Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Page 33 of 41 • 1 ... 18 ... 32, 33, 34 ... 37 ... 41
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
----------------------
Story: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
Story By: Diipendu Dutta
Started On: 2007
Concluded On: 2025
Genre: Drama
No. of episodes: 1000
Last edited by Diipendu on 19/8/2020, 4:42 am; edited 5 times in total
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 768
0]Background music- Jeeney ke Ishare mill gaye...]
Mihir oon saari baaton ko yaad karke bahut hurt hai aur oske aankho mein aansu hain. Mihir khudko bahut helpless feel karaha houta hai. Tabhi room mein Daamini aati hai.
Daamini: arre mihir beta..... Tum yehan ho?
[ Mihir apne aansu chupke se pouch leta hai. ]
Daamini notice karti hai ke Mihir dukhi hai.
Damini: mat karo yaad usey.
Mihir: daadi? yeh aap kya bol rahi hain? Main udaas thodi na hoon..
Daamini: main bhi tumhari dadi hoon.. mujhse jhooth mat bolo. Main sab janti hoon ke tum een dino tulsi se bahut pyaar karne lage ho..... Lekin beta yeh sab kuch pyaar nahi hai..... Aur ab tulsi ki shaadi kisi aur se houne wali hai..... Tum kuch bhi karne se pehle apne pariwaar walon ke baare mein soch lena... Pehle se hi Abeer aur Kajol ke wajah se humare pariwar ki itni badnaam hou chuki hai.... Ab agar tum Tulsi ke bare mein sochoge tou log yehi kahenge ke Viranis ke poute Mihir Virani ne ek aisi ladki se shaadi ki jiska na family-background ka kuch pata hai na koi identity!
Daamini: Please mihir beta, tumhe meri, aur apne pariwaar ki kasam hai.. Tum Tulsi ko bhool jao....
Mihir: main ek baar Tulsi se yeh baat sunna chahta hoon ke kya woh bhi yehi chahti hai? Agar Tulsi bhi yehi chahti hai, tou main Tulsi ko hamesha ke liye bhool jane ko tyaar hoon.
Daamini Tulsi se milne oske room mein jaati hai. Tulsi apne engagement ke liye apne room mein ready hou rahi houti hai.
Daamini: bahut achhi lag rahi ho..
Tulsi: arre dadi aap.. Aaiye na..
Daamini: Tulsi, waise humari kabhi unti achhe se baat tou nahi ho payi lekin maine jitna dekha aur suna hai, tum sach mein bahut achhi ladki ho...... Lekin..
Story 7 Writer- Admin
- Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 769
Tulsi: lekin kya dadi? Mujhse koi bhool hui hai?
Daamini: main sab janti hoon ke tum aur mihir ekdusre ko pasand karte ho. Lekin ab tumhe yeh samajhna hoga ke jab tak tum mihir se yeh nahi kehdeti ke tum kisi bhi tarah se ees ghar ki bahu banne layak nahi ho, tab tak woh bhi zidd karega.
[ Tulsi yeh soonkar bahut hurt houti hai. ]
Tulsi: aaj meri sujit ke saath engagement hai, dadi aaj main aapse vaada karti hoon ke main mihir ko samjhaungi...... aur kabhi mere wajah se ees ghar ka kuch nuksaan nahi hoga..
Daamini: (khush houte hue) mujhe tumse yehi umeed thi..
{ Aakashi yeh sab kuch room ke bahar se sunn leti hai. }
Aakashi: ( mann mein sochte hue) arre wah! Yeh dadi tou badi kamaal ki chiz hai! Apne raste ke pathhar ko kaise saaf karte hain, bahut khub janti hai!
Daamini Panditji se kehkar Tulsi aur Sujit ki shaadi kal fix karne ko kehti hai. Pandit-ji poore gharwalon ko batate hain ke dono kundali ke according kal ka mahurat shaadi ke liye shubh hai warna 4 saal tak koi shubh mahurat nahi hai. Yeh soonkar poorey gharwale khush houte hain lekin living room mein maujood sab logon ke beech Mihir aur Tulsi bahut helpless feel karahe houte hain. Woh dono ekdusre ke taraf dekh isharo mein hi ekdusre ko apne-aapko-sambhalne ko kehte hain.
Tulsi ghar ke bahar garden area mein pool ke bridge ke upar khadi thi aur rou rahi thi. Tabhi wahan Mihir ata hai.
Mihir: Tumhe yaad hai jab hum pehli baar miley thhe?...
Tulsi peeche palat kar dekhti hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 770
Tulsi peeche palat kar dekhti hai.
Mihir: Kabhi socha na tha ke hum dono ekdusre se... (tabhi Tulsi Mihir ko rokte hue kehte hue)
Tulsi: Bas Mihir! Aage kuch na kehna..... Bahut mushkil se khudko sambhala hai...
Mihir Tulsi ke paas aakar oska haath pakad kar puchte hue-
Mihir: tou sirf ekbaar kehdo ke kya tum yeh shaadi apne marzi se karahi hou?! Jawab do Tulsi!!!
Tulsi: Haan! Haan! MAIN YEH SHAADI APNE MARZI SE KARAHI HOON!!!
Tulsi: (route hue) shayad kuch rishto ka toot jana hi behtar hota hai mihir... Ho sakey tou mujhe bhool jana... Alvida.
Agle Din -Tulsi aur Sujit ke shaadi ka din.
Mihir office jata hai. Mihir decide karta hai ke woh apne aankho ke saamne Tulsi ki shaadi houte hue nahi dekh sakta esiliye aaj ka poora din woh office mein rahega. Tabhi Mihir ko awaaz ati hai, office ke kuch employees Mihir ke cabin ke bahar Sujit ke bare mein baat karahe houte hain. Mihir gusse mein jakar cabin ka door band karne ke liye utha hi tha ke tabhi Mihir ko Sujit ke bare mein kuch baatein pata chalti hai, jo woh office employees discuss karahe houte hain.
Mihir ko pata chalta hai ke Sujit aur uske gharwalo ne Tulsi ke bare mein jaane ke baad yeh shaadi sirf esi shart par karne ko manzoor hue agar unko dahej (dowry) dia jaye. Yeh baat viranis mein kisi ko ab tak pata na chala lekin ees baat ke bare mein Daamini janti thi. Daamini ne Sujit aur uske gharwalon ko 20lakhs rupees aur kuch golden jewelleries bhi diye aur baat ko wahi khatam karva dia. Mihir ees baat ko jaan lene ke baad jald-se-jald wahan se nikal jata hai Tulsi ki shaadi ko rokne ke liye.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 771
Tulsi apne room mein akeli thi aur saamne bed par shaadi ke kapde aur jewelleries rakhe hue thhe. Kuch hi der mein Tulsi shaadi ke kapde pehen leti hai aur mirror mein khud ko dekhte hue dheere-dheere shaadi ke woh jewelleries pehene lagti hai. Kuch hi der mein Tulsi dulhan bann kar ready hou jati hai. Woh khudko mirror mein dekhkar woh saare baatein yaad karti hai jab Tulsi aur Mihir apne shaadi ke sapne ekdusre se kehrahe thhe, ke jab unki shaadi hogi tou sab kuch kaisa hoga. Purani baaton ko yaad kar Tulsi ke aankho mein aansu ajate hain.
Tabhi room ka darwaza kholkar Mihir andar ata hai aur darwaza andar se band karleta hai. "Tum Sujit se shaadi nahi karsakti!" Mihir Tulsi se aggresive houkar kehte hue.
Tulsi: Mihir! Tum ees tarah yehan! Agar kisi ne tumhe yehan dekh lia tou..
Mihir: bhool jao sab ke baare mein! Aur meri baat dhyan se suno.
Tulsi yeh sab soonkar yakeen nahi kar paati lekin tabhi usey Daamini aur uski Kaaveri-baa se kia hua promise yaad ata hai aur woh Mihir ko wahan se chale jane ko kehti hai. Mihir osey apne pyaar ka vasta deta hai. Tulsi aur Mihir room ke window se bahar nikal jate hain aur bhaag jate hain.
Tulsi ko dhundte hue Aakashi room mein ati hai aur dekhti hai ke Tulsi missing hai.
Aakashi: Yeh kya! Thakurjee aap bhi ustaad ho! Ek par Ek drama! Ab aayega maza jab sabko pata chalega ke dulhan khud apne hi shaadi se gayab hai!
Kaaveri ko sujit aur uske gharwalo ke bare mein sab pata chal jata hai ke jab woh Daamini ko sakshi se baat karte hue sunti hai. Kaaveri poore gharwalo ke samne Sujit aur uske gharwalon ko expose kardeti hai. Mahesh police ko bulata hai aur Sujit aur uske gharwalon par dowry-case kardeta hai.
Udhar Tulsi aur Mihir mandir pahuch jate hain. Mihir Tulsi ka haath thaam leta hai aur woh dono mandir mein shaadi karne ka faisla karte hain. Kahani 50 saal pehle jaise hou jati hai jab Mahesh aur Kaaveri ne bhi theek esi tarah mandir mein shaadi kia tha.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 772
Aakashi: ( mann mein sochte hue) ab ayega maza! Jab sakshi-maa dekhengi ke unke pyare bĂªte ne kya kia hai!
Sakshi pooja ki thaali lekar mandir mein rakhne hi jaa rahi houti hai ke woh samne Mihir aur Tulsi ko dekhti hai. Unhe dekhkar Sakshi ke haath se woh thaali girr jaati hai.
Kavita Daamini se dheere se kehte hue-
Kavita: arara! saalon pehle wali kahani phir se repeat hou gayi hai yehan tou......
Daamini: yakeen tou mujhe bhi nahi araha...aisa kaise ho gaya.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 773
Mihir: dadi, jo aapne humdono ko alag karne ki koshish ki thi woh bhi kitna sahi tha?? Majboori mein yeh faisla humdono ko lena pada...... Baat yehan Tulsi ki zindagi ki thi..
Daamini: achha? aur ab jo media wale ees pariwar ki izzat ko neelam karenge, ees sab ke liye zimmedaar tum aur.. yeh ladki Tulsi hogi!
Daamini Sakshi se kehte hue-
Daamini: dekh rahi ho na tum sakshi.. Tumhara beta ab tumhara nahi raha, woh tou ab apne biwi ke kehne par chalne wala hai.. zara sambhal kar rehna.
[ Yeh soonkar Sakshi soch mein padd jaati hai ke kya sach mein ab Mihir kabhi apni maa ka kehna nahi manega? ]
Daamini wahan se gussa houkar chali jaati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 774
Tulsi aur Mihir thakurjee se aashirwaad lete hain apni nayi zindagi ke liye. Kaaveri sabke saamne Tulsi ko ghar ki chaabi deti hai aur sabke samne apni nayi uttaradhikari Tulsi ko banati hai.
Kaaveri: ab se, ees ghar ki zimmedari aur meri nayi uttaradhikari.. Tulsi hai...........
(Kaaveri Tulsi se kehte hue)
Kaaveri: aur ab jahan meri zimmedari yehan khatam houti hai, tumhari  zimmedari yehan se shuru houti hai.. tumhe ab ees ghar ko eksaath rakhna hoga............ aur aane wali nayi peedhi ko sahi disha deni hogi.......
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 775
Kaaveri: aur ab jahan meri zimmedari yehan khatam houti hai, tumhari  zimmedari yehan se shuru houti hai.. tumhe ab ees ghar ko eksaath rakhna hoga............ aur aane wali nayi peedhi ko sahi disha deni hogi.......
Tulsi: baa, main aapse promise karti hoon ke jis tarah aapne ees ghar ko sambhala hai, theek osi tarah main bhi ees ghar ko sambhalungi...............
Yeh dekhkar Aakashi Kavita se kehte hue-
Aakashi: mujhe tou lagta hai ke Kaaveri-baa ko pehle se hi yeh sab ka pata tha aur woh intezar karahi thi ke kab woh tulsi ko mihir ke galey faas dey aur ghar ki chaabi tulsi ko de dey!
Kavita: arara! tu kyu itni jal-bhoon rahi hai kisi vamp ke tarah!
Tulsi aur Mihir jakar Mahesh aur Kaaveri se aashirwaad lete hain, Atul aur Sakshi se aashirwaad lete hain, kavita se aashirwaad lete hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 776
Kajol: I DON'T BELIEVE THIS! Kisi ko meri koi parwa hi nahi? Ghar mein sab Mihir bhaiyya aur Tulsi ke baare mein hi soche jaa rahe hain! Aur meri zindagi ka kya!
Udhar Tulsi apne room mein bethi thi. Mihir wahan ata hai.
Mihir: Tulsi, aaj hamari shaadi jis condition mein hui hai...... Humey bahut time lagega gharwalon ka dil jeetne mein......
Tulsi: chahe jo ho, main tumhara hamesha saath nibhaungi mihir...............
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 777
Kaaveri: kya hua Mahesh? Tum kya soch rahe ho?
Mahesh: Kaaveri, een 50 saal mein humne zindagi mein kitne mushkile dekhi hain...... Ekdusre ko kho kar wapas paya..... Aur ees beech maa aur rishab ka.. Lekin kyunki ab zimmedari lene ke liye nayi peedhi hai, humari jagah woh lene ke layak hain, tou ab humey aage ke bare mein sochna chahiye........
Kaaveri: main janti hoon tum kya kehna chahte ho mahesh.. Aur zindagi ke bache hue yeh kuch lamho mein, main tumhara poora saath dungi.............
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 778
Atul: Sakshi i think jo ho gaya usey bhool kar humey aage badhna chahiye....... Aur ab Tulsi hamari bahu hai, ees ghar ka sadasya.
Sakshi: Waise Tulsi bahut achhi ladki hai aur main khush hoon ke woh hamari bahu hai.
( Yeh baat Aakashi soon leti hai. )
[ Sakshi cupboard se jewelleries ka set nikalti hai. ]
Atul: arre, yeh tou wahi jewelleries hain na jo badi-maa ne tumhe dia tha?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 779
( Yeh baat Aakashi soon leti hai. )
[ Sakshi cupboard se jewelleries ka set nikalti hai. ]
Atul: arre, yeh tou wahi jewelleries hain na jo badi-maa ne tumhe dia tha?
{ Woh expensive jewelleries dekhkar Aakashi surprise hou jaati hai. }
Sakshi: (khush houkar kehte hue) Haan, aur ab yeh jewelleries.. main apni nayi bahu ko dungi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 780
Atul: arre, yeh tou wahi jewelleries hain na jo badi-maa ne tumhe dia tha?
{ Woh expensive jewelleries dekhkar Aakashi surprise hou jaati hai. }
Sakshi: (khush houkar kehte hue) Haan, aur ab yeh jewelleries.. main apni nayi bahu ko dungi.
Atul: theek hai, tou tum nayi bahu ka swagat karo, main office se houkar ata hoon.
[ Atul ke jaane ke baad. ]
"Mummy ji........" Yeh bolte hue Aakashi room mein aati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 781
Sakshi: arre Aakashi tum.. Aao aur dekho, yeh jewelleries Tulsi par kaise lagenge?
Aakashi: hmm yeh jewelleries aapne kitne pyaar se apni nayi bahu ke liye sambhal ke rakha tha lekin..
Sakshi: lekin kya?
Aakashi: lekin wahan Kaaveri-baa ne Tulsi ko een jewelleries se bhi zyada expensive, aur 2-3 set nahi, 8-10 set diye hain.....
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 782
Aakashi: hmm yeh jewelleries aapne kitne pyaar se apni nayi bahu ke liye sambhal ke rakha tha lekin..
Sakshi: lekin kya?
Aakashi: lekin wahan Kaaveri-baa ne Tulsi ko een jewelleries se bhi zyada expensive, aur 2-3 set nahi, 8-10 set diye hain.....
Sakshi: lekin kya farak padta hai, jewelleries chahe Kaaveri-maa ne dia ho ya maine..
Aakashi: arre wahi tou!! Lekin Tulsi ko bhi tou itna khayal rakhna chahiye na, ke oski saans ne oske liye jo jewelleries rakhe hain.. Tulsi ko wahi jewelleries pehenna chahiye.
{ Aakashi ki baat soon kar Sakshi soch mein pad jaati hai. }
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 783
Sakshi: lekin kya farak padta hai, jewelleries chahe Kaaveri-maa ne dia ho ya maine..
Aakashi: arre wahi tou!! Lekin Tulsi ko bhi tou itna khayal rakhna chahiye na, ke oski saans ne oske liye jo jewelleries rakhe
hain.. Tulsi ko wahi jewelleries pehenna chahiye.
{ Aakashi ki baat soon kar Sakshi soch mein pad jaati hai. }
Aakashi: Waise, aajkal Mihir bhaiyya ke rang bhi bahut badle hue hain.. Biwi kya aagayi! Apni Maa ko bhool gaya!!
Sakshi: nahi! Mihir apni biwi ke liye apni maa ko nahi bhool sakta. Mujhe apne bete Mihir par poora bharosa hai......
Aakashi: achha? tou jakar yeh jewelleries mihir ko dijiye aur kahiye ke Tulsi sirf aapke diye hue jewelleries hi pehenegi. Aur dekh lijiye ke mihir kiska side leta hai.
Sakshi woh jewelleries lekar Mihir ke room ke taraf jaati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 784
Tulsi Mihir ke taraf dekhti hai, Mihir osey woh jewellery pehenne ke liye kehta hai.
Tulsi woh Jewellery khushi se accept karleti hai.
Neeche mandir mein, sab log aarti karne aaye hue hote hain. Sakshi peeche murr kar dekhti hai tou Tulsi aur Mihir stairs se neeche arahe houte hain, lekin Sakshi dekhkar dunn reh jaati hai jab woh dekhti hai ke Tulsi ne Kaaveri ke diye hue jewellery pehene hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 785
[ Yeh soonkar Sakshi soch mein pad jaati hai. ]
Ghar mein Junagarh se Kavita ke kuch guest aate hain. Kavita, Daamini aur Sakshi unka welcome karti hai. Guests mein se ek ladka, Harish Kumar, jo ek company mein employee hai, dekhne mein bilkul boring aur aankho par chashme.
Harish Kumar, bahut decent aur bhola-bhala sa 25 year old ladka hai. Woh ek middle class ghar se belong karta hai esiliye Shanti-Nivas ko dekhkar, osey lagraha tha ke woh kisi mehel mein aya hai. Woh Shanti-Nivas ko dekhte-dekhte galti se corridoor mein chala jata hai, aur tabhi Kajol wahan apne room se bahar nikal rahi houti hai ke woh Harish se takra jaati hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 786
Harish Kumar, bahut decent aur bhola-bhala sa 25 year old ladka hai. Woh ek middle class ghar se belong karta hai esiliye Shanti-Nivas ko dekhkar, osey lagraha tha ke woh kisi mehel mein aya hai. Woh Shanti-Nivas ko dekhte-dekhte galti se corridoor mein chala jata hai, aur tabhi Kajol wahan apne room se bahar nikal rahi houti hai ke woh Harish se takra jaati hai.
Harish se takrane se Harish ke glasses neeche girr jate hain aur osey kuch bhi theek se dikhai nahi dey raha houta hai. Kajol ko bahut gussa ata hai aur woh Harish ko bahut bure tarah se insult karke wahan se chali jaati hai.
Harish ghar ke mandir mein aakar apne bado se aashirwaad leta hai, aur aarti mein participate karta hai. Harish ke baare mein Kavita se sunnkar Kaaveri ko lagta hai ke Kajol jo abhi bahut disturb hai, aise mein agar Harish se Kajol ki agar dosti ho jaye, tou kajol pehle ke jaise normal ho jayegi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 787
Mihir announce karta hai ke woh apna khud ka ek alag business, 'Kaaveri Group of Industries' shuru karaha hai. Mihir ke ees decision ko sunn kar sab logon ko yakeen nahi houta hai. Mahesh ees baat par sawal karta hai ke aakhir Mihir ne aisa decision kyun liya? Mihir yeh baat clear karta hai ke woh sirf Virani naam mein bandh kar nahi rehna chahta hai, esiliye woh apna khud ka ek business shuru karna chahta hai. Ees decision ko sunnkar Tulsi bahut khush houti hai. Mihir sabse aashirwaad leta hai aur sabhi log Mihir ko congratulation wish karte hain.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 788
Kajol: (gusse se kehte hue) Yeh phone! Yeh phone tumhare paas kaise aya?!
Harish: woh mujhe baroda mein urgent call karna tha, esiliye maine aapka phone dekha tou...
Kajol: tou kya! mera phone chori kar loge?!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 789
Kajol: (gusse se kehte hue) Yeh phone! Yeh phone tumhare paas kaise aya?!
Harish: woh mujhe baroda mein urgent call karna tha, esiliye maine aapka phone dekha tou...
Kajol: tou kya! mera phone chori kar loge?!
Harish: dekhiye, mera aapko pareshaan karne ka koi intention nahi tha...main tou bas...
Kajol: bas! Mujhe apne excuses mat do! samjhe!
Harish: (smile karte hue) Kajol ji, aap itna gussa mat kariye..... aapko pata nahi hai, itna gussa karne se aapki tabiyat kitni kharab hou rahi hai...........
[ Harish ke ees simple baat se Kajol shaant hou jati hai aur wahan se chali jaati hai. ]
Kaaveri yeh dekhkar samajh jaati hai ke Kajol ko sirf Harish hi samajh sakta hai.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 790
Mahesh: arre Kaaveri, tum itna kya soch rahi ho?
Kaaveri: Mahesh main soch rahi thi ke Kajol ke zindagi mein beetey kuch waqt mein bahut saari baatein ho gayi....... Aise mein jab Abeer ke wajah se Kajol ki zindagi itni mushkil ho gayi hai..... tou aise mein uska haath kaun thamega?
Mahesh: lekin Kajol bahut ziddi hai. Woh apne faisle khud hi karna chahti hai.......
Kaaveri: Kajol ziddi hai..... Lekin oske liye ek achha ladka bhi hai mere nazar mein...
Mahesh: kaun?
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 791
Mahesh: arre Kaaveri, tum itna kya soch rahi ho?
Kaaveri: Mahesh main soch rahi thi ke Kajol ke zindagi mein beetey kuch waqt mein bahut saari baatein ho gayi....... Aise mein jab Abeer ke wajah se Kajol ki zindagi itni mushkil ho gayi hai..... tou aise mein uska haath kaun thamega?
Mahesh: lekin Kajol bahut ziddi hai. Woh apne faisle khud hi karna chahti hai.......
Kaaveri: Kajol ziddi hai..... Lekin oske liye ek achha ladka bhi hai mere nazar mein...
Mahesh: kaun?
Kaaveri: Harish........ Woh Kavita-chachi ka guest.
Mahesh: lekin Kajol ko manana bahut mushkil hoga.......
Kaaveri: Kajol Harish ko ekbaar samajh legi, dono ekdusre ko jaan jayenge tou Kajol ees rishte ke liye maan jayegi.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 792
Mahesh: yeh sab kya tamasha laga rakha hai!
Abeer: bade papa, main yahan Agnee se milne aya hoon....... Ab mujhe meri galati samajh agayi hai......
[ Tabhi wahan Agnee aati hai. Ghar ke sabhi log wahan ajate hain.]
Kaaveri: bas! tumne pehle se hi agnee aur kajol ki zindagi barbaad karakhi hai....... aur ab yeh kaunsa naatak karne yehan aye ho?!
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 793
Abeer: (route hue) yakeen maniye badi-maa, main koi natak nahi karaha...... Main sach-mooch mein agnee se pyaar karne laga hoon...... jab se mujhe meri galati ka ehsaas hua hai, tab se maine yeh jaana ke main kitna galat tha.... lekin ab main sab theek karna chahta hoon............. MAIN AGNEE SE SHAADI KARNA CHAHTA HOON.
"Abeer!! How dare you!!" -Kajol bahut gusse mein Abeer par chillate hue.
Story 7 Writer- Admin
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2012-12-31
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 33 of 41 • 1 ... 18 ... 32, 33, 34 ... 37 ... 41
» Sword fighting in Sajan Ghar Jana Hai
» A new family to creates rift in Sajan Ghar Jaana Hai
» PLZZZZZZZZZZZ upload kyunki 20 nov 2006 video
» Aap ki kacheri Kiran ke saath is going 2 REPLACE KYUNKI !
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer