Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Page 11 of 41 • 1 ... 7 ... 10, 11, 12 ... 26 ... 41
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
----------------------
Story: Kyunki Ghar Hai Ek Sapna
Story By: Diipendu Dutta
Started On: 2007
Concluded On: 2025
Genre: Drama
No. of episodes: 1000
Last edited by Diipendu on 19/8/2020, 4:42 am; edited 5 times in total
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 242
Baa : aaj se yeh kaagzat tumhare hue....
Kaaveri : magar baa, een mei likha kya hai ?....
Baa : yeh baat tou aaj saare pariwaar ke saamne hi main karungi....
Pragya : aakhir aisa kya likha houga oon papers mei ?....
Daamini : yeh tou humey kuch deir mei hi pata chalega....
Baa : kaaveri, ees se pehle kya tum een papers ko mere tijori mei rakh dogi ?.... ees ghar mei main tum par hi sabse zyaada vishwaas karti hoon....
Kaaveri : je baa...
Guest- Guest
Episode 243
Kaaveri : je baa...
[ Saara pariwaar baa ke bulaane par neechey ekkatha hou jaate hain. ]
Baa : maine aaj bahut badaa faisla kia hai.... kaaveri-mahesh..... edhar aao
Mahesh : kahiye baa....
[ edhar jahaan baa sabke saamne kaaveri-mahesh ko kuch dene waali thi wahin Pragya aur Daamini Baa ke kamre mei chupke se jaati hai aur Tijori ko kholne ki koshish karte hain. ]
Tara bua : arre, yeh samdhan ji kahin dikhayi nahi dey rahi hain ??.... kahaan gayi woh ?.... hmm.... rishab ya rahul ko pata hoga.... arre beta kya tum dono ne apni pragya dadi ko kahin dekha hai ?....
Rishab : nahi....
Rahul : haan, unko maine baa ke kamre ki or jaate dekha hai.....
[ Udhar pragya aur damini baa ki tijori kholne mei kamyab hou jaate hain. ]
Pragya : ab pata chal jayega ke oon papers mei aisa kya likha hai jo baa ne hum sab se itneyy saalon tak chupaya hai....
Daamini : haan didi aur woh raaz sirf kaaveri ko hi batana zarori samjha hai jabki ees ghar ki badi bahu aap hain.....
Guest- Guest
Episode 244
[ Pragya jab oon papers ko dekhte hain tou unki aankhei fatti ki faati reh jati hain. ]
Daamini : kya hua didi ?....
Pragya : [ pareshaan houte hue ] yeh dekh....
Daamini : esmei tou likha hai ke baa ke bapuji ke 5 bete aur onmei baa ek louti beti thi aur onhoune ne baa ke naam poorey 500 crore rupaye kar diye...
[ Tabhi darwaaze par awaaz houta hai. dono chup jaate hain. ]
Tara bua : lagta hai yehaan koi aya tha... yeh kamre ki light kaise on hai ?....
[ Tara bua light off karke wahaan se chali jaati hai. Pragya aur Daamini wahaan se jaldi se nikal aate hain. ]
Daamini : didi, baa ke naam itnii saari property aur ees ghar mei saare bachho ke apne-apne property tyeh already hain eska matlab.....
Pragya : baa jisko chahe osi ko yeh 500 crore rupaye dey sakti hai.....
Guest- Guest
Episode 245
[ Pragya aur daamini abhi bhi oos baat ke liye pareshaan thhey hi ki tabhi Tara bua ki nazar kaaveri par padi. Kaaveri bahut khush thi. ]
Baa : main aaj, mahesh aur kaaveri ko yeh 5 lakh rupaye dena chahti hoon....
Pragya aur Daamini :
Tara bua :
Kaaveri : arre baa nahi nahi hum kaise yeh ?...
Baa : kaaveri, yeh mera ashirwaad hai.... eesey rakh lo....
Tara bua : aashirwaad agar itnaaaa badhiya ho sakta hai tou kyu na main bhi behti ganga mei apna haath dho lu ?....
[ Tara bua ki nazar pragya par padi aur usko ek khayal aya. ]
Tara bua : hehehehe.... woh samdhan ji..... main aapse kuch zaroori baat karna chahti thi.....
[ Daamini aur Pragya darr jatey hain ke kahin Tara bua ne onhey baa ke kamre mei dekh tou nahi lia tha. ]
Tara bua : woh kya hai na.... ke main soch rahi thi... [ dheere se kehte hue ] kaaveri aur mahesh ki shaadi jin haalat mei hui woh sahi nahi tha..... magar ek tarika hai jis se sab sahi ho sakta hai raam ji ki kripa se....
[ Pragya aur Daamini ka darr nikal jata hai aur woh dono chain ki saas lete hain. ]
Tara bua : kyun na.... kaaveri aur mahesh ki phir se shaadi karvai jaaye ?....
Guest- Guest
Episode 246
Pragya : [ mann mei sochte hue ] agar kaaveri ki shaadi phir se mahesh se kara di jaaye tou tab tak kaaveri ko baa ke ye paise nahi milenge.... aur shaadi agar hou hi na ! tou baa ke ye paise kaaveri ko tou kabhi nahi milenge....
Pragya : [ khush houte hue ] ab main dekhti hoon ke yeh paise kaaveri ko kaise milte hain....
[ Pragya saare pariwaar ko yeh kehti hai kyu na kaaveri aur mahesh ki phir se shaadi karvai jaaye. Baa ye soon ke bahut khush houti hai aur ees faisle se sehmat houti hai. ]
[ Paayal wahaan se gussa houkar chali jaati hai. ]
Guest- Guest
Episode 247
[ Aur aakhir garbe waali shaam aajati hai. Poora pariwaar bahut dhoom-dhaam se garbaa khelte hain. ]
Baa : shantiniketan ki bahut hi poorani parampara rahi hai.... ke navratri mei saas bahu ko apna shagun ke ghehne deti hai... Ghar ki badi bahu pragya apni bahu
Tarabua : bahu kahaan... abhi tou kaaaveri aur mahesh ki phir se shaadi hougi !... ab aise mei kaaveri ees ghar ki sahi roop mei bahu tabhi banegi jab een dono ki shaadi shantiniketan pariwaar ke poore ashirwaad se hougi.... kyun pragya ben ?....
Pragya : haan haan... ab aise mei agar baa ko koi aitraaz hai...
Baa : theek hai... kaaveri ko shagun shaadi ke din hi di jayegi.... aur mere taraf se woh paise bhi.... tumhe koi aitraaz tou nahi hai na pragya bahu ?...
Pragya : [ khush rehne ka dekhava karte hue ] mujhe kya aitraz ho sakta hai baa....
Guest- Guest
Episode 248
Pragya : tumne sahi-sahi pata kia hai ? kya woh osney humey yehi bulaya hai ?....
Daamini : haan didi...
[ Udhar shantiniketan mei. ]
[ Naukar baa ke liye juice ley ja raha tha ke tabhi wahaan koi ata hai aur naukar ko kehta hai ke juice woh ley jayega. naukar ke wahaan se jaate hi woh oos juice mei zeher mila deta hai. aur naukar ko bulata hai magar koi nahi ata hai. ]
[ Tabhi achaanak wahaan kaaveri aati hai. woh dekhti hai ke baa ke liye juice abhi tak nahi gaya tou woh lekar jaati hai. ]
[ Udhar Pragya aur Daamini ek anjaan shaks se milne restaurant aaye hain. dono ne ek aadmi ko wahaan beithe dekha. dono oos ke paas gayin. ]
Pragya : humne tumhe yehaan ek zaroori kaam se bulaya hai..... daamini tum esey sab samjha do..
Daamini : je didi....
[ woh ek gunda tha. Daamini oosey kaaveri aur mahesh ki houne waali shaadi mei mahesh ko mandap tak na pahuch paaye magar oosey koi nuksaan na ho eska bhi woh dhyaan rakhey. woh gunda raazi ho jata aur pragya oos ko 2 lakh rupaye deti hai advance. ]
[ Kaaveri opar baa ke kamre mei woh juice lekar jaa rahi thi. Kaaveri baa ke kamre mei ati hai. ]
Kaaveri : baa, yeh raha apka juice.... ab aap esey jaldi se pee lijiye....
Baa kaaveri se khush houti hai aur woh juice ka glass leti hai.
Guest- Guest
Episode 249
[ Tabhi wahaan par naukar ramu ata hai. ]
Ramu : arre bhabhi ji, aap juice ley aayi...
Baa juice peeney hi wali thi magar rukk jaati hai.
Ramu : main abhi juice kamre mei laane hi wala tha ke....
Kaaveri : ke, kya ramu ?...
Ramu : mujhe kisi ne kaha ke main rehne du.... magar osne juice ke glass ko wahin kitchen mei rehne dia....
[ Kaaveri ko kuch gadbad lagta hai. ]
Kaaveri : baa ruk jaayiye !.......
Guest- Guest
Episode 250
Kaaveri : baa ruk jaayiye !.......
[ Udhar pragya aur daamini apne saajish mei lagey hain. ]
Pragya : tumhe sab bata dia gaya hai......... ab jaao, jaakar apna kaam shuru kar do magar yeh dhyaan rakhna ke mahesh ki baarat mandap tak nahi pahuchni chahiye....... raaste mei mahesh ko kidnap kar lo aur usey behosh kar do magar yeh dhyaan rakhna ke mere bete mahesh ko kuch na ho.......
[ Woh gunda apne kaam ka advance leta hai aur wahaan se chala jata hai. ]
[ Woh gunda apne kaam ka advance leta hai aur wahaan se chala jata hai. ]
Pragya : [ khush houte hue ] ab main dekhti hoon ke yeh shaadi kaise houti hai.....
Kaaveri : baa, ees glass mei thoda-thoda kuch powder sa hai..... kahin eska matlab ye tou nahi ke ramu ke kitchen se chaley jaane ke baad hi oos shaks ne ees juice mei kuch...... kuch mila dia ho ?.....
Kaaveri : ramu, woh kaun tha jisne tumhe wahaan se jaane ko kaha tha ?....
Ramu : woh....
Guest- Guest
Episode 251
Ramu : woh....
[ Tabhi wahaan par mahesh ata hai. ]
Mahesh : kya hua kaaveri ?....
Ramu : sahab, kisi ne baa ke juice mei kuch milaya...
[ Mahesh yeh soonkar chauk jaata hai. ]
Mahesh : kya !!!.....
Mahesh : baa, aap theek tou hai na ?...
Baa : main theek hoon.....
Kaaveri : [ mann mei sochte hue ] aakhir kaun hai jisne baa ke glass mei kuch milaya hoga ?.....
[ Kaaveri naukar se kamre ke bahar jakar poochti hai ke kisne osey kitchen se jaane ko kaha tha. ]
Guest- Guest
Episode 252
[ Kaaveri ko yeh soon jhatka sa lagta hai. woh toorant wahaan se payal ke kamre mei jaati hai. ]
[ Kaaveri payal ke kamre tak pahuchti hai ke osey kuch awaaze sunayi deti hain. ]
Payal mahesh ki photo se baat karte hue-
Payal : pyaar insaan se kya kuch nahi karvata.... tum yeh kab samjhoge mahesh ke main tumse kitna pyaar karti hoon.....
[ kaaveri ko yeh soon jhatka sa lagta hai. ]
Payal : maine tumhare khaatir baa ke juice mei zeher bhi milaya....
[ Kaaveri wahaan khari sab soon rahi thi ke tabhi wahaan se mahesh bhi guzarr raha tha. Mahesh kaaveri ko dekh wahaan khare rehne ki wajah poochne hi jaane wala tha ke tabhi payal ki woh baatein mahesh ne bhi soon li. ]
Guest- Guest
Episode 253
[ Kaaveri wahaan khari sab soon rahi thi ke tabhi wahaan se mahesh bhi guzarr raha tha. Mahesh kaaveri ko dekh wahaan khare rehne ki wajah poochne hi jaane wala tha ke tabhi payal ki woh baatein mahesh ne bhi soon li. ]
[ Kaaveri ne peechey murr kar dekha tou mahesh bhi wahaan tha. Kaaveri ko ess se aur himmat mila. Kaaveri ne gusse se kamre ka darwaza khola. ]
[ Payal kaaveri aur mahesh ko dekh dunng reh gayi. ]
Payal : mahesh.......
Kaaveri : [ bahutt gusse se ] tumhari hummat kaise hui !!!..... tumne yeh socha bhi kaise ke mahesh...
Payal : kaaveri, tumhe galat fehmi hui hai... mahesh sirf mera hai woh mujhse pyaar karta hai....
Kaaveri : tou tumhe aisa agar lagta hai.............. tou theek hai...
Guest- Guest
Episode 254
Kaaveri : mahesh ki zabaan se khud hi soon kar yeh tassali kar lo.....
[ kaaveri mahesh ki or dekhti hai. ]
Payal : kaho na mahesh, ke.... ke tum sirf mujhse pyaar karte ho.... divorce dey do kaaveri ko aur.... shaadi kar lo mujhse.....
Mahesh : tou tumhe aisa lagta hai ke main tumse pyaar karta hoon ?...
Mahesh : theek hai, main aaj abhi.... kaaveri ko divorce dey raha hoon.....
[ Mahesh ki een baaton se kaaveri ko bahutt bada jhatka lagta hai. ]
Guest- Guest
Episode 255
[ Payal yeh dekh bahut khush hou rahi thi. kaaveri ke chehre par dukh tha aur ankhon mei aasu yeh dekh payal bahut khush hou rahi thi. osne kaaveri ko poori tarah se touddne ke liye ek aur chaal chala. ]
Payal : mahesh, kaaveri ne jo mangalsutra pehna hai..... mujhe woh bahutt pasand hai... its soo beautiful !.... mujhe woh tum apne haathon se pehna do ?...
Mahesh : theek hai...
[ kaaveri bahut mana karti hai magar mahesh woh mangalsutra lene aagey badh raha tha. Mahesh kaaveri ke taraf aagey badhey ja raha tha ke achaanak... ]
ACHAANAK WOH KAAVERI KE TARAF SE HAT KAR PAYAL KE TARAF JATA HAI AUR PAYAL KO EK ZORR SE THAPPAR MARTA HAI...
Kaaveri : mahesh, ramu ko payal ne hi kitchen se jaane ko kaha tha aur payal ne hi baa ke juice mei kuch mila dia tha....
Paayal : [ bahutt gusse se ] Haan Haan Haan !!!!!!! maine hi juice mei kuch mila dia tha.... maine juice mei ZEHER mila dia tha !...... jis se baa ki tabiyat khraab ho jaaye aur ese wajah se tum dono ki shaadi dobara na ho paaye kyunki main mahesh ko kisi aur ka houte nahi dekh sakti thi !......
Paayal : i love you mahesh..... please mujhe maaf kar do....
Mahesh : ab tumhare liye ees ghar mei koi jagah nahi hai.... nikal jaao ees ghar se !.......
Guest- Guest
Episode 256
[ Kaaveri Payal ko Zorr se thappar maarti hai. ]
[ Kamre ke bahaar se tara bua sab soon rahi thi. ]
Kaaveri : mere ees ghar ko, ees pariwaar ke kisi bhi sadsya ko zara sa bhi nuksaan pahuchane ki sochna bhi mat !.... jab-jab tum shantiniketan ko aanch pahuchane ki koshish bhi karogi mujhe apne saamne khara paogi !......
Payal : dekhti hoon kaaveri, kab tak bacha paogi apne ees ghar ko...
Kaaveri : zindagi beet jayegi magar tum apne kisi bhi saajish mei kamayab nahi ho paogi....
[ Payal ghar se chali jaati hai. ]
[ Pragya payal ko jaate hue dekhti hai. Pragya ko tara bua se pata chalta hai ke payal ko kaaveri ne ghar se bahar kar dia hai. ]
Pragya : [ gusse se ] kaaveri !.....
Guest- Guest
Episode 257
Mahesh : maa aap ?... kya hua aap itne gusse mei kyun hain ?...
Pragya : tumhari patni ke hukum chalne lagey hain ees ghar mei... aaj osne payal ko ghar se nikal dia !....
Mahesh : ma woh...
Kaaveri : kya hua maa aapne bulaya ?...
Pragya : aur kitne lougo ko ees ghar se nikaalna hai ?...
Kaaveri : yeh aap kaisi baatein kar rahi hain maa ?...
Pragya : tumne payal ko ghar se nikaal dia ?... tumhari himmat kaise hui aisa karne ki !....
Guest- Guest
Episode 258
Pragya : tumne payal ko ghar se nikaal dia ?... tumhari himmat kaise hui aisa karne ki !....
Mahesh : maa, aap jab payal ke kaarname sunengi aapko bahut afsos hoga....
Pragya : mujhe kuch nahi sunna !....
Kaaveri : magar maa..
Pragya : Bas !!!..... maine keh dia mujhe koi dalile nahi sunni...
Mahesh : maa, aaj payal ne baa ke juice mei zeher milakar baa ko maarne ki saajish ki thi aur aap osi ki...
Pragya : :shocky:
Guest- Guest
Episode 259
Mahesh : yehi tou meri bhi samajh mei nahi araha hai.. magar jo bhi hua woh aankho dekha tha...
Pragya : kya ?.... mujhe yakeen nahi ata hai ke maine aise ladki par bharosa kia...
Kaaveri : jo hua osey bhool jana hi achha hoga...
[ Pragya wahaan se chali jaati hai. ]
[ Mahesh saare pariwaar ko ek zaroori baat batane ke liye neechey bulata hai. ]
Mahesh : baa, maine ek faisla lia hai.... ghar mei baa ke saath itna sab kuch ho gaya hai eseliye maine yeh faisla kia hai ke main aur kaaveri yeh shaadi nahi karenge...
[ yeh soon kar pragya aur daamini jhatka lagta hain. ]
Baa : magar mahesh..
Mahesh : nahi baa...
Guest- Guest
Episode 260
Kaaveri : baa, mahesh sahi keh rahey hain... aise haalat mei shaadi karna humey achha nahi lagega.... magar ghar ke bado kar ashirwaad agar sarr par hai tou sabkuch thik hi hoga....
Baa : theek hai kaaveri.....
Pragya : [ gusse mei ]
Baa : jaisa tumhe thik lagey....
Daamini : didi ab kya hoga ?... kaaveri aur mahesh ne tou shaadi karne se mana kar dia hai... aur ees se humara bahut nuksaan hoga....
Pragya : haan damini, humne oos gunde ko paise diye thhey mahesh ko shaadi ki mandap tak na pahuchne ki... ab sab kia karaya par paani pher dia oos kaaveri ne !.....
Guest- Guest
Episode 261
Kaaveri : arre, aaploug ?... aaplougo ko kis se milna hai ?...
[ woh loug maa ambey ke mandir ke liye chanda mangne aaye hain. Kaaveri ko pata chalta hai ke jab se Baa ke pati(bapuji) ki maut hui hai baa ne mandir mei chanda dena bandd kar dia tha. ]
[ Kaaveri baa ke kamre mei jaati hai. ]
Kaaveri : baa....
Baa : arre, kaaveri aao....
Kaaveri : baa, aapne ambey mata ke mandir mei chanda dena kyun bandd kar dia hai ?...
Baa : tumhare bapuji ka maa ambey par bahut vishwaas tha... poori shradhha thi onki magar.... magar jab se unka dehaant hua hai... maine wahaan jana chorr dia hai....
Kaaveri : baa, yeh tou koi baat nahi hui na ke aap maa par se apni bhi astha hata lo kyunki bapuji nahi rahey... bapuji jab tak zinda thhey tab tak unhoune maa par apna vishwaas banaye rakha unpar atoot vishwaas tha aur unki pooja karte thhey.... ab jab woh nahi rahey tab yeh zimmedari aapki hai ke aap bapuji ki jagah ley....
[ Kaaveri ki baaton se baa ki aankhein khool jaati hain. Baa ko nayi soch mill jaati hai. ]
Baa : haan kaaveri, tum theek keh rahi ho... yeh maine bahut badi bhool kar di thi magar ab main apni ees galati ko theek karungi... shantiniketan ko ees ghar ko uske tyoharo ke naam se jana jata hai... shantiniketan ki yeh parampara hamesha chalti rahegi....
Kaaveri : haan baa.....
Guest- Guest
Episode 262
[ Payal ko pata chalta hai ke uske car ke breaks fail hain, woh jaldi se jaise-taise car se utarne ki sochti hai ke tab tak bahut deyr ho jaati hai aur car ka accident ho jata hai. Car jaakar ek payr se takra jata hai. ]
[ Shantiniketan mein. ]
[ Tilak ahuja aaj shantiniketan se jaa raha hai. Tilak ko jaatey dekh pragya ko hayraani hoti hai. ]
Pragya : [ mann mei sochte hue ] main sab samjhti hoon, yeh tilak kaaveri aur mahesh ke shaadi houne waali thi osi ko woh dekh seh na payega eseliye aaj woh yehaan se jaa raha hai...
Guest- Guest
Episode 263
[ Room mei. Kaaveri room mei safai kar rahi thi mahesh office ke liye tyaar ho raha tha. mahesh ne kaaveri ko dekha. ]
Mahesh kaaveri ke paas jata hai aur osey galey lagata hai.
Kaaveri : [ darrte hue ] mahesh, yeh kya kar rahey ho ! choro agar kisi ne dekh lia... mahesh !....
Mahesh : dekhne do...
Mahesh betaaaaa !.....
Mahesh : haan aya !.... [ mahesh jhatt se kaveri ko chorr deta hai. ]
[ Kaaveri hasti hai. ]
Guest- Guest
Episode 264
Pooja : kaaveri bhabhi, jo loug ek dusre se bahut pyaar karte hain... bhagwaan bhi unhi ka saath dete hain na...
Kaaveri : haan pooja...
Pooja : saanjh aur prem, do pyaar karne waale... jinki kahaani kismat ne bahut hi pyaar se likhi hai... unhoune ekdsure ke liye jitna saath nibhaya utna hi ek dusre ke liye bahut si kurbaniyan bhi dii hain... ithiaas unhe hamesha yaad rakehga... jaise heer-ranjha, sonhi-mahewal jaise pyaar karne waalon ke naam tou har koi jaanta hai magar yeh do pyaar karne waalo ko sadiyon tak bhulana bhi namukin hoga...
Kaaveri : achha ? such hai... aise pyaar karne waalon ko tou duniya hamesha yaad karegi...
Pooja : haan, saanjh aur prem Des mei basta hogaa meraa dil... kahaani ke yeh do naam...
DES MEI BASTAA HOGAA MERAA DIL...
Guest- Guest
Episode 265
Tara bua : aaye haaye ! yeh dono bahuraaniya yehaan kya baatein kar rahi hain zara hum bhi tou suney...
Kaaveri : kuch nahi bua, woh hum...
Tara bua : bas haan bas !:420: tu tou rehne hi dey... lagta hai tujhe pragya ne kuch bataya nahi... kheyr mujhe kya hai ! main tou ees shantiniketan mein ek mehmaan hoon... aaj hoon tou kal chali jaungi !
[ Kaaveri upar baa ke room mein jaa rahi thi ke tabhi osey sharad( Daamini ka sabse chota beta ) ke room mein se awaazei aati hai. ]
Sharad kisi se phone par baat kar raha tha.
[ Sharad ki shaadi agle mahiney oske bachhpan ki dost Nandani se tyeh ho gayii hai aur sharad nandani se baat kar raha tha. Magar sharad dekh leta hai kaaveri oske baatein soon rahi thi. Yeh dekh sharad jaldi se phone rakh deta hai. ]
Sharad : arre bhabhi aap ?... woh main...
Last edited by diipendu... on 23/10/2008, 9:14 pm; edited 1 time in total
Guest- Guest
Page 11 of 41 • 1 ... 7 ... 10, 11, 12 ... 26 ... 41
» Sword fighting in Sajan Ghar Jana Hai
» A new family to creates rift in Sajan Ghar Jaana Hai
» PLZZZZZZZZZZZ upload kyunki 20 nov 2006 video
» Aap ki kacheri Kiran ke saath is going 2 REPLACE KYUNKI !
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer