Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Page 18 of 41 • 1 ... 10 ... 17, 18, 19 ... 29 ... 41
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
----------------------
Story: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
Story By: Diipendu Dutta
Started On: 2007
Concluded On: 2025
Genre: Drama
No. of episodes: 1000
Last edited by Diipendu on 19/8/2020, 4:42 am; edited 5 times in total
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 403
Sakshi : badi-ma, maine apko apna faisla suna dia hai!........................ Magar atul hai ke maanta hi nahi hai... Aap please mujhe galat mat samajhiyega!
Sakshi : actually atul ka buisness india ke baahar hai... Aur sab kuch wahin par hi settle hai.... Ab agar aise mein hum wahaan se ees tarah yehaan aayenge tou............. Tou ees se humare liye bahut badii problem hou sakte hain... Aur main koi bhi problem nahi lena chahti hoon! Aur waise mein bhi, aajkal zamaana badal gaya hai, loug aajkal joint families se nikal kar alag tarah se zindagi jee rahey hain... Tou aise mein aap kyun atul ko force kar rahin hain?!
Kaaveri : maine atul ko force nahi kia hai sakshi..... Maine tou bas tumdono ko shantiniketan mein aakar rehne ko kaha hai... Maana ke aajkal zamaana badal gaya hai, magar rishtey, sanskaar aur ek pariwaar mein rehna, joint family mein rehna jo houta hai woh aajkal bahut kam hi houta hai... Agar tum joint family mein rehkar dekhogi, tou jaanogi...
Sakshi : bas badii maa!...
Guest- Guest
Episode 404
Kaaveri : maine atul ko force nahi kia hai sakshi..... Maine tou bas tumdono ko shantiniketan mein aakar rehne ko kaha hai... Maana ke aajkal zamaana badal gaya hai, magar rishtey, sanskaar aur ek pariwaar mein rehna, joint family mein rehna jo houta hai woh aajkal bahut kam hi houta hai... Agar tum joint family mein rehkar dekhogi, tou jaanogi...
Sakshi : bas badii maa!... Mujhe agar yehaan nahi rehna hai tou nahi rehna hai!
Kaaveri : magar sakshi---
Tabhi ghar mein chillaane ki awaaz aati hai!
Kaaveri aur Sakshi jaldi se yeh dekhne ke liye wahaan se jaate hain aur jaakar dekhte hain tou ghar mein Rahul Priyanka ke saath shaadi karke priyanka ko shantiniketan laya tha.
Yeh dekhkar poora pariwaar ko sadma lagta hai. Saare loug yeh dekhkar chaukk jaate hain.
Udhar Sakshi Kaaveri se jaakar kehti hue-
Sakshi : kyun badii-maa, kya yehi hai aapke sanskaar???
Guest- Guest
Episode 405
Kaaveri ka Rahul aur Priyanka ka ghar mein swaagat karne ko dekh, ghar ke sabhi loug yehaan tak ke baa, Pragya, Daamini, pooja aur hemant bhi chauk jaate hain.
Pragya Rahul ka ees tarah se Priyanka se shaadi karne ko dekh osey bahut bada jhatka lagta hai.
=============================
Sakshi :
Manjula : rahul, beta yeh sab........ Kya hai???
Hasmukh : rahul, tumne ees tarah shaadi kii... Kyun?
Tabhi wahaan Rishab aur Anushka wahaan aate hain aur dekhte hain ke Rahul ne Priyanka se shaadi kii sabko bina baataye. Yeh dekh Anushka chauk jaati hai.
Guest- Guest
Episode 406
Baa : Ek minute!.................................................... Aaj shantiniketan mein nayi bahu aayi hai, aur aise mein aapsab loug nayi bahu ka swaagat karne ke bajaye... Sawaal kar rahey hain???
Baa : shantiniketan ki yeh parampara rahi hai..... Jab bhi ghar mein nayi bahu aaye tou uska swaagat kia jata hai, naa ki osey wahin dwaar par roka jata hai...
Baa : main yeh umeed karti hoon ke aap sab sadasya apne nayi bahu ka swaagat karenge......... Aur jahaan tak baat hai sawaal aur jawaab kii, tou.............. Rahul, tum aur priyanka mujhe aakar mere kamre mein mujhse miloge aur aapsab loug bhi aakar mujhse milenge! Wahin par yeh faisla hoga ke rahul ne jo kia woh kyun kia aur eeski wajah kya thii.................................
Baa : abhi sawaal aur jawaab ke bajaye, priyanka ka shantiniketan mein swaagat kariye...
Baa ke ees faisle se jahaan Jayant, Hasmukh, Daamini aur Pragya bahut naaraz thhey aur Daamini aur Pragya jahaan bahut naa-khush bhi thhey wahin Vadehi ko ek aur mauka mill gaya tha ghar mein ees baat ko bada banane kaa.
Pragya aur Daamini wahaan se chaley jaate hain.
Guest- Guest
Episode 407

----------------
Rahul aur Priyanka ghar ke ees maahol ko dekh bahut dukhi hue. Magar Kaaveri ne phir bhi Rahul aur Priyanka ka swaagat kia aur esi tarah Priyanka ka shantiniketan mein swaagat hua.
------------------------------------
Jayant : mota bhai, aap yehi soch rahey hain na ke rahul ke ees tarah se shaadi karne se society mein humaari kitani badnaami hougi?
Hasmukh : haan, magar main yeh bhi soch raha hoon ke ab baa kaun sa faisla karegi...
Jayant : magar mota bhai, rahul ne tou seema se shaadi ke liye haan bhi kaha, phir achaanak se osne priyanka se shaadi???
Hasmukh : ees baat se tou main bhi hayraan hoon...
Guest- Guest
Episode 408
Tara-bua : magar rahul tou rishab se zyada samajhdaar hai, woh jhuk sakta hai magar apne ghar ke izzat ko jhukne nahi dey sakta hai... Aisa beta aisa kaam karega yeh tou hou hi nahi sakta! Zaroor kuch baat hai... Mujhe pata lagana padega...
----------------------------------------------
Vadehi : ( mann mein sochte hue ) wah rahul wah! Akhir tumne bhi wahi kaam kar dikhaya jo tumse mujhe umeed thi... Ab mujhe yeh tou pata hai hi kee........................ Ke Rahul aur Priyanka ko ghar se bhaagkar shaadi karne ko kaaveri bhabhi ne hi kaha hai, unki pyaari kaaveri-maa ne aur shantiniketan ki sabsee devi maane jaane wali bahu kaaveri ne hi khud! Khud shantiniketan ko badnaam kia hai...
Vadehi : ab agar yeh baat pragya-maa ko pata chal jaaye........ Tou kaaveri bhabhi tou shantiniketan se bahaar! Aur shantiniketan ki jaan hi agar shantiniketan ko chorrkar chalii jaaye, tou mera oos beyjaan se shantiniketan ko barbaad karna aur aasaan hou jayega!
Guest- Guest
Episode 409

Kaaveri, Rahul aur Priyanka ka shantiniketan mein swaagat karti hai. Rahul aur Priyanka baa se aashirwaad lete hain aur phir jab woh dekhte hain ke pragya aur daamini wahaan nahi hai tou woh kaaveri se ashirwaad lete hain.
Kuch deyr baad-
Saare family members baa ke room mein jaate hain. Rahul aur Priyanka bhi wahaan aate hain.
Guest- Guest
Episode 410
Kuch deyr baad-
Saare family members baa ke room mein jaate hain. Rahul aur Priyanka bhi wahaan aate hain.
Baa : sabse pehle main rahul se yeh poochna chahoongi ke, rahul tum agar priyanka se shaadi karna chahte thhey.......... Tou tumne pehle ghar mein eeske baare mein kisi se kyun nahi kaha?
Pragya : baa ab hum seema ko aur uske family ko kya kahenge??? Yehi ke rahul ne---
Baa : main yehaan rahul se baat kar rahi hoon... Achha hoga ke rahul mere sawaal ka jawaab dey...
Guest- Guest
Episode 411
Pragya : baa ab hum seema ko aur uske family ko kya kahenge??? Yehi ke rahul ne---
Baa : main yehaan rahul se baat kar rahi hoon... Achha hoga ke rahul mere sawaal ka jawaab dey...
Tabhi Kaaveri saamne aakar sabke saamne kehte hai-
Kaaveri : baa, esmein rahul aur priyanka ki koi galati nahi hai... Maine hi rahul se kaha tha ke woh priyanka ko ghar se ees tarah....
Kaaveri : baa, humne tou apne-apne swaarth ke liye rahul ko yeh keh dia ke woh seema se shaadi kar ley............... Jabki.... Jabki kisi ne bhi rahul se oski raaye, oske mann ki baat jaanni bhi nahi chahi...
Baa : rahul ki mann ki baat?
Guest- Guest
Episode 412
Baa : rahul ki mann ki baat?
Kaaveri : haan baa... Rahul aur Priyanka ekdusre ko bahut pehle se jaante thhey... Woh dono ekdusre se bahut pyaar karte thhey magar rahul ne kabhi bhi ghar mein kisi se yeh baat kahi nahi.......
Kaaveri ghar ke sabhi lougon ko Rahul aur Priyanka ki kahaani sunati hai. Kaaveri sabko poori baat batati hai.
Kaaveri : baa..... Agar aaj humne seema aur rahul ki shaadi kar dii houti tou... Tou rahul aur priyanka tou khushi-khushi ekdusre ko bhulaa dete magar..... Magar yeh bahut galat hou jata... Teen zindagiyaan barbaad hou jaati, esmein koi khush nahi rehta...
---------------------
Daamini Pragya ko chupke se kehte hue-
Daamini : didi aapne dekha?! Kaaveri ko yeh sab pehle se pata tha...........
{ Pragya Kaaveri se naaraz houte hue- }
Pragya : kaaveri ne yeh bilkul theek nahi kia...
Guest- Guest
Episode 413
Kaaveri : baa..... Agar aaj humne seema aur rahul ki shaadi kar dii houti tou... Tou rahul aur priyanka tou khushi-khushi ekdusre ko bhulaa dete magar..... Magar yeh bahut galat hou jata... Teen zindagiyaan barbaad hou jaati, esmein koi khush nahi rehta...
----------------------
Vadehi yeh sab dekhkar mann-hi-mann bahut khush houte hue-
Vadehi : ( mann mein sochte hue ) mujhe tou kuch karne ki zaroorat hi nahi padd rahi hai... Kaaveri bhabhi ne saari suchhai baa ko bataakar, baa ko tou naaraz kar hi dia hai........... Ab Pragya-maa hi apne bahu kaaveri ko shantiniketan se baahar kaa raasta dikhayengi unke esi harkat ke liye!
----------------------
Manjula : oho yeh kya kia kaaveri ne... Ab tou baa kaaveri se naaraz hou jayegi aur phir... Hey thakurjee, aap please kaaveri ko ees musibat se bahaar nikaalo...
Guest- Guest
Episode 414
Baa : kaaveri aisa faisla lekar tumne bilkul theek kia... ( baa kaaveri se khush houte hue )
Baa : rahul aur priyanka ekdusre se bahut pyaar karte hain... Aur pyaar karne waalon ko alag karna paap houta, eseliye kaaveri ne yeh paap houne se rouk dia...
Kaaveri :
Saare gharwaale kaaveri ke faisle se khush houkar kaaveri ko uske sahi faisle lene ke liye osko dhanyavaad dey rahe thhey. Magar tabhi Pragya saamne aati hai.
Pragya : magar main kaaveri ke ees faisle se sehmat nahi hoon!
Guest- Guest
Episode 415
Pragya : magar main kaaveri ke ees faisle se sehmat nahi hoon!
Jayant aur Mukesh bhi saamne aakar baa se yeh sawaal karte hue kehte hain-
Mukesh : baa, humey bhi kaaveri ke ees faisle se aitraaz hai.............
Jayant : haan baa, kaaveri ke ees ek faisle se society mein humaari jo badnaami hou rahi hai... Loug tou tarah-tarah ke baatein kar rahey hain...
Baa : lougon ka tou kaam hi hai kehna... Unhe jo bhi kehna hai unhe kehne do...
Baa : aur jahaan tak baat aati hai ghar ke izzat kii........... Tou aaploug yeh bhool rahey hain ke... Jab bhi shantiniketan par dookhon ka paahar toota hai, tou shantiniketan mein reh rahey sadasyaon ne hi oon dookhon ka aur har oon tamaam musibaton ka eksaath saamna kia hai...
Baa : ab aise mein agar hum lougon ke baare mein sochne lagey tou....... Nahi!
Guest- Guest
Episode 416

Mukesh aur Jayant ko Baa ke baatein samajh mein aajati hain. Woh dono ees baat ko samajh jaate hain.
Mukesh : baa, hum galat thhey... Ghar bahaar waale lougon ke soch se nahi chalti hai...
Magar Pragya aur Daamini abhi bhi kaaveri ke ees faisle se sehmat nahi thhey.
Pragya : baa magar main abhi bhi apne faisle par atal hoon!
Guest- Guest
Episode 417
Magar Pragya aur Daamini abhi bhi kaaveri ke ees faisle se sehmat nahi thhey.
Pragya : baa magar main abhi bhi apne faisle par atal hoon! Main jaanti hoon ke ees ghar mein koi bhi mera saath nahi dene wala hai.... Kyunki aap sabko sirf kaaveri hi sahi lagti hai!
Baa : pragya bahu faisla hou chuka hai...
Daamini : magar baa hum seema ke gharwaalon se kya kahenge???
Guest- Guest
Episode 418
Kaaveri : main seema ke gharwaalon se baat karungi aur unhe samjhaungi... Aap sab mujhpar bharosa kijiye?
Kaaveri : baa aapko mujhpar bharosa hai na?
Baa : haan kaaveri... Kaaveri seema ke gharwaalon se baat karegi, aur mujhe yeh poora vishwaas hai ke..... Seema ke gharwaale maan jayenge...
Sakshi ko bhi Kaaveri ka woh faisla galat lagta hai.
Agle din
Kaaveri Seema ke ghar jaati hai.
Kaaveri : jai shri krishna!
Guest- Guest
Episode 419
Kaaveri Seema ke ghar jaati hai.
Kaaveri : jai shri krishna!
Kaaveri seema ke ghar jaakar rahul ke baare mein seema ke ghar waalon ko poori baat batati hai. Seema ke ghar mein sab yeh soonkar chak jaate hain ke itani badii baat ho gayi aur kisi ne unhe kuch bataya bhi nahi.
Kaaveri : dekhiye, main pehle tou aapsab se maafi mangti hoon......... Dekhiye meri bhi ek beti hai... Esiliye main samajh sakti hoon ke ees waqt aapsab par kya beet rahi hai... Magar aap samajhne ki koshish kijiye... Rahul ki shaadi agar seema se hou jaati tou aage chalkar seema rahul ke saath khush nahi reh paati...
Kaaveri ki baatein Seema aur uske gharwaalon ko sahi lagti hai.
---------------------------
Udhar shantiniketan mein-
Pragya : mujhe poora yakeen hai ke seema ke gharwaale kaaveri ko uske aise galat faisle ke liye bahut bura-bhala sunayenge!
Guest- Guest
Episode 420
Daamini : haan didi, mujhe bhi yakeen hai ke kaaveri ke ees faisle ko seema ke gharwaale kabhi yakeen nahi karenge...
Tabhi wahaan Sakshi aati hai. Pragya aur Daamini Sakshi ko wahaan dekhkar hayraan hou jaate hain.
Daamini : arre sakshi tum?
Sakshi : mujhe pata hai ke ees waqt aapdono bahut pareshaan hain... Magar main bhi badii maa ke faisle se khush nahi hoon!
Daamini : kya kehna chahti hou?
Sakshi : main tou bas badii maa ke har oon galat faislon se pareshaan hoon jo woh ees ghar ke liye liye jaa rahin hai!
Daamini : magar tum kyun kaaveri ke khilaaf bol rahi hou? Akhir osne tumhare saath aisa kya galat kiya hai?
Guest- Guest
Episode 421

Sakshi : actually..... Main aur atul apne alag zindagi mein khush thhey.... Magar badii maa ke ees tarah achaanak humey shantiniketan mein bulaana aur zabardasti humey yehin rokk kar rakhna!
Sakshi : ( gusse se ) ees se badii maa ko tou nahi magar haan! Mujhe bahut loss hua hai... Akhir woh khudko samajhti kya hain!?
Sakshi : mera wahaan social club tha... woh sab kuch wahaan par settle tha... Magar badii maa ke ek galat zidd se, mera sab kuch chala gayaa!...
Pragya : social club?
Sakshi : haan, ek khaas women club jo har social services mein participate karte hain aur tou aur har weekend mein special kitty party bhi!
Pragya-Daamini : kitty party bhi!!!
Guest- Guest
Episode 422
Pragya : social club?
Sakshi : haan, ek khaas women club jo har social services mein participate karte hain aur tou aur har weekend mein special kitty party bhi!
Pragya-Daamini : kitty party bhi!!!
Sakshi : haan haan... Magar ab tou yeh sab kuch badii maa ke wajah se bandd hou gaya hai...
Pragya Daamini ko ishara karke samjhati hai ke onhe bhi sakshi ke club mein join kar lena chahiye.
Pragya : sakshi, tum humey pehle kyun nahi bataya?... Woh actually, tumne jo club ki baat ki hai na.... Os matter mein hum tumko help kar sakte hain...
Daamini : haan, didi bilkul sahi keh rahi hai... Sakshi magar humaari ek shart hai!
Sakshi : shart???
Guest- Guest
Episode 423

Daamini : haan... Aur woh shart hai ke...
Pragya : hum bhi tumahre club mein member hounge!
Sakshi : deal! ( khush houte hue )
Pragya : tou yeh tyeh raha... Ab se hum teeno milkar apna social club shuru karenge...
Guest- Guest
Episode 424
Pragya : kya hua sakshi? Kya soch rahi hou?
Sakshi : dadi.... Mujhe nahi lagta ke ghar mein koi bhi ees social club waale faisle se khush hoga... Aur tou aur baa ko jab yeh social club waali baat pata chalegi tou woh tou tabhi seedha mana kar dengi!
Daamini : haan didi........ Sakshi theek keh rahi hai.... Baa kabhi bhi ees baat se sehmat nahi houngi ke shantiniketan ki bahuyein ghar ki dehleez ko paar kar baahar kadam rakhe...
Daamini : haan agar kaaveri ne aisa kuch permission baa se manga houta tou shaayad baa kaaveri ko mana nahi karti..... Magar ees ghar mein humaari sunta hi kaun hai?! Baa tou hamesha se hi kaaveri par andh-vishwaas karti hai... Arre baa tou kya yeh poora ghar hii kaaveri par vishwaas karta hai tou aise mein humaare social club waali baat se koi raazi nahi hoga...
Pragya : nahi!
Pragya : ek raasta hai.... Haan agar humne pehle ghar mein yeh baat kisi se kahii tou hou sakta hai ke ghar mein humey eski permission naa miley....
Pragya : Haan agar kaaveri baa se yeh ijaazat ley ke kaaveri ko buisness join karna hai, osey office jana hai... Tou zaaheer sii baat hai ke baa kaaveri ko mana nahi karengi....
Sakshi : haan magar, badii-maa ke office jaane se humey kya faayeda hoga?!
Guest- Guest
Episode 425

Pragya : faayeda humey yeh hoga ke kaaveri jab virani's ka buisness join karegi............ Tab hum bhi baa se aur poore pariwaar se permission lenge ke humey bhi apna ek social club shuru karna hai.... Aur humey kaaveri kii tarah ghar se baahar jaane ki zaroorat roz-roz thodi na hogi?
Daamini : haan didi aur baa ko phir humey apna social club shuru karne ke permission dene hii padegi kyunki kaaveri bhi office jaa rahi hai tou hum tou kaaveri se badey hain.... Humey bhi utna hi poora hakk hai!
=======================
Udhar Kaaveri Rahul aur Priyanka ke room ke taraf jaa rahi thi ke tabhi peechey tara-bua ne kaaveri ko bulaya-
Tara-bua : aaye haaye! Arre kaaveri tumse ek bahut hi zaroori baat karni thi...
Kaaveri : haan kahiye buaji?
Guest- Guest
Episode 426
Tara-bua : woh aaj vadehi kahin nazar nahi arahi hai kya tumne vadehi ko kahin dekha?
Kaaveri : nahi...
Kaaveri ko yaad ata hai ke kal baa ko banaras ke liye jana hai. Kaaveri jaldi se baa ke room mein jaati hai baa ko packing ke liye packing karne.
Kaaveri baa ke room mein jaakar dekhti hai tou baa udaas thi.
Kaaveri : baa, kya hua? Aap yun udaas kyun hain?
Kaaveri : baa yeh tou family photo album hai.........
Guest- Guest
Episode 427
Kaaveri : baa yeh tou family photo album hai.........
Kaaveri dekhti hai ke baa ek photo ko dekh kuch gumsum sii thi.
Kaaveri ne jab baa se woh photo lekar os photo ko dekha tou pata chala ke woh photo sejal ke bachhpan kii thi.
Kaaveri : baa.........
Kaaveri : ( mann mein sochte hue ) baa ko sejal ki yaad arahi hai.... Kaash agar sejal yehaan houti....
Kaaveri jaldi se baa ka packing karte hue-
Kaaveri : baa aap kal banaras jaa rahin hain, maine rahul se keh dia hai ke woh bhi aapke saath jaaye... Magar baa maine rahul se sab keh dia hai ke woh wahaan apka poora dhyaan rakhe... Aapne agar davaai lene se mana kia tou wapas aane par main apko bahut daatungi!
Baa : achha-achha theek hai... ( muskurate hue )
Kaaveri : ( mann mein sochte hue ) baa ke chehre par muskaan laane ke liye ab mujhe hi sejal ko wapas ees ghar mein lana hoga...
Guest- Guest
Episode 428
Ghar ke sabhi loug neechey ajate hain.
Daamini : didi, baa ne humsabhi ko achanak aisa kya kehne ke liye eksaath bulaya hoga?
Pragya : abhi pata chal jayega...
Baa wahaan aati hai.
Mukesh : baa apko kuch zaroori baat karni thi?
Baa : haan... Main kal banaras jaa rahi hoon, kuch dino ke liye... Ees beech main chahti hoon ke rasoi( kitchen ) ki zimmedari main kisi ek bahu ko du...
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Page 18 of 41 • 1 ... 10 ... 17, 18, 19 ... 29 ... 41
» Sword fighting in Sajan Ghar Jana Hai
» A new family to creates rift in Sajan Ghar Jaana Hai
» PLZZZZZZZZZZZ upload kyunki 20 nov 2006 video
» Aap ki kacheri Kiran ke saath is going 2 REPLACE KYUNKI !
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer