Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 7 of 16 • 1 ... 6, 7, 8 ... 11 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Episode 63
Shilpa : mujhe sab pata chala chuka hai.... yehi ke tum dono ne ek saal ka contract marriage kia aur.... ab... divorce ?....
Gauri : shilpa di hum aapko batane waale thhey ki.... sab kuch achanak se ho gaya..... yakeen maaniye humara irada apko dukhi karna nahi tha... magar haalat hi kuch aise ho gaye thhey....
Karan : haan, aur....
Shilpa : aur kya ?...
Karan : aur humne decide kia hai ke.... ab hum hamesha saath rahenge...
Shilpa : aaj main bahut khush hoon... tum dono ne yeh bahut hi sahi faisla kia hai...
[ Agle din ]
[ Aaj rakhi ka din hai. ]
Gauri : arre, yeh ghar par koi dikhai kyu nahi dey raha hai ?...
[ Tabhi karan wahaan ata hai. ]
Karan : kya hua gauri ?...
Gauri : dekho na karan ghar mei koi nahi hai....
[ Tabhi wahaan naukar aakar kehta hai ke Shilpa didi ne karan aur gauri ko abhi Durga maa ke mandir aaney ko kaha hai. ]
Karan : aww haan ! aaj tou raksha bandhan hai... shilpa didi ne kaha tha ke rakhi wahaan bandhengi...
Gauri : phir tou humey jaldi chalna chahiye shilpa didi humara intezaar kar rahi hougi....
[ Karan aur Gauri Maa Durga ke mandir pahuchte hain. Wahaan karan aur gauri maa durga se aashirwaad lete hain.Karan ko shilpa didi ka phone ata hai. ]
Shilpa : arre karan kahaan ho ?....
Karan : didi hum mandir pahuch gaye hain magar aap kahaan ho ?....
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Karan : didi hum mandir pahuch gaye hain magar aap kahaan ho ?....
Shilpa : oh ! main tou batana hi bhool gayi ke mandir ke paas tumhe ana hai... ab jaldi se ajaao....
Karan :
[ Karan aur Gauri Mandir ke paas waale jagah par jaate hain. ]
[ Saamne shilpa didi rakhi ka plate lekar khari thi. Karan ko yeh dekh bahut achha laga. Karan ne jaakar Shilpa se rakhi bandhai. ]
Shilpa :
Karan : aaj ka din main hamesha yaad rakhunga... aaj shayad mujhse zyada khush-naseeb aur koi bhai nahi hoga... kyunki har kisi ko aap jaise behen nahi milti....
Shilpa :
[ Karan aur Gauri shilpa se aashirwaad lete hain. ]
[ Karan peechey gauri ke taraf jata hai aur ]
Karan : [ khush houte hue ] dekha gauri !.... shilpa didi ne mere liye specially yehaan mandir mei rakhi celberate karne ka socha hai.... aaj main such mei bahutt khush hoon.... aaj mujhe aisa lag raha hai jaise mujhe sab kuch mill gaya hai....
[ Achanak GOLI CHALTI HAI ! ]
[ GOLI KARAN KO LAGTI HAI. KARAN PEECHEY PALAT KAR DEKHTA HAI TOU WOH GOLI CHALANE WALA KOI AUR NAHI BALKI
OSKI APNI SHILPA DIDI THI. ]
Gauri : karan !!!.........
{12 seconds ago : karan jab gauri se baat kar raha tha tabhi peechey khari shilpa ne rakhi ki plate mei chupaye hue pistol ko nikala. }
Shilpa : [ mann mei sochte hue ] aaj ! aaj hi woh din hai ja main apne raaste ke sabse badey kaate ko hatakar apni manzil haasil kar loongi....
{Shilpa ne Karan ki or pistol kia aur goli chala dii magar gauri ne dekh lia tha aur...}
{3 seconds remains : gauri ne oos goli ko dekh lia aur karan ko hatakar khud saamne agayi. }
Gauri : karan !!!........
------Karan ko gauri ki baatei yaad ati hain.-------
Karan : aur maan lo ! agar kabhi mujhe (gauri karan ko kuch kehne se rouk leti hai) tou kya tab tum mere liye yehi gana gaogi ?....
Gauri : bhagwaan karey agar kabhi tumhari saasei rukey oos se pehle meri saasein thamm jaaye....
[ Shilpa ne jab dekha ke oska waar sahi jagah na laga tab osne dobara goli chalai. Ees baar pistol ki saari goliyan Karan aur Gauri par chala di. ]
[ karan ne peechey murr kar dekha tou gauri ko goli lagi thi aur woh goli chalane wala shaks AUR KOI NAHI BALKI OSKI APNI SHILPA DIDI THI JISPAR KARAN NE ITNA YAKEEN KIA THA MAGAR OSEY KYA PATA THA KE SHILPA DIDI RAKHI KE DIN HI APNE BHAI PAR GOLI CHALA DEGI. ]
[ EES BAAR SHILPA KE GOLI KARAN KO LAGI THI AUR WOH BAHUT DOORR JAAKAR KHAAI MEI GIRRNE HI WALA THA. ]
[ Gauri ne jab dekha ke karan ki jaan khatre mei hai woh uthi aur karan ke taraf gayi tabhi shilpa ne ek aur goli chalai ]
Karan : gauri !!!
SCENERIO : Gauri aur Karan khaai mei girrne se bas zara sa hi doorr thhey ke tabhi wahaan SHILPA AGAYI AUR
Shilpa : my dear bro... tum mere liye musibat hi nahi balki slow poison bann gaye thhey jo mujhe har roz maar raha tha... magar aaj... aaj se achha aur kaun sa din hou sakta tha tumse chootkara paane ka ? hmm ???....
[ Shilpa dhakka dene jaati hai magar karan ka rakhi shilpa ke haath se atuck jata hai. ]
Karan : bahut bharosa kia tha aap par... agar property hi chahiye thi tou maang lia houta....
Gauri : mujhe tou pehle se shak tha shilpa didi par magar....
Shilpa : aww bas ! ab rehne do.... aaj main tum dono se ****kara paa loongi aur property mere naam hou jayegi....
[ Shilpa aakhir dono ko bahut hi beydardi se maut dey deti hai. ]
[ Karan aur Gauri ke duje ke saath hi ees duniya se chaley jaate hain. ]
[ Achanak se bijli bahutt zorr se karakti hai. Shilpa ko achanak dadaji ki baatei yaad ati hain " Dadaji : arrre tu kya likhegi oon dono ki kismat !!!!...... likhne wala tou woh !... upar beitha sab dekh raha hai.... woh tera bhi kismat likhta hai yeh tu bhool rahi hai.... ab agar..... tujhe upar waale se zaraa bhi darr hai..... tou abhi bhi waqt hai.... sambhal jaa warna bahut baraa anarth ho jaayega......"]
[ Shilpa bahutt darr jaati hai. ]
Shilpa : myyyy foot !!!.... ab koi mera kuch nahi bigaar sakta !....
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
Diipendu wrote:mon k episode mei hi pata chal payega... lolzz maine abhi tak mon ka script bhi nahi likha hai tou mujhe kaise pata hoga ????? :lol:
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Karam
[ Udhar Gauri ke ghar mei panditji aaye thhey. Mausam ke ees tarah achaanak se bigarr jaane se sab bahut pareshaan ho gayye thhey. Panditji bahut gyaani thhey eseliye onhoune bahut jald ees baat ko jaan lia ke kahin na kahin kuch bahut hi buraa hua hai. ]
Panditji : anarrth ! ghor annarrth !!!....
Papa : kya hua panditji ?...
Panditji : kahin kuch na kuch bahut hi buraa hua hai ! kuch aisa jo nahi houna tha.... kisi ne prakarti ke niyamo ko tourra hai !......
Papa : aap kya keh rahey hain humaari kuch samajh mei nahi araha hai....
Panditji : baadalon ka ees tarah zorro se garajna aur itni tez toofan ka anaa yehi saabit kar raaha hai ke kisi ne zaroor bahut bada paap kia hai......
[ Udhar Karan ke ghar mei dadaji paani peene ke liye aagey baddh rahey thhey ke poora glass ka jar neechey girr kar toot gaya ]
Papa : agar aapki baat such hai tou.... maa durga osey kabhi maaf nahi karegi jisne kuch bura kia hoga...
Maa : arre magar mujhe chinta gauri aur karan ki ho rahi hai woh dono aaj yehaan ghar aaney waale thehy....
Panditji : gauri-karan ???....
Maa : haan, meri beti gauri aur hamara daamad karan.... mere paas dono ki kundali bhi hai.... aap yehaan aaye hain tou kyun na aapko mei oondono ki kundali bhi dikha du... (maa panditji ko karan-gauri ki kundali dikhate hue) yeh rahey kundali... aap zara dekhiye aur batayiye ke dono ka jeevan aagey kaisa houne wala hai ?...
[ Panditji dono kundali ko dhyaan se dekhte hain aur bahut dhyaan se dekhne par unhe kuch pata chal jata hai. ]
Panditji : kuch tou gadbad hai....
Maa : kaisi gadbad ?
Panditji : eendono ki shaadi se pehle aapne een dono ki kundali kisi pandit ko dekhaya nahi ?...
Papa : arrey humne apne saamne hi dekhaya tha.... magar aisa kya hua ?
Panditji : ees kundali ke mutaabik eendono ki shaadi ke kuch samay baad eendono ke jevan mei aisa badlaav ayega jiss se yeh dono ek dusre se alag ho jayenge aur shaayad hamesha ke liye ek dusre se door hou jayenge....
[ yeh soon gauri ke mata-pita bahut pareshaan hou jaate hain AUR TABHI Diwaar par gauri-karan ka photo frame neechey girr jata hai aur toot jata hai. ]
[ Gauri ki maa bahut pareshaan hou jaati hai aur zidd karti hai ke woh gauri aur karan se milne onke ghar jayegi magar gauri ke papa kharab mausam ke wajah se mana karte hain. Gauri ki maa bahut zidd karti hai aur panditji dono se poochte hain ke agar woh bhi unke saath chaley. ]
[ Panditji aur gauri ke mata-pita karan aur gauri ke ghar pahuchte hain. tou saamne Shilpa khari houti hai. ]
Shilpa : RUK JAAYIYE !!!..........
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
ab hum karan-gauri ko karam mei kabhi nahi dekh payenge... karan-gauri ki kahaani yehin par khatam and ab kg k baad dusre characters enko replace karenge and woh lead role lenge... hope u all dont mind ???
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
Shilpa : RUK JAAYIYE !!!..........
Shilpa : aaplougon ki himmat kaise hui yehaan aaney ki !.....
Papa : beta yeh kya keh rahi ho ?..... hum yehaan karan aur gauri se milne aaye hain...
Shilpa : huh !..... karan aur gauri ???????? kaun hai ye dono ???
Shilpa : ees naam ke koi bhi member ees ghar mei aapko kabhi nahi milenge...
Maa : beta dekho ees tarah anap-shanap mat kaho....
Shilpa : hmmmm..... chaliye theek hai magar jo yeh papers keh rahey hain... eske baad aap dono kuch bhi..... kehne laayak nahi rahenge....
[ Shilpa Karan aur Gauri ke DIVORCE papers gauri ke mata-pita ke muh par maarti hai. ]
Shilpa : mujhe na hi zyada chillane waale loug pasand hai aur na hi bat-tameez loug so aaplougo ke liye achha hoga ke aaploug yehaan se chalye jaaye hamesha hamesha ke liye.....
[ Gauri ke parents woh divorce papers ko dekhte hain aur oske saath oon contract papers ko bhi. yeh dekh sabko abhi tak yakeen nahi araha tha woh phir bhi gauri aur karan se milna chahte thhey. Shilpa unhe wahan se lagatar jaane ke liye kahe jaa rahi thi ke tabhi ]
RUK JAAO !!!!....................
[ yeh awaaz dadaji ki thi. Shilpa ko dadaji ko dekh bahuttt gussa ajata hai. woh mann mei sochti hai. ]
Shilpa : gauri aur karan ko tou maine apne raaste se hata dia hai... magar ees buddhe ka kya karu ! lagta hai ab agli baari ees buddhe ki hai..... kuch na kuch tou karna padega.....
[ Gauri ke parents oon divorce papers aur oon contract papers ko lekar dadaji ke paas jaate hain. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Dadaji : samajh mei tou mere bhi nahi araha hai ke yeh sab kya ho raha hai....
Shilpa : main batati hoon !.....
[ Shilpa sabko gauri-karan ke contract marriage ke baare mei batati hai. ]
Maa : magar ees waqt woh dono hai kahaan ?
Dadaji : karan aur gauri ghar par nahi hain.... shilpa tumhe zaroor pata hoga...
Shilpa : sorry dadaji magar mujhe nahi pata ke aapka ladla karan aur gauri kahaan hain.....
[ Tabhi ghar par Police aati hai. Shilpa police ko ghar par dekh darr jaati hai ke kahin osne jo kia hai woh police ko pata tou na chal gaya. ]
Inspector : shilpa kapoor ?.... kya aap hi hain shilpa kapoor ?.....
Shilpa : je...... main hoon shilpa kapoor.... kahiye inspector....
Inspector : mam, aapne complain likhvaya tha ke aapka cell phone chori ho gaya hai.... yeh raha aapka cell phone....
Shilpa : aww !... thank you inspector.... ab aap jaa sakte hain....
Panditji : beti shilpa, zara apna haath dikhana....
Shilpa : sorry panditji magar mujhe een bhavishyavani jaise bakwaas chizo mei koi intrest nahi....
Panditji : ho sakta hai tumhe apne sawaalo ke jawaab mill jaaye.....
[ Shilpa hayraan ho jaati hai ke panditji ko kaise pata ke woh kuch soch rahi hai. Shilpa apna haath dikhati hai. ]
Panditji : jaisa ki maine socha tha !.......... tumhe apne karmo ka hisaab dena padega !.......
[ shilpa yeh soon bahut darr jaati hai aur darr ke maare uske chehre par pasina ata hai. ]
Panditji : woh bahut jald aayenge tumse apna jawaab maangne !..... kuch dhoka ! dhoka diya hai tumne kisi apne ko !.... woh raaz bahut jald raaz na rahega aur tumhari barbaadi bann jayega !........
Shilpa : kyyyyaaa bakwaas hai !............
[ shilpa apne kamre mei chali jaati hai. ]
[ Sabko shilpa ka ye bartaav kuch ajeeb lagta hai. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 7 of 16 • 1 ... 6, 7, 8 ... 11 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer