Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kayaamat
Page 3 of 11 • 1, 2, 3, 4 ... 9, 10, 11
Kayaamat
***********************************************************************
Zindagi ki har kasauti se guzrenge aur rahega yeh saath kayaamat tak...
-----------------------
The story journeys through the trials & tribulations of Dhruv & Abhirupa. This story centers the love, life & sacrifise all diffrent colours and phases of life. Destiny made them for each other and their bond of love remain strong till their end of life.
----------
Concept - diipendu dutta
Lyrics - Gayathri
Story: Kayaamat
Released On: 2007
Genre: Romantic Drama
__________________
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Re: Kayaamat
by d way mujhe abhi pata chala hai ke inda forum mei kayaamat ne apne viewings mein Karam ko bahutt peechey chorr dia hai and kayaamat ne saare records break kar diye hain...
all kayaamat viewers really like d 15 and 18 episodes... let hope ke kayaamat ab kyunki ghar hai ek sapna ko bhi peechey chorr dega coz kghes (kyunki ghar hai ek sapna ) ke viewing 8,000 views hain...
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv wahaan se apne room ke taraf jaane hi wala tha ke jaane se pehle woh abhirupa ke paas ata hai. Abhirupa darr jaati hai aur bahut paas akar abhirupa ko kehta hai ke-
Dhruv : by d way, tum ees dulhan ke dress mein poori raat se lekar kal subah tak apne... apne dulhe bandar ka intezaar mat karo warna tumhe dekhkar aas-paas ke jaanvar (animals) bhi darr ke bhaag jayenge...
Abhirupa :
Dhruv wahaan se bhaag jata hai.
Bahut raat ho gayi thi. Sab loug sou rahey thhey ke tabhi abhirupa dhruv ke room ke bahaar bhoot ka awaaz nikaalkar osey darane ki koshish karti hai.
=========
Dhruv ki neend khul jaati hai aur woh uthkar room ke bahar akar dekhta hai tou wahaan koi nahi hota.
Dhruv wapas apne room mein chala jata hai.
===========================
Scene : Abhirupa bhaagte hue terrace par ati hai. Aasmaan mein chaand ki chaandni se sab kuch bahut sundar lag raha tha. Aasmaan mein taare tim-tima rahe thhey. Sab kuch bahut romantic tha.
-------------------------------
Abhirupa terrace par jakar ees prank par hass rahi houti hai ke tabhi oske pechey se koi ata hai. Abhirupa darr jati hai aur dheere se aankhein bandd karke peechey turn kar rahi houti hai aur dheere se apne aankhein kholte hue saamne khare shaks ko dekhne hi waali thi ke oske payron mein mouch ajata hai aur woh girrne waali houti hai.
==========
Abhirupa ke payron mein mouch ke wajah se woh girrne hi waali thi ke osey Dhruv girrne se sambhal leta hai.
Abhirupa aur Dhruv ki nazar phir se milti hain. Dono ek dusre ko dekh rahhey thhey ke tabhi aasmaan mein ek tara toota.
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Kahin mill rahey hain do dil ab zindagi mein ayegi na koi kayaamat...
Kayaamat | Mon-Thu
--------------------------------------
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Abhirupa ke payron mein mouch ke wajah se woh girrne hi waali thi ke osey Dhruv girrne se sambhal leta hai.
Abhirupa aur Dhruv ki nazar phir se milti hain. Dono ek dusre ko dekh rahhey thhey ke tabhi aasmaan mein ek tara toota.
Abhirupa : thanks...
Dhruv : ouf ho ! agar main tumhe girrne deta tou dadoo ke saath-saath tumhare saare pariwaar waale pareshaan hou jaate aur main unhe
pareshaan nahi dekh sakta... kyunki woh loug bahut achhe loug hain aur burey lougon ko help karne se unmein bhi achhai ajati hai... aisa mera kehna hai.
Abhirupa : kya ! eska matlab main buri hoon ?
Dhruv : ab, samajhdaar ko ishara hi kaafi hai ? hai na ?...
Abhirupa : tou thik hai, meri itni parwa karne ki zaroorat nahi hai... haan mere payron mein mouch ayi hai magar main apne room tak jaa sakti hoon... aur haan ! ab se mere dadaji ko dadoo bolne ki himmat mat karna warnaaaaa
Abhirupa phir se girrne waali thi ke Dhruv phir se osey girne se rouk leta hai.
Dhruv : dekha ! mil gaya na proof ke tum kitni kam bolti ho ?...
Abhirupa :
Dhruv Abhirupa ko apne baahon mein uthata hai aur Abhirupa ko oske room tak ley jata hai...
Dhruv Abhirupa ko uske bed par dhyaan se rakhta hai.
Abhirupa : thanks...
Dhruv : goodnight
Abhirupa : goodnight
Kaki-ma wahaan se guzar rahi thi ke onhoune Dhruv ko Abhirupa ke room se bahar aate dekh liya.
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) ohooo, tou baat yehaan tak pahuch gayi... ab toh een pyaar ke panchiyo par khaas nazar rakhni padegi...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv : ouf ho ! agar main tumhe girrne deta tou dadoo ke saath-saath tumhare saare pariwaar waale pareshaan hou jaate aur main unhe
pareshaan
nahi dekh sakta... kyunki woh loug bahut achhe loug hain aur burey
lougon ko help karne se unmein bhi achhai ajati hai... aisa mera kehna hai.
Abhirupa : kya ! eska matlab main buri hoon ?
Dhruv : ab, samajhdaar ko ishara hi kaafi hai ? hai na ?...
this part reminds me of hiten and gauri k nokjok
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) ohooo, tou baat yehaan tak pahuch gayi... ab toh een pyaar ke panchiyo par khaas nazar rakhni padegi...
<BLOCKQUOTE>Agle din
</BLOCKQUOTE>Aaj Dhruv wapas mumbai jaane wala tha. Abhirupa ko jab pata chalta hai ke subah ho gayi hai woh jaldi se uthti hai aur bhaagkar opar se chupke se Dhruv ko dekhti hai-
=============
Dhruv Daadoo aur abhi ke papa aur maa se ashirwaad ley raha tha.
Abhirupa Dhruv ke jaane ko lekar upset hou gayi.
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) arre arre, een pyaar ke ponchiyo ko itna jaldi bicharrna hoga yeh tou maine nahi socha tha... agar obhi yehaan houti tou uska chehra dekhne layak houta...
--------------
Daadoo : arre beta dhruv, 2 din baad hamaare yehaan kali-ma puja hai... tum 2 din ke liye yehaan rukk kyun nahi jaate ?
Abhirupa ka chehra phir se khil jata hai !
Abhirupa : arre yeh bandar tou na hi bolega... mujhe pata hai hamesha eesey ulta kaam karna pasand hai... main kyun eske yehaan rukkne ki umeed kar rahi hoon...
Daadoo : dhruv, kya soch rahey ho ?
Dhruv : dadoo, woh main kaise 2 din aur yehaan ees tarah rukk sakta hoon ? Jis meeting ke liye aya tha woh tou hou chuka hai... ab
Daadoo : koi bahana nahi chalega !... jab mujhe daadoo bol dia hai tou ees ghar ke har members ke tarah tumhe bhi mera hukum manna padega...
Dhruv : theek hai daadoo jaisa aap kahey...
Daadoo : dhruv, tum upar apne room mein apna saman rakh ke aao... mujhe tumhe kuch zaroori lougon se milana hai...
Dhruv : je daadoo...
baba ( abhirupa's dad ) : lagta hai etne kam samay mein dhruv apne dadoo ka fav. hou gaya hai...
Baba : magar dhruv, beta thanks a lot.... tumne jo bhi hamaare family ke liye kal shaadi mein kia...
Dhruv : yeh kya baba, ek taraf mujhe beta bolte hain aur dusri taraf mujhe thanks bhi ?...
Baba :
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv apne room ke taraf jaa raha houta hai ke oski nazar abhirupa par padti hai. Abhirupa chupke se opar se dhurv ko dekh rahi thi magar abhirupa ko yeh nahi pata tha ke dhruv ne bhi osey dekh lia.
Dhruv apne room ke taraf araha tha aur Abhirupa jaldi se wahaan se bhaag jaati hai.
- suno !................
Abhirupa wahin rukk jaati hai.
Dhruv : tum mujhe dekhkar wapas kyun jaa rahi thi ? tum khush nahi ho ya tumhe darr hai.... ke tumhe pareshaan karne wala tumhare aankhon ke saamne ab 2 din aur hoga ?
Dhruv : chalo maine tumhe ek aur chance dia.... jaao aur daadoo ko mere against karke dikhao...
Abhirupa : hmmh ! tum yehaan raho ya na raho mujhe ees se kya ? main kuch hi dino mein mumbai arahi hoon apne job pe tab main tumhe wahin dekh lungi mr. dhruv !
Abhirupa wahaan se jaa rahi thi ke dhruv ke wrest-watch se Abhirupa ka dupatta atuck jata hai.
Dhruv dupatte ko nikalne ki koshish karta hai phir abhirupa dheere se apna haath agey badakar dupatta nikalne ki koshish karte hain.
Dhruv : agar itna gussa na dikhati tou tumhara dupatta bhi tumhara saath deta...
Abhirupa : kya pata, kahin yeh tumhari koi shararat tou nahi ?
Dhruv : shararat aur main ?
Abhirupa :
Dono milkar oos dupatte ko nikalne ka try karte hain tabhi unka sarr apas mein takra jata hai.
Abhi aur Dhruv dono ko hassi ajati hai.
Dhruv : agar humne zyada aur jhagra kia tou lagta hai hamaare saath yehi hoga...
Abhirupa : tou eesey taalne ke liye... hum friends bann sakte hain ?
Dhruv : idea bura nahi...
Abhirupa :
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Abhirupa ko yaad ata hai-
Abhirupa : tumhare paas mera woh lal dupatta abhi bhi hai... tum mujhe mera woh dupatta kab loutaoge ?
Dhruv : jab bhi tum mumbai aao...
Abhirupa : agar tum oos din hi mujhe wapas dey dete jis din main kolkata ke liye arahi thi tou hamaare beech yeh jhagra nahi houta...
Dhruv : maine tou osi din yeh bhi keh dia tha ke tum akar ley jaao tumne tou suna nahi...
Abhirupa Dhruv ke taraf dekh rahi thi...
-------------------
Udhar Kaki-ma apne room mein gusse mein hai.
Kaki-ma : ees dhruv ne tou mere saare plans par paani feyr dia !... kal obhi ki shaadi yehaan prateek se hou jaati tou mere liye ek tension tou dooorr hou jaati...
Udhar terrace par Abhi aur Dhruv baatein karte hue-
Dhruv : kahin na kahin esmei galati hum dono ki rahi... agar tum tab dupatta lene ajati tou tumhe tumhara lal dupatta wapas mill jata ya agar main sahi time par tumhe wapas dene ata tou tum apna dupatta ley leti...
Dhruv : jo bhi ho, magar ees nayi dosti ki nayi shuruat ko hum aaj candle night dinner ke saath enjoy karenge ?
Abhirupa : Iam very sorry magar mujhe tumhe na kehna hoga............
-----------------
Tabhi terrace par kaki-ma apne kisi kaam se arahi thi aur wahaan akar kaki-ma dekhti hai ke abhirupa aur dhruv kuch baat kar rahey thhey.Kaki-ma chupke se dono ki baatein soon rahi thi...
==========
Abhirupa : ghar mein daadoo ko agar pata chal gaya ke hum dono shaam ko ghar se bahaar... nahi nahi...
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) eska matlab dhruv aur abhirupa ghar se bhagakar shaadi karne wale hain... jaisa kakoli ne kia aaj obhi wahi karegi ?
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Guest- Guest
Re: Kayaamat
& tushar kapoor :giggliee: :titterr:
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Guest- Guest
Re: Kayaamat
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Guest- Guest
Kayaamat | 20 dec. promo
Kahin mill rahey hain do raahey... ab aayegi na koi kayaamat ki raatein...
Mon-Thu
(double episodes frm 22nd dec. - 25th dec.)
.
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) yeh tou aur mazedaar khabar bann jayegi jab main ees baat ko saare gharwaalon ko suna dungi...
Kaki-ma wahaan se chali jaati hai.
Dhruv : You dont worry, dadoo se main permission ley lunga... trust me
Abhirupa :
Scene : Saare gharwale neechey beithe thhey. Dhruv wahaan ata hai.
Dhruv : dadoo...
Dadoo : haan beta dhurv bolo... kuch kehne aye ho ?
Dhruv : dadoo, woh apse ek permission leni thi...
Dadoo : haan haan kaho...
Dhruv : woh dadoo, kya aaj shaam ko main aur abhirupa baahar jaa saktey hain ?...
Tabhi wahaan kaki-ma bhagte hue aati hai dadoo ko woh baat batane ke liye aur akar dekhti hai ke dhruv pehle se hi yehaan agaya hai-
Kaki-ma : ab tou ees babu-moshai ki jaan gayi !
Abhirupa opar se sab dekh rahi thi.
Dadoo wahaan se uthte hain. Dadoo ka chehra serious hou jata hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv : woh dadoo, kya aaj shaam ko main aur abhirupa baahar jaa saktey hain ?...
Dadoo : haan haan kyun nahi !... tum dono zaroor jaao... aur esi bahane obhi tumhe kolkata bhi dekha degi...
Baba : haan dhruv, yeh bhi koi poochne ki baat hai... tum dono jakar ghumke asakte ho...
Dhruv : thanks dadoo
Kaki-ma :
Dhruv yeh news abhi ko dene opar jata hai.
Kaki-ma : ( mann mein sochte hue ) maine tou socha tha ke koi dhamaka hoga magar yeh kya yehaan tou time bomb tou chocolate bomb nikla jiske fatne se har jagah chocolate-chocolate ho gaya hai
Kaki-ma wahaan se chali jaati hai.
Baba kuch soch rahey houte hain. Dadoo baba se onke ees soch ke baare mein poochte hain.
Baba : main soch raha tha ke hamari obhi ke liye dhruv kaisa rahega ?
Dadoo : arre, tumne tou bahut achha socha... dekha jaaye tou dhruv bahut hi achha ladka hai... aur uske family bhi kolkata se belong karte hain... dhruv har tarah se hamari obhi ke liye perfect hai...
Baba : tou kya hum obhi aur dhruv ki baat chalaye ?
Dadoo : magar kya dhruv ees rishtey ke liye haan kahega ? aur abhi ghar mein jo kuch bhi hua hai... kakoli ke ees incident ke baad mujhe nahi lagta hai ke dhruv obhi ke liye haan kahega... aur tum yeh bhi tou socho ke jab obhi ko yeh baat pata chalegi ke... ke dhruv ne os se shaadi ke liye inkaar kar dia hai... tab ? kya tab obhi ka dil toot nahi jayega ?
Dadoo : mujhe lagta hai ke humey thoda intezaar karna chaiye...
Baba : thik hai... shayad aap sahi keh rahey hain...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Kaki-ma apne beti shumi ke room mein jaati hai.
Shumi ne kaki-ma ka saara makeup apne chehre par laga lia tha.
Kaki-ma :
Kaki-ma : shumi yeh tumne kya kia !
Shumi : maa dekho dekho main kitniiiiii sundar lag rahi hoon na ?
Kaki-ma : oho betaaa, tumhe ees mirror ke saamne nahi rehna hai... tumhe ees bhi zyada zaroori kaam karna hai...
Shumi : kya ?
kaki-ma : tumne cinderella ki story suni hai na ? osmei jo prince charming ata hai aur cinderella ko ekdin apne mehelon ki raani banata hai ?
Shumi : haaaaaaaaaaaaannnnnnnn
Kaki-ma : tou bas tum bhi cinderella ho aur tumhara rajkumar prince charming yehaan ees ghar mein achuka hai tumhe ley jane ke liye...
Shumi : such mein ? shotti ?
Kaki-ma : hainnn.... such !
Tabhi wahaan Dhruv galati se ajata hai.
Kaki-ma : shumi yehi hai tumhara prince charming...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Tabhi wahaan Dhruv galati se ajata hai.
Kaki-ma : shumi yehi hai tumhara prince charming...
Shumi :
Kaki-ma : arre beta dhruv tumi ekhane ki kore ?
Dhruv : woh aunty sorry mujhe laga ke yeh abhirupa ka room hai... main galati se yehaan agaya...
Kaki-ma : hehehe koi baat nahi betaaaa...
Shumi Dhruv ko aankh marti hue-
Dhruv ne jab shumi ka woh makeup chehra dekha woh wahaan se jaldi se bhaag gaya.
Shumi : eeeeee maa dekho mera prince charming mujhe dekhkar sharma gaya !
Kaki-ma : haan shumi ab tou tumhe uska dil har haal mein jeetna hoga ! 2 dino mein...
Shumi : maa yeh koi titanic film hai jismei mujhe apne hero ka dil 2 dino mein jeetna hoga ?
Kaki-ma : arrre meri pyaari bholi shumi.... tujhe dhruv ko een do dino mein impress karna hoga... titanic mein tou oos hero ke paas kuch bhi nahi tha magar ees hero ke paas poora kolkata khareed lene jaisa power hai...
Shumi : shotti ?
Kaki-ma : shotti ! aur esmei main tujhe help karungi hmmmmmm
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv bhaagta hue Abhirupa tak pahuch jata hai.
Abhirupa : kya hua dhruv ? tum ees tarah se bhaagte hue ees tarah se kahaan se arahey ho ?
Dhruv : woh woh woh...
Abhirupa : kya ?
Dhruv : maine bhoot ko dekha
Abhirupa : kya ? bhoot aur yehaan ?
Dhruv : main galati se dusre room mein chala gaya tha wahaan ek moti si ladki thi jisne apne chehre par shayad poora makeup laga dia tha aur aur...
Abhirupa : aur kya ?
Dhruv : aur osne mujhe aankh maari !
Abhirupa : shayad tum galati se kaki-ma ki beti shumi ke room mein chale gayye thhe...
Dhruv : myyy god ! yeh kaise loug rehte hain tumhare ghar mein ?
Abhirupa : dont worry magar woh dil ki buri nahi hai...
Dhruv : magar woh chehre se bhi achii nahi...
Abhirupa : kaho tou main tumhari aur shumi ki baat chalau ?
Dhruv : tumhara irada kahin mujhe maarne ka tou nahi hai na ?
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Shaam ko Dhruv Abhirupa ko ek bahut badey restaurent mein candle night dinner ke ley jata hai.
Scene : Dhruv Abhi ke liye chair aagey karta hai usey bethata hai. Dono beithe thhe aur ek romantic sa music chal raha tha. Abhirupa apne black dress mein bahut sundar lag rahi thi. Dhruv ne Abhirupa ke taraf haath aagey badaya aur osko apne saath dance karne ke liye poocha. Abhi ne haath aagey badaya.
Sajde Mein Yun Hi Jhukta Hoon
Tum Pe Hi Aa Ke Rukhta Hoon
Kya Yeh Sab Ko Hota Hai
Hum Ko Kya Lena Hai Sab Se
Tum Se Hi Sab Baatein Ab Se
Ban Gaye Ho Tum Meri Dua
Sajde Mein Yun Hi Jhukta Hoon
Tum Pe Hi Aa Ke Rukhta Hoon
Kya Yeh Sab Ko Hota Hai
Hum Ko Kya Lena Hai Sab Se
Tum Se Hi Sab Baatein Ab Se
Ban Gaye Ho Tum Meri Dua
-------------------
Abhirupa aur Dhruv ke dusre ke aankhon mein kho rahey thhey.
------------------
Khuda Jaane Ke Mein Fida Hoon
Khuda Jaane Mein Mitt Gaya
Khuda Jaane Yeh Kyun Hua Hai
Ke Ban Gaye Ho Tum Mere Khuda
Tu Kahe To Tere Hi Kadam Ke
Main Nishanon Pe
Chalun Rukun Ishaare Pe
Tu Kahe To Khwabon Ka Bana Ke
Main Bahana Sa
Mila Karun Sirhaane Pe
Ho Tum Pe Dil Ki Baatein Seekhi
Tum Se Hi Yeh Raahein Seekhi
Tum Pe Mar Ke Main To Jee Gaaya
Khuda Jaane Ke Mein Fida Hoon
Khuda Jaane Mein Mitt Gaya
Khuda Jaane Yeh Kyun Hua Hai
Ke Ban Gaye Ho Tum Mere Khuda
Dil Kahe Ke Aaj To Chupa Lo Tum
Panahon Mein
Ke Daar Hai Tum Ko Kha Doonga
Dil Kahe Sambhal Zara Khushi Ko
Na Nazar Laga
Ke Daar Hai Mein To Ro Doonga
O Karti Hoon Sau Vaade Tum Se
Baandhe Dil Ke Dhaage Tum Se
Yeh Tumhe Na Jaane Kya Hua
Khuda Jaane Ke Mein Fida Hoon
Khuda Jaane Mein Mitt Gaya
Khuda Jaane Yeh Kyun Hua Hai
------------------
Dhruv Abhirupa ke paas aate hue-
------------------
Ke Ban Gaye Ho Tum Mere Khuda
Sajde Mein Yun Hi Jhukta Hoon
Tum Pe Hi Aa Ke Rukhta Hoon
Kya Yeh Sab Ko Hota Hai
Hum Ko Kya Lena Hai Sab Se
Tum Se Hi Sab Baatein Ab Se
Ban Gaye Ho Tum Meri Dua
Khuda Jaane Ke Mein Fida Hoon
Khuda Jaane Mein Mitt Gaya
Khuda Jaane Yeh Kyun Hua Hai
Ke Ban Gaye Ho Tum Mere Khuda
Ke Ban Gaye Ho Tum Mere Khuda.
=====================================
Gana khatam ho jata hai magar Dhruv aur Abhirupa abhi bhi ekdusre mein khoye hue thhe. Wahaan maujood lougon ke taaliyon se dono sapno se wapas haqeeqat mein ajaate hain.
----------------
Dinner ke baad Dhruv aur Abhi wahaan se bahar nikalte hain. Dhruv Abhirupa ke liye car ka darwaza kholta hai aur haath aage badakar abhirupa ko car mein betatha hai. Dhruv car start karta hai.
Dhruv shortcut se na lete hue Longcut se car drive karta hai aur song- Jab koi baat bigar jaaye jab koi mushkil pad jaye tum dena saath mera O hum navawala song play karta hai.
==============
Abhirupa dheere se car ke mirror mein dekhti hai.
Sab kuch bahut romantic lagg raha tha. Baahar ek thandi si hawa chal rahi thi. Chaand apne chaandni se sab kuch jaadoo sa bana rahi thi.
--------------------------
Abhirupa dhruv ko kuch kehne wali thi ke dhruv bhi osi waqt abhrupa se kuch bolne wala tha aur dono ek saath hi bolte hain-
-woh sab kuch kitna achha lag raha hai na ?
Dono eesi baat par hass padte hain...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Abhirupa dhruv ko kuch kehne wali thi ke dhruv bhi osi waqt abhrupa se kuch bolne wala tha aur dono ek saath hi bolte hain-
-woh sab kuch kitna achha lag raha hai na ?
Dono eesi baat par hass padte hain...
Abhirupa baahar ek chiz dekhti hai aur Dhruv ko car wahin roukne ko kehti hai.
Dhruv : kya hua ? tumne ees tarah car kyun rukvaya ?
Abhirupa : maine kuch abhi baahar dekho chalo mere saath jaldi !...
Abhirupa aur Dhruv car se utarkar bahar jaate hain.
------------
Abhirupa ne car eseliye rukvaya tha kyunki bahar aasmaan mein sab kuch bahut sunadr lag raha tha. Yeh nazar anmol tha.Aasmaan mein dheero taare jhilmila rahey thhey. Chaand ki chaandni jaise soune par suhaga thi. Doorr jugnu bhi thhey. Hawa mein ek jaadoo sa tha. Sab kuch aisa lag raha tha ke jaise woh yeh keh rahi ho ke- Aasmaan ko taaron se, chaand ko chaandni se aur zameen par rehne waale pyaar karne waalon ko ekdusre se mohobat ho gayi hai...
Abhirupa : dekho dhruv aasmaan mein oon taaron ko zara dekho... woh doooorrr nadiyon ka rangg bhi neela hai aur unki leheren motiyo sa lag raha hai... Aaj agar kayaamat bhi aajaye tou main osey kal aaney ko keh du...
Dhruv : haan... kaash agar yeh raat, yeh sama sab kuch hamesha aisa hi rahey...
Dhruv aur Abhirupa ekdusre ko dekh rahey thhey ke tabhi Aasmaan mein ek tara toot-ta hai...
.
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv aur Abhirupa wahaan se jaane hi waale thhey ke tabhi wahaan ek ladki ka car khraab hou jata hai. Dhruv aur Abhirupa oos ladki ko help karne ke liye jaate hain aur oos ladki ko aagey tak lift dete hain.
-Thank you soo much !
Abhirupa : esmei thanks ki koi baat nahi...
Scene : Dhruv car drive kar raha tha paas seat mein abhirupa beithi thi aur peechey woh ladki beithi thi.
- Mujhe jald se jald mere husband se milne jana hoga woh aaj aaney waale thhey... by d way aap dono bhi husband-wife hain ?
Abhirupa : woh
{ Tabhi dhruv tapak se bolta hai }
Dhruv : YES, hum dono husband-wife hain !
- oh wow ! aap dono ki jodi saath mein bahut achii lagti hai...
Abhirupa :
Dhruv : Thanks ( abhirupa ko chirate hue ) hum dono ki shaadi ko.... yehi koi 3 saal ho gaye hain ! aap sunna chahengi ke hum dono kab kaise kahaan miley ?
-Oh yeah sure !
Dhruv : bahuttttt intresting story hai woh actually kya hai ke main window ke paas beitha chaand ka intezaar kar raha tha and suddenly !
Abhirupa : wahaan baadal agaye... kya hai na, hum plane mein thhey eseliye...
-ohh phir ?
Dhruv : phir............ arrre i think aapko shayad yehin utarna hai ?
Abhirupa : no my dear HUsbAnD ! enhe thodey doorr aur jana hai... tab
tak tum hamaare love story sunao
-Yeah yeah please continue !
Dhruv : phir main ek airport par utargaya aur abhirupa osi airport mein utar gayi aur
Abhirupa : tabhi dhruv ne police ko thappar maar dia !
Dhruv : kya ! maine aisa kia ? arre haan, actually woh police wala fake tha woh chorr tha jo abhirupa ka bag churakar bhaagne wala tha ke maine osey pakar lia...
Dhruv : aur pyaar toh houna hi tha !
- wow !
- thank you very much mera airport agaya... aap dono se milkar bahut khushi hui...
Dhruv-Abhi : humey bhi...
Guest- Guest
Page 3 of 11 • 1, 2, 3, 4 ... 9, 10, 11
» Any suggestions to improve 'Kayaamat' storyline?
» CHECKOUT: Kayaamat's next video episode!
» Kayaamat and Kyunki Ghar Hai... is all set to go offline
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer