Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 3 of 16 • 1, 2, 3, 4 ... 9 ... 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Episode 26
[ Gauri kapoor mansion mein pahuchti hai. ]
[ Darwaaze par sab gauri ke swaagat ke liye khare thhe. gauri ne kalash giraya aur ghar ke andar aayi. Saamne thali thi. ]
Mithibua : beta gauri ab tum ees thaali mein payr rakho aur apne kadam aage badaao.
[ Gauri oos thali mein payr rakhne hi waali thi ke karan ne oose rouk liya. ]
[ Ghar ke sabhi loug hayraan hou gaye ke karan ne gauri ko rouka kyun ?. ]
Karan : ees thali mein kuch hai.....
[ karan neechey jhuka aur oos thali mein pare oos chiz ko uthaya. woh chiz ek kaanch ka tukra tha. ]
[ ghar ke loug ees kaanch ke tukre ko dekh pareshaan hou gaye. ]
Shilpa : ( gusse se ) yeh sab kiska kaam hai !..... zaroor ees ghar ke servants ne hi aisa kiya houga.....
Guest- Guest
Episode 27
[ tabhi mithi bua dheere se boli ]
Mithibua : woh naukar bhi hou sakta hai ya......... koi ghar ka sadasya bhi....
[ Shilpa gusse se mithibua ke taraf dekhti hai. ]
mrs. kapoor ( karan`s mom ) : aao beta , andar aao.....
[ Tabhi peechey se ]
Kanta : ( zorr se kehte hue ) lo , main aagayi !!!........
Mrs. kapoor : aap ?..... yahaan ?....
[ kanta masi karan ko ishare se bolti hai ke woh gharwaalo ko kahe ke kanta tai bhi yahaan reh sakti hai. ]
[ Karan gharwaalo ko samjhata hai ke kanta masi bhi aaj se yahaan sabke saath rahegi yeh jaan ke mr. & mrs. kapoor khush hou jaate hain. ]
Dadaji : chalo , itne dino ke baad ees ghar mein aapke rehne se kuch machines insaan bann jayenge....
Kanta masi : hahaha.... agar nahi bhi bane tou dont worry kanta sabko ek second mein theek kar degi....
Shilpa : ( Bahut gusse se ) MY......FOOT !!!!!!......... [ Shilpa wahaan se chali jaati hai. ]
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
Diipendu wrote:aw yeah ! iam veryyyyy sorryyy for this but ek baar mei 20 episodes post zaroor ho jayega 1st july ko yeh mera promise hai
theek hai. jab time mile tab post karna.itne din wait kara hai thode din aur sahi
aanchal- Moderator
-
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Job/hobbies : CA student /reading novels ,surfing GHT sites
Join Date : 2007-09-24
My Diary
About me:
*Medal*: Forum Director
Re: Karam
den thanksssssssssssssssssssssss a lottttttttttttt !!!!
bcoz i think mujhe abhi bahut improv karna hoga ees mei
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Episode 28
Karan : gauri , aaj main sofa pe sou jata hoon....
Gauri : arre nahi iski koi zarorat nahi.... main..
Karan : maine kaha na.... ab jaao jaake sou jaao...
[ AGLE DIN ]
[ Karan ne apna wardrobe khola. oose kuch samjah nahi araha tha ke woh office ke liye kaun sa shirt pehne. ( background music mein : "main aisa kyun hoon ? - lakshya ") ]
[ karan ke saamne bahut saare kapre parey thhe. ]
Karan : oh no , mujhe kuch samajh mein nahi araha hai......
[ tabhi wahaan gauri aati hai. ]
Gauri : kya main kuch help kar doon ??.....
Karan : theek hai....
[ gauri ne karan ke liye black shirt choice kiya. ]
Karan : oh THANK GOD !....... i think mujhe yehi chahiye thha.... thanks
gauri.....
[ gauri wahaan se jaane wali thi ke tabhi oski churi karan ke shirt mein atak gayi. ]
[ Dono ek dusre ko dekh rahe thhe ke tabhi darwaaze par kisi ne knock kiya. ]
[ gauri ne darwaaza khola. ]
Kanta masi : gauri !... itne deir se main darwaza khat-khata rahi thi..... tu bhi na !.....
[ yeh kehte hue kanta masi andar agayi. ]
Kanta masi : achha gauri sun , tujhe pag-phere ke rasam ke liye ghar ke liye jana hai.... chal jaldi se tyaar hou main tou tyaar houke tip-top beithi hoon....
[ gauri ne karan ke taraf dheere se dekha. Karan ne bhi gauri ko dekha. ]
Kanta masi : kahaan kho gayi hai ??... chal jaldi se tyaar ho !......
Gauri : je masi....
Guest- Guest
Episode 29
Karan : main kal tumhe tou ley jaunga par.... kanta masi ko bhi ??....
Kanta masi : ( chillate hue ) haaaaaaaaaaaannnnnn !!!!.........
Karan : achha achha theek hai....
[ gauri jaane lagti hai tou uska anchal karan ke ghar mein atak jaata hai. ]
[ Karan gauri ke anchal ko nikalne ki koshish karta hai. ]
Gauri : main dekhu ?....
[ Gauri anchal ko ghari se nikal deti hai. ]
Karan :
[ Karan ke jaate hi ]
Ma : arre , gauri tu agayi.... karan kahaan hai ??...
Gauri : maa , unhe kuch zaroori kaam thha...
Ma : achha achha...
Gauri : papa kaise hain ?...
Ma : papa theek hai..... aur bata kahin kanta ne wahaan kisi ka jeena mushkil tou nahi kiya na ?.....
Kanta masi : arre !!... saari duniya mein buraai ka poora theka kya maine hi liya hai ?.....
Guest- Guest
Episode 30
[ Gauri ke naam par ek bahut baraa flower ka bouquet aata hai. jispar kisi ne shayari likhi houti hai jisey parr ke gauri ke chehre par muskaan ajati hai. ]
Kanta masi : arre tu wahin khari hou gayi.... kya aaya hai ?....
Gauri : masi , kisi ne phool bheje hain.....
Kanta masi : yeh fool kaun bhej sakta hai ?..... main abhi jaake dekhti hoon....
Ma : arre kanta....
Papa : dekhne do... aakhir woh jasoos jo thehri.... bina jaasoosi kiye kanta kabhi reh paay hai ?....
[ kanta masi woh shayari dekhti hai tou shock hou jaati hai ke itna romantic shayari gauri ko kaun bhej sakta hai. ]
Kanta masi : hmmm..... samajh gayi.... yeh koi aur nahi... balki wahi houga...... poocho kaun ??.....
[ SAB MILKE POOCHTE HAIN " KAUN ?? " ]
kanta masi : karan !... aur kaun..... dekha mera dimaag... kanta bond hoon main.....
[ sab milke kanta masi ke baaton par zorr-zorr se hass parte hain. ]
Kanta masi : arre , maine koi joke maara ??.... aur mujhe khud hi pata nahi ?.....
Guest- Guest
Episode 31
[ Karan gauri ko lene aaya hai. gauri ke maa aur papa gauri aur karan ko aashirwaad dey rahey hain. ]
[ Karan , Gauri aur Kanta masi Ghar pahuchte hain. ]
Shilpa : arre karan , aaj mom aur papa ko urgently new-york ke liye jana para hai....
Karan : magar kyun ?....
Shilpa : woh actually....... woh.....
Kanta Masi : kya hua bol na !......
[ Shilpa gusse se kanta masi ko dekhti hai. ]
Shilpa : woh actually , papa ka jo wahaan factory hai wahaan kuch problems chal rahi hain.... eseliye ab papa aur mom ab wahin settle ho gaye hain.....
Gauri : magar yeh sab kuch bahut jaldi mein ho gaya hai.....
Karan : haan gauri.....
Shilpa : aur ek baat..... aaj dadaji apna WILL parne waale hain.... lawyer ata hi houga.....
Mithibua : haan haan , aapko tou zyada jaldi hai..... WILL par apna naam sunne ko ?.....
Shilpa : ( bahut zyaada gusse se ) JUST MIND YOUR LANGUAGE !.. ...... huh !!!!.......
Guest- Guest
Episode 32
Lawyer : ees Will mein likha hai ke main dhanraj kapoor , apni power of attorney...... mere poute.... Karan ke naam karta hoon... aur.... kapoor industries bhi apne poute karan kapoor ke naam karta hoon.... eseliye aaj se..... mere ees poore property ke haqdaar karan aur uski patni gauri hai......
[ Shilpa mann-hi-mann dadaji ke ees faisle se jall rahi thi. ]
Shilpa : [ bahut zyada gusse se ] MYYYYYYYY.......... FOOT !!!!!!.............. [ shilpa wahaan se chali jaati hai. ]
[ Ab karan pe ek bahut barii zimmedari agayi thi. Akhir karan jaisa chahta tha oosey woh mill gaya tha. ]
[ Karan kamre mein gauri ko apna agla plan batata hai. ]
Gautam : karan , tab kya houga jab tum dono ki yeh contract marriage khatam hougi ?...
[ Gautam ki baaton se karan aur gauri apne pyaar bharey khayaalo se bahaar nikal aate hain. ]
Gautam : jab gauri aur tumhari yeh shaadi tootegi tou ghar mein dadaji , aur baaki gharwaalon se kya kahoge ??..... kuch socha bhi hai ?.....
Gautam : mere paas ek plan hai.....
Karan : plan ?... kaisa plan ?.....
Guest- Guest
Re: Karam
Gautam : agar gauri ees ghar ke saare lougo se buraa bartaav kare ya sabke samne apna image ko kharaab kare then.... tab !..... tab jaake kuch baat bann sakta hai.... aur ees se houga yeh ke agar gauri ees ghar se chali bhi jaaye tou kisi ko buraa bhi nahi lagega aur sab ees divorce ko maan bhi lenge....
[ Gauri ees idea se khush nahi. ]
Karan : [ na-khush houte hue ] excellent...... achha idea hai...
[ gauri karan ke taraf hayraani se dekhti hai aur uske ankhon pe aasoo ajate hain. ]
[ Gauri wahaan se chali jaati hai. ]
Gautam : arre , eese kya hou gaya ?........
[ kuch deir baad ]
[ Gautam ki nazar karan par parti hai. Karan bahut pareshaan tha aur oosey khud yeh nahi pata ke woh pareshaan kyun hai .]
Gautam : hmmm..... tou yeh baat hai.............
Karan : kya ??.....
Gautam : such such bata..... kahin tujhe gauri se.... pyaar tou nahi hou gaya hai ??.......
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Gautam : such such bata..... kahin tujhe gauri se.... pyaar tou nahi hou gaya hai ??.......
[ karan ki zubaan ne bhi ab oska saath chorr diya. karan larkharate hue bola. ]
Karan : yeh.... tu tu ... tu yeh kaise baat kar raha hai....[ gauri wahaan ati hai. ] main aur gauri se pyaar ??...... Aisa hou hi nahi sakta.... maine oos se shaadi sirf ek property ko paane ke liye ki thi.... BAS !!...... eske aage mera aur gauri ke beech aisa kuch bhi nahi hai......
[ Gauri wahaan se route hue chali jaati hai. ]
Karan : magar such kahun ?.... pata nahi kyun par aaj mujhe itna bura lag raha hai.... ees se pehle itna bura nahi laga kabhi....
Gautam : kyunki tab shayad tumne ees jhooth ko such maan liya tha.....
[ karan hayraani se gautam ko dekhta hai. ]
Gautam : haan !..... jhootha shaadi hi sahi.... magar kahin-na-kahin tumhe oos se pyaar hou gaya hai...... haan ab yeh such hai aur ees such ko tum maano ya na maano...... main chalta hoon.... bye.....
[ Wahaan Gauri karan ke baaton ko yaad kar routi hai. ]
[ sad theme : Yeh jo sabki hatheli hai...... yeh tou ajab paheli hai..... likha hai jo bhi lakeero mein..... milta wahin hai.... takedeero mein.... jo kho jaye woh mitti hai...... jo kho jaye woh mitti hai , jo milta hai..... woh hai souna..... yeh sab hai..... apna Karam...... yeh sab hai..... apna Karam...... ]
Guest- Guest
Episode 35
Karan : gauri main office ke liye jaa raha hoon main late hou raha hoon.....
Gauri : theek hai... magar aaj kanta masi kolhapur se waapas aarahi hai.....
Karan : main unhe shaam ko aatey waqt unhe station se pickup kar loonga... aaj office mein ek bahut barii meeting hai i hope sab kuch theek ho......
Gauri : sab kuch theek hoga tum chinta matt karo durga mein hai na.......
[ Karan jaane lagta hai ke gauri ka aanchal karan ke coat ke button mein atuck jata hai. ]
Gauri : main dekhoo ?.....
Karan : hamesha ki tarah.... [ dono ees baat pe hassne lagte hain ke tabhi onke chehre se yeh hassi bhi chali jati hai yeh sochkar ke yeh sab kaash agar such houta. ]
Karan : main chalta hoon....
Gauri : humaare yahaan bengali mein.... kabhi jata hoon nahi kehte.... yeh kaho ke main ata hoon......
Karan : main ata hoon......
__________________
Guest- Guest
Page 3 of 16 • 1, 2, 3, 4 ... 9 ... 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer