Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Noorr
Page 3 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
Noorr
Story is about ambitions , dreams love & Sacrifice . A small town ambitious girl Noorr is talented classical singer and wants to fulfill her & her mother`s dream by becoming a great singer . but she had to face with many challenges & difficulties .
***************************
Last edited by on 7/1/2008, 5:02 pm; edited 1 time in total
-Diipendu- Guest
Episode 31
[ Karan noor ke saamne contract papers pehle se rakhwa deta hai ]
Karan : papers aapke saamne hain aur aapke paas sochne ke liye sirf dus minute hain..... eske baad een papers par sign karne ke baad aap khandelwaal company ki member ban jaayengi.....
[ noor ko samajh mein nahi aata hai ke woh ees agreement par sign kare ya nahi kyuni aaj uske paas ooska sabse achha dost pratham saath nahi thha ]
[ phir ek pal noor ko samajh men aagaya ke ees agreement ko sign karte hi ooske aur uski ma ke sapne poore ho jaayenge aur noor ka yeh sapna poora ho jaayega ]
Karan : soch lijiye..... ees paper par sign karte hi aapki awaaz ko roshni mill jaayegi......
[ noor papers par sign karne haath aagey barati hai ]
[ tabhi noor apne haathon ko roukti hai ]
Noor : magar , ees se aapko kya faayada houga ? ......
Karan : bahut suna hai aapke baare mein..... aapki awaaz mein jo jaadoo hai.... woh kisi aur mein nahi..... aur mujhe sirf wahi loug pasand hain jo lagan aur mehnat se aagey barne mein belive rakhte hou.....
[ noor ko yeh faisla sahi lagta hai aur woh oon papers par sign kar deti hai ]
Guest- Guest
Episode 32
[ noor pratham ko yeh baat bataati hai ]
[ noor ko naya contract mila magar pratham khush nahi hai ]
Pratham : maine tumse vaada kiya thha noor.... kya tumhe ab mujh par bharosa bhi nahi hai.......
Noor : aisi baat nahi hai pratham.... mujhe yeh theek
Pratham : [ chilaate hue ] kya theek laga !!.... mujhe nahi pata magar mujhe aisa lag raha hai ke tum badal gayi ho.... tum pehle jaise noor nahi rahi....
Noor : badal tou tum gaye ho pratham..... shaayad eeska sirf ek hi naam hai... palak....
Pratham : just shut up !!..... palak ka eesmein koi dosh nahi hai......
Noor : keh do pratham..... kyu tumhe palak se itni humdardi hai ?......
Guest- Guest
Episode 33
Noor : tumhari yeh ek galat-fehmi hai pratham...... [ yeh kehke noor wahaan se route hue chali jaati hai ]
[ noor ke jaate hi ]
Pratham : iam sorry noor..... magar mujhe jaan-bhuj ke tumhara dil torna hoga..... jis se ki main tumhare liye ek buri yaad ke siva aur kuch na reh jaaoon..........
[ kuch deir baad noor apne kamre se baahar aati hai ]
[ noor ke haath mein bag hai. ]
Noor : pratham main ghar chorr ke jaa rahi hoon..... mujhe yeh afsos rahega ke maine aise ensaan se pyaar kiya thha jise apne pyaar pe yakeen nahi.....
[ noor apne aasoo pochti hue ]
Noor : alvida pratham......
[ noor ke jaate hi pratham noor ko roukne ke liye apne haath aage barata hai magar tabhi woh ruk jaata hai. ]
Guest- Guest
Episode 34
[ noor ek soon-saan raaste se jaatey hue pratham aur apne oon saare beetey lamho ko yaad karti hue routi hue chalti jaati hai ]
_________
Sad theme - Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha tu hai jahaan main hon wahaan ab tou jeena tere bin hai sazaa...... hou mil jaaye jis tarah.... do lamhe jis tarah... fir hou na judaa ab yeh vaada raha.....
_________
[ Tabhi ek gaari wahaan se houte hue jaati hai ]
[ woh car aagey jaa ke ruk kar fir waapas peechey aata hai noor ke taraf ]
[ car ka mirror khulta hai aur woh chehra karan hai ]
Karan : noor..... tum yahaan ees waqt aise raaste pe kya kar rahi ho?..... aur yeh bag ?.......
[ noor apne aasu pouchti hai ]
Guest- Guest
Episode 35
Noor : woh....
[ Karan samajh jaata hai ke noor aur pratham ka jhagra hou gaya hai ]
Karan : koi baat nahi... company ke taraf se tumhe jo flat diya gaya hai tum wahaan abhi se reh sakti ho..... magar ek shart par...
Noor : shart ?....
Karan : pehle ek chota smile ?....
Noor : [ khush houte hue ] thanx....
[ karan noor ko ooska naya Flat dikhata hai ]
Guest- Guest
Episode 36
Karan : yeh rahi tumhari flat ki chaabi......
[ noor ke mann mein abhi bhi pratham ki woh baatein ghoom rahi thii ]
Karan : hello ?.... kya hua ?....
Noor : kuch nahi.....
Karan : yeh lo chaabi and goodnight.....
Noor : thanx....
[ udhar palak ]
Palak : na jaane kyun , aajkal sirf main tumhare baare mein sochne lagi hoon pratham..... aankhein band karti hoon tou tum nazar aate ho...... aankhein kholti hoon tou yeh nazre tumhe dhoondti hai......
Palak : yeh mujhe kya ho gaya hai ?.... kahin mujhe pratham se........ pyaar tou nahi hou gaya hai ?.........
Palak : ( khush houte hue )haan haan !!! mujhe pratham se pyaar hou gaya hai..... oh my god ! i cant belive that ke mujhe bhi pyaar hou sakta hai..... I love you pratham !..............
Guest- Guest
Episode 37
gaya hai..... oh my god ! i cant belive that ke mujhe bhi pyaar hou sakta hai..... I love you pratham !..............
[ udhar karan car drive karte hue baar baar noor ke baare mein soch raha thha ]
[ uske aankhon ke saamne baar baar sirf noor ka chehra saamne aaraha thha ]
Karan : ( mann mein sochte hue ) yeh mujhe achaanak se kya ho gaya hai ?........ noor ke saamne aate hi yeh mujhe kya hou jaata hai....... kyun hamesha noor ka saath itna achha lagta hai ?........ kahin mujhe noor se pyaar ?.....
[ udhar noor ]
[ noor pratham ke baare mein sochte hue aankhein band kar leti hai ]
_________________
Noor aur pratham : Jaanam dekh lo meet gayi dooriyan..... main yahaan... hoon yahaan... hoon yahaan.... hoon yahaan... ...... ..... ........... ........ ....... Jaanam dekh lo meet gayi dooriyan..... main yahaan... hoon yahaan... hoon yahaan.... hoon yahaan. kaise sarhaden kaise majbooriyan.... main yahan hoon yaahan hoon yahaan hoon yahaan..... mujhko tum awaaz dougi main tumhare paas hoon.... mujhko bhulaa na sakogi main woh andaaz hoon..... tum jahaan dekhogi hoon main wahaan main wahaan main wahaan hoon wahaan.........
___________
[ Agle din ]
[ office mein noor karan ka intezaar kar rahi hai wahaan karan noor ke liye achhe flowers leta hai aur ek diamond ring bhi.]
[ karan office pahuchta hai ]
[ noor peechey karan ko dekhti hai. karan aagey badta hai aur jhuk jaata hai aur noor se poochta hai ]
Karan : noor , will you marry me ?.........
[ noor yeh dekh ke hayraan hou jaati hai ]
[ noor ko samajh mein nahi aata ke woh kya kahe. noor asmanjas mein par jaati hai ]
Guest- Guest
Episode 38
Noor : iam sorry karan , main tumse shaadi nahi kar sakti......
[ noor ke yeh jawaab karan ke baney hue sapno ko torne ke liye kaafi thhe ]
Karan : magar kyun noor ?........
[ noor chup rehti hai ]
Karan : jawaab do noor !.......
[ noor karan ko apne aur apni maa ke sapne ko lekar mumbai mein aaney ki saari kahaani bataati hai aur apne aur pratham ke beech par gaye ees daraar ko bataati hai ]
[ karan yeh soon ke tyeh kar leta hai ke ab woh noor ko har haal mein poori tarah se support karega. Noor ko uski manzil tak pahuchayega. ]
Karan : yeh mera vaada raha noor.... magar sirf ek shart par..... main jaisa kahoonga tumhe bilkul waisa karna houga.......
Noor : matlab ?....
Karan : tumhe palak se badla lena houga.... ooska ghamand torna houga..... tumhare aur pratham ke beech ki daraar yeh..... palak hai.......
Noor : mujhe manzoor hai......
Karan : aajse tum noor ke naam se nahi balki " Gauri " ke naam se jaani jaogi..............
Karan : aur maksad sirf ek !........ palak ko har haal mein haraana......
Karan : noor , tumhe............. mujhse shaadi karni hougi.........
[ yeh soon ke noor shock ho jaati hai ]
Noor : kya ??......
Guest- Guest
Episode 39
Karan : haan noor , tumhe ek nayi pehchaan banani hougi..... apne sapno ke liye , apni ma ke liye ?......
Noor : main tyaar hoon......
[ Karan noor ka make-over karata hai aur kuch hi dino mein Noor "Gauri " bann jaati hai ]
[ 1 month later ]
[ Media Gauri ke ghar pahuchti hai ooska interview lene ]
Media : gauri ji , itne kam samay mein aapne singing sensation ka khitaab jeetkar palak maan ko bhaari takkar di hai.... eske baare mein kuch kehna chahengi ?.....
[ Gauri apne naye andaaz mein ]
Gauri : eska credit meri maa ko jata hai.... woh meri prerna rahi hain.....
Media : suna hai ke aap karan khandelwaal se shaadi karne waali hain ?....
[ tabhi peechey se karan kehta hai ]
Karan : bilkul sahi suna hai aapne !.......
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 40
Karan : eesi mahine humari shaadi hougi....
[ yeh baat jaan ke media waale shock hou jaate hain aur ek saath Gauri se bahut saare sawaal poochte hain ]
Karan : yeh sab filhal ek suprise hai.... aur suprise ko suprise rehne dey tou achha houga.....
Media : ji bilkul... gauri ji aapka kimti samay dene ke liye thanx.....
[ media waalon ke jaate hi ]
[ Interview live tv pe aaraha thha aur jab yeh interview palak ne dekha tou oose bahut gussa aagaya ] :x
Palak : ooski himmat kaise hui !.... main jaanti hoon ke woh gauri nahi noor hai....... main oosey nahi chorungi !...... wooh kya samajhti hai aisa karke woh pratham ko mujhse chinn legi ??..... main pratham ke mann mein ooske liye itna nafrat bhar doongi ke woh kabhi bhi ooske baare mein soche bhi tou.......... nafrat se !.......
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 41
[ Pratham wahaan aata hai ]
[ palak routey hue pratham se keht hai ]
Palak : pratham dekho na.... dekho oos noor ne kya tamasha bana kar rakh diya tumhare dosti ka.... dekho apne ankhon se....
[ pratham tv pe news dekhta hai ]
Palak : woh noor apna naam change karke yahaan tak ki oosne karan khandelwaal se shaadi bhi karne ka elaan kar diya hai.....
[ pratham noor ke karan se shaadi karne ko soon ke shock ho jaata hai ]
Palak : woh noor yeh samajhti hai ke woh mujhe hara degi... barbaad kar degi....
[ tabhi pratham gusse se bola ]
Pratham : nahi palak !....... main aisa houne nahi doonga.... agar oosne jung ka elaan kar hi diya hai tou yeh jung hougi !.....
Pratham : palak..... kya tum mujhse pyaar karti ho ?..... shaadi karogi mujhse ?........
[ palak yeh soonke khush hou jaati hai ]
Palak : haan pratham !.... o pratham aaj main bahut khush hoon [ yeh kehke woh pratham ke gale lag jaati hai ]
Pratham : theek hai , humaari shaadi oosi din oosi jagah hougi jahaan noor mera matlab hai gauri ki shaadi hougi.....
[ yeh kehke pratham wahaan se chala jaata hai ]
Palak : aaj main bahut khush hoon pratham..... kyuki aaj mujhe mera woh mohra mill gaya hai jiske sahare main ees poore khel ko ek hi second mein jeet loongi.... aur woh mohra..... tum ho my dear pratham !....
[ palak khush houte hue ]
Palak : main tumhe hatyaar bana ke noor ko barbaad kar doongi........ ab dekhti hoon noor.... ees khel mein kiski jeet houti hai.... tumhari.... ya... meri....
Guest- Guest
Episode 42
Palak : bas , ab mujhe sirf ek akhri chota sa chaal chalna houga.... jis se tumhare mann mein noor ke liye bey-inteha nafrat fayl jaaye.... agar tumhe jail hou jaaye.... aur eski zimmedar noor hou...... tou mere liye raasta aur aasan hou jaayega..... noor ko hamesha-hamesha ke liye tumhare dil-o-dimag se nikaal fekh ne ka......
[ palak phone kisi ko karti hai ]
Palak : hello , tumhe samajh mein aagaya hai na aage kya karna hai..... good !......
Palak : [ khush houte hue ] tyaar hou jaao noor, oops ! gauri.... pratham ke nafrat ka saamna karne ke liye..... eesbaar tou pratham poori tarah se mera houke hi rahega !.......
[ Udhar noor ki shaadi karan se houne wali hai aur pratham ki shaadi palak se yeh baat noor ki maa aur pratham ki ma ko pata chalte hi woh mumbai pahuch jaate hain. ]
[ nirmala aur sharda mumbai pahuch jaatey hain ]
Nirmala : sharda, na jaane een dono ke beech aise kya galat-fehmi khari hou gayi..... jo yeh dono pyaar karne waale aaj ek doosre se itna nafrat karne lage hai ki apni zindagi barbaad karne par tuley hue hain..........
Sharda : haan nirmala, achha houga ke main noor se milne jaaoo....... aur tu pratham ke paas ja..... main koshish karungi noor ko samjhane ki.....
Nirmala : theek hai.....
Guest- Guest
Re: Noorr
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Re: Noorr
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 3 of 5 • 1, 2, 3, 4, 5
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer