Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Page 13 of 41 • 1 ... 8 ... 12, 13, 14 ... 27 ... 41
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
----------------------
Story: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
Story By: Diipendu Dutta
Started On: 2007
Concluded On: 2025
Genre: Drama
No. of episodes: 1000
Last edited by Diipendu on 19/8/2020, 4:42 am; edited 5 times in total
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 289
6 Months later...
[ subah hoti hai. Tara bua kaaveri ke kamre ke taraf jaa rahi thi ke tabhi onka payrr fisal jata hai aur onke payron mein mouchh ajati hai. ]
Tara bua : aaye haaye !... mere payron mei mouch... hey bhagwaan yeh tera kaisa khel hai !...
[ tabhi wahaan bhaagi-bhaagi pooja aati hai. ]
Pooja : arre buaji, kya hua ?
Tara bua : arre tu andhi hai ? jo mujhse pooch rahi hai ! dekhti kya hai mujhe mere kamre tak chorr dey... aaye haaye mere payr...
[ pooja tara bua ko onke room tak chorr deti hai. ]
Tara bua : ab tu jaa yahaan se !...
Pooja : magar...
Tara bua : maine kaha na ! jaa yehaan se... :x
Guest- Guest
Episode 290
Damini : didi, dekho tou samdhanji kuch thik nahi lag rahin hain... chal ke dekhe ?
Pragya : haan haan chalo...
[ pragya aur daamini kamre ke andar aatey hain. ]
Pragya : kya hua taraji ? aapke payron mei taklif hain ?...
Tara bua : arre mota-bhabhi, main jaa hi rahi thi ke mere payr fissal gayye aur mere payron mein mouch aagaye... :420:
Pragya : aap chinta mat kariye, main abhi naukar ko kehkar aapke liye lep mangva deti hoon...
Tara bua : aap bahut hi achii hain mota-bhabhi... magar...
Daamini : magar ?
Guest- Guest
Episode 291
Daamini : magar ?
Tara bua : magar yeh kaaveri pata nahi hamesha kyun apko bura samajhti rehti hai... aur tou aur !... mahesh ko bhi aapke khilaaf bharkaate rehti hai...
Pragya ko Mahesh ki woh sab baatein yaad aati hai jab pragya kaaveri ko daat rahi thi magar mahesh ne aakar kaaveri ko support kia tha.
Tara bua : ab aap hi dekhiye, kaaveri ke kehne par Rishab aur Rahul ko baahar bhej dia gaya padney ke liye... magar haan aap na hoti tou shayad shobha ko bhi oon dono ke saath bhej dia hota oos kaaveri ne !
Tara bua : arre mota-bhabhi, ab thhey tou dono bachhe na... aur rishab, shobha aur rahul sab tou kaaveri aur mahesh ke hi bachhe hain phir bhi kaaveri ne aisa kia ? lo bolo !...
Daamini : didi mujhe tou lagta hai ke taraji sahi keh rahi hain... kaaveri ne ajtak bahut mann-maani ki hai...
Pragya Kaaveri ko hi doshi maanti hai.
Guest- Guest
Episode 292
[ Pragya, Daamini, Baa aur ghar ke saare members ek saath beithe thhey. Baa ko apne din yaad aatey hain jab baa ke pati onse shaadi karke shantiniketan mein apna pehla kadam rakha tha. Baa ghar ke sabhi logon ko yeh baat batati hai. ]
Tara bua : hehehe :giggliee: , baa woh sab tou guzre zamaane ki baat ho gayii hain... magar ab aapko ek bahut hi badaa decision lena hoga...
Hasmukh : decision ? kaisa decision ?...
Tara bua : baa ka agla uttar-adhikari kaun hoga eska faisla !...
Baa : tum sahi keh rahi ho !... aur mere mann mein bhi yehi baat thi ke main yeh baat... saarey gharwaalon ke saamne rakhu...
Pragya yeh soon kar khush hou jaati hai. Daamini Pragya ko all the best bolti hai. Pragya ko poori ummed hai ke baa osey hi apna uttar-adhikari chunegi kyunki baa ki aur shantiniketan ki badii bahu baa ke baad pragya hai.
Baa : aur meri uttar-adhikari hogi...
Guest- Guest
Episode 293
Baa : kaaveri...
YEH SOONKAR VIRANI PARIWAAR BAHUT KHUSH HOUTI HAI.
[ Pragya, Daamini aur Tara bua ko yeh sunnkar bahut dhakka laga. Pragya esey apna ap-maan samajh beithti hai aur wahaan se chali jaati hai. Peechey peechey daamini bhi opar jaati hai. ]
Tara bua : aaye haaye ! baa ne tou poora ka poora bomb giraa dia hai mota-bhabhi par... ab kaaveri ka kya hoga yeh tou thakurji hi jaante hain... :giggliee:
Kaaveri : nahi baa, main kaise ?...
Baa : kaaveri, maine jo bhi faisla lia hai... bahut soch-samajhkar lia hai...
Kaaveri : magar baa, shantiniketan ki badi bahu... badi bahu maa hai tou main kaise ?...
Baa : kaaveri, baat badey ya chotey ki nahi hai... baat hai, ghar ko ek dhaage mein pirokar rakhne ki... etney saalon tak maine jo safar tyeh kia hai... pehle ek patni, bahu, maa, aur ab daadi ka... een sab mein maine apne taraf se poori koshish ki hai ke shantiniketan ke ees mala ko hamesha bandhan ke dhaage mein piro kar rakhu...
Baa : maine yeh failsa bahut hi soch-samajhkar lia hai... aur sabse badii baat, yeh shantiniketan ki reet hai... yehi reet hai ke purani peedi apne saarey adhikaar, saare zimmedariyan apni nayi peedi ko soupti hai... tum, mahesh, pooja... sab ees shantiniketan ke aage aane waali peedi ko sambhalne jaa rahe ho... eseliye maine tumhe apna uttar-adhkari chuna hai...
Guest- Guest
Episode 294
Baa : kaaveri, baat badey ya chotey ki nahi hai... baat hai, ghar ko ek dhaage mein pirokar rakhne ki... etney saalon tak maine jo safar tyeh kia hai... pehle ek patni, bahu, maa, aur ab daadi ka... een sab mein maine apne taraf se poori koshish ki hai ke shantiniketan ke ees mala ko hamesha bandhan ke dhaage mein piro kar rakhu...
Baa : maine yeh failsa bahut hi soch-samajhkar lia hai... aur sabse badii baat, yeh shantiniketan ki reet hai... yehi reet hai ke purani peedi apne saarey adhikaar, saare zimmedariyan apni nayi peedi ko soupti hai... tum, mahesh, pooja... sab ees shantiniketan ke aage aane waali peedi ko sambhalne jaa rahe ho... eseliye maine tumhe apna uttar-adhkari chuna hai...
Jayant : baa, aapne bahut sahi faisla lia hai... kaaveri apki uttar-adhikari banney ke liye poore tarah se sahi hai...
Hasmukh : haan baa, agar baat rahi mota-bhabhi ki... woh tou kaaveri ko apni beti maanti hai... jaise uske liye mahesh waise hi kaaveri...
Jayant : haan baa, mota-bhai ke jaane ke baad se mota-bhabhi kuch depress rehti hai magar eska matlab ye nahi ke woh apke ees faisle se naraz hou jayegi... eseliye aap fikarr na karey...
Baa :
Kaaveri : baa, main aapse vaada karti hoon... jaise aapne ab tak shantiniketan ko sambhala hai... main koshish karungi ki thik osi tarah main bhi shantiniketan ko aagey osi tarah sambhalu...
Baa : ( khush houte hue ) mujhe tum se yehi ummeed thi kaaveri...
Baa kaaveri ko galey laga leti hai...
Guest- Guest
Episode 295
Baa : ( khush houte hue ) mujhe tum se yehi ummeed thi kaaveri...
Baa kaaveri ko galey laga leti hai...
AGLE DIN...
[ Pragya ek naye servant(chandu) ko ghar laati hai. Jayant kehta hai ke naye naukar ki ghar mein abhi zaroorat nahi hai magar pragya jayant ko chup rehne ke liye kehti hai aur chandu ko rakh leti hai. ]
[ Pragya Daamini ke room mein beithi thi aur pareshaan bhi thi aur rou bhi rahi thi. ]
Pragya : hamesha !... hamesha, mere hi har faislon ko nazar-andaaz kar dia jata hai... jab-jab main koi bhi faisla leti hoon ya tou kaaveri... ya phir baa... koi na koi akar mere faislon ko galat saabit karne par arr jata hai...
Daamini : didi, ye jo kuch bhi ho raha hai woh sirf aur sirf kaaveri ke shantiniketan mein kadam rakhne ke baad se hi hou raha hai...
Pragya : haan daamini !... tum bilkul sahi keh rahi ho... jab se kaaveri ke shantinetan mein kadam padey hain... maano poore ghar mein osne kya jaadoo kar dia hai jo har koi kaaveri ke saamne jhukey jaa raha hai...
Pragya : udhar baa hai ke apne uttar-adhikari mujhe chunne ke jagah kaaveri ko sab dey dia !... edhar maine sab kuch bardaash karke jab aaj... aaj maine ek naukar ko ghar mein kaam par rakhna chaha tou usmei bhi jayant ne aakar aitraaz jataya... bolne laga ke oos naukar par bharosa nahi karna chahiye kyunki ajkal ke naukar chori kar rahey hain aur kisi ko pata bhi nahi chal raha hai...
UDHAR CHANDU PRAGYA KE ROOM MEIN JUICE LEKAR JATA HAI TOU LOCKER KHULA DEKHTA HAI...
Daamini : didi, mujhe nahi lagta hai ke apne jis naukar ko rakha hai woh chorr hou sakta hai... chandu ees ghar mein aisa kuch bhi nahi karega...
Guest- Guest
Episode 296
Jayant : kya hua mota-bhabhi ?...
Pragya : woh dekho !... kisi ne mere locker se saare ghehne aur paise chori...
Saarey gharwaale ees chori ko dekh dungg reh jaate hain... Kisi ko bhi yeh samajh mein nahi araha hai ke yeh chori hui kaise aur kisne kiya hai...
TABHI WAHAAN Hasmukh dauda-dauda ata hai...
Hasmukh : mota-bhabhi, gazab hou gaya...
Mahesh : kya hua ?...
Hasmukh : woh, chandu yehaan se bhaag gaya hai...
Mahesh : eska matlab ?
Jayant : eska matlab chorr chandu tha !...
Ye soonkar Pragya hayraan hou jaati hai...
Tara bua : :shocky:
[ Pragya ko apne faisle par bahut pachhtava hou raha hai ke osne kyun kisi ki poori detail na lekar osey ghar mein naukar rakh lia. Pragya apne faisle par bahut rou rahi hai. ]
Baa : ab sochna yeh hai ke osey dhunda kaise jaaye...
Mahesh : baa, ab tak tou woh bahut doorr jaa chuka houga... osey dhundna bekaar hai...
Kaaveri : phir bhi mahesh, baa humey phir bhi koshish karni chahiye...
Pragya bahut sharminda hai.
Guest- Guest
Episode 297
Mahesh : baa, ab tak tou woh bahut doorr jaa chuka houga... osey dhundna bekaar hai...
Kaaveri : phir bhi mahesh, baa humey phir bhi koshish karni chahiye...
Pragya bahut sharminda hai.
Pragya : baa, maine hi chandu ko ghar mein naukar rakha tha... ghar mein hasmukh bhai aur jayant bhai ne bahut mujhe mana bhi kia magar... magar maine kisi ki na suni...
Pragya : baa, main apne bhool par sharminda hoon...
Baa : pragya bahu, tumne apni galati samajh lii yehi tumhare liye prashchit hai... ab humey sab kuch thakurji par hi chhorr dena chahiye...
Tabhi ghar mein Ashok bhai( police inspector ) aatey hain...
Kaaveri : arre, ashok kaka aap ?... aayiye...
Jayant : ashok bhai...
Ashok bhai : baa, aapke ghar mein abhi kuch hi deir pehle ek chori hui thi ?
Ghar mein abhi chori hui hai yeh ashok bhai ko pata chal gayyi yeh dekhkar saare viranis hayraan hou jaate hain...
Mahesh : haan, magar aapko kaise pata chala ?
Ashok bhai : woh chor ghar ka ek naukar... naukar chandu tha na ?
Mahesh : haan haan...
[ Ashok bhai poore gharwaalon ke saamne chandu ko khara karte hain. Ashok bhai sabko poori baat batate hain ke jab woh raaste mein ek aadmi ko bahut darra hua aur bhaagte hue dekhte hain tou unhe tabhi oos aadmi par shak jata hai aur oos aadmi ko arrest kar lete hain. Arrest karne par woh aadmi batata hai ke oska naam chandu hai aur woh shantiniketan se chori karke bhaag raha tha. ]
Jayant : aapka bahut bahut shukriya ashok bhai... agar aap samay pe na wahaan houte tou...
Ashok bhai : arre shukriya mera nahi apko thakurji ka karna chahiye jinhoune jaisi karni waisi bharni ka kaha such kar dia...
Guest- Guest
Episode 298
Kaaveri : mahesh, mujhe lagta hai ke chandu ko chorr dena chahiye... osey ab tak oski saza mill gayii hai aur hou sakta hai ke osko een paison ki zaroorat rahi ho eseliye osne chori ki ho ?...
Mahesh : kaaveri, tum sahi keh rahi ho...
Pragya : mahesh, tum chalo main abhi upar kamre se kuch zaroori saaman lekar aati hoon...
Mahesh : je maan...
[ Pragya aur Mahesh police station jaaney ke liye nikalte hain. Raatsey mein bahut traffic hoti hai. Pragya aur mahes hjis car mein thhey peechey ek dusri se galati se thokarr lagg jaati hai jis se pragya aur mahesh ke car mein scrathes aajate hain. Pragya ko yeh dekh bahut gussa ata hai. ]
Pragya : arre ahnde ho ! dikhayi nahi deta ?....
Jis car se thokar lagi thi oska driver aakar scratches dekhta hai aur khud pragya ko hi eska dosh deta hai.
Pragya : tum jaante bhi ho tum kis se baat kar rahey ho ! tum sirf ek driver ho... aur tumhare liye achha yehi hoga ke tum sirf ek driver bannkar raho... samjhe !
[ oos saamne waali car ka darwaza khulta hai aur ek ladki( Vadehi ) oos car se utarti hai. ]
Vadehi : driver !...
Vadehi : ( bahut gusse ) tumhari himmat kaise hui ees tarah kisi se baat karne ki...
Vadehi : maa ji, iam veryy sorry... mere driver ke ees mistake ke liye... main aapse maafi chahti hoon...
[ Pragya ko vadehi ka yeh respect karna pasand aya. ]
Pragya : its ok... beta, tumhara naam kya hai ?
Vadehi : vadehi... vadehi thakkar...
Pragya : badaa pyaara naam hai... magar... yeh thakkar ? kahin tum yashwant bhai thakkar ki baat tou nahi kar rahi ?
Vadehi : arre haan ! aap mere papa ko jaante hain ?
Pragya : actually, mere pati aur yashwant bhai... bahut achhe friends thhey... mere pati, ab ees duniya mei nahi hain...
Vadehi : oh iam veryy sorry... waise maa ji, mujhe abhi bahut hi urgent kaam hai eseliye mujhe jaana hoga...
Pragya : thik hai...
[ vadehi ke jaate hi ]
Mahesh : maa, i think hum bahut late hou rahey hain...
Pragya : haan haan chalo...
Vadehi apne papa ke company mein M.D hai aur jab osey yeh pata chalta hai ke oske papa ke company ko sabse bada loss hua hai tou woh yeh dekh dungg reh jaati hai. Osey samajh nahi araha tha ke galati kahaan hui hai magar jab vadehi ko suchhai ka pata chalta hai ke oske company ke loss ke peechey sabse bada haath VIRANIs ka hai...
Tab vadehi yeh decide kar leti hai aur kasam khaati hai ke woh VIRANIs ko barbaad karke rakhh degi...
Guest- Guest
Re: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Episode 298 continues
Tab vadehi yeh decide kar leti hai aur kasam khaati hai ke woh VIRANIs ko barbaad karke rakhh degi...
[ Pragya aur mahesh police station se chori hue jewelleries aur paison ke saath sahi-salamat waapas shantiniketan lout aate hain. ]
Pragya shantiniketan waapas aakar dekhti hai tou paati hai ke SHARAD waapas agaya hai.
{ Sharad pragya se aashirwaad leta hue }
Shantiniketan ka poora maahol poori tarah se emotional situation bann jata hai...
[ Sharad itne saalon baad waapas louta hai. Yeh dekh daamini bahut routi hai jo haal sharad ne apna kia hai. ]
Pragya daamini ko samjhaane oske room mein jaati hai -
Pragya : daamini...
Daamini : ( route hue ) didi....
Daamini : didi, aap hi samjhayiye na sharad ko... dekhiye, osne apna kya haal bana dia hai...
Pragya : jo kuch bhi nandani ke saath hua... oske baad sharad poori tarah se toott chuka hai...
{ Pragya ko baat yaadi aati hai - }
Pragya : daamini, ek raasta hai !...
Daamini : kya ?
Pragya : magar pata nahi... kahin agar sharad ne... sharad ne agar naa kar dia tou ?...
Daamini : sharad ko main samjhaungi... aap, bataiye tou...
Kamre ke bahaar se kaaveri jaa rahi thi tabhi osne daamini aur pragya ke beech chal rahe baaton ko sunna -
Pragya : kaisa rahey agar... agar sharad ki phir se dobara shaadi kar dii jaaye ?...
Daamini yeh soonkar soch mein padd jati hai...
Pragya : hou sakta hai, hou sakta hai ke eske baad sharad ki zindagi phir se pehle jaisi hou jaaye ?...
Daamini : haan didi, aap bilkul sahi keh rahi hain... magar, sharad se shaadi karne ke liye kaun hogi woh ladki ?
Pragya : arre, woh koi aur nahi hai... thakkar bhai ki beti ! vadehi...
Daamini : haan... vadehi tou sharad aur sejal ki sabse achii dosti bhi hua karti thi... didi, aapne aaj mere sarr se bahut bada bojh halka kar dia...
Pragya : sharad tou mere liye mahesh jaisa hai... tum bas sharad ko samjhao... baaki shaadi ki zimmedaari tum mujhpar chorr do...
Daamini :
Kaaveri yeh soonkar soch mein padd jaati hai agar sharad ne yeh shaadi kar bhi li tou bhi kya woh nandani ko kabhie bhulaa payega ?
Kaaveri wahaan se chali jaati hai.
[ Pragya aur Daamini millkar poore pariwaar ke saamne sharad ki dusri shaadi ka suggestion saamne rakhte hain. ]
Kaaveri : maa, waise sharad bhaiya ki shaadi hou jaaye tou ees se zyada khushi ki tou koi aur baat hi nahi hai... magar... magar kya sharad bhaiya ees shaadi ke liye kabhi raaz honge ?
Kaaveri : maa, chachi main yeh nahi keh rahi hoon ke aapdono ne yeh faisla galat lia hai... balki kahin na kahin yeh faisla bahut hi jald baazi mein lia gaya hai... aur jald baazi mein lia gaya har faisla... hamesha bekaar hota hai...
Pragya : kaaveri !...
Pragya : na hi kisi ne tumse koi salah manga hai aur na hi tumhare salah par yeh shaadi hou rahi hai... tou tumhare liye behtar isi mein hai ke tum chup raho...
Hasmukh : mota bhabhi, dekha jaaye tou kaaveri bilkul sahi keh rahi hai...
Mahesh : haan maa...
Baa : pragya bahu, achha hoga ke pehle sharad se pehle pooch lia jaaye... phir koi faisla kia jaaye...
Pragya, Daamini : je baa... :saddyyy:
[ Pragya aur daamini wahaan se chaley jaate hain. ]
Guest- Guest
Re: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
yeh waali vadehi high-society types hai :titterr:
Guest- Guest
Re: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Gayathri- Forum Senior Member
-
Zodiac :
Age : 37
Location : india
Humor : friendly
Join Date : 2007-12-30
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Episode 298 continues
Jai shri krishna !...
Poora Virani pariwaar dekhta hai ke Himanshu chacha ( hasmukh, jayant ke chote bhai ) bahut dino baad India wapas aaye hain...
Baa apne bete Jayant ko dekh bahut khush houti hai...
Himanshu baa se aur apne dono badey bhaiyon se ashirwaad leta hai...
Kaaveri : ( ashirwaad lete hue ) himanshu chacha...
himanshu : agar main galat nahi hoo tou tum... mahesh ki patni kaaveri ho ?
Kaaveri : jee...
Kaaveri : himanshu chacha, chachi nahi ayi ?...
Himanshu : tumhari chachi bas aati hogi... lo !.. wo agayi...
Shantiniketan ke dusri peedhi ki sabse choti bahu 'Manjula'...
Manjula : jai shri krishna !...
Guest- Guest
Episode 299
Manjula : jai shri krishna !...
Manjula sabse pehle baa se aashirwaad leti hai...
Pragya aur Daamini Manjula ko dekh bahut khush hain ke unki choti devrani shantiniketan wapas ayi hai...
Pragya aur Daamini apni devrani manjula ko khushi se galey lagate hain aur uska swaagat karte hain.
Kaaveri : ( ashirwaad lete hue ) chachi...
Kaaveri : kaise hain aap ?...
Manjula : ( bahut khush houte hue ) arre !... tum mahesh ki patni... kaaveri ho na ?... bahut pyaari ho...
Manjula : arey mota bhabhi apki kismat tou bahut achhi hai jo apko kaaveri jaise bahu mili hai !...
Kaaveri ka naam sunkar Pragya aur Daamini ke chehre bhaari ho jate hain Manjula yeh dekhkar sab samajh jaati hai ke Pragya Kaaveri se abhi bhi gussa hai aur pragya ne abhi tak kaaveri ko apne bahu ke roop mei aur beti ke roop apnaya nahi...
Manjula : ( mann mein kehte hue ) ab main agayi hoon... sab thik kar dungi !... een saas-bahu ko maa-beti agar na banaya tou mera naam bhi manjula nahi !...
Guest- Guest
Episode 299 continues
Pragya apne kamre mein ek bahut hi achhi saari aur kuch jewelleries dekhti hai... Udhar Daamini bhi apne kamre mei ek golden chain dekhti hai... Pragya aur Daamini ko woh gift Kaveri ke naam se milta hai...
Pragya aur Daamini ko jab ye gifts milte hain tou unka kaaveri par gussa moum ke tarah dheere-dheere pighalne lagta hai...
Breakfast table mei jab saara pariwaar nashta kar raha houta hai tabhi wahaan
Pragya aur Daamini Kaveri ke taraf dekh pyaar se muskurate hain...
Kuch deyr baad -
Naukar ramu : kaaveriji, apko pragya maa ji ne bulaya hai...
Kaaveri : theek hai...
Kaaveri pragya ke kamre mei jaati hai tou Pragya aur Daamini dono kaaveri ka intezaar kar rahey thhey...
Kaaveri : maa chachi, aapne mujhe bulaya ?...
Pragya Daamini ko ishara karti hai ke woh kaaveri se baat karey...
Daamini : haan kaaveri... didi ne yeh failsa kia hai ke... jo ho gaya so ho gaya... beetey baaton ko yaad karke koi fayeda nahi eseliye............. didi tumhe apne bahu swikaar karti hai...
Kaaveri yeh jaankar bahut khush houti hai...
Kaaveri : ( khush houte hue ) kya !... eska matlab aapne mujhe apna lia ?...
Kaaveri : aaj main bahut khush hoon maa...
Pragya Kaaveri ko galey lagati hai...
Pragya : aur aaj se main tumhari saas nahi...
Daamini : KYUNKI...
Pragya : aaj se main tumhari maa hoon...
Sab theek hou jata hai aur Saas-Bahu ka yeh rishta aur ghehra hou jata hai aur leta hai maa beti ke rishte ka roop...
Daamini Kaaveri ko kehti hai ke woh sharad ko samjhaye ke woh Vadehi se shaadi karne ke liye haan keh dey...
Kaaveri : theek hai chachi, main sharad bhaiya se baat karungi...
Kaaveri Sharad ko samjhati hai ke woh vadehi se shaadi karne ke liye haan keh dey-
Kaaveri : magar sharad bhaiya, aap zara tou sochiye... agar khud ke baare mei nahi tou... tou damini chachi ke baare mei sochiye... kya guzarti hai unpar jab woh apko ees tarah dekhti hain...
Kaaveri : vadehi bahut achhi ladki hai... main maanti hoon ke woh kabhi bhi nandani ki jagah nahi ley payegi... magar...... magar kya aap khud ke swarth ke liye daamini chachi ko udaas kar sakte hain ?... kahiye ?
Sharad : thik hai... sirf gharwalon ke khushi ke liye !... main yeh shaadi karne ke liye tyaar hoon...
Kaaveri : thank you sharad bhaiya... thank you...
Dekhte-dekhte Sharad ki shaadi Vadehi se hou jaati hai magar Vadehi shantiniketan mei sirf ek hi maksad lekar aati hai aur woh hai Shantiniketan ki barbaadi...
---------------------------------
Grah pravesh ke baad jab Sharad aur Vadehi thakurji ke saamne ashirwaad lene jaate hain tab galati se vadehi ke haath se pooja ki thaali girrne waali hi thi ke tabhi kaaveri oos pooja ke plate ko girrne se rok leti hai...
Baa : yeh kya !... abhi ek anarth hou jata agar woh pooja ki thaali ghar ki nayi naveli dulhan ke haath se girr jata...
Manjula : magar baa, dekhiye kaaveri ne yeh anarth houne se rok dia na ?...
Kaaveri : vadehi, ab se een har choti-choti baaton ka tumhe dhyaan rakhna hoga...
Vadehi : je bhabhi...
Guest- Guest
Episode 300
Pooja, Namrata, Gayathri, Kaaveri aur Vadehi shantiniketan ke 5 bahu milkar shantiniketan ke neev bann gayin magar enhi ke beech Vadehi mann hi maan badle ke aag mei jal rahi thi...
Mahesh, Hemant, Sharad, Jignesh aur Vikas millkar Viranis Industry ko aur bhi oonche shikhar mei ley jaa rahey thhey...
20 saal baad...
----------------------------------------------
SHANTINIKETAN ne rishton ke kayi utaar-charav dekhte hue een 20 saalon mei khud ko purana na houne dia aur khushi-khushi Shantiniketan ke NAYE peedhi ko swaagat kia...
Aaj waqt phir se osi moud par aya hai jahaan se yeh kahaani shuru hui thi... 20 saal baad shantiniketan mei bahut badlaav hue thhey magar shantiniketan ne khud ko purana na houne dia ulta khud ko aur sunhera banaya aur AAJ shantiniketan mei wapas aaney waale hain woh chirag jo ees kahaani ke naye khilaadi hain jo ees kahaani ko aagey badhayenge...
Shobha - Kaaveri aur Mahesh ki laadli beti aur ees shantiniketan ki rounak...
Simran - Hemant aur Pooja ki beti...
Ranbir - Jignesh aur gayathri ka beta...
Shivam - sharad aur nandani ne shivam ko adopt kia hai...
Atul - Vikas aur namrata ka beta...
Guest- Guest
Episode 301
Kaaveri : main kaaveri, aap saare viewers jo ees kahaani ko dekh rahey hain kyunki ghar hai ek sapna mein aaye ees naye moud par apsabka swagat karti hoon...
Kaaveri : kyunki ghar hai ek sapna kahaani ne apne 300 episodes poorey kiye hain aur ab 20 saal ka yeh gap lekar aapsabke saamne pesh hua hai... 1 se 300 episodes aur 1.5 saal ka yeh safar tye karne tak ees kahaani mei bahut saare utaar-charaav aaye hain... humey umeed hai ke saas-bahu ke taane-baano ke ees rishtey ko achhe se apsabke saamne hum pesh kar paaye ho...
Kaaveri : tou chaliye ! shaamil hou jayiye phir se ees kahaani se jurne ke liye...
------------------------------------------------
Pragya saare gharwaalon ko neechey living hall mein bulati hai...
Pragya : maine apsabko yehan eseliye bulaya hai... kyunki aaj main ek zimmedaari jo ki mujhe 20 saal pehle hi apni bahu ko sop dena chahiye tha woh aaj main... yehaan esi waqt sopna chahti hoon...
Pragya ghar ki woh chaabiyan kaaveri ko dete hue-
Pragya : kaaveri, aaj main tumhe een chaabiyo ko dekar apne saare adhikaar tumhe deti hoon... ab se shantiniketan ki dorr tum sambhalogi...
Guest- Guest
Episode 302
Pragya : haan baa, aaj tak maine hi yeh nahi samjha ke... kaaveri ne aajtak jo kuch ees shantiniketan ke liye kia hai... woh kam nahi... magar ab se aisa kuch nahi hoga... kaaveri tou meri beti hai...
Scene : Pragya Kaaveri ko galey lagate hue-
Pragya : arre chalo chalo aaj ees shantiniketan ke naye peedhi ghar itney saalon baad loutne waale hain unka swagat bhi tou karna hai...
Pooja : eseliye baa ne pehle se Rahul aur Rishabh ke ghar aaney ki khushi mein ghar ke chowkhat par rangoli se saja dia hai...
Kaaveri aur pooja ghar ke dwar par akar baa ka rangoli dekhte hue-
Kaaveri : arre yeh tou bahut sundar rangoli banayi hai baa ne... Pooja, lagta hai ab mujhe bhi baa se thoda bahut rangoli sikhna hi padega...
Tabhi shantinetan ke bahar do gaariyan akar rukti hain.
Kaaveri peechey murr kar dekhti hue-
Pehle car ka darwaza khulta hai.
Guest- Guest
Episode 303
Kaaveri peechey murr kar dekhti hue-
Pehle car ka darwaza khulta hai.
Car se Rahul utarta hai.
Kaaveri : ( khush houte hue ) Rahul...
Rahul ata hai aur pehle baa se ashirwaad leta hai phir jakar kaaveri se ashirwaad leta hai. Daamini ko yeh baat achii nahi lagti ke rahul ne pragya se ashirwaad nahi lia aur baa se ashirwaad ke baad kaaveri ke paas chala gaya ashirwaad lene...
Phir dusre car se Rishabh utarta hai. Rishabh akar seedha Pragya se ashirwaad leta hai.
Guest- Guest
Episode 304
Pragya : ( khush houte hue ) een 20 saalon mein kitna bada ho gaya hai...
Daamini : haan didi, waqt ka pata hi nahi chala ke kal jo itney chote-chote bachhe thhey woh aaj badey hou gayye hain...
Pragya : haan, ab nayi peedhi agayi hai... shantiniketan ko apne kandhon par uthane...
Rishabh : haan dadi, shantiniketan ki zimmedari sirf aur sirf mujh par hai aur main hi ab ees virani industries aur shantiniketan ko sambhalunga... sirf main !
Kaveri ko Rishabh ke baatein kuch theek nahi lagi.
Daamini : arre bahut hou gayi baatein ab chalo chalkar araam bhi kar lo...
Kaaveri apne room mein beithkar Rishabh ki baatein soch rahi thi. Rishabh ka ees tarah se baat karna kuch theek nahi tha.
Guest- Guest
Episode 305
Tabhi wahaan Rahul ata hai.
Rahul : maa...
Kaaveri : arre beta Rahul, aao aao... main tou bhool hi gayi thi ke itney saalon baad mera beta ghar louta hai... aur baatao tumhe itne saal apne maa ki zara si bhi yaad nahi aayi ?
Rahul : kaisi baat kar rahi ho maa... main bhala apko aur papa ko kaise bhool sakta hoon... maa, aapse kuch zaroori baat karni thi...
Kaaveri : zaroori baat ? kis baare mein ?
Rahul : woh, meri ek dost hai... Priyanka...
Kaaveri : Priyanka ?...
Guest- Guest
Page 13 of 41 • 1 ... 8 ... 12, 13, 14 ... 27 ... 41
» Sword fighting in Sajan Ghar Jana Hai
» A new family to creates rift in Sajan Ghar Jaana Hai
» PLZZZZZZZZZZZ upload kyunki 20 nov 2006 video
» Aap ki kacheri Kiran ke saath is going 2 REPLACE KYUNKI !
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer