Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 6 of 16 • 1 ... 5, 6, 7 ... 11 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Re: Karam
Shilpa : karan ruko !......
Karan : kya hua shilpa didi ?.....
[ shilpa dheere se opar ayi aur ghar ke naukaro ko zorr se data. ]
Shilpa : karan, yeh dekho yehaan par een naukron ne tayl girakar enhe saaf nahi kia aur tum abhi-abhi hospital se loute ho agar tumhe kuch ho jata.... nahi nahi...
[ Karan ka shilpa didi ke liye izzat ab aur bhi oncha ho gaya tha aur
gauri ko bhi shilpa ke badalne ka thoda-thoda yakeen houne laga tha. ]
[ Gauri ke mann mei ab bhi woh baat chal raha tha ke agar shilpa didi badal gayi hai tou shilpa ne oon gundo ko karan ko maarne ke liye kehna woh kya tha ?... kahin woh koi galat-fehmi tou nahi ?... Gauri ko woh sab ek galat-fehmi lagta hai warna aaj shilpa didi ne orphanage walo ko donate kiya woh bhi 60 lakh aur Karan ki jaan bachai.yeh sab ek galat fehmi hi hou sakta hai. ]
[ Shilpa ne harr moud par karan ka saath dia aur aise hi 7 mahine beet gayye. ]
Shilpa : arre ramu kaka apne karan ko kahin dekha ?...
Servant : haan karan sahab opar apne kamre mei hain...
[ Udhar karan ]
Karan : Gauri, main aaj bahut khush hoon... peechle 7 mahino mei jo kuch bhi hua tha.... shayad woh sab ek galat fehmi hi tha... shilpa didi ne buisness eseliye mujhse ley lia kyunki agar buisness mei kuch bhi galati ho tou woh sara dosh apne opar ley le.... ohoune oos din meri jaan bhi bachai.....
Gauri :
[ tabhi wahaan shilpa didi ati hai. ]
Gauri : arre shilpa didi aap ?...
Shilpa : iam sorry, woh maine tum lougo ko disturb kar dia.... actually karan main tumhe yeh yaad dila doon ke ab se 3 din baad raksha-bandhan hai.... eseliye main chahti hoon ke woh din kuch khaas tarh se celebrate karey....
Karan : [ khush houte hue ] haan shilpa didi.... aap jaisa chahengi waisa hi hoga....
Shilpa : karan ek aur baat... [ khush houte hue ] maine tum dono ke liye malaysia ke tickets book kiye hain.... kal subah ki fliet hai....
Gauri : arre shilpa didi eski kya
Karan : nahi nahi !... theek hai.... thank you shilpa didi
Shilpa :
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Shilpa didi ke wahaan se jaate hi gauri ko phone ata hai. Gauri ko pata chalta hai ke Karan aur Gauri ne jo CONTRACT MARRIAGE kia tha Aaj 1 saal poora houne wala hai aur oondono ka yeh contract khatam houne wala hai eseliye onhe jald se jald lawyer ke office mei aakar DIVORCE PAPERS par sign karke osey submit karna hai.]
[ Yeh soonkar Gauri ke haath se oska cell phone neechey girr jata hai aur cell phone toot jata hai. ]
Karan : kya hua gauri ?.....
[ Gauri Karan ko saari baat batati hai. ]
Karan : aaj, 1 saal beet gaye.... yakeen nahi ata ke.... ke waqt kitna jaldi beet jata hai........ Magar jo bhi ho gauri hum hamesha ek dusre ke ghamo-khushiyo mei saath rahenge..... vada karo gauri ?....
Gauri : vada raha karan....
Gauri : magar karan shilpa didi ne jo tickets..
Karan : woh cancel ho jayenge magar... ( karan apne mann mei kehta hai ) kabhi-kabhi humare saath aisa houta hai ke hum jiss se doorr bhagte hain baad mei pata chalta hai ke wahi humaari zindagi thi.... een 1 saalon mei maine agar kahin tumhare mann mei apne liye zara sa bhi jagah bana lia hai.... tou keh do ke karan ruk jaao....
Gauri : magar kya karan ?.... tum kuch kehne waale thhey ???....
Karan : kuch nahi, main tumhara baahar intezaar kar raha hoon....
Gauri : [ karan ke taraf dekhte hue apne mann mei sochti hai. ] een 1 saalon mei maine agar kahin tumhare mann mei apne liye zara sa bhi jagah bana lia hai.... tou keh do ke Gauri... ruk jaao....
[ Gauri car mei beithti hai. Karan car start karta hai magar uske chehre par yeh saaf jhalak raha tha ke woh yeh rishta khatam karna nahi chahta tha magar woh yeh chah raha tha ke gauri oosey rouk ley tou Wahin Gauri bhi yeh samajh gayi thi ke woh bhi karan ko chahne lagi hai aur karan bhi divorce lena nahi chahta hai magar woh intezaar kar rahi thi ke karan osey rouk ley. ]
Guest- Guest
Re: Karam
Karan : [ mann mei kehte hue ] kuch kaho gauri.... please kuch kaho kahin ess se pehle deyr ho jaaye ruk jaao....
Gauri : [ mann mei kehte hue ] please ruk jaao karan.....
[ Gauri`s theme : ( sad version )
mann mei ek uljhan hai... haaye ! mein kaise kahu tujh se ke.... ees dil mei basaa hai tu.... tu sirf tu.. tu sirf tu..... ruk jaao..... na... jaao...... ]
[ Karan`s theme :
Dil hai majboor kaise kahu...................... kaise kahu ke....
[ Dono ke aankhon mei aasu thhey magar zubaan abhi bhi bandd thi. Na Gauri ne kuch kaha aur na karan ne. ]
[ Karan & Gauri`s Theme :
Pyaar houne lagaa hai........ Pyaar houne lagaa hai..... Pyaar houne..... laga hai..... ]
[ DONO EK DUSRE SE KUCH KEHNE HI WAALE THHEY KE TABHI. ]
[ Lawyer ke office se phir se ph. ata hai. Karan car start karta hai aur dono lawyer ke office ke liye nikal jaate hain. ]
[ Karan ko yaad atey hain woh pal jab shaadi hui thi aur Gauri dulhan ke libaaz mei saji thi. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Waqt ka pata bhi nahi chalta aur dekhte-hi-dekhte Karan aur Gauri lawyer ke office pahuch jaate hain. ]
[ Karan aur Gauri ko baahar intezaar karne ko kaha jata hai. Tabhi wahaan se ek punjabi couple mr. & mrs. kaur guzarr rahey thhey unki nazar gauri aur karan par padii. woh unke paas gayye. ]
Mrs. Kaur : aaye haaye !... kinni soni jodi hai.... aap dono ko dekhne par lagta hai ke raab ne aapdono ko ekdusre ke liye banaya hai...
Mr. Kaur : magar bhai sahab ek gal dusso ji... aapdono yehaan kya kar rahey ho ?....
Karan : woh.....
Gauri : lawyer se ek chota sa kaam tha... usi ke silsilay mei aaye hain ....
Mr. Kaur : o achha ji.... changa ji changa....
Mrs. kaur : rab aapdono ki jodi hamesha salaamat rakhey....
Karan-gauri :
[ Karan aur Gauri ko andar bulaya jata hai. ]
[ AMITABH BACHHAN LAWYER KE ENTRY MEIN. ]
Guest- Guest
Re: Karam
[ AMITABH BACHHAN LAWYER KE ENTRY MEIN. ]
Lawyer : aayiye !... beithiye.... woh actually kya hua... ke... aapke lawyer ko bahut zaroori kaam se baahar jana pada... tou unhoune mujhe aapdono ko attend karne ko kaha hai.... aapdono ke liye maine specially yeh documents tyaar karvaye hain... I hope aapdono tyaar hain ?....
[ Karan aur gauri ka dill yeh kehna aur karna nahi chahta thha aur unki zabaan ne tou bandd rehne ki thaan hi li thi magar majbooran kehna hi padda. ]
Karan aur gauri : haan......
[ Lawyer ne DIVORCE ke papers saamne rakhey aur karan aur gauri ko oon papers par sign karne ko kaha. ]
[ Karan ki saasei rukk gayii aur gauri ki dhadkane bhi tham gayii. Karan kabhi divorce ke papers ko dekhta tou kabhi gauri ko aur gauri kabhi karan ke taraf dekhti aur divorce ke papers ko taraf dekhne se katraati. ]
[ Dono ke aankho mei aasu thhey aur dill mei sirf ek hi sawaal chal raha tha.
Kya gauri een papers par sign karegi aur wahin gauri bhi yehi sochti ke kya karan asani se een papers par sign karke woh sab kuch bhulaa dega ???... ]
[ Lawyer ne phir poocha ke kya woh dono tyaar hain ees divorce ke liye ? Gauri ne apna haath aagey badaya aur pen ka cap khola. Gauri ke haath uska saath chorrna chahte thheyy magar gauri ne phir bhi himmat ki.Himmat zyaadatar naakam houne jaise thi magar gauri ne phir bhi oon par sign karne ke liye apna haath aagey badaya. ]
[ Ab Karan ki saasey rukk sii gayi thi. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Lawyer ne phir poocha ke kya woh dono tyaar hain ees divorce ke liye ? Gauri ne apna haath aagey badaya aur pen ka cap khola. Gauri ke haath uska saath chorrna chahte thheyy magar gauri ne phir bhi himmat ki. Himmat zyaadatar naakam houne jaise thi magar gauri ne phir bhi oon par sign karne ke liye apna haath aagey badaya. ]
[ Karan`s Theme :
Do, Pal Ruka, Khwaabon Ka Kaarvaan
Aur Phir, Chal Diye, Tum Kahaan, Ham Kahaan
Do Pal Ki Thi, Ye Dilon Ki Daastaan
Aur Phir, Chal Diye, Tum Kahaan, Ham Kahaan
Aur Phir Chal Diye, Tum Kahaan, Ham Kahaan ]
[ Gauri ne Lawyer ko request kia ke pehle Karan oon papers par sign karey. Karan ko kuch samajh mei nahi araha tha ke woh kya karey kya kahey kyunki shaayad yehi kasauti thi unke pyaar ki yeh gauri ko samajh aaney laga tha. ]
[ Karan ke haath kaapne se lagey thhey magar usney himmat jutai aur jaisa osney aur gauri ne socha tha ke 1 saal baad yeh shaadi toot jaegi woh aaj houne wala tha. KARAN NE OON PAPERS PAR SIGN KAR DIYE. ]
[ Karan & Gauri`s Theme :
Tum The Ke Thi Koyi Ujli Kiran
Tum The Ya Koyi Kali Muskaayi Thi
Tum The Ya Tha Sapnon Ka Tha Saawan
Tum The Ke Khushiyon Ki Ghata Chhaayi Thi
Tum The Ke Tha Koyi Phool Khila
Tum The Ya Mila Tha Mujhe Naya Jahaan
Do Pal Ruka Khwaabon Ka Kaarvaan
Aur Phir Chal Diye Tum Kahaan Ham Kahaan
Do Pal Ki Thi, Ye Dilon Ki Daastaan
Aur Phir Chal Diye, Tum Kahaan, Ham Kahaan
Aur Phir Chal Diye, Tum Kahaan, Ham Kahaan ]
[ Gauri ka vishwaas abhi bhi majboot tha. Karan ne dheere se woh papersgauri ke taraf kiye. Gauri ne jab karan ke taraf dekha tou uske aankhon mei dard hi dard tha. Dard ke elava ek majboori bhi thi jo gauri bhi samajh sakti thi. ]
Lawyer : ab aapki baari hai... gauri ji ?...
[ Gauri ne apna haath aagey badaya. Gauri ke aankhon se 2 boond aasu beh kar oon divorce ke papers par padey. ]
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
Lawyer : ab aapki baari hai... gauri ji ?...
[ Gauri ne apna haath aagey badaya. Gauri ke aankhon se 2 boond aasu beh kar oon divorce ke papers par padey. ]
Lawyer : aapdono zara jaldi kijiyega... humko aur bhi kaam hai....
[ Gauri ne pen uthaya aur sign karne ke liye apna haath aagey badaya. ]
[ Gauri ne pen uthaya aur sign karne ke liye apna haath aagey badaya. Gauri ne pen papers par touch kia aur tabhi gauri ke aankhon ke saamne woh saare pal, tasveery ek ke baad ek saamne aarahey thhey jo osney peechley ek saal mei karan ke saath bitaaye. ]
[ Karan aur Gauri ekdusre ke galey mill jaate hain. ]
[ Lawyer dono mei yeh observe kar leta hai ke dono ko divorce nahi chahiye. ]
[ karan lawyer ke taraf dekhta hai aur poochne wala houta hai ke tabhi lawyer bol padta hai. ]
Lawyer : main samajh gaya aap dono ka problem.... but aise situation mei raasta sirf ek hai.....
Karan-gauri : kya ???...
Lawyer : aapdono ees divorce ko hi bhool jaaye.... aur khushi khushi apni zindagi ekdusre ke saath ek naye tarah se manaye....
Karan-Gauri :
Lawyer : ab aapdono ghar jaaye aur ees divorce ke baare mei bhool jaaye.... meri best wishes aap dono ke saath mei hain....
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Karan : gauri, aaj se hum ek nayi zindagi shuru karenge...
Gauri : haan karan...
[ Udhar Shilpa didi mandir mei garibo ko blankets daan kar rahi thi. Wahaan se Shilpa ek anaath-alay mei gayi wahaan par jaakar onhoune 50 lakh ka donation dia. ]
[ Shilpa ghar pahuchti hai. Shilpa apne kamre ke taraf jaa rahi thi ke oski nazar karan-gauri ke kamre ke taraf padii. Darwaza khula tha. ]
Shilpa : arre yeh darwaza tou khula hai... main abhi bandh kar deti hoon...
[ shilpa didi ki nazar table par rakhey papers par padi jo ki karan-gauri ke contract marriage ke papers thhey. ]
Shilpa : arre yeh papers ?... ( shilpa didi ne oon papers ko uthaya aur dekha )
[ Udhar karan aur gauri ghar ke taraf aarahey thhe. Gauri kuch soch rahii thi. ]
Karan : kuch soch rahi ho ?...
Gauri : soch rahi thi ke... zindagi kitne imtehaan leti hai.... har rishton ki kasauti houti hain... kabhi koi jeet ke haar jata hai... tou kabhi koi haar ke bhi jeet jata hai....
Karan : matlab ?...
Gauri : ab humey hi dekh lo na... hum jab miley thhey tab hum ek dusre se nafrat karte thhey aur aaj .... karan mujhe ek vaada karo....
Karan : kaisa vaada ?...
__________________
Guest- Guest
Episode 62
Karan : kaisa vaada ?...
Gauri : agar kabhi zindagi ne mera saath chorr dia ( Karan gauri ko kuch aagey kehne se rouk deta hai. gauri karan ka haath hata kar kehti hai. ) agar zindagi ne kabhi mujhse muhh morr lia... tab tum mere liye yeh gaana zaroor gaana....
[ Gauri`s theme : jab koi baat bigar jaaye... jab koi mushkil padd jaye... tum dena saath meraa O humnavaa......
na koi hai na koi tha zindagi mei tumhare siva.... tum dena saath mera... O humnava...... ]
Karan : aur maan lo ! agar kabhi mujhe (gauri karan ko kuch kehne se rouk leti hai) tou kya tab tum mere liye yehi gana gaogi ?....
Gauri : bhagwaan karey agar kabhi tumhari saasei rukey oos se pehle meri saasein thamm jaaye....
[ Karan aur Gauri ghar pahuch jaate hain. ]
Shilpa : arre karan-gauri aao.... karan-gauri mujhe tumse kuch poochna tha...
Gauri : kahiye shilpa didi...
Shilpa : maine jo tumlougo ko jo tickets diye thhey.... tum lougo ne tou tickets hi cancel kar diye ?....
Gauri : woh actually....
Karan : didi hum aapko yeh batane hi waale thhey... ki
Shilpa : ki achanak tum dono ko lawyer ke paas jaana pada ?....
[ Karan aur gauri yeh dekh shock ho jaate hain ke shilpa didi ko kahin suchai ka pata tou nahi chal gaya ? ]
__________________
Guest- Guest
Page 6 of 16 • 1 ... 5, 6, 7 ... 11 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer