Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 11 of 16 • 1 ... 7 ... 10, 11, 12 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Re: Karam
Mini : nandani, pata hai agar do loug ees windcharms ke neechey milte hain aur agar onke aankhein ek dusre se touch ho ya woh oske baahon mei ho woh bhi ees windcharms ke neechey tou unke beech ek rishta bann jata hai jo sadiyo tak ankahee aur ansuni tou hoti hai magar woh dono janmo ke liye saath bandh jaate hain....
Nandani : aisa kuch nahi hota hai !...
[ nandani wahaan se chali jaati hai. ]
[ Ek bahut badii aarti chal rahi thi. Saare loug aarti mei busy thhey. Pratham wahaan se guzar raha tha osne apne driver se poocha. ]
Pratham : arey driver, yehaan kya chal raha hai ?...
Driver : sahaab, yehaan durga maa ki aarti chal rahi hai... kehte hain maa se jo mango woh mill jata hai...
[ Pratham gaari rukvata hai aur andar jata hai. ]
[ Nandani ke room mei kuch bachhe aate hain woh nandani ke sabse fav. dress jo ki bed par rakha tha ospar colours girakar saara dress kharaab kar dete hain. Woh dress nandani aaj pehenne waali thi puja mei. ]
[ nandani akar dekhti hai tou bachho ne sara dress ka kabara kar rakha tha. Nandani ko yeh dekh bahutt gussa aya woh oon bachho ko stick se maarne ke liye onke pechey bhaag rahi thi. bachhe bhaagte hue yehaan-wahan jaa rahey thhey. Nandani es waqt bahutt gusse mei thi aur woh unke peechey stick lekar bhaag rahi thi. ]
ACHAANAK !
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Nandani takra kar Pratham ke baahon mei girr jaati hai. ]
[ Nandani aur Pratham ke aankhon ke saamne kuch visuals aate hain jinmei dono ek car ke paas kharey thhey aur nandani ka payr fisal jata hai aur nandani pratham ke baahon mei girr jaati hai. ]
[ Tabhi wahan mini aati hai. ]
Mini : arre, yeh dono tou windcharms ke neechey woh bhi ekdusre ke aankhon mei dekh rahey hain aur nandani tou ooske bahon mei bhi hai... een sab ka sign hai ke een dono ka connection ab janmo ka ho gaya hai.....
[ Pratham nandani ko uthata hai. Nandani ko achaanka se aisa lagne laga ke aaj subah se jiska osey intezaar tha woh agaya hai. ]
(dono ek saath bol parey.)
Pratham-Nandani : kya main tumhe janta hoon ?/kya main tumhe jaanti hoon ?
arre nandani !!! jaldi aa kahan reh gayi tu...
Nandani : haan main aayi !... [ nandani wahaan se jaldi se bhaag jati hai. nandani jaate hue peechey murr kar oos anjaane ko dekhti hai. ]
Mumbai
[ woh aurat jisne pratham ko karan ke naam se pukara tha woh khush houte hue mandir jaati hai. ]
[ Woh aurat aur koi nahi gauri ki maa thi. woh aaj osi panditji ke paas jaati hai jisne 20 saal pehle ek bhavishya-vani ki thi ke karan aur gauri ke jeevan mei ek bahut badi musibat aaney waali hai. ]
[ Gauri ki maa panditji ko saari baat batati hai. Panditji yeh soon kar bahut khush houte hain ke onke mann mei jo shak tha woh aaj such ho gaya hai. ]
[ Panditji woh kundli dekhkar phir se unko kuch pata chalta hai aur yeh sab kuch kab-kaahan-kis jagah se shuru hua yeh samajh mei ajata hai. ]
[ panditji gauri ki maa ko woh sab kuch batate hain shuru se- gauri aur karan ke shaadi ke baad shilpa hi woh thi jisne karan ko maarne ki saajish ki thi magar har baar gauri beech mei ajati thi. ek din shilpa ne yeh saajish kia ke rakhi waale din woh apne bhai karan aur gauri ko apne raaste se ek baar mei hata degi. Shilpa ne rakshabandhan waale din apne hi bhai karan aur gauri ke saath yehi kia. woh din ek bahut khaas tha, eseliye ab waqt khud ko repeat karega aur shilpa ko apne karamo ka jawaab dena hoga. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Panditji : aur ab woh waqt agaya hai jab itihaas khud ko phir se dohrayega...
Gauri`s maa : tou kya gauri aur karan zinda hai ?... kahaan hai woh ?...
Panditji : ek naye chehre lekar... nayi pehchaan lekar ees duniya mei waapas aaye hain... woh kahaan, yeh khud mujhe bhi nahi pata magar neyati mei jo likha hai woh hokar hi rahega...
KOLKATA
[ Nandani oos anjaan ke baare mei soch rahi thi jis se woh aaj mili thi. ]
[ Pratham apne meeting mei beitha tha. Oske aankhon ke saamne baar-baar wahi chehra araha tha jis se woh aaj mila tha. ]
[ Udhar mini nandani ke room mei aati hai aur dekhti hai ke nandani kahin khoyi hui si hai. Woh nandani ko oske khyaalon se jagati hai. ]
Mini : arre nandani, main tujhe ek baat batana chahti hoon aur tu hai ke khoyi-khoyi si hai !....
Nandani : [ gusse se ] kya hai ! kyun tangg kar rahi hai...
Mini : ( Bahut khush houte hue ) Tujhe saanjh aur Prem ke baare mei batana tha !...
Nandani : saanjh aur prem ? yeh kaun hain ?....
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Mini : ( Bahut khush houte hue ) Tujhe saanjh aur Prem ke baare mei batana tha !...
Nandani : saanjh aur prem ? yeh kaun hain ?....
Mini : saanjh aur Prem, Bhagwaan ne een dono ki kismat bahut hi pyaar se likhi hai... pyaar ke har oon mushkilon ko paar karke aur zindagi bharr ek dusre ka saath nibhakar dono ne apna pyaar amar kar dia.... ab tou duniya bhi een do pyaar karne waalon ko hamesha yaad rakhegi... yeh dono baney hi hain ek dusre ke liye...
Nandani : arre wah ! phir tou main bhi zaroor dekhungi ees kahaani ko... magar ees kahaani ka naam kya hai ?
Mini : des mei basta hogaa meraa dil...
Nandani : bahut hi pyaar naam hai...
[ Nandani ki maasi ne nandani aur mini ko market jakar kuch zaroori saaman laaney ko kaha. Nandani aur Mini market jaakar shopping kar rahey thhey. ]
Nandani raaste se guzar rahi thi aur uska dupatta kisi ke chehre ko chhu kar(touch houkar) chali gayi...
{ woh aur koi nahi PRATHAM tha }
[ Nandani ka dupatta Pratham ke wrest watch se attuck jaati hai. ]
[ Nandani rukk jaati hai. ]
Mini : kya hua nandani ?....
[ Nandani peechey murr kar dekhti hai tou yeh wahi Anjaana hai jis se woh aarti mei mili thi. ]
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 11 of 16 • 1 ... 7 ... 10, 11, 12 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer