Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Noorr
Page 2 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
Noorr
Story is about ambitions , dreams love & Sacrifice . A small town ambitious girl Noorr is talented classical singer and wants to fulfill her & her mother`s dream by becoming a great singer . but she had to face with many challenges & difficulties .
***************************
Last edited by on 7/1/2008, 5:02 pm; edited 1 time in total
-Diipendu- Guest
Episode 14
Pratham : eseliye kal se hum oon sapno ke liye ..... oon sapno ko such karne ki koshish mein joot jaayenge .....
Pratham : tum mera saath dougi na ?? .........
[ pratham noor ke taraf apna haath aagey baraata hai ]
[ noor apna haath aagey karti hai aur sab kuch theek hou jaata hai ]
[ Agle din ]
[ Noor aur Pratham nirmala masi ko station chorr dete hain ]
Nirmala : apna dhyaan rakhna ....
Noor : je masi ....
Guest- Guest
Episode 15
Music director : sorry magar maine naye singers ko break dena chhor diya hai .....
[ noor aur pratham ke bahut try karne par bhi koi result nahi nikalta end mein ek ummed ki kiran nazar aati hai ]
[ Pratham ka dost oose idea deta hai ke kyun na pehle noor pehle kisi achhe se studio mein jaake apne gaaney ka Recording karva le ]
[ Agle din noor aur pratham eesi ummed ke ek kiran ko haqeeqat banaane ke liye nikal parte hain ]
[ dono studio pahuchte hain aur recording hou jaati hai . Noor ke gaane ko soon studio ka owner noor aur pratham se kehta hai ke woh ek achhe music composer aur saath ek music director ko bahut achhe se jaanta hai . kyun na yeh cd woh oos director (shaanu) ko sunaaye ]
[ Pratham aur noor aisa hi karte hain aur shaanu jab woh gaana soonta tab woh noor ko break dene ke liye tyaar hou jata hai aur agle din noor ko aaney kehta hai ]
[ Aaj noor ki mehnat rang laane waali thii . Noor sucessfully apne zindagi ka woh pehla break sign karti hai .]
[ udhar pratham apne office mein jaake apna resignation letter apne boss ko deta hai ]
Guest- Guest
Episode 16
Pratham : nahi vicky , main yeh job eseliye chhorr raha hoon kyunki ..... noor ko singer se superstar banane ka zimma maine liya hai .....
Vicky : magar pratham , are you sure ?? ........
Pratham : haan vicky ......
[ udhar noor ka recording hou jata hai ]
[ wahaan maujood sab noor ko congrats karte hain ]
[ Pratham wahaan aata hai ]
Guest- Guest
Episode 17
[ Pratham wahaan aata hai ]
Pratham : noor , main bahut aaj main bahut khush hoon .......
Noor : main bhi pratham ....
[ noor pratham ko hugh deti hai ]
Pratham : tum dekhna , aage bhi sab theek hoga......
Noor : haan pratham......
Guest- Guest
Episode 18
Palak : mera juice kahaan hai ?.....
Servant : je mam, woh.....
Palak : now , you are ..... fired !!!!
Palak : palak ko koi bhi bahaana pasand nahi hai ! ......
Guest- Guest
Episode 19
[ palak tv on karti hai tou news mein noor ke singing ki bahut taarife dekhayi jaati hai aur noor apne sucess ka saara credit uski ma aur pratham ko deti hai ]
[ pratham stage pe aata hai aur noor ko congrats karta hai ]
[ palak tv mein noor ke saath saath pratham ko dekhti hai ]
Palak : pratham ...... hmm intresting .....
Guest- Guest
Episode 20
[ palak tv mein noor ke saath saath pratham ko dekhti hai ]
Palak : pratham ...... hmm intresting .....
[ palak tyaar houke neeche jaati hai ]
Dhirendra : [ Amitabh bachhan as dhrirendra maan ] goodmorning princess .....
Guest- Guest
Episode 21
Palak : good morning papa !!.....
Dhirendra : kya baat hai ?? aaj humaari princess itni khush hai ??.....
Palak : haan papa , maine soch liya hai mujhe apna carieer kahaan se shuru karna hai .....
Dhirendra : tou bataao , kya socha hai ? .....
Guest- Guest
Episode 22
Dhirendra : tumne jis cheez par haath rakha hai woh tumhe mila hai..... tou baatao.... kaun hai woh ?.....
Palak : Pratham.....
Guest- Guest
Re: Noorr
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 23
[ udhar ghar pe pratham ko phone aata hai pratham phone uthata hai aur pratham ko kal subah 10 baje aaney ko kaha jaata hai ]
[ Agle din ]
Pratham : may i come in sir....
[ saamne dhirendra maan houta hai ]
Dhirendra : come in mr.oberoi ......
Guest- Guest
Episode 24
Dhirendra : main chahta hoon ke tum meri beti palak ke manager ban jaao aur usey har tarah se woh sucess dilaao jis se woh ek mashoor singer .... na ... ek bahut bari rockstar bann ke india ka dil jeet sake.....
[ pratham confuse houte hue bola ]
Pratham : magar sir main ?? .....
Dhirendra : haan tum , tumhe agar paison ki zaroorat hou tou main paani ki tarah paise baha doonga magar .... magar ek cheez ka dhyaan rakhna ...... kabhi bhi ooske kisi bhi baat ke khilaaf mat jaana ......
[ pratham mann mein sochta hai jis beti ka baap sirf paison ki boli bolta hou tou uski beti bhala kaise sidhi hou sakti hai ]
[ pratham maan`s ke ghar pahuchta hai ]
[ pratham ghar mein chaaron or ghar ko dekh raha thha tabhi upar se ek awaaz aayi "tou tum ho pratham..."]
Guest- Guest
Episode 25
[ woh palak houti hai ]
Pratham : aap ? ....
Palak : palak ko apna intro dene ki koi zaroorat nahi.....
[ pratham palak ko apni strategy batata hai ]
Palak : intresting ! ..... palak ko yeh plan bahut pasand aaya..... waise tumhe manna parega.... itni jaldi startegy bana li.... aaj se tum mere manager ho .....
Palak : palak ke manager ho tou eseliye.... aaj se tumhe ek cabin aur ek bmw di jaati hai.... aur monthly salary tumhe 40,000 rupaye di jaayegi.....
Pratham : done !
[ pratham ghar pahuchta hai aur noor ko yeh sab batata hai ]
Guest- Guest
Episode 26
Pratham : ek baar zara socho.... palak ke contacts baad mein chalke humaare kitne kaam aasakte hain.....
Noor : pratham , mujhe yeh theek nahi lag raha hai......
[ noor wahaan se yeh keh ke chali jaati hai ]
[ pratham agle din se apne naye naukri mein lag jaata hai ]
[ palak oosey bada cabin , ek expensive cell phone deti hai ]
[ ek din palak ko pata chalta hai ke music industry mein ek nayi awaaz ne
entry li hai "Noor". jab palak ko yeh pata chala ke noor aur pratham ek saath rehte hain aur bahut achhe dost hain tab palak ko pratham pe bahut gussa aajata hai. woh pratham ke cabin mein jaati hai.]
Palak : pratham !! ........
Pratham : palak , kya hua tum itni gusse mein??......
Palak : suna hai noor tumhaari bahut achii dost hai..... aur uske pehle album ke success ke peechey tum ho...... kya yeh such hai ?? ......
Pratham : haan , tou kya ? .....
Palak : pratham , tum samajh nahi rahey ho...... noor abhi se mujhe takkar dey rahi hai...... aur aagey chalke yehi mere liye bahut problems khari kar sakti hai......
Palak : doosre shabdo mein kaha jaaye tou...... noor meri competitor hai..... mere raaste ka sabse bada kaata !......
Guest- Guest
Episode 27
Palak : ab decide tumhe karna hai..... tum sabse zyada priority kise douge?..... ambitions ya.... dosti......
Pratham : nahi.... main noor ke saath aisa nahi kar sakta.....
[ pratham ke een baaton se palak ko ab aur gussa ajata hai ]
Palak : kyun nahi kar sakte..... pyaar karte ho noor se ? .......
Guest- Guest
Episode 28
[ palak ke een baaton se pratham kuch bol nahi pata ]
Palak : jawaab kyun nahi dete ! kaho na ....
Pratham : haan haan haan !!!!! ....... main noor se pyaar karta hoon.... aur kisi bhi haal mein main oosey dhoka nahi dey sakta .......
[ yeh kehke pratham wahaan se chala jaata hai magar pratham ka yeh jawaab palak ko ek thappar jaisa laga ]
Palak : jis pyaar pe tumhe itna guroor hai..... main oos pyaar ko hi khatam kar doongi !!! .......
Guest- Guest
Episode 29
Palak : pratham ruko !......
[ pratham peechey murr ke palak ko dekhta hai ]
Palak : pratham , maine tumse gusse mein aake jo bhi kaha.... woh meri galti thii.....
Palak : kya tum apni ees dost ko maaf nahi karoge ?? ......
Pratham : dosti mein maafi ke liye koi jagah nahi houti ......
[ pratham palak ko maaf kar deta hai ]
[ udhar ghar pe noor ko phone aata hai ]
Noor : hello....
Guest- Guest
Episode 30
unknown Person : hello , je mujhe aapko yeh bataane ke liye kaha gaya hai ke aapko kal subah dus baje khandelwaal music company mein aake milna houga.....
Noor : magar aap bol kaun rahe hain ? .....
[ tabhi woh phone rakh deta hai ]
Noor : hello ? ....
Noor : kaun hou sakta hai yeh ?..... aur khandelwal music company ne mujhe bulaya hai ? ..... kahin unlougon ne mera gaana sunkar mujhe break dene ki..... pratham yeh soon ke bahut khush houga ! .....
[ pratham aata hai ]
[ Noor pratham ko goodnews dene jaati hai ]
Noor : [ khush houtey hue ] pratham , mujhe tumhe ek bahut bari goodnews....
[ pratham noor ko dekh palak ki oon baaton ko yaad karta hai " palak : tumhe noor se singing chorr dene ko kehna houga ! " ]
Pratham : dekho noor , main bahut thak gaya hoon..... please hum baad mein baat kare ? ......
[ pratham ke aise behaviour se noor ko bura lag jata hai ]
[ Agle din ]
[ noor khandelwaal ke office mein jaane ke liye ghar se nikalti hai ]
[ noor khandelwaal`s ke office pahuchti hai ]
Noor : may i come in sir ? .....
[ tabhi ek awaaz aati hai "come in ms.noor..." ]
Last edited by Diipendu on 4/3/2008, 5:39 pm; edited 2 times in total (Reason for editing : spelling mistake)
Guest- Guest
Episode 31
[ Karan noor ke saamne contract papers pehle se rakhwa deta hai ]
Karan : papers aapke saamne hain aur aapke paas sochne ke liye sirf dus minute hain..... eske baad een papers par sign karne ke baad aap khandelwaal company ki member ban jaayengi.....
[ noor ko samajh mein nahi aata hai ke woh ees agreement par sign kare ya nahi kyuni aaj uske paas ooska sabse achha dost pratham saath nahi thha ]
[ phir ek pal noor ko samajh men aagaya ke ees agreement ko sign karte hi ooske aur uski ma ke sapne poore ho jaayenge aur noor ka yeh sapna poora ho jaayega ]
Karan : soch lijiye..... ees paper par sign karte hi aapki awaaz ko roshni mill jaayegi......
[ noor papers par sign karne haath aagey barati hai ]
[ tabhi noor apne haathon ko roukti hai ]
Noor : magar , ees se aapko kya faayada houga ? ......
Karan : bahut suna hai aapke baare mein..... aapki awaaz mein jo jaadoo hai.... woh kisi aur mein nahi..... aur mujhe sirf wahi loug pasand hain jo lagan aur mehnat se aagey barne mein belive rakhte hou.....
[ noor ko yeh faisla sahi lagta hai aur woh oon papers par sign kar deti hai ]
Guest- Guest
Page 2 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer