Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Karam
Page 14 of 16 • 1 ... 8 ... 13, 14, 15, 16
Karam
Cast:
- Hiten Tejwani as Karan
- Gauri pradhan as Gauri
- Smriti Irani as mrs. kapoor [ Karan`s mom ]
- Anupam kher as mr. kapoor [ karan`s Dad ]
all other characters are imaginary
Story is centers about a middle class girl "Gauri" from kolkata. when destiny meet her with "Karan" a rich handsome business tycoon .
Last edited by on 5/12/2007, 3:43 am; edited 1 time in total
diipendu- Guest
Re: Karam
[ Pratham ke ghar par Gautam ka phone aata hai. Pratham phone recieve karta hai. ]
Gautam : dekho pratham, tumhe jo bhi apne sapno mein dikhai dete hain... ab tak tumhare saath jo bhi kuch hua hai oon sab ka rishta mumbai se hai...
Pratham : mumbai se ?... maine already aapse yeh keh dia hai... main na hi karan hoon aur na hi mera karan ki zindagi se koi rishta hai....
Gautam : thik hai, main maan leta hoon.... magar tum apne mann ko yeh baat kab tak dilasa dekar yunhi pareshaan rahoge ?... agar tumhara aaj tumhare ateet se judaa hai tou tumhe ek baar... sirf ek baar oos such ka pata lagana chahiye...
Pratham : magar mujhe mere sawaalon ka jawaab ?
Gautam : mumbai se milega... wahaan se jahaan... jahaan karan aur gauri ki zindagi khatam hui thi aur tumhari nayi zindagi ki shuruat...
Pratham : theek hai... main aaj hi mumbai ke liye nikal raha hoon...
[ Udhar Nandani ]
Nandani pratham ke baare mei soch rahi thi...
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
ACHAANAK !
Kuch awaaz hota hai... nandani jaakar dekhti hai tou pratham window se chupke se andarr ata hai...
Nandani bhaagkar pratham ke paas jaati hai...
Nandani : pratham ?... tum yehaan ?... ees tarah ?...
Pratham : nandani, woh main... mujhe tumse kuch zaroori baat karni thi...
Nandani : tumne aaj jo kuch bhi kia... papa oos wajah se meri shaadi... meri shaadi esi mahine kar rahey hain...
pratham yeh soonkar hayraan hou jata hai...
Pratham : kya !...
Pratham : nandani, main tumse pyaar karta hoon...
Yeh soonkar nandani pratham ke taraf dekhti hai... nandani ko koi shabd nahi mill raha tha ke woh aise mein kya kahey... KYUNKI NANDANI BHI PRATHAM SE PYAAR KARNE LAGI THI. Anjaane mei hi sahi magar nandani ko aisa lagga ke oska pratham se bahut gehra aur koi purana rishta hai. Magar woh PYAAR hai...
Koi araha tha shaayad woh nandani ke papa thhey. Ees se pehle nandani ke papa pratham ko wahaan dekh lete Pratham Nandani ko ek Letter dekar wahaan se chala jata hai.
Nandani : yeh letter ???...
Nandani woh letter dekhti hai, usmei pratham ne likha tha ke osey ek zaroori kaam se aaj mumbai jaana padd raha hai eseliye woh mumbai se waapas aakar hi nandani ke papa se apne liye nandani ka haath maangega...
Nandani pratham ko yeh batana hi bhool gayii thi ke aaj teen din ho gayye hain aur eseliye aaj hi osey apne pariwaar ke saath waapas palampur jana hai.
Nandani : mujhe tumhara intezaar rahega pratham...
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Pratham Airport mei ]
Pratham ko aisa laga ke oske kaano mei kisi ne jaise keh dia ho "Mujhe tumhara intezaar rahega pratham..."
Pratham : mujhe pata hai, yeh tum hi ho gauri...
*_--`pratham yeh sochkar hayraan ho jata hai ke osne nandani ko gauri kyun kaha ?...'_-*
PRATHAM MUMBAI PAHUCH JATA HAI...
Gautam Pratham ko mumbai shivaji airport mein milta hai.
Gautam : chalo karan i mean pratham, aaj tumhe tumhare peechli zindagi se milne...
[ Gautam Pratham ko ek purane bunglow mei ley jaata hai jahaan bahut saalon se koi nahi aya tha. ]
Gautam : yeh raha kapoor`s mansion... yeh tumhara ghar tha..
Pratham wahaan har ek chiz ko bahut gehhrai se dekhe jaa raha tha.
____________
Pratham bahut khoya-khoya sa tha
----------------
Pratham : ( khoye hue yaadon mei ) main yehaan pehle bhi aachuka hoon...
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
[ Pratham upar bhaagkar jaata hai. ]
" Yeh Room mere DADAJI ka hai !..."
[ Pratham room ke andar jaata hai. ]
" Yeh room mere dadaji ka hai... "
Gautam : yaad karo pratham, tumhe kuch tou yaad araha hoga...
Pratham : haan, mujhe yeh yaad araha hai ke yeh room mere dadaji ka tha... agar !... agar yeh room mere dadaji ka hai aur main ees ghar ko jaanta hoon tou... main yehan pehle kabhi kyun nahi aya ?...
Gautam Pratham ko Karan aur Gauri ke room mein ley jata hai...
Pratham room mein enter karta hai...
Room 20 saal pehle jaisa houta hai. Wahaan har chiz pehle jaisa apne jagah pe houta hai.
Pratham ki nazar KARAN aur GAURI KE SHAADI KI PHOTO FRAME PAR PADII.
Pratham yeh dekh kar hayraan hou jata hai ke uski aur nandani ki photo yehaan ?
Pratham : yeh tou nandani hai... nandani aur meri shaadi ki tasveer ?...
Gautam : Nandani ?... kaun nandani ?...
[ Pratham Gautam ko saari baat batata hai nandani ke baarey mein. ]
Gautam : eska matlab... karan aur gauri dono wapas agaye hain... karan, i mean pratham i think tumhe kisi se milna chahiye...
Pratham : kaun ?
Gautam : tum chalo mere saath...
Kapoor`s Mansion ke bahaar se Panditji guzar rahey thhey. Panditji ne Karan ko car mein beithte dekha aur woh hayraan ho gaye...
Panditji : eska matlab vidhi ka vidhan such ho raha hai... Karan agar wapas aya hai... tou.. tou eska matlab.. Gauri bhi wapaas aayi hai... yeh sab maa durga ka aashirwaad hai.. Joye maa durga !...
[ Udhar Nandani ]
Nandani ki family wapaas Palampur jaaney ko tyaar thi. Sab ghar se nikal hi rahey thhey ke tabhi pata chalta hai ke koi relative bahut bimaar hai eseliyeunhey abhi MUMBAI ke liye nikalna hoga...
[ yeh soon nandani ke papa bahut chinta mein padd gayye ke unka yeh relative sahi-salaamat ho. ]
Nandani ke papa decide karte hain ke woh Palampur ke jagah Mumbai jayenge...
Mini : nandani ! akhir bhagwaan ne teri sunn li... ab tu pratham se bhi mill payegi...
Chachi : kaun ? tumne abhi-abhi pratham ka naam lia ?..
Mini : nahi chachi, maine tou PARTH kaha... apko shayad pratham sunai diya hoga
Nandani : kaash hum mill paaye...
__________________
Last edited by diipendu... on 14/10/2008, 6:13 pm; edited 1 time in total
Guest- Guest
Re: Karam
[ Udhar Pratham ]
Gautam Pratham ko Hospital ley jata hai.
Pratham : hospital mein ?... apne mujhe yehaan ?...
Gautam : ek minute, tum sab samajh jaoge...
[ Gautam doctor se baat karke ek patient se milne ki permission ley leta hai. Gautam Pratham ko ward no.8 mein ley jata hai. ]
woh patient aur koi nahi KARAN KE DADAJI HOUTE HAIN.
Pratham dheere-dheere aagey badhta hai. Pratham ko kuch samajh mein nahi araha tha ke woh enhey kaise janta hai...
Praham ke aankhon se aasu girtey hain...
Pratham : dadaji...
ACHAANAK Dadaji ke haath movement karte hain...
Gautam : ( hayraan houte hue ) arre yeh kya ! dadaji ko hosh araha hai... main abhi doctor ko bulakar lata hoon...
Dadaji dheere se aankhein kholte hain...
Karan...
Dadaji karan ka naam letey hain...
Pratham : da...
es se pehle pratham kuch bolta Tabhi doctor akar checkup karte hain...
Doctor : oh my god, its a miracle !... 20 saalon ke baad inhey hosh aya hai... humne tou umeed hi chorr di thi...
Gautam : haan doctor, aaj waqai mein miracle hua hai... abhi tou aise aur bhi miracles hounge...
Nandani aur uski family Mumbai pahuch jaatey hain...
Nandani apna kadam pehli baar mumbai ke zameen mein rakhti hai...
ACHANAK Nandani ke saamne woh sab dikhai detey hain - Karan ka gauri se milna, Karan aur gauri ki shaadi, karan gauri ko galey lagate hue, Shilpa didi ka ghar mein aana, karan aur gauri ka woh divorce papers par sign karna, aur SHILPA DIDI KA KARAN aur GAURI PAR GOLI CHALANA
Nandani bahut darr jaati hai...
Mini : kya hua nandu ? tere sarr pe ye paseena kyun araha hai ?... kisi chiz se darr rahi hai ?...
Nandani : pata nahi mini... pata nahi...
[ Udhar Pratham ]
Dadaji pratham ke taraf lagatar dekhe jaa rahey thhey... Dadaji ke aankhon se aasu beh rahey thhey....... mahol bahut nazuk tha
Dadaji : karan... { dadaji pratham ko galey lagate hue }
Dadaji : kahaan tha tu, tu nahi tha tou aise lag raha tha jaise... zindagi hi ruthh gayii thi...
Pratham : dadaji...
[ Gautam dadaji ko saari baat batatey hain. ]
TABHI wahaan Panditji aatey hain...
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Gautam : panditji...
Gautam : [ khush houte hue ] achha hua panditji aap aagaye... dekhiye panditji... dekhiye... karan wapaas gaya hai...
Panditji : haan, maine dekha... maa durga ke saamne 20 saal pehle do pyaar karne waale alag hou gaye thhey aur... aaj , dono...
Panditji : yeh kya ? gauri... gauri kahan hai ?...
Gautam : panditji, gauri ko ab sab nandani ke naam se jaante hain...
Panditji : main janta tha !... gauri aur pratham ka punarjanam hua hai... yehi likha hai kismat mein... jab gauri ke gharwaale yeh janenge unhe bahut khushi hougi... magar abhi...
Panditji : abhi humey ees baat ko raaz rakhna hai ke... karan aur gauri wapas lout aaye hain... kyunki abhi bhi woh loug humaare aas-paas hou sakte hain... jinke wajah se...
Gautam : haan panditji...
Gautam : pratham, chalo mere saath tumhe... ek aur jagah dekhna hai...
Panditji : haan gautam, mujhe poora bharosa hai ke woh jagah dekhne ke baad pratham ko sab kuch yaad aajayega...
Pratham : thik hai...
Gautam Pratham ko osi jagah leykar jata hai jahaan SHILPA NE KARAN-GAURI KO GOLI MARA DIA THA...
Pratham ko woh jagah dekh oske aankhon ke saamne woh nazara ajata hai jismei woh KHUD KO AUR NANDANI KO DEKH RAHA THA...
SCENE - Karan ka gauri se milna, gauri aur karan ka woh contract deal, karan aur gauri ki shaadi, karan aur gauri ke beech woh badhta pyaar, karan aur gauri ki zindagi mein SHILPA ka ana, Shilpa ka kapoor`s empire karan se dhoke se chhin lena, shilpa ka karan ko saamne woh apologise karna aur apne kiye par maafi mangna, karan ka shilpa ke liye woh bhai ka pyaar, RAKHI WAALEY DIN SHILPA KA KARAN AUR GAURI KO GOLI SE MAAR DENA...
PRATHAM KO AKHIR SAB KUCH YAAD AJATA HAI...
[ Pratham apne aankhein kholta hai tou saamne se ek gaari jaa rahi thi jisme NANDANI THI... ]
Pratham Nandani ko zorr se pukaarta hai magar nandani ko sunai nahi deta hai...
Gautam : kya hua ?...
Pratham : nandani ! maine nandani ko dekha chalo uska peecha karna hai...
Gautam : chalo...
__________________
Guest- Guest
Re: Karam
Guest- Guest
Re: Karam
Pratham car drive kar raha tha.
Gautam : thank god karan, tumhe sab yaad agaya hai...
Pratham : haan gautam, ab jo bhi hoga... woh hokar hi rahega... lekin mujhe sabse pehle nandani se milna hai... MERI GAURI SE...
Pratham car ko full speed mein drive karta hai aur nandani ke car ka peecha karta hai...
Nandani ki car ek bunglow ke saamne aakar rukta hai... wahaan nandani ke relatives rehte hain jinhoune nandani ke family ko inform kia tha mumbai aaney ke liye. Nandani car se utarti hai...
Dooorr Pratham ki car khari thi.
Gautam : my god ! mujhe yakeen nahi araha hai... nandani hubahu gauri jaisi dikhti hai...
Pratham : kyunki yehi meri gauri hai... magar ees janam mein... Nandani...
Pratham : aur ab koi bhi mujhe aur gauri ko alag nahi kar sakta hai...
Gautam : magar pratham, tumhara agla kadam kya hoga ?...
Pratham car se utarta hai aur sabke nazro se bachhte hue Nandani se chupke se milne jata hai...
Pratham : nandani !...
Nandani : pratham, tum yehaan ?... kisi ne dekh lia tou... pratham tum
yehaan se chale jaao warna papa ko pata chal gaya... tou humey kabhi milne nahi denge...
TABHI WAHAAN Mini ajati hai aur nandani ke room mein pratham ko dekh leti hai...
Mini : prathamji aap !...
Mini room ka darwaaza aur khirki band kar deti hai
Pratham : nandani, tumhe mere saath abhi chalna hoga... tumhara chalna bahut zaroori hai...
Nandani : ( darrtey hue ) pratham, agar papa ko pata chal gaya... nahi pratham...
Mini : nandu, tu jaa main yehaan sab sambhaal lungi...
Nandani : thik hai pratham, chalo...
Pratham Nandani ko oosi jagah par lata hai jahaan par 20 saal pehle Shilpa ne karan aur gauri ko goli mara dia tha.
Nandani : pratham, tum mujhe yehaan aisa kya dikhane laaye ho ?...
Pratham : yaad karo nandani, ees jagah ko achhey se dekho aur yaad karo...
Nandani oos jagah ko achhey se dekhe jaa rahi thi... nandani oos khaai ke paas bhi gayii... ACHAANAK Paas mein ek mandir mein mandir ki ghantiyaan bajne lagi...
Woh temple bells zorr-zorr se bajj rahey thhey... aur ACHAANAK bahut tez hawaa chalne lagii...
Pratham : yaad karo nandani, yaad karne ki koshish karo...
NANDANI KO PHIR SE WAHI SAB VISIONS AATEY HAIN JO OSNEY STATION PAR DEKHA THA. Magar ees baar woh saare visions clear hou jaatey hain... Nandani Pratham ko Karan ke roop mein aur khud ko Gauri ke roop mein dekh rahi thii...
SHILPA KARAN AUR OOSEY GOLI MAARTI HAI...
KARAN !!!!!!!!!!!!!!!!!!...
Woh tez hawa bandd hou jaati hai. Temple bells bhi awaaz karna bandd kar dete hain...
Nandani apne aankhein kholti hai aur saamne apne Karan (Pratham) ko paati hai...
NANDANI DAURR KAR JAAKAR PRATHAM KE GALEY LAGG JAATI HAI...
----------
Nandani`s theme :
----------
Yeh jo sabke lakirey hain...
yeh tou ajab, paheli hain...
Likha hai jo bhi een lakeeron mein...
milta wahi hai, takdeeron mein...
Jo kho jaaye woh mitti hai........
Jo kho jaaye woh mitti hai,
jo mill jaaye woh souna..........
Yeh sab hai.... apna karam....
Yeh sab hai....... apnaa KARAM...
__________________
Guest- Guest
Page 14 of 16 • 1 ... 8 ... 13, 14, 15, 16
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer