Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 4 of 16 • 1, 2, 3, 4, 5 ... 10 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Episode 36
Karan : yeh sab yahaan kya hou raha hai !!..... aaploug yahaan se aise nahi jaa sakte.....
Worker : karan sir , magar ab jab humey nikaal diya gaya hai ees office se tab hum jaaye nahi ??.....
Karan : nikaal diya gaya hai ?.... kisne yeh order diya hai ?.......
Worker : yahaan ke ees company ke naye boss ne......
Karan : ees company ka owner main hoon !.....
Worker : kaash agar yeh such houta sir..... magar ab ees company ke owner koi aur hain.... aap khud hi andar jaake dekh lijiye......
[ Yeh soon karan ke payro taley se zameen chali gayi. ]
[ Karan bhaagta-bhaagta apne cabin mein jaata hai aur dekhta hai ke kisi Aur ne hi ees company par apna kabzaa jama liya hai. ]
Karan : ees company par apna kabzaa jama lene waale tum houte kaun ho !!...... himmat hai tou apna chehra dekhaao.....
[ ees poore company par apna kabzaa jaamane wala woh koi Aur nahi balki Shilpa thi. Karan ne jab shilpa ko dekha tou maano ab ooska apni barii behen par se vishwaas dag-magane wala tha. ]
Karan : aap ?..........
__________________
Guest- Guest
Episode 37
Shilpa : mera pyaara bhai mujhe yahaan dekh hayraan kyun hou raha hai ?....... arre main toh teri madad kar rahi hoon buisness mein tera haath bata kar..... ya kaha jaaye tou..... poora buisness empire apne naam kar oosey sambhal rahi hoon.......
Karan : mujhe kuch samajh mein nahi araha hai shilpa di ke aap yeh sab kya keh rahi hain ?..... aur yeh loug keh rahe hain ke ees company ka naya owner agaya hai
Shilpa : woh owner...... main hi hoon......
Shilpa : let me explain my sweet & Foolish bro !....... woh documents oos din jo maine tumse sign karvaye thhe ?...... tumhe oon documents ko achhe se parr lena chahiye tha......
Shilpa : oon documents par yeh likha tha ke...... tum apni saari property , power aur apne saare shares..... mere yaane.... Shilpa kapoor ke naam transfer kar rahey ho...... ab tumne jab itne pyaar se dadaji ki de hui property mere naam kar de hai...... tou eesey main tumhe waapas karke tumhara apmaan nahi karungi.......
Shilpa : eseliye ab se abhi se main ees company ki bhi nayi owner hoon......
[ itna baraa dhoka apni behen se milne par Karan ko bahut bara sadma lagta hai. Karan wahin par bey-hosh ho jata hai. ]
Shilpa : ( khush houte hue ) oh no , ab tum beyhosh hou jaoge.... tou meri ees jeet ko achhe se kaise dekh paoge mere bhai...... abhi tou maine tumse apne raksha-bandhan ka hi gift liya hai...... aagey-aagey dekho !...... tumpar kitni bari bijli girrne waali hai.......
__________________
Guest- Guest
Episode 38
Shilpa : oon documents par yeh likha tha ke...... tum apni saari property , power aur apne saare shares..... mere yaane.... Shilpa kapoor ke naam transfer kar rahey ho...... ab tumne jab itne pyaar se dadaji ki de hui property mere naam kar de hai...... tou eesey main tumhe waapas karke tumhara apmaan nahi karungi.......
Shilpa : eseliye ab se abhi se main ees company ki bhi nayi owner hoon......
[ itna baraa dhoka apni behen se milne par Karan ko bahut bara sadma lagta hai. Karan wahin par bey-hosh ho jata hai. ]
Shilpa : ( khush houte hue ) oh no , ab tum beyhosh hou jaoge.... tou meri ees jeet ko achhe se kaise dekh paoge mere bhai...... abhi tou maine tumse apne raksha-bandhan ka hi gift liya hai...... aagey-aagey dekho !...... tumpar kitni bari bijli girrne waali hai.......
[ Karan ko doctor ne poora bed-rest karne ko kaha hai. ]
Gauri : doctor , karan ki aise haalat achaanak se ?.......
Doctor : dekhiye, aksar koi baraa sadma lagne par hi aisa houta hai...... zaroor karan ko koi baraa gehra sadma laa houga.... jiske wajah se unki yeh haalat hou gayi hai......
[ karan bilkul chup tha. uske mann mein abhi bhi shilpa ki woh baatein kisi khanjar si chubh rahi thi. ]
Gauri : karan , tum kuch soch rahey ho ?.......
[ karan ka vishwaas apni behen par se poori tarah toot chuka tha. Karan bahut toot chuka tha. woh gauri ke kandho par sarr rakh kar rou raha tha. ]
Gauri : karan , koi problem hai tou mujhe bata sakte ho.......
Karan : dhoka !....... jis par vishwaas kiya tha..... osi ne mujhe itna baraa dhoka diya hai......
Gauri : kya ?.....
Karan : haan , shilpa de..... jise main ab tak apni bari behen samjha...... oosi ne mujhe itna baraa dhoka diya hai...... mujhe se dhoke se meri poori property apne naam transfer.........
Gauri : tum chinta mat karo karan....... maa durga sab dekh rahi hai..... jisne buraa karam banaye oose osi ka buraa anjaam bughatna parega......
shilpa de se aise umeed nahi thi......
Karan : umeed tou mujhe bhi ees baat ki nahi thi ke shilpa de mujhi se ?.... apne bhai se dhoka karegi ?.......
__________________
Guest- Guest
Episode 39
Mithibua : ( tana martey hue ) manna parega tumhare dimag ko shilpa beti...... ek taraf behen ka pyaar jatake bhai se dhoke se saari property apne naam kar li..... aur dusre taraf..... oosey aisa jhatka diya ke.... oski bolti hi band karva di....... doctors patient ko jo shock treatment dete hain.... agar oske jagah tumhe use kia jaye.... tou beechara patient tou..... ram-naam ????.....
Shilpa : apni bakwaas band karo !!!!!..... apni zabaan ko kabu mei rakho warna.......
Shilpa : abhi tou maine sirf khel mein apna pehla kadam rakha hai...... abhi tou yeh khel baaki hai.......
Mithibua : hmmm...... mujhe tumhare iraadey kuch theek nahi lagte..... shilpa beti....
Shilpa :
[ Udhar karan ]
Gauri : jab dadaji ko yeh sab pata chalega..... tab ?....
Karan : woh yeh such bardaasht nahi kar payenge.....
[ tabhi wahaan shilpa ati hai. ]
Shilpa : kaise ho karan ?...... ab tumhari tabiyat theek hai ?......
Shilpa : gauri , tum mere pyaare bhai ka dhyaan hi nahi rakhti..... dekho kitnaaaaa kamzor ho gaya hai......
Gauri : yeh dekhne wali aap kaun houti hai ?!........ pehle zakham deti hain aur phir osey dekhne ati hai ke woh insaan abhi tak mara kyun nahi......
Shilpa : bahut zabaan chalaane lagi ho...... mujhse adab se baat karo...... warna dhakke maarke ees ghar se nikaal dungi !........
Karan : rehne do gauri, aise lougo se baat karke apna zabaan ganda matt karo......
[ Gauri wahaan se chali jaati hai. ]
[ Shilpa ki nazar karan ke davaai par parti hai. ]
[ Shilpa chupke se jaakar karan ke medicines ke jagah kuch doosre medicines rakh deti hai. ]
Shilpa : ( mann mein sochte hue ) ab chein se zindagi jiyo......
__________________
Guest- Guest
Episode 40
[ Agle din ]
Gauri : karan, ab tumhari tabiyat theek hai ?....
Karan : haan, kal se thoda behtar....
[ Karan ke ankho ke saamne andhera chane lagta hai. oose kuch dkhayi nahi dey raha hai. Gauri ghabra jaati hai. ]
Gauri : karan tum theek ho na ?..... main abhi doctor ko phone karti
hoon.....
[ Udhar Shilpa ne doctor se pehle se baat karke oose wahi karne ko kaha hai jo woh chati hai. ]
[ Doctor karan ko dekhne wahaan aate hain. ]
Dr. : oh no !..... enhe kaun si dava di gai hai ?....
Gauri : wahi jo roz di jaa rahi hai....
Dr. : inhe kisi ne galat dava di hai jis se inka yeh haal hai !.....
[ yeh soon gauri ki poori tarah se hayraan reh jaati hai ke achaanak se davaai kaise badal gayi ? ]
Dr. : inhe abhi turrant hospital shift karna houga.....
[ Karan ko hospital ley jaya jata hai. ]
Gauri : [ routey hue ] karan tumhe kuch nahi hoga...... karan please housla rakho......
Sister : aap yahin rukiye.....
[ gauri karan ke ees halat ko dekh bahut udaas hou jaati hai. ]
__________________
Guest- Guest
Episode 41
[ Doctor bahar aate hain. ]
Doctor: mrs. kapoor..... iam sorry aapke pati mr. karan kapoor coma mei chale gaye hain.....
[ Yeh soon gauri ke payro taley zameen hill jaati hai. ]
Gauri : aisa nahi ho sakta !!..... aap jhooth bol rahe hain... zaroor karan ne aapko aisa kehne ko kaha hai mujhe pata hai ke osey mazaak karna bahut pasand hai keh dijiye aap jhooth bol rahe hain !..............
Doctor : please mrs. kapoor, aap apne aap ko sambhaliye...... mr. karan ab coma mei chale gaye hain yeh such hai......
[ Gauri yeh soon ke poori tarah toot jaati hai. ]
[ Doctor apne cabin mei jaata hai aur kisi ko phone lagata hai. ]
Doctor : hello mam, aapka kaam ho gaya hai.......
[ woh koi aur nahi balki Shilpa hai jisne yeh sab saajish racha hai. ]
Shilpa : [ khush houte hue ] good !....... veryy good !!!........
__________________
Guest- Guest
Episode 42
Mithibua : arre beta gauri.... kya hua ?.....
Gauri : buaji, karan......
Mithibua : kya hua karan ko ?....
Gauri : [ route hue ] aaj subah karan ki tabiyat achanak kharaab ho gayi.... doctors keh rahe hain ke.... karan... coma mei chale gaye hain.......
Mithibua : haaye raam !... .. beta gauri tu chinta matt kar sab theek ho jayega.... bhagwaan par bharosa rakh.. ...
Mithibua : gauri, tu abhi esi waqt chal mere saath.....
Gauri : magar karan ko ees halat mei chorr ke ??
Mithibua : karan ke bhalai ke liye mandir chal.... chal mere saath....
[ Gauri mithibua ke saath durga maa ki mandir pahuchte hain. ]
Mithibua : ees mandir ki bahut maanyata hai.... kehte hain jo sachhe mann se yahaan kuch bhi maange.... maa sab poora kar deti hai..... jai durga maa.....
[ Gauri karan ke liye prarthna karti hai. ]
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
oh yea it would b lovely if its romantic (gauri & karan k beech
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Karam
abhi ek bahutttt bara explosion hone wala hai ! for dat exlposion watch karam - mon-thu
Guest- Guest
Page 4 of 16 • 1, 2, 3, 4, 5 ... 10 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer