Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kayaamat
Page 7 of 11 • 1, 2, 3 ... 6, 7, 8, 9, 10, 11
Kayaamat
***********************************************************************
Zindagi ki har kasauti se guzrenge aur rahega yeh saath kayaamat tak...
-----------------------
The story journeys through the trials & tribulations of Dhruv & Abhirupa. This story centers the love, life & sacrifise all diffrent colours and phases of life. Destiny made them for each other and their bond of love remain strong till their end of life.
----------
Concept - diipendu dutta
Lyrics - Gayathri
Story: Kayaamat
Released On: 2007
Genre: Romantic Drama
__________________
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Re: Kayaamat
Dhruv : waiseeee main soch raha tha, ke shaadi ke baad bhi tum aise hi nakchari-bandarriya lagogi ya phir oos se bhi bhayanak?
Abhirupa : dhruvvv tum ruko main abhi tumhe batati hoon! ( Dhruv ke peechey bhaagte hue )
Abhirupa Dhruv ke peechey-peechey bhaag rahi thii. Dhruv bed ke aagey-aagey bhaag raha tha tou abhirupa dhurv ke badmaashi se gussa hokar oske peechey bhaag rahi thi osey sabak sikhane ke liye.
Bhaagte-bhaagte dhruv thak gaya aur wahin rukk gaya magar Abhirupa ko pata nahi chala aur woh bhaagte hue Dhruv se takraa jaati hai aur Dhruv-Abhirupa dono bed ke uppar hi girr jaate hain.
Dhruv aur Abhirupa ekdusre ke aankhon mein doob jaate hain magar jab kisi ke aane ka awaaz baahar se ata hai tabhi Dhruv aur Abhirupa jaldi se uthh hi rahe thhey ke Abhirupa ka locket Dhruv ke wrest-watch se attuck jata hai, aur dono phir ekdusre ke opar bed par girr jaate hain.
---
Abhirupa woh locket nikaal hi rahi thi ke tabhi phirse kisi ke wahaan aane ki hulchul sunaai deti hai.
Dhruv : kya main locket nikaalne mein tumhe help kar du???
Abhirupa : koi zaroorat nahi hai! ( Abhirupa Dhruv ko chup rehne ke andaaz mein kehte hue )
----------------
Abhirupa jaldi se apne locket ko nikaalte hue galati se locket ko torr deti hai.
Abhirupa : ohh no........
Abhirupa ka woh locket toot jata hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Abhirupa jaldi se apne locket ko nikaalte hue Galati se locket ko torr deti hai.
Abhirupa : ohh no........
Abhirupa ka woh locket toot jata hai.
Dhruv dekhta hai ke abhirupa apne locket ke toot jaane se udaas hou gayi hai.
Dhruv : Obhii, iam sorry???
Jab Abhirupa ka woh favouriate locket toot jata hai tab Dhruv jab Abhirupa ko sorry kehta hai tou Dhruv ka yeh andaaz dekhkar Abhirupa ki saari udaasi doorr hou jaati hai.
Abhirupa : it's okay...
Dhruv :
Sab theek hou jata hai. Kuch minute baad Dhruv phir se apne osi puraane badmaashi waale roop mein lout ata hai.
Dhruv : waiseeee obhiii...... Kuch hi din o mein humaari engagement aur phir shaadi hou jayegi....
Abhirupa : tou?
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv : waiseeee obhiii...... Kuch hi din o mein humaari engagement aur phir shaadi hou jayegi....
Abhirupa : tou?
Dhruv : tou yeh keeee.... Maine suna hai ke shaadi ke baad ladkiyaan badal jaati hain aur apne pati par bahut hukum chalaati hain... :detective
Abhirupa : tum phirse mujhe chirra rahe ho?!
Dhruv : arrrreee nahi baba main tou bas yu hi mazaak kar raha tha!
Abhirupa : tum kisi chote-bachhe se bahut badmaashi karte ho! Jaao main ab tumse kabhi baat nahi karti!
Abhirupa Dhruv se ruthh jaati hai.
========================
Dhruv jaldi se Abhirupa ke paas jaata hai aur- "Ab se woh dhruv se phir kabhi baat nahi karegi" - Dhruv abhirupa ko aisa kehne se mana karta hai.
Dhruv : dobara phir kabhi aisa mat kehna.... Agar tumne zindagi mein bhi kabhi muh ferr lia, mujhse doorr chali gayi tou.... Main marr jaunga...
Abhirupa bhi Dhruv ko yeh kehne se ke- "Woh Abhirupa ke bina marr jayega" - Abhirupa Dhruv ko aisa phir kabhi na kehne ko kehti hai.
Abhirupa : Maine hamesha yehi dua manga hai ke, zindagi mein bhale hi laakhon kasautiyaan aaye.... Mushkilein aaye... Magar oon kasautiyon ko, oon har tamaam mushkilon ko... Abhirupa aur Dhruv saath millkar paar karey. Aur agar phir bhi kabhi maut bhi aajaye, tou woh dhruv se pehle abhirupa ko apne saath ley jaaye...
Dhruv Abhirupa ka apne liye yeh pyaar dekhkar osey galey laga leta hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
BLH- Moderator
-
Zodiac :
Age : 39
Location : INDIA
Job/hobbies : Reading novels
Join Date : 2008-05-06
My Diary
About me:
*Medal*: Kaun banega GHT ka sabse bada AC WINNER !
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Re: Kayaamat
aise wedding card na meine kahin dekha na aise banega ....... superb design ..
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Tabhi wahaan dhruv ki choti behen "Riya" aati hai.
Riya : kya main andar asakti hu? Agarrrr aapdono ko main disturb kar rahi hoon tou main jaati hu ( mazaak karte hue )
Dhruv : arey riya! Abhirupa, maine tumhe meri pyaari choti behen riya se introduce tou karvaya hi nahi... Yeh hai riya aur riya yeh hai--- [ Tabhi Riya kehti hai ]
Riya : aur yeh hain meri houne waali bhabhi...
Abhirupa : ( muskurate hue )
Dhruv : magar maine tou tumhe tumhari bhabhi ka asli naam tou bataya hi nahi!
Riya : asli naam???
Dhruv : haan woh nakcharrr--- [ tabhi abhirupa dhruv ke kuch kehne se pehle bolte hue ]
Abhirupa : obhii ....... Tumhare pyaare se bhai dhruv ( abhirupa dhruv ko gusse se dekhkar osey chup rehne ka ishara karte hue )
Abhirupa : tumhare bhaiyyyyaaaa dhruv mujhe obhi kehne waale thhey...
Riya : hmmmmmmmmm magar main tou yehaan aapdono ko neechey bulaane ke liye aayi hoon... Mom, Dad aur baaki sabhi loug aapdono ka intezaar kar rahey hain!
Riya Dhruv aur Abhirupa ko neechey ley jaati hai.
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Riya : asli naam???
Dhruv : haan woh nakcharrr--- [ tabhi abhirupa dhruv ke kuch kehne se pehle bolte hue ]
Abhirupa : obhii ....... Tumhare pyaare se bhai dhruv ( abhirupa dhruv ko gusse se dekhkar osey chup rehne ka ishara karte hue )
Abhirupa : tumhare bhaiyyyyaaaa dhruv mujhe obhi kehne waale thhey...
Riya : hmmmmmmmmm magar main tou yehaan aapdono ko neechey bulaane ke liye aayi hoon... Mom, Dad aur baaki sabhi loug aapdono ka intezaar kar rahey hain!
Riya Dhruv aur Abhirupa ko neechey ley jaati hai.
=================
Geetika( dhruv's mom ) : lo woh rahey dono...
Dhruv aur Abhirupa wahaan aate hain-
Kailash ( dhruv's dad ) : beta dhruv humey tumse zaroori baat karni thi...
Dhruv : haan papa kahiye...
Kailash ( dhruv's dad ) : beta abhi humne panditji se poochkar tumhare aur abhirupa ke engagement aur shaadi ka din tyeh kia hai... Hamaari abhirupa ke dadoo se bhi ees baare mein baat ho gayi hai...
Kailash : magar hamne tumdono se ekbaat abhi tak chhupai hai...
Dhruv : baat??? Kaun sii baat?
Geetika : abhirupa ke papa( vishesh ) aur tumhare papa bahut achhe dost hain... Aur hum jab kolkata mein thhey tab wahaan hum aksar abhirupa ke family se milne jaaya karte thhey magar phir tumhare papa ka buisness aur yeh zimmedari itani ho gayi ke phir humey mumbai ana pada...
Kailash : magar kismat ne humey vishesh se mila dia.... Aur humey abhirupa jaise pyaari bahu bhi mill gayii...
Kailash : magar kyunki abhirupa hamaare liye bhi otni hi special hai jeetna hamara beta dhruv..... Eesiliye yeh shaadi bhi utne hi special tarah se houni chahiye...
Geetika : magar sagaai ko tou abhi bahut deyr hai tab tak, abhirupa ko mumbai ghum lena chaiye...
Riya : haan mom yeh sahi idea hai! Aur agar dhruv bhaiyya esbaar bhi koi badmaashi bina kiye abhirupa bhabhi ko mumbai ghumayenge tou unhe sabki daat bhi nahi padegi!
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Geetika : magar sagaai ko tou abhi bahut deyr hai tab tak, abhirupa ko mumbai ghum lena chaiye...
Dhruv : mom main?!
Riya : lou! Aalsi bhaiyya phirse mana karne lagey...
Abhirupa : eski badmaashi tou mujhe bhi bahut achhe se pata hai... Muh chara peepa!
Riya : dhruv bhaiyya, muh chara peepa!?
Dhruv : kya hua riya tum itani kyun hass rahi hou? Kahin Abhirupa ne tumhe mere khilaaf kuch bharkaya tou nahi???
Riya : nahi nahi bhaiya humdono tou bas aapki taareef kar rahey thhey...
Dhruv : ok phir theek hai...
Dhruv : mom i think aap sahi keh rahi hain...
Dhruv jaldi se wahaan se chale jaata hai. Dhruv ke jaate hi Geetika Abhirupa se Dhruv ke baare mein kehte hue-
Geetika ( dhruv's mom ) : abhirupa, agar tumhe dhruv zarra sa bhi pareshaan karey tou seedha tum mujhe aakar bolna firr dekhna main kaise dhruv ko sabak sikhati hoon...
Abhirupa : ( dhruv ke baare mein sochkar muskurate hue ) jii...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
haaaye eeeeee .... wat an expression
aur dhruv wah bahi wah .. tumhari kheechayi horahi hai aur aap bindaas baithe hai aapke taarif samajhkar :titterr:
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Kayaamat
Dhruv ghar se baahar nikal hi raha tha ke tabhi bahut zorr ki baarish shuru hou jaati hai.
Dhruv jaldi se bhaagkar waapas ghar ke andar aajata hai.
Abhirupa : lagta hai tumhare bhayya ko baarish se bhi darr lagta hai...
Dhruv : arre arre aisa thodi na hai... Wouuu tou main jaa hi raha tha ke achaanak se baarish ho gayii... Magar achha hi hua......
Dhruv : ( dheere se kehte hue ) kam se kam ees nakchari bandariyya se peecha tou chhoot gaya...
Abhirupa : ( gusse se dhruv ko dekhkar kehte hue ) kyaa!!!
Riya : ek minute ek minute! ...........Agar abhi baarish ho gaya tou koi baat nahi.... Bhayya aap abhirupa bhabhi ko kal ghumaane ley jaayiyega...
Riya : magar dhruv bhayya, eska matlab yeh nahi hai ke aapko hum aise hi jaane denge........
Dhruv : matlab???
Riya : aapko humaare liye khaatir-daari karni padegi... hmmmm ( Riya Abhirupa ko ishara karke idea batati hai aur Abhirupa maan jaati hai. )
Abhirupa : haan haan...
Abhirupa : ( mann mein sochte hue ) ab tou bachhu tumhari class lagegi! Tumne mujhe nakchari bandariyya kaha tha na... Ab tou tum se gin-gin kar badla loongi...
Dhruv :
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv : ( mann mein sochte hue ) akhir abhirupa ke dimaag mein es waqt kya chal raha hoga???
Dhruv : ( mann mein sochte hue ) lagta hai shaadi se pehle hi mera band bajjne wala hai... Hey bhagwaan...
Riya : arre bhayya abhi touuuu humne apko bataya bhi nahi hai ke aapko humaari kaun si shart maanni hogi...
Abhirupa : riya, main soch rahi thi ke baahar baarish hou rahi hai... Mausam kitnaa achha hai... Ab aise mauke parrrr ... Agar Dhruv humaare liye pyaaz ke pakore banaayega touuuu....
Riya : hmmmm....
Dhruv :
================
Scene : Dhruv chef jaisa dress pehenkar kitchen mein enter karta hai.
Geetika( Dhruv's mom ) : ohh Dhruv aur kitchen mein! Yeh main kya dekh rahi hu...
Riya : arre maa abhi tou yeh shart poora karne ke liye bhayya ko kitchen mein aapne enter karte dekha hai, abhi tou yeh shart baaki hai!
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Geetika Abhirupa se kehte hue-
Geetika : waisee abhirupa, kya tumne kabhi kisi buisnessman ko kitchen mein kuch banate hue dekha hai???
Abhirupa : nahi... Magar haan, aaj dhruv ko dekh liya...
Geetika aur Abhirupa, Dhruv ke saamne oska mazaak udaa rahe thhey.
Dhruv : ( mann mein sochte hue ) abhi maine keh touu dia hai, ab yeh pakore banaunga kaisee??? Maine tou aajtak kabhi life mein soup bhi nahi banaya hai tou pyaaz ke pakora tou doorr ki baat hai...
Dhruv phirse aagey dekhta hai aur pakore banane ki tyaari mein lagg jata hai. Magar Dhruv ko samajh mein nahi araha tha ke pakore bante kaise hain aur unhe banane ka procedure kya hai.
Magar jab Abhirupa dekhti hai ke Dhruv ko kuch samajh mein nahi araha tha, woh phirse wapaas peechey, riya aur baaki gharwaale jahaan beithe thhey, wahaan chali jaati hai.
Dhruv ekbaar phir, Abhirupa ki taraf dekhta hai. Abhirupa eesbaar Dhruv ko nazron-nazron mein samjhati hai ke woh tension na ley.
Abhirupa Dhruv ko nazron-hi-nazron mein ishaare se samjhaate hue:- Pakore banane ki recipe ke liye sabse pehle, onions ko chote-chote kaato, phir kadhai mein tyel garam karo aur phir esi tarah se abhirupa dhruv ko ishaaron-hi-ishaaron mein ek-ek karke sab bataati rehti hai.
Akhir Abhirupa ke bataaye tareeke se pakore bann jaate hain. Dhruv sabko pakore serve karta hai.
Saare ghar waale jab Dhruv ke banaye pyaaz ke pakore ko taste karte hain tab...
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Kisi ko bhi yakeen nahi araha tha ke Dhruv ne itney achhe pakore, pehli baar mein hi kaise banaa liye...
Sab loug Dhruv ki tareef kar rahey thhey. Geetika ko bhi yakeen nahi araha tha ke, jo dhruv kabhi bhi aajtak kitchen mein nahi gaya... Osne ek hi baar mein itne achhe pyaaz ke pakore kaise bana liye???
Baahar bahut baarish hou rahi thi. Aise mein ghar ke sabhi loug jahaan baatein kar rahey thhey wahin dusre taraf, Dhruv Abhirupa ko ishara karke ek minute ke liye sabse doorr bulata hai.
Dhruv : obhii... Thanks... ( dhruv abhirupa ko pyaar se kehte hue )
Tabhi wahaan Dhruv ki mom 'Geetika' wahaan aati hai.
Geetika : waisee..... Dhruv, pakore tum hi ne banaye thhey na??? Kahin tumne phirse koi badmaashi tou nahi kii???
Dhruv : maaaa ... main aur badmaashi??? nahiiiiiiii
Geetika : hmmmm........... theek hai theek hai
Abhirupa :
Tabhi Kailash Abhirupa aur Dhruv ko bulaate hain.
Kailash : dhruv, beta maine tumhe kaha tha ke next week jo hamaari clients ke saath meeting hai, oski file tum mujhe dekhana... Tumne abhi tak dikhaya nahi mujhe woh file???
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Kailash : dhruv, beta maine tumhe kaha tha ke next week jo hamaari clients ke saath meeting hai, oski file tum mujhe dekhana... Tumne abhi tak dikhaya nahi mujhe woh file???
Dhruv : ohhh nooo......... Papa iam veryy sorry... Mujhe yaad nahi raha... Magar maine woh file kahaan rakhi hai, mujhe yaad nahi araha hai...
Abhirupa : arre baba, woh file tou dhruv ke car mein hai... Dhruv! tum bhool gayye woh red file tumne car ke mein wahi, left waale box mein rakha tha???
Dhruv ko yaad ata hai.
Riya Dhruv ko umberella laakar deti hai. Dhruv baahar, apne car ke taraf jaane ke liye nikalne hi wala houta hai ke tabhi Abhirupa Dhruv ke peechey chaley jaati hai osey car ke keys dene ke liye.
Abhirupa : dhruvvv ek minute! Tumne tou car ke keys liye hii nahi! ...
Dhruv : offo! main phirse bhool gaya...
Dhruv Abhirupa ke paas woh keys lene ke liye ata hai tabhi tez hawaaon ke wajah se Dhruv ke haath se uska umberella slip hou jata hai aur woh udd jata hai.
Scene : Baarish bahut tezz baras rahi thi. Abhirupa aur Dhruv, dono baarish mein bheeg rahey thhey magar dono ki nazrein ekdusre mein khoyi thi. Dhruv ne Abhirupa ko girrne se thaam lia tha. Abhirupa Dhruv ke baahon mein thii.
___
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Tabhi Abhirupa wahaan se chali jaati hai... Aur jaate hue dhruv ko dekhti hai.
Dhruv wahaan woh file lekar ata hai aur apne papa ko woh file deta hai.
Scene: Dhruv apne papa se baat karte waqt, chupke-chupke Abhirupa ko dekh raha tha. Abhirupa, dhruv ke mom aur riya se baat karte hue Dhruv ko dekh rahi thi. Jab Dhruv Abhirupa ko dekhta hai, tab Abhirupa ka dhyaan oske taraf nahi tha aur na hi woh tab dhruv ko dekh rahi thi, magar jab Abhirupa bhi dhruv ko dekhti hai, tab dhruv ka dhyaan bhi oske taraf nahi tha aur na hi woh osey dekh raha tha.
Magar tabhi achanak...
Tabhi Riya apne bhaiyya Dhruv se ek sawaal, mazaak mein poochti hai-
Riya: bhaiyya, jab aapki aur abhirupa bhabhi ki shaadi ho jayegi... Tab shaadi ke baad, aap abhirupa bhabhi se itana hi pyaar karenge jitna abhi karte hain???
Dhruv: nahi..........
___
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Riya: bhaiyya, jab aapki aur abhirupa bhabhi ki shaadi ho jayegi... Tab shaadi ke baad, aap abhirupa bhabhi se itana hi pyaar karenge jitna abhi karte hain???
Dhruv: nahi..........
Riya: kya?!!! aapne 'NAHI' kaha ya phir maine theek se nahi suna???
Geetika: arre abhirupa, kya hua? Tum achaanak se apne room mein jaa rahi hou?
Abhirupa: maa, mere sarr mein thoda dard ho raha hai... Agar main thoda rest karungi tou mujhe achha lagega...
Geetika: theek hai, tum jaao...
--------
Dhruv: ( mann mein sochte hue ) ohh noo... Mujhe kehna kuch aur tha aur maine keh kuch aur dia... Lagta hai Obhi phirse naaraz hou gayi hai...
___
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
Dhruv: ( mann mein sochte hue ) ohh noo... Mujhe kehna kuch aur tha aur maine keh kuch aur dia... Lagta hai Obhi phirse naaraz hou gayi hai...
Dhruv: haan...... woh....... Mere sarr mein dard ho raha hai eseliye agar main...
Geetika: achha achha main samajh gayii...
Riya: mumma, yeh dono ekdum same to same hain...
Geetika: dhruv, tum apne room mein jaakar rest kar lo...
Dhruv apne room ke taraf naa jaate hue, chupke se, Abhirupa ke room ke taraf jaata hai.
Abhirupa: kaun hai wahaan?
Dhruv: main... obhii, kya tum gussa hou???
__________________
Guest- Guest
Re: Kayaamat
sorry for the late response !!! lill bsy with exams !!!
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Page 7 of 11 • 1, 2, 3 ... 6, 7, 8, 9, 10, 11
» Any suggestions to improve 'Kayaamat' storyline?
» CHECKOUT: Kayaamat's next video episode!
» Kayaamat and Kyunki Ghar Hai... is all set to go offline
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer