan ho gaya hai... thank you...
Karan : maine kuch nahi kia... jo hua achha hi hua... mujhe pehle se pata tha ke Noor Pratham se suchha pyaar karti hai... maine tou bas ek madad ki...
Noor : eska matlab... eska matlab tum sab jante thhey ? pehle se ?...
Karan : haan noor...
Karan : aur aaj meri aur tumhari shaadi nahi hogi... kyunki... aaj tumhari aur Pratham ki shaadi hogi...
Palak : nahi !... pratham, tum shayad woh baat bhool rahey ho ?
Pratham : haan noor... main tumse shaadi nahi kar sakta...
Guest- Guest
Re: Noorr
iam worried yaa ke noor aur pratham ka kya hoga ?
Guest- Guest
Episode 49
Pratham : nahi maa, aise baat nahi hai... magar maine palak ke saath ek contract sign kia hai jismei yeh likha hai ke... ke agar maine kabhi noor se shaadi ki tou... tou eska assar... noor ke carieer par padd sakta hai.............
Noor : nahi chahiye mujhe aisa carieer !... nahi chahiye aisa mukaam jo mujhe tumse alag kar dey pratham...
Noor ke ees sacrifise ko dekh Pratham ke aankhon mein aasu aajate hain...
Pratham Noor ko galey laga leta hai...
Palak : Pratham !... tum bhool rahey ho ke main agar chahu tou apne papa se kehkar tumhe aur noor ko barbaad kar sakti hoon... Pratham tum bahut badii galati kar rahey ho....
Palak ko inspector ka gun dikhta hai woh inspector se woh gun chhin leti hai aur Noor par woh gun target karti hai...
Inspector : dekhiye palakji, aap kaanoon apne haath mein ley rahin hain... aap aisa nahi kar sakti hain... woh gun wapas kar dijiye !...
Palak : shutup !...
Palak : ( palak route hue request kar rahi hai ) Pratham, please tum mere paas wapas aajao... woh noor tumhe mujhse chhin rahi hai... tum jante ho na ke main tumse kitna pyaar karti hoon ?...
Pratham : tum mujhse nahi khud se pyaar karti ho !... khud Noor se na haar jaao eseliye mujhe wapas pana chahti ho... magar tumhari koi bhi chaal ab kameyaab nahi hogi...
Palak : ( gusse se ) Pratham main noor ko goli maar dungi !...
Palak : dekho pratham, please tum wapas mere paas ajao... main papa se kehkar tumhe bahut ameer bana dungi... please...
Pratham : bhool jaao !...
Scene - Pratham jaakar Noor ko galey laga leta hai...
Palak ko yeh dekhkar gussa ata hai aur TABHI GOLI CHALTI HAI !
Guest- Guest
Re: Noorr
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Noorr
Guest- Guest
Page 4 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer