Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Page 17 of 41 • 1 ... 10 ... 16, 17, 18 ... 29 ... 41
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
----------------------
Story: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
Story By: Diipendu Dutta
Started On: 2007
Concluded On: 2025
Genre: Drama
No. of episodes: 1000
Last edited by Diipendu on 19/8/2020, 4:42 am; edited 5 times in total
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 379
Rahul : maa, dadi ne kya kaha? Kya woh maan gayin?
Kaaveri : nahi rahul, mujhe lagta hai ke ab tumhe wahi kadam uthana chahiye... Ab eske elava aur koi dusra rasta nahi hai...
Kaaveri Rahul ko aashirwaad dete hue-
Kaaveri : jeet tumhare pyaar ki hogi...
Upar se vadehi sab dekh leti hai.
Vadehi : (mann mein sochte hue) yeh kaaveri bhabhi kisliye rahul ko ashirwaad dey rahi thi? Aur pyaar ki jeet hogi, aisa kyun kaha? Zaroor koi baat hai, warna dhua wahin se uthta hai... Jahaan aag hoti hai!
Udhar Kaaveri ko yaad ata hai ke baa ne kaha tha ke unhe banaras Rahul ko saath lekar jana hai... Aur agar rahul ne abhi yeh kadam uthaya tou yeh theek nahi hoga.
Kaaveri Rahul ko yeh baat batane oske room mein jaati hai aur jakar dekhti hai tou rahul wahaan nahi hota hai. Kaaveri pareshaan hou jati hai.
Kaaveri : ( Pareshaan houte hue ) kahin rahul ghar chorrkar chala tou nahi gaya?...
Guest- Guest
Episode 380
Kaaveri Rahul ko yeh baat batane oske room mein jaati hai aur jakar dekhti hai tou rahul wahaan nahi hota hai. Kaaveri pareshaan hou jati hai.
Kaaveri : ( Pareshaan houte hue ) kahin rahul ghar chorrkar chala tou nahi gaya?...
Udhar Vadehi mann-hi-mann yehi soch rahi thi ke akhir woh kya baat hou sakti hai.
Vadehi : ( mann mein sochte hue ) itna tou zaroor pakka hai ke woh baat jo bhi hai......... Woh bahut badi hai... Aur baat jitani badi hogi, uska tamasha bhi utana hi bada hoga... Aur agar ees tamashe se kaaveri bhabhi ka shantiniketan mein maan, agar hamesha ke liye khatam houta hai tou ees shantiniketan ki sabse ahem, sabse mazboot kadii toot jayegi... Aur jo kadii kaaveri bhabhi hai, oska tootna tou mere liye bahut zyada zaroori hai...
Tabhi wahaan se tara-bua guzar rahi thi. Vadehi ne tara-bua ko rouka.
Tara-bua : ab tumhe kya batana hai vadehi-raniii???
Vadehi : mazak mat kijiye, mere paas apke liye ek bahut hi badi khabar hai...
Tara-bua : kyaaa??? phir tou tum jaldi se batao! kya khabar hai???
Vadehi : maine aaj kaaveri bhabhi aur rahul ke beech chal rahe baaton ko suna... Mujhe yeh pata chala hai ke, rahul kisi se pyaar karta hai...
Tara-bua : esmein nayi baat kaun si hai? Woh koi aur nahi seema hi hai jis se rahul pyaar karta hai!
Vadehi : nahi! Woh seema nahi koi aur hai... Aur yeh saari baatein kaaveri bhabhi bhi jaanti hain!!!
Tara-bua :
Guest- Guest
Re: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Sahil kohli- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 32
Location : delhi
Join Date : 2007-11-25
My Diary
About me:
*Medal*: SAHIL KOHLI- Fan of the year 2009
Episode 381
Pragya : ( mann mein sochte hue ) akhir kitani galat sochti thi main rahul ko lekar... Magar aaj osne seema ke saath shaadi karne ke liye haan keh dia aur ees pariwaar par lagne wale daag ko bhi hata dia... Shayad kaaveri sahi thi, mujhe rahul ko ees tarah paraya nahi samajhna chahiye tha...
Udhar Rahul Shantiniketan mein wapas lout ata hai. Kaaveri kitchen ke taraf jaa rahi thi, oski nazar darwaze par padti hai aur woh rahul ko wahaan dekh hayraan reh jaati hai.
Kaaveri : rahul?...
------------------------
Vadehi : ( mann mein sochte hue ) yeh kaaveri bhabhi rahul ko dekhkar ees tarah chauk kyun gayi?
================================================================
Kaaveri jaldi se Rahul ke paas jaati hai aur osey doorr ley jaakar oos se poochti hai-
Kaaveri : tum kahaan thhey? Mujhe laga ke
Rahul : maa, main galat tha maa...
Kaaveri : kya matlab?
Guest- Guest
Episode 382
Rahul : maa, main galat tha maa...
Kaaveri : kya matlab?
Rahul wahaan se bina kuch bole apne room ke taraf chala jata hai.
Pragya : yeh rahul ko kya hua? Woh ees tarah se chala kyun gaya?
Kaaveri bhi rahul ke room ke taraf jaati hai.
Kaaveri : rahul, beta kya hua tum ees tarah kahaan chale gaye thhey ?
Rahul : maa aap hi sochiye, dadi ne itney saalon mein pehli baar mujhpar bharosa kia hai... Main ees tarah pragya-dadi ke bharose ko nahi toudd sakta... Main Priyanka ke saath agar ghar se ees tarah bhaag kar shaadi karunga tou ees se pariwaar ki badnaam hogi...
Kaaveri : Main jaanti hu ke tum kabhi apno ko nuksaan nahi pahuchaoge.......... Magar haalat aise nahi hain ke tum kisi se kuch keh sako... Ees waqt tumhare papa bhi yehaan nahi hain... Ab jo bhi faisla karna hai, beta tumhe khud karna hai... Aur pyaar karne waalon ke saath thakurjee hamesha houte hain... Tum unpar bharosa rakho...
Rahul : aap theek keh rahi hain maa...
Kaaveri ko baa ki banaras wali baat yaad ati hai.
Kaaveri : rahul, beta ab thakurjee ne khud ek raasta dikhaya hai...
Rahul : raastaa???
Guest- Guest
Episode 383
Kaaveri : rahul, beta ab thakurjee ne khud ek raasta dikhaya hai...
Rahul : raastaa???
Kaaveri : haan, aaj baa ne mujhse kaha ke unhe banaras jana hai... Aur kyunki unki tabiyat theek nahi rehti hain eseliye unhe akela bhejna sahi nahi hoga... Esiliye agar tum unke saath chale jaoge tou ees se unhe bhi sahara mill jayega... Aur tumhari aur seema ki shaadi ki baat bhi kuch deyr ke liye rukk jayegi...
Rahul ko yeh soonkar bahut khushi houti hai. Woh turrant raazi hou jata hai.
Kaaveri : magar rahul, beta tum priyanka se kya kahoge?
Rahul : maa woh meri har baat ko samajhti hai... Humdono ekdusre se bahut pyaar karte hain magar... Woh mere aur seema ke houne wale shaadi se anjaan hai... Mujhe chinta tou ees baat ki hai ke, jab osey yeh pata chalega... Tou priyanka ka kya haal hoga?
Kaaveri : magar tum priyanka se mile kahan? Tumdono ki mulakat kahaan hui?
Guest- Guest
Episode 384
Rahul : 2 saal pehle, college mein hum dono ekdusre se miley thhey...
===============================
SCENE : Rahul apne classes ke liye late hou raha tha aur jaldi mein jaa raha tha. Jaate hue ek ladki ka dupatta rahul ke wrest-watch se atuck gaya. Rahul ne kisi tarah oos dupatte ko nikala. Woh ladki priyanka thi, pehle tou osne rahul ko bahut daata magar kyunki rahul apne classes ke liye late hou raha tha woh wahaan se bina kuch kahe hi chala gaya.
Priyanka : ( gusse se ) ek tou battamizi ki upar se mujhe sorry bhi nahi bola???
Rahul apne classes ke baad apne classes se nikal hi raha tha ke woh priyanka se anjaane mein takra jata hai.
Priyanka : dobara tumne battamizi kii!
Guest- Guest
Episode 385
SCENE : Rahul apne classes ke liye late hou raha tha aur jaldi mein jaa raha tha. Jaate hue ek ladki ka dupatta rahul ke wrest-watch se atuck gaya. Rahul ne kisi tarah oos dupatte ko nikala. Woh ladki priyanka thi, pehle tou osne rahul ko bahut daata magar kyunki rahul apne classes ke liye late hou raha tha woh wahaan se bina kuch kahe hi chala gaya.
Priyanka : ( gusse se ) ek tou battamizi ki upar se mujhe sorry bhi nahi bola???
Rahul apne classes ke baad apne classes se nikal hi raha tha ke woh priyanka se anjaane mein takra jata hai.
Priyanka : dobara tumne battamizi kii!
Rahul : Sorry...
Priyanka : ( gusse se ) tum khudko samajhte kya ho?... Ek tou battamizi karte ho upar se osko chupne ke liye sorry bolte ho?
Rahul : dekhiye mujhse anjane mein galati ho gayii...
Priyanka wahaan se chali jaati hai.
Agle din Priyanka apne classes ke liye late hou rahi thi aur jaldi mein woh apne classes ke taraf jaa rahi thi ke woh anjaane mein rahul se takra jaati hai.
Priyanka ko apne galati ka ehsaas hou jata hai aur osey samajh mein ajata hai.
Priyanka aur Rahul apne-apne classes ke baad ekdusre se phirse anjaane mein milte hain.
Ees baar priyanka aur rahul mein jhagre ke jagah dosti hou jaati hai aur dono har din college mein milne lage. Esi tarah se dosti kab pyaar mein badal gayi onhe pata bhi nahi chala.
Guest- Guest
Episode 386
Kaaveri : rahul, beta main jaanti hu ke tumdono ekdusre se suchha pyaar karte hou... Aur eseliye main tumdono ke pyaar ke saath hoon... Yeh mera vachan hai ke main tumhe aur priyanka ko milaungi...
Rahul : thanks maa...
Udhar Anushka Rishab ke baare mein soch rahi thi ke tabhi phone ata hai. Anushka phone recieve karti hai tou pata chalta hai ke phone oski behen ka hai.
Anushka apni choti behen se bahut dino baad baat kar rahi hai, aur eseliye woh bahut khush bhi thi. Anushka ki behen aaj oos se shantiniketan mein milne arahi hai. Yeh jaankar anushka bahut khush hou jaati hai.
Udhar Daamini apne bahu pooja ko ghar mein zaroori reparing chal rahey kaamon ko theek se dekhne ko kehti hai.
Daamini : pooja, tum please zara achhe se yeh sab repairing chal rahe kaamon ko ekbaar dekh lo aur een workers ko ghar mein zaroori jagahon ke baare mein samjha do jahaan repairing karne hain... Main tab tak ghar ke dusre zaroori cheezon ko dekh lu...
Pooja : maa, aap bilkul chinta mat kijiye... Main yehaan yeh sab dekh lungi...
Guest- Guest
Episode 387
Daamini : pooja, tum please zara achhe se yeh sab repairing chal rahe kaamon ko ekbaar dekh lo aur een workers ko ghar mein zaroori jagahon ke baare mein samjha do jahaan repairing karne hain... Main tab tak ghar ke dusre zaroori cheezon ko dekh lu...
Pooja : maa, aap bilkul chinta mat kijiye... Main yehaan yeh sab dekh lungi...
Daamini : arre maine tou tumhe bataya hi nahi, ke ghar mein jo bahaar ke darwaaze wala area hai wahaan par bahut fisslann hou gayi hai... Ghar mein saare naukar dusre kaamon mein busy hain eseliye maine kuch lougon ko oos jagah ko theek karne ke liye bulaya hai, tum zara ekbaar wahaan bhi dekh lena???
Pooja : je theek hai maa, main dekh lungi...
SCENE : Baa ghar ke mandir mein thakurjee ki pooja kar rahi thi. Kaaveri bhi baa ke saath wahaan beithi thi, magar kaaveri ke mann mein abhi bhi rahul aur priyanka ki baat chal rahi thi. Baa jab gita ka paath kar rahi thi tab unhoune dekha ke kaaveri kuch pareshaan si hai aur kahin khoyi-khoyi si lagg rahi hai. Baa ne kaaveri se oske pareshaani ki wajah poochi...
Baa : kaaveri............ Kya hua, main bahut deyr se dekh rahi hoon ke tum kahin khoyi-khoyi si ho... Koi pareshaani hai?
Kaaveri : baa, samajh mein nahi araha hai... Ek uljhan hai mann mein...
Baa : kaisi uljhan?
Guest- Guest
Episode 388
Baa : kaaveri............ Kya hua, main bahut deyr se dekh rahi hoon ke tum kahin khoyi-khoyi si ho... Koi pareshaani hai?
Kaaveri : baa, samajh mein nahi araha hai... Ek uljhan hai mann mein...
Baa : kaisi uljhan?
Pragya mandir waale jagah se guzar rahi thi ke osne Kaaveri ko baa se baatein karte hue dekha. Tara-bua ne bhi kaaveri ko baa se baatein karte hue dekha, pragya ko wahaan dekha aur jaldi se pragya ke paas jaate hue-
"Hmm... Maanna padega, ees ghar mein jahaan choubees ghante bhaag-daur aapko karna padd raha hai, shantiniketan ki saari zimeedaariyan aapko leni padd rahi hain wahin baa ki laadli, baa ki chaheti bahu tou 20 saalon se kaaveri hai! "
Pragya : tara-ji, yeh aap kya keh rahi hain? Mujhe kuch samajh mein nahi araha hai...
Guest- Guest
Episode 389
Tara-bua : aaye-haaye! yeh poori duniya jaanti hai ke tara kabhi jhooth aur kadvaa shab nahi bolti hai... Tara teekhi zaroor houngi magar sau-taka khara bolti hai yeh tara!
Tara-bua : ab aap hi zara dekhiye apne bahu kaaveri ko, baa ko kaise apne taraf kar rahi hai jiss se baa ke nazar mein kaaveri hi achhi aur zimmedaar bahu bankar rahey... Pragya-ji, agar aapne abhi kuch na kia tou aapki yehi bahu kaaveri aapse apka adhikaar ley jayegi!
Pragya : tara-ji, aap kuch bhi bol rahin hai! bhala meri bahu kaaveri mere saath aisa kyun karegi?
Tara-bua : theek hai chalo maan lia ke aapko yakeen nahi hai, magar aap hi sochiye... Jab baa ne apne utarr-adhikari ke baare mein socha tha tab baa ne kaaveri ko hi chuna tha... Jabki shantiniketan mein aap kaaveri se badi hain, aur tou aur apko hi milna chahiye tha!
Tara-bua : ab jab baa ke woh soune ke kangan... ( Tara-bua bolte-bolte rukk jaati hai. )
Pragya : baa ke soune ke kangan???
Guest- Guest
Episode 390
Tara-bua : ab jab baa ke woh soune ke kangan... ( Tara-bua bolte-bolte rukk jaati hai. )
Pragya : baa ke soune ke kangan???
Tara-bua : haan haan, baa ke woh soune ke kangan! Wahi kangan jo unhoune kaaveri ko dene ke baare mein kaha tha... Ab maine kisi tarah yeh soonlia woh baat aur hai...
Yeh sab soonkar Pragya soch mein padd jaati hai.
Pragya : ( mann mein sochte hue ) waise tara-ji ki baatein bhi theek hi hain, baa ne jab apne zevar apne bahuon mein barabar baatne ke baare mein socha tab soune ke kangan mujhe dene ke jagah kaaveri ko???
Tara-bua : magar pragya-ji, aapko nahi lagta ke... Kaaveri Baa ki baatein kuch zyada hi sunti hai??? Ghar mein aur bhi loug hai jinhe baa kuch keh sakti hain, magar woh kaaveri ko hi itna bharosa karti hain?
Pragya : mujhe lagta hai, aap theek keh rahin hain... Kaaveri Baa ki baatein bahut zyada sunti hai...
Guest- Guest
Episode 391
Tara-bua wahaan se chali jaati hai. Aur eedhar Kaaveri Baa ko Rahul ki baat batane hi waali thi-
Kaaveri : baa woh rahul... ( Tabhi wahaan Pragya aati hai. )
Baa : pragya bahu, koi kaam tha?
Pragya : haan baa, woh kaaveri se kuch zaroori baat karni thi...
Pragya ke wahaan ees tarah aane se kaaveri baa ko rahul ki woh baat bata nahi paati hai. Pragya Kaaveri ko wahaan se ley jaati hai.
Kaaveri : haan maa, aapko koi baat karni thi?
Pragya : kaaveri, tum 1 ghante ke andar-andar mujhe terrace par milo...
Pragya wahaan se yeh kehkar chali jaati hai.
-----------
Udhar Shantiniketan mein Anushka ki behen kadam rakhti hai. Anushka ki woh behen koi aur nahi Priyanka houti hai.
Priyanka ko pata nahi houta hai ke jis shantiniketan mein woh aayi hai wahaan Rahul bhi rehta hai. Priyanka ees baat se anjaan hai.
Guest- Guest
Episode 392
Priyanka ko pata nahi houta hai ke jis shantiniketan mein woh aayi hai wahaan Rahul bhi rehta hai. Priyanka ees baat se anjaan hai.
Scene : Baa beithi thi. Rahul wahaan se guzar raha tha jahaan se ghar ka main darwaza khulta hai. Darwaaze ke paas repairing bhi chal raha tha aur saath hi main wahaan fisslan bhi thi magar Priyanka ees baat se anjaan thi ki wahaan fisslan hai. Priyanka ghar ko dekhte hue aagey badd rahi thi aur paas se Rahul bhi guzar raha tha. Dono ekdusre se anjaan thhey aur tabhi jab priyanka ka payr oos fislan waale jagah par padta hai woh girrne hi waali houti hai ke tabhi Rahul oosey thaam leta hai.
Rahul aur Priyanka ki nazrein ekdusre se aakhir mill hi jaati hain, aur woh dono ekdusre ko dekhkar surprise hou jaate hain.
Yehi baat Vadehi aur Tara-bua dekh lete hain.
-------------------------
Udhar kaaveri terrace par jaakar dekhti hai tou wahaan Pragya aur Daamini beithe thhey aur baatein kar rahey thhey.
Daamini : aao-aao kaaveri!
Daamini : tou batao kaaveri, aajkal tum bahut pareshaan si dikh rahi hou?
Guest- Guest
Episode 393
Daamini : ohh haan! main tou bhool hi gayi thi ke poore ghar ki zimmedaariyan tumne hi lia hua hai... Chalo choro ees baat ko!... Waise... Kaaveri, kya baa ne tumhe apne jewelleries ke baare mein kuch bola hai???
Kaaveri : jewelleries?
Pragya Daamini ko ishara karke samjhati hai.
Daamini : haan-haan! Tumhe pata nahi??? Baa ke pooraane wahi jewelleries?... Onmein se baa ka ek soune ka kangan bhi hai............
Kaaveri : baa ne mujhe shayad bataya ho, mujhe yaad nahi...
Guest- Guest
Episode 394
Kaaveri : jewelleries?
Pragya Daamini ko ishara karke samjhati hai.
Daamini : haan-haan! Tumhe pata nahi??? Baa ke pooraane wahi jewelleries?... Onmein se baa ka ek soune ka kangan bhi hai............
Kaaveri : baa ne mujhe shayad bataya ho, mujhe yaad nahi...
Tabhi Pragya Kaaveri se main topic par baat karte hue-
Pragya : kaaveri, maine bahut dino se yeh notice kia hai ke............ Tum baa ke har baaton ko follow karti ho, har baat ko maanti hou... Kya aisa karna sahi hai?
Daamini : haan kaaveri, didi bilkul sahi keh rahi hai... Tum baa ke har baat ko ees tarah maanna bandd kar do...
Pragya : hum tou bas tumhari bhalai chahte hain... Tum samajh rahi ho na?
Kaaveri : aapdono ki har baat aur baa ki baat mere liye ek samaan hai... Dono hi baatein kabhi galat nahi hou sakti hai, ab aap loug mujhse badey hain, bura-bhala mujhse zyada aapko hi pata hoga...
Pragya-daamini :
Guest- Guest
Episode 395
Pragya yeh dekhkar chilla uthi-
RAHUL!!!...
Pragya : yeh sab kya hou raha hai!..........................
Vadehi aur Tara-bua ees tamashe ko dekhkar mazaa lete hue-
Kaaveri ne jab yeh sab dekha tou situation ko sambhaalne ke liye kaaveri ne rahul ke taraf jaakar oos se kaha-
Kaaveri : rahul, tum apne room mein jaao...
Kaaveri oos ladki( priyanka ) ko saamne laate hue sabse kaha.
Kaaveri : yeh priyanka hai............. Anushka ki behen, priyanka...
Yeh dekhkar pragya aur daamini chup houkar wahaan se chaley gaye. Tara-bua yeh dekhkar dungg reh gayi.
Vadehi : waise agar yeh anushka ki behen hai tou..... Eska matlab yeh tou nahi ke yeh rishab ke chote bhai se shaadi karke ees ghar mein aane wali hai??? Kyun kaaveri bhabhi???
Kaaveri Vadehi ka yeh andaaz dekhkar hayraan hou gayi.
Kaaveri Priyanka ko wahaan se Anushka ke paas lekar jaati hai. Vadehi yeh dekhkar mann-hi-mann khush hou rahi thi.
Vadehi : ( mann mein sochte hue ) jaao-jaao kaaveri bhabhi, aapne priyanka ko khud ees ghar mein laakar apne liye musibat bula liya hai.... Kyunki ab tou esi baat ke liye hi aapko ees ghar se nikaal dia jaayega! ( khush houte hue )
Guest- Guest
Episode 396
Priyanka : didi, aap kaisi hain? Yu ees tarah achanaak se shaadi kar lia?... Didi, yehaan sab kuch theek tou hai na? ( Fikra karte hue )
Anushka : main yehaan bahut khush hoon... Tum batao ke ghar mein papa aur mom kaise hain?
Anushka : kya papa ne mujhe maaf kia?
Priyanka ees sawaal ko sunkar oski chehre ki khushi rukk gayi.
Anushka : kya hua priyanka?
Priyanka : ( serious aur gambheer awaaz mein kehte hue ) didi, aapke jaane ke baad... Papa ko heart-attack aya, mom ne mujhe ghar bulaa lia aur... Hospital se papa ko peechley mahine hi discharge kia gaya...
Yeh soonkar Anushka ke aankhon se aasu behte hain. Anushka afsos jatate hue bolti hai-
Anushka : tou kya papa mujhse abhi tak naraaz hain? Kya mom bhi?
Priyanka : ( anushka ko dilaasa dete hue ) didi, aajtak koi bhi maa-baap apne bachho se zyada deyr tak naraaz raha hai? Papa aapko bahut yaad karte hain, mom bhi aapse milna chahti hai...
Tabhi wahaan Rishab ata hai.
Priyanka ko kuch yaad ata hai. Aur woh rishab se kehti hai.
Priyanka : jeja-ji, papa ne aapko ekbaar ghar pe bulaya hai...
Rishab : kisliye?
Priyanka : aapse kuch......... Property ke baare mein papa ko baat karna tha...
Yeh soonkar Rishab mann-hi-mann bahut khush hua kyunki aaj oska sapna poora houne wala tha.
Rishab : theek hai! Esi bahaane anushka bhi apne parents..... I mean ' Mom-Dad ' mill legi...
Guest- Guest
Episode 397
Priyanka : rahul? ...
Rahul : priyanka, mujhse tumse kuch zaroori baat karni hai...
Rahul Priyanka ko doorr ley jata hai.
Rahul : priyanka, yehaan ghar mein aise haalat hou gayye hain... Kuch majbooriyan bandh gayi hain ke............. Ke woh humaare beech dewaarein bannkar khari hou gayi hain...
Priyanka : ab ees se pehle tum kuch kaho, main tumse kuch kehna chahti hoon rahul...
Priyanka : main jaanti hoon ke tum bhi majboor ho...
Rahul : tum bhi ka kya matlab?
Priyanka : tumhe tou pata hi hai rahul, yehaan didi ke ghar se ees tarah se chaley jaane se lekar unke shantiniketan mein bahu bannkar aane tak......... Een sab baaton mein humaarey ghar ke upar bahut saare daag lagey hain... Aise mein... Achha yehi hoga ke...
Priyanka : humdono ekdusre ko bhool jaaye.................
" WAH-WAH !.......... " ( Wahaan kaaveri aati hue- )
Guest- Guest
Episode 398
Kaaveri : Priyanka, kya yehi hai tumhara pyaar? Batao Rahul! Kya yehi hai tumdono ka woh pyaar???
Rahul : magar maa, hum kar bhi kya sakte hain? Humaare paas ekdusre ko bhool jaane ke elava aur koi raasta nahi hai...
Priyanka : haan maa, ab shayad humey apne pariwaar ke khaatir ekdusre ko bhulaa dena chahiye... Wahi sahi rahega...
Kaaveri : raasta hai! Pyaar har oon kaaton bhare raaston ko aasaani se paar kar leta hai jin par takleefein, majbooriyan aur nafrat jaise rahey houte hain... Tou tumdono kyun nahi???
Kaaveri : jaao tumdono! Jee lo apni duniya, kyunki agar ees pal ko tumdono ne haath se jaane dia tou......... Phir kabhi yeh pal dobara wapas loutkar nahi ayega...
Rahul aur Priyanka Kaaveri ke baaton se housla paakar apne pyaar ke manzil ke taraf agla kadam uthane ke liye kaaveri se aashirwaad lete hain.
Magar Tabhi Priyanka ko yaad ata hai ke oske papa ko heart-attack aya tha. Agar ooske kisi galat faisle se oske papa ko kuch hou gaya tou?
Kaaveri Priyanka ko vishwaas dilaati hai ke aisa kuch bhi nahi hoga.
Kaaveri : haan priyanka, tumne mujhe maa kaha hai eseliye ab tumhe mujhpar vishwaas karna hoga... Tumhare papa ko kuch nahi hoga yeh main tumhe vishwaas dilaati hoon...
Priyanka : thanks maa...
Guest- Guest
Episode 399
Shantiketan mein aaj Atul aur oski patni sakshi kadam rakhte hain. Wahaan Baa, pragya, daamini, gayathri, manjula, jignesh, anushka aur ghar ke saare members wahaan unka swaagat karte hain.
Manjula : arre shantiniketan ke naye peedhi ki dusri nayi bahu ka swaagat achhe se karo!
Baa : aaj thakurjee ne meri prarthna sunn li... Main aaj bahut khush hoon...
Atul aur Sakshi baa se aashirwaad lete hue-
Atul : baa, een 5 saalon mein maine aapsabko bahut yaad kia...
Baa : yaad tou humey bhi bahut aayi... Magar ab main tumhe kahin jaane nahi doongi!
Manjula : waise atul, namrata aur vikas nahi aaye???
Sakshi : waise woh aaney waale thhey, magar phir vikas papa ki tabiyat thodi khraab hou gayi esiliye namrata mom bhi wahin rukk gayi...
Manjula : ohh tou namrata ne apni bahu bahut soch-samajh kar chuni hai! Haazirjawaabi hou!
Sakshi : magar maine tou sirf jawaab hi dia...
Pragya ko Sakshi ka Manjula ko ees tarah teekhe jawaab sunana bahut achha laga.
Daamini : didi, aap kuch soch rahin hain?
Pragya : hmmm...
Guest- Guest
Episode 400
Sakshi : waise woh aaney waale thhey, magar phir vikas papa ki tabiyat thodi khraab hou gayi esiliye namrata mom bhi wahin rukk gayi...
Manjula : ohh tou namrata ne apni bahu bahut soch-samajh kar chuni hai! Haazirjawaabi hou!
Sakshi : magar maine tou sirf jawaab hi dia...
Pragya ko Sakshi ka Manjula ko ees tarah teekhe jawaab sunana bahut achha laga.
Daamini : didi, aap kuch soch rahin hain?
Pragya : hmmm... yeh atul ki patni hai tou bahut teekhe-jawaab waali, agar yeh humaare group mein shaamil hou jaaye tou shantiniketan mein humaari bahu aage chalkar humpar raaj karne ke baare mein sochengi tak nahi!
Daamini : didi, aap bhi na! Magar jo bhi kahiye, aapne baat tou bahut sahi kii hai, yeh sakshi aage chalkar humaare bahut kaam asakti hai...
Pragya : haan kyunki eske paas jo property hain woh bhi kuch halki nahi hai, sakshi ko humaare team mein shaamil karne ka main maksad tou sakshi aur oske oon heavy diamond jewelleries ko dekhna hai...
Daamini : haan didi...
=============================
Atul : waise baa, hum yehaan rahul aur seema ke shaadi mein aaye hain...
Kaaveri : sirf shaadi mein rehkar nahi! Tumdono ko shantiniketan mein hamesha ke liye rehna padega!...
Atul Kaaveri se aahirwaad leta hai.
Kaaveri : tum aur sakshi yehaan hamesha ke liye rahoge, mujhse vaada karo?
Atul : magar badi maa?
Kaaveri : ab badii-maa keh dia hai tou os rishte ko nibhane do! Yeh mera hukum hai!
Kaaveri ka yeh adhikaar jamaane kar atul aur osey yehaan hamesha ke liye rehne ke liye kehna, yeh sab baatein sakshi ko bahut burii lagi.
Sakshi : ( mann mein sochte hue ) akhir yeh houti kaun hai humey hukum dene waali?
Atul : theek hai badii-maa, jaisa aap kahein... Apki koi bhi baat main kabhi nahi taal sakta...
Atul ka apne badii-maa ke saamne yeh jhukaav dekhar Sakshi ko bilkul achha nahi laga. Sakshi ees baat ko apna apmaan samajhne lagii.
Guest- Guest
Episode 401
Kaaveri : magar sakshi, shantiniketan hii tou tumhara aur atul ka apna ghar hai... Aur agar phir bhi, tumdono ko koi zaroori kaam hou........ Tou tumdono behshak jaa sakte hou... ( mann udaas houte hue )
Kaaveri yeh kehkar wahaan se jaane waali houti hai ke tabhi Atul bolta hue---
Atul : nahi badi ma!............. Aap bilkul chinta mat kijiye........ Ab se hum yehin, shantiniketan mein hi rahenge... Hamesha ke liye...
Yeh soonkar Kaaveri ko bahut khushi houti hai. Saare pariwaar ke sadasya Atul ke faisle ko sunkkar khush houte hain.
Magar tabhi Sakshi ko Atul ka yeh faisla galat lagta hai.
Guest- Guest
Episode 402
Yeh soonkar Kaaveri ko bahut khushi houti hai. Saare pariwaar ke sadasya Atul ke faisle ko sunkkar khush houte hain.
Magar tabhi Sakshi ko Atul ka yeh faisla galat lagta hai. Saakshi wahaan se ruthkar apne room mein chaley jaati hai.
Scene : Pariwaar ke badey atul ko ashirwad dey rahey thhey magar sakshi ke ees andaaz ko dekhkar Kaaveri ko yeh ajeeb lagta hai.
{ Sakshi apne room mein Atul se ruthkar beithi hui thi. Atul ke ees faisle se Sakshi bilkul khush nahi thi. Tabhi wahaan Kaaveri aati hai. }
Sakshi dekhti hai ke kaaveri oos se milne ayi hai.
Sakshi : badii maa, aap???...
Guest- Guest
Episode 403
Sakshi : badi-ma, maine apko apna faisla suna dia hai!........................ Magar atul hai ke maanta hi nahi hai... Aap please mujhe galat mat samajhiyega!
Sakshi : actually atul ka buisness india ke baahar hai... Aur sab kuch wahin par hi settle hai.... Ab agar aise mein hum wahaan se ees tarah yehaan aayenge tou............. Tou ees se humare liye bahut badii problem hou sakte hain... Aur main koi bhi problem nahi lena chahti hoon! Aur waise mein bhi, aajkal zamaana badal gaya hai, loug aajkal joint families se nikal kar alag tarah se zindagi jee rahey hain... Tou aise mein aap kyun atul ko force kar rahin hain?!
Kaaveri : maine atul ko force nahi kia hai sakshi..... Maine tou bas tumdono ko shantiniketan mein aakar rehne ko kaha hai... Maana ke aajkal zamaana badal gaya hai, magar rishtey, sanskaar aur ek pariwaar mein rehna, joint family mein rehna jo houta hai woh aajkal bahut kam hi houta hai... Agar tum joint family mein rehkar dekhogi, tou jaanogi...
Sakshi : bas badii maa!...
Guest- Guest
Page 17 of 41 • 1 ... 10 ... 16, 17, 18 ... 29 ... 41
» Sword fighting in Sajan Ghar Jana Hai
» A new family to creates rift in Sajan Ghar Jaana Hai
» PLZZZZZZZZZZZ upload kyunki 20 nov 2006 video
» Aap ki kacheri Kiran ke saath is going 2 REPLACE KYUNKI !
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer