Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 5 of 16 • 1, 2, 3, 4, 5, 6 ... 10 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Episode 42
Mithibua : arre beta gauri.... kya hua ?.....
Gauri : buaji, karan......
Mithibua : kya hua karan ko ?....
Gauri : [ route hue ] aaj subah karan ki tabiyat achanak kharaab ho gayi.... doctors keh rahe hain ke.... karan... coma mei chale gaye hain.......
Mithibua : haaye raam !... .. beta gauri tu chinta matt kar sab theek ho jayega.... bhagwaan par bharosa rakh.. ...
Mithibua : gauri, tu abhi esi waqt chal mere saath.....
Gauri : magar karan ko ees halat mei chorr ke ??
Mithibua : karan ke bhalai ke liye mandir chal.... chal mere saath....
[ Gauri mithibua ke saath durga maa ki mandir pahuchte hain. ]
Mithibua : ees mandir ki bahut maanyata hai.... kehte hain jo sachhe mann se yahaan kuch bhi maange.... maa sab poora kar deti hai..... jai durga maa.....
[ Gauri karan ke liye prarthna karti hai. ]
Guest- Guest
Episode 43
[ kuch deir mandir mein beetane ke baad gauri mandir ke peechey khai ko dekhti hai. Woh khai bahut ghehraa aur bahut khatarnak deekh raha tha. ]
Gauri : buaji, yeh khaai ?.....
Mithibua : jaise ees mandir ka bahut naam hai waise hi ees khaai ke baare mei bhi ek kahavat hai....
Gauri : kaise kahavat ?....
Mithibua : kehte hain ke maa durga ne ek bahut badey asurr raakshas ka antt yehin kia aur esi khaai mei oska antt kar dia.....
Mithibua : achha ab jaldi se hospital chalte hain....
[ Mithibua aur Gauri hospital pahuchte hain tabhi doctors wahaan aate hain aur gauri se karan ke baare mei kehte hain ke karan ab bilkul theek hai. Gauri yeh soon ke bahut khush ho jaati hai aur jaldi se karan se milne jaati hai. ]
[ Udhar Shilpa pata chalta hai ke karan ko hosh agaya hai. Tabhi ghar par lawyer ata hai. ]
Shilpa : vakeel sahab aap ?.... koi khaas kaam tha ?...
Lawyer : actually, yeh kuch zaroori papers hain jin par aapke dadaji ke signatures chahiye thhe.....
Shilpa : papers ?.... kaise papers ?....
__________________
Guest- Guest
Episode 44
Lawyer : ji unka ek factory hai banglore mei jo ab woh chahte hain ke yeh factory mr.karan ke naam transfer ho jaaye...
Shilpa : [ mann mei sochte hue ] dadaji ne tou kabhi apni koi factory ke baare mein nahi bataya tha.... tou aaj yeh kaun si factory karan ke naam ho jaane wali hai ?....
Shilpa : kya main yeh papers dekh sakti hoon ?...
Lawyer : ji yeh papers kisi ko dekhne ki ijazat nahi hai....
Shilpa : shayad aap bhool gaye hain ke aap abhi jahaan khare hain yeh ghar aur poori kapoor empire ki maalkin main khud hoon... aur jab chahe aap par koi bhi case thop kar aapko 10-12 saal ke liye andar kar sakti hoon.....
Lawyer : [ darrte hue ] ji mam, sorry mam.... yeh lijiye papers....
[ Shilpa woh papers dekhti hai jispar yeh likha hai ke dadaji chahte hain ke banglore ki factory aur wahaan ki zameen ab karan ke naam transfer ho jaaye. ]
Shilpa : [ bahut zyada gusse se ] MYYYYY FOOT !!!!!!!..............
[ Shilpa aur Lawyer ek saath dadaji ke room mei jaate hain. ]
[ Shilpa Dadaji ke saamne woh papers fekhti hai. Lawyer seer jhukaye wahaan khara dekh raha tha. ]
Shilpa : dadaji, kya hai yeh sab ?..........
Guest- Guest
Episode 45
Dadaji : aww... tou tumne yeh papers dekh hi liya..... jab tumhe yeh sab pata chal chuka hai tou pooch kyun rahi ho ?....
Shilpa : shayad aapko ees buraape mei apka dimaag kuch zyada hi kaam karne laga hai......
Dadaji : buraape tak insaan ko duniya ke baare mein sab gyaan ho jata hai..... yahaan kaun apna hai aur kaun paraya hai yeh sab buraape mei hi pata chala jata hai...... aur maine jo bhi faisla kia hai..... sab apno ke bhalaai aur begaano se apno ki hifaazat karne ke liye kia hai.......
Shilpa : mujhe aapke kisi bhi bakwaas mei koi intrest nahi hai !........
Shilpa : vakeel sahaab...... woh dusre papers zara dikhaye tou......
[ lawyer apne bag se dusre documents nikaalta hai aur shilpa ko woh thama deta hai. ]
[ Shilpa woh dusre papers dadaji ke saamne rakhti hai ( anjaane mei theek oon pehle papers ke paas. ) ]
Shilpa : [ dheere se kehte hue ] dadaji, shayad ab mujhe yeh batane ki zaroorat nahi hai.... ke aapko ab een papers par chup-chap sign karne hounge...... warnaa..... aapke pyaare karan aur gauri ki kismat main khud apne haathon se likhoongi..... aur kuch aise likhoongi unki yeh kahaani ke..... sadiyon tak har koi ees kahaani ko kabhi nahi bhulega.....
[ dadaji ko yeh soon ke bahut gussa ajata hai. ]
Dadaji : arrre tu kya likhegi oon dono ki kismat !!!!...... likhne wala tou woh !... upar beitha sab dekh raha hai.... woh tera bhi kismat likhta hai yeh tu bhool rahi hai.... ab agar..... tujhe upar waale se zaraa bhi darr hai..... tou abhi bhi waqt hai.... sambhal jaa warna bahut baraa anarth ho jaayega......
Shilpa : [ haste hue ] ssshyaa !!!!....... aww please..... ab aap apna yeh bhaashan band bhi kijiye...... aur chup-chaap een papers par sign kar dijiye......
[ Dadaji ki nazre saaf inkaar kar rahi thi par oon inkaaro par har waar shilpa apna chala kar bas yehi kahe ja rahi thi ke agar onhoune aisa nahi kia tou unke hi apno ke khoon ka zimmedaar dadaji khud hounge. Ab dadaji bahut majboor ho chuke thhe. Unke aankhon se aasu beh rahe thhe. ]
[ dadaji ne neechey parey oon papers ko sign karne ke liye uthaya. Shilpa yeh dekh bahut khush hou rahi thi. ]
__________________
Guest- Guest
Episode 46
[ dadaji ne jab woh papers ko dhyaan se dekhaa tab pata chala ke yeh tou wahi poorane papers hain jinmei yeh likha tha ke dadaji apne banglore waali poori property karan ke naam transfer kar rahey hain. ]
[ Lawyer ko bhi yeh andaza ho jata hai ke yeh wahi poorane papers hain par woh shilpa ko kuch bhi nahi batata hai. ]
[ Udhar khare-khare shilpa khush hue jaa rahi thi ke dadaji ka yeh suprise gift hai jo osey mill raha hai. ]
[ dadaji ne turrant oon papers par sign kar diyaa. ]
[ Lawyer ko idea ata hai. Een papers par jahaan dadaji ne sign kar diya hai agar ab karan ne bhi sign kar diya tou yeh property karan ko mill jayegi. ]
Lawyer : mam, woh.... bas ek aur chotaaa sa kaam reh gaya hai.... bas bahut chota kaam hai....
Shilpa : boliye vakeel sahab....
Lawyer : mam agar een papers par karan sir ke signature mill jate tou yeh formality poori hou jaati.....
[ shilpa yeh soon bahut gussa ho jaati hai par phir woh sochti hai ke yeh koi barii baat nahi hai. udhar karan ko tou hosh ab tak aa bhi gaya houga tou kisi bhi tarah woh een papers par sign karva sakti hai. ]
__________________
Guest- Guest
Episode 47
[ Gauri karan ke paas beithi thi. Karan ko hosh ata hai. ]
Mithibua : hehehe... tum dono baatein karo main abhi ayi....
[ Gauri ke ankhon pe aasu thhe. Karan ne gauri ke taraf dekha tou gauri ke aasu karan ke haathon par pare. ]
Karan : gauri, tum rou rahi ho ?....
Gauri : ( route hue ) ees tarah achanak tumhari tabiyat kharab ho gayi.... rouoo nahi tou kya karu ?.....
Karan : [ karan gauri ka haath thaamte hue ] gauri, tum mere liye itna parwa karti ho ?.....
[ Dono ek dusre ke aankhon mei dekhte-dekhte ekdusre mei kho jaate hain aur woh saari shikyate durr hou jaati hain. ]
[ Gauri`s Theme : Thoda sa pyaar hua hai..... thoda hai baaki.... *** *** **** **.... thoda sa pyaar hua hai thoda hai baaki.... hum tou dil dey hi chuke.... hum tou dil dey hi chuke bas teri haan hai baaki.....
( gauri karan se nazre pheyr leti hai. )
Karan`s Theme : haathon mei haath rahey dil hi main ek aas baaki.............. thoda sa... pyaar hua hai......... thodaaa hai baaki..... ]
[ Tabhi wahaan Shilpa aa pahuchti hai. ]
[ Karan aur gauri shilpa ko dekh chauk jaate hain. ]
Guest- Guest
Episode 48
Shilpa : [ fikar karte hue ] karan, tumhari tabiyat kaisi hai ?.... yeh kya haal bana rakha hai tumne apna.... mere bhaai ki yeh halaat hai aur main wahaan ghar pe kaise reh sakti thi.... eseliye apne pyaare chote bhai ko dekhne ayi hoon...
Karan : gauri, keh do ense ke yehaan se chali jaaye.....
Shilpa : nahi karan....... aisa mat bolo..... main janti hoon ke maine tumhare saath... gauri ke saath aur poore gharwaalon ke saath bilkul achha nahi kia.... . magar kya.... kya tum apni didi ko ek mauk tak bhi nahi douge ??...... agar mujhe apne pachhtava ka saboot dena padey tou theek hai.....
[ Shilpa wahaan fruits mei rakhe chaaku ko uthati hai aur apni kalaai kaatne ki koshish karti hai. ]
[ Karan chauk jata hai aur shilpa ko rokne ki koshish karta hai. ]
Karan : arre, yeh aap kya kar rahi thi.... chorr dijiye yeh chaaku !......
Shilpa : ab tou tumhe mera yakeen ho gaya hai na ?..... { karan apni shilpa didi ko galey lagata hai. Gauri ko abhi bhi shilpa ke ees chehre par yakeen nahi araha hai. }
[ Shilpa apne mobile se kisi ko sms karti hai. Tabhi wahaan Doctor ajata hai. ]
Dr. : mr.kapoor ab aap bilkul theek hain.... you are fit now mrs.kapoor, ab aap enhe ghar ley jaa sakti hain..... yeh rahe kuch papers jinpar mr.karan ke signature chahiye......
[ Gauri doctor ke haath se woh paper lekar karan ko dey rahi thi ke gauri ki nazar oon papers par padi. Papers kuch stamp papers ke tarah lag rahe thhe jo ki hospital ke dis-charge papers tou hou hi nahi sakte thhe. ]
[ Karan oon papers par sign kar deta hai. ]
Guest- Guest
Episode 49
[ Karan oon papers par sign kar deta hai. ]
Shilpa : [ khush houne ka dikhava karte hue ] arre wah !... yeh tou khushi ki baat hai... karan, main abhiii ghar jaati hoon aur jaake tum dono ka swaagat ke saare intezaam karti hoon
Karan :
[ Gauri ko woh papers kuch gadbad lagey. woh doctor se baat karne chal deti hai. ]
Gauri : [ bulate hue ] doctor sahaab....
[ doctor ne peechey gauri ko dekha tou woh gauri ko ignore karte hue kahin aur chala jata hai. ]
Gauri : yeh doctor sahab ne mujhe ignore kyun kia ?......
[ gauri reception mei jaati hai receptionist se oon papers ke baare mei poochti hai. ]
Gauri : mujhe discharge papers ke baare mei poochna hai.... kya aapke yahaan discharge papers koi stamp papers ke tarah houte hain ?...
Receptionist : yeh aap kya baat kar rahi hain ?.... bhala kisi bhi hospital ke discharge papers aise kyun hounge ?....
Gauri : [ mann mei sochte hue ] ho na ho.... oon papers ka aur shilpa didi ka koi na koi sambhand zaroor hai..... warna aisa bhi hou sakta hai ke woh karan ko koi nuksaan pahuchana chahti ho..... mujhe yeh baat karan se karni hougi... nahi-nahi karan ko shayad mere baaton par yakeen na ho..... agar such janna hai tou mujhe shilpa didi ka peecha karna houga......
[ Gauri hospital ke bahaar aake dekhti hai tou shilpa apni gaari mei beith rahi houti hai. ]
[ Gauri apne gaari mei jaake beith jaati hai aur shilpa ke gaari ka peecha karti hai. ]
[ Udhar Shilpa ek sun-saan khandar mei apna gaari roukti hai. ]
Gauri : [ mann mei sochte hue ] yeh shilpa didi ne aise sun-saan jagah par gaari kyun rouk di ?..... aise veeran jagah par shilpa didi ko kya kaam ho sakta hai ?.....
Guest- Guest
Episode 50
Gauri : [ mann mei sochte hue ] yeh shilpa didi ne aise sun-saan jagah par gaari kyun rouk di ?..... aise veeran jagah par shilpa didi ko kya kaam ho sakta hai ?.....
[ Shilpa oos gufaa ke andar jaati hai. Wahaan kuch goondey shilpa ka intezaar kar rahe thhe. ]
Gauri : yeh shilpa didi aise jagah par woh bhi goondo se milne kyun ayi hai ?.....
[ gauri chupke se shilpa ko oon gundo se baat karte hue dekhti hai. Kuch deir baad shilpa ne ek bag oon goondo ko dia. Goondo ne woh bag khola. Oos bag mei bahut saare rupaye thhe. Gauri thoda aur paas jaake chupke se oon logon ki baatein sunne lagi. Shilpa ne oon goondo ko ek photo bhi dia. ]
Shilpa : samajh gaye na tum loug ?.... ees photo mei jo insaan hai woh agle 24 ghante ke andar-andar khatam hou jana chahiye....
[ shilpa oon gundoo ko woh photo dene jati hai ke woh photo neechey dirr jata hai. shilpa osey uthati haitabhi Gauri oos photo mei jo insaan hai osey dekh leti hai. ]
[ woh insaan aur koi nahi Karan hai jisey shilpa maar dena chahti hai. ]
[ yeh dekh gauri bahut darr jati hai. Woh jaldi se apne phone se wahaan shilpa aur oon goondo ki photo ley leti hai. Phone ke flash light se wahaan oon goondo ko aur shilpa ko shakk hou jata hai ke onke ilava bhi wahaan koi aur chupke se onki baatein soon raha hai. Gauri wahaan se chali jaati hai. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
is shilpa ko to na us mandir ke peeche wali khai mein gira dena chahiye :x :dhaka:
accha baaki ke updates apne exams ke baad karna
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Episode 51
Shilpa : ghabraao matt wahaan koi nahi hai.... mera kaam aaj hi hou jana chahiye... warnaa yaad rakhna tumloug bahut pachhtaoge....
[ Shilpa wahaan se chali jaati hai. ]
[ Udhar Gauri hospital waapas jaate-jaate yehi soch rahi thi ke shilpa didi khud karan ki sagi behen apne hi bhaai ko jaan se maarna chahti hai. Gauri hospital pahuch jaati hai aur karan se milti hai. ]
[ Gauri bahut darri si thi. ]
Gauri : karan tum theek ho na ?....
Karan : main tou theek hoon gauri magar tum gayi kahaan thi ?....
Gauri : karan mujhe tumhe kuch bahut zaroori baat batani hai....
[ Tabhi wahaan Hospital ke senior doctor aate hain. Doctor Gauri ko bahaar bulaate hain karan ke baare mei kuch zaroori baat batane ke liye.]
Doctor : mam, apko shayad pata na hou par maine aapko yeh batana zaroori samjha eseliye main aapko yeh batana chahta hoon....
Gauri : kaise baat ?...
Doctor : karan ko kisi ne galat davaaiya di thi jiske wajah se karan ka yeh haalat hua hai....
[ yeh soon gauri aur darr jati hai. ]
Doctor : agar yeh davaai zyada quantity mei aur dii gayi tou mr. karan ka dimaagi santulan poori tarah se bigar sakta hai.... ya tou woh.... woh marr sakte hain yaa unki yaadasht bhi jaa sakti hai.....
[ Gauri yeh soon bahut hayraan houti hai ke aise davaaiya kisne aur kab dii ? tabhi gauri ko yaad ata hai ke oos din room mei jab shilpa ayi thi kahin tabhi osne wahaan davaai kisi bahaane rakh di houngi. ]
[ Karan ka discharge hou jata hai. Karan aur gauri apne car mei ghar ki taraf jaane ke liye houne hi waale thhe ke tabhi gauri ko phone ata hai ke gauri ke ghar par gauri ke papa ko heart attack aya hai. ]
Karan : gauri, chalo main bhi chalta hoon....
Gauri : nahi karan tum abhi abhi hospital se discharge hue ho..... tum ghar jaake aaram karo main 1 ghante ke andar-andar ghar aarahi hoon....
( yeh kehke gauri jaane hi waali houti hai ke karan gauri ka haath thaam leta hai. )
Karan : karan ki zindagi.....
Gauri : gauri se hai... aur gauri ki zindagi
Karan : karan se...
Gauri :
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ gauri apne ghar chali jaati hai aur karan apne ghar ]
[ Gauri apne ghar pahuchti hai aur paati hai ke gauri ke papa bilkul theek hain. ]
Gauri : papa aap theek hai na ?...
Papa : arre beta mujhe kya hua hai ?...
Gauri : maa, papa ko heart attack ?....
Maa : kya baat kar rahi hai !... tere papa sahi salamat hai....
Gauri : [ mann mei sochte hue ] phir mujhe kisne phone kiya aur yeh bataya ke papa ko heart attack aya hai ?.....
[ Udhar Karan ghar pahuchta hai. Dadaji se milne jata hai. ]
Dadaji : [ khush houte hue ] arre beta karan.... tum ab kaise ho ?.....
Karan : dadaji main theek hoon.... magar apki tabiyat kuch theek nahi ?....
Dadaji : mere tabiyat ka kya hai.... bas kuch hi din ki saasei chal rahi hain....( tabhi dadaji ko kuch yaad ata hai. )
Dadaji : karan, maine tumhare naam banglore wali property kar di hai....
[ Karan ko kuch samajh mei nahi ata hai ke dadaji kis property ki baat kar rahe hain ke tabhi wahaan mithibua ajati hai. ]
Guest- Guest
Re: Karam
Mithibua : hehehe... arre beta.... karan kaisa hai tu ?.... tujhe pata hai gauri ne tere theek ho jane ke liye mandir mei bahut prarthna kiye..... ab bhagwaan ji ki kripa se.... tu theek hai !..... waise yeh gauri kahin nazar nahi arahi.... kahaan hai woh ?....
Karan : woh zara apne ghar gayi hai.... papa ko.... heartattack...
KUCH NAHI HUA HAI PAPA KO !..........
[ tabhi wahaan gauri ati hai. ]
Gauri : [ khush houte hue ] papa bikul theek hai main unhe abhi dekh kar aarahi hoon....
Karan : tou gauri... tumhe woh galat khabar di kisne ?.....
[ Neechey ghar par orphanage se kuch loug aye thhey. woh loug shilpa ko shukriya kahe ja rahe thhe ke shilpa ne onko 40 lakh rupaiye donate kiye hain aur kuch garib aur kamzor lougon ko bhi 20 lakh rupaye diye hain.]
Shilpa : arre nahi nahi... aap mujhe shukriya kehkar mujhe sharminda kar rahe hain.... yeh tou mera farz hai... balki insaan insaan ke kaam nahi ayega tou kiske kaam ayega
[ oonlougo ke jaate hi kuch deir baad Karan siriyon se neechey raha tha. Karan ko pata na tha par siriyon par oil gira tha aur shilpa ki nazar siriyon par parii aur woh jaldi se bhaagkar gayi. ]
Shilpa : karan ruko !......
Guest- Guest
Re: Karam
Shilpa : karan ruko !......
Karan : kya hua shilpa didi ?.....
[ shilpa dheere se opar ayi aur ghar ke naukaro ko zorr se data. ]
Shilpa : karan, yeh dekho yehaan par een naukron ne tayl girakar enhe saaf nahi kia aur tum abhi-abhi hospital se loute ho agar tumhe kuch ho jata.... nahi nahi...
[ Karan ka shilpa didi ke liye izzat ab aur bhi oncha ho gaya tha aur
gauri ko bhi shilpa ke badalne ka thoda-thoda yakeen houne laga tha. ]
[ Gauri ke mann mei ab bhi woh baat chal raha tha ke agar shilpa didi badal gayi hai tou shilpa ne oon gundo ko karan ko maarne ke liye kehna woh kya tha ?... kahin woh koi galat-fehmi tou nahi ?... Gauri ko woh sab ek galat-fehmi lagta hai warna aaj shilpa didi ne orphanage walo ko donate kiya woh bhi 60 lakh aur Karan ki jaan bachai.yeh sab ek galat fehmi hi hou sakta hai. ]
[ Shilpa ne harr moud par karan ka saath dia aur aise hi 7 mahine beet gayye. ]
Shilpa : arre ramu kaka apne karan ko kahin dekha ?...
Servant : haan karan sahab opar apne kamre mei hain...
[ Udhar karan ]
Karan : Gauri, main aaj bahut khush hoon... peechle 7 mahino mei jo kuch bhi hua tha.... shayad woh sab ek galat fehmi hi tha... shilpa didi ne buisness eseliye mujhse ley lia kyunki agar buisness mei kuch bhi galati ho tou woh sara dosh apne opar ley le.... ohoune oos din meri jaan bhi bachai.....
Gauri :
[ tabhi wahaan shilpa didi ati hai. ]
Gauri : arre shilpa didi aap ?...
Shilpa : iam sorry, woh maine tum lougo ko disturb kar dia.... actually karan main tumhe yeh yaad dila doon ke ab se 3 din baad raksha-bandhan hai.... eseliye main chahti hoon ke woh din kuch khaas tarh se celebrate karey....
Karan : [ khush houte hue ] haan shilpa didi.... aap jaisa chahengi waisa hi hoga....
Shilpa : karan ek aur baat... [ khush houte hue ] maine tum dono ke liye malaysia ke tickets book kiye hain.... kal subah ki fliet hai....
Gauri : arre shilpa didi eski kya
Karan : nahi nahi !... theek hai.... thank you shilpa didi
Shilpa :
__________________
Guest- Guest
Page 5 of 16 • 1, 2, 3, 4, 5, 6 ... 10 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer