Bookmark and share the address of Story-7 Forum- Where you read online stories! on your social bookmarking website
Bookmark and share the address of STORY 7 Forums on your social bookmarking website
Chaandnii
Page 6 of 10 • 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10
Chaandnii
Story is about Relationship between chaandini and Aditya who met as enemies but then they fell in love.
Chaandnii `s Title Track is now available !!! but u have to download it then u can listen this song... this is the link :- http://www.4shared.com/file/21645186/81d77e59/India_Calling_.html
------------------
Story Supported By - Moumita Kundu & Subhanwita
Story7 Writer- Admin
- Fav. online story :
- Bairi Piya Sang Preet Hai Lagayi
Zodiac :
Age : 34
Location : India
Join Date : 2007-03-06
My Diary
About me:
*Medal*: GHT One Acting Head
Episode 118
[ Vishesh chaandnii ke nazdeek jaata hai ]
[ chaandnii pareshaan hogaye hai aur oosey kuch samajh nahi aa raha tha
ke woh kya karey ? ]
Vishesh : [ gusse se ] tumne aisa kyun kiya neel !!!!! ..............................
[ wahaan maujood har koi yeh soon ke dung reh gaye ke woh neel hai ???? ]
[ neel india calling ka best team leader thha aur best dedicated employee thha
aur oosi ne chaandnii ke computer se virus installed karke aditya ke team ke
computers mein transfer kiya ????? yeh sawaal wahaan maujood har
employee aur staff ke dimaag mein toofaan laa raha thha ]
[ Chaandnii mann mein yeh soch rahii thii ke ab tak oosney neel
ko jitna bhi jaanaa hai neel aisa kabhi nahi kar sakta ]
[ chaandnii oosey culprit nahi maan paa rahi thii ]
[ ees waqt chaandnii ke mann mein sawaalon ki aandhii chal rahii thii ke
oosey aise mein kya karna chahiye ? ]
[ Neel ne kabaddi match ke waqt ehem mauke pe jaa ke aditya ke team
ko join kiya ees dhoke ko kya woh bhulaa ke neel ko bey-gunhaa saabeet karey
ya phir oosey doosro ki tarah gunhe-gaar samajh ke india calling
ko resign karta hua dekhe ? ]
[ Sawaal Bahut Thhe Magar Jawaab Bahut Kam ]
[ Chaandnii ke dil ne kaha ke jo neel ne kiya sou woh kiya magar
b.g kehti hai ke agar koi maasoom ko sazaa miley tou yeh theek baat nahi ]
[ chaandnii poorey josh ke saath yeh tyeh karti hai ke woh
neel ko bey-gunhaa saabeet karegi ]
Chaandnii : vishesh sir ! ...........
[ vishesh jaaney waala thha woh peechey moor ke dekhta hai ]
Vishesh : yes chaandnii bolo ........
Chaandnii : sir ......... sir , mujhe nahi lagta ke ....... neel ne
aisa kuch bhi kiya hai .......
[ wahaan sab dekhtey hain ke chaandnii neel ko kyun bachha rahi hai ?
neel ne tou oosey kabaddi ke match mein betray kiya thha ]
Vishesh : chaandnii tum abhi mere cabin mein aao ........
Chaandnii : je sir ......
[ wahaan doosri taraf sab apne deals ko crack karney mein busy ho jaatey hai ]
[ Mishti pareshaan hai aur woh apne bag se nikaal kar ek kaagaz ko dekhti
hai aur doosri taraf varun ki nazar achaanak mishti par parri aur woh sochta hai
ke aisa kya ho sakta hai oos kagaaz mein jo mishti itni pareshaan ho gayi hai
oosey dekh kar ]
[ india calling mein shaayad abhi tak woh asli goon-heygaar saamney na aaya thha
yehi sawaal tab varun ke dimaag mein aaya aur mishti ka oos kaagaz ko
dekh kar pareshaan ho jaana yeh baatein varun ko ek hi taraf bataa rahii thii ke kahin
woh asli culprit mishti tou nahi ?? ]
[ ab yeh baat oos kaagaz ko dekhne par hi pata chalega ]
[ mishti dekhti hai ke varun oske taraf dekh raha thha tou
mishti ne oos kaagaz ko dustbin mein fekh diya ]
[ ab varun ka shak aur pakka ho gaya thha ke zaroor oos kaagaz mein garbar hai ]
Guest- Guest
Episode 119
[ ab varun ka shak aur pakka ho gaya thha ke zaroor oos kaagaz mein garbari hai ]
Varun : hey you stop !
[ varun mishti ki taraf aagey badta hai ]
Varun : oos kaagaz mein kya thha ? .... zaroor woh tum hi ho jisney saarey compters
mein virus transfer kiya hai ............
[ mishti ko yeh soon ke kuch samajh mein nahi aata ke varun
kis baarey mein baat kar raha hai ]
[ wahaan sab bheer lagg jaata hai aur dekhtey hain ke varun
mishti se aise kyun baat kar raha hai ]
[ Varun dustbin se woh kaagaz nikaal ne ke liye aagey badta hai magar
mishti oosey rukney ko kehti hai kyunki woh letter ooska personal hai ]
[ varun kehta hai agar oosmein india calling mein hue itni badii
ghatnaa se related kuch nahi tou woh darr kyun rahii hai oosey woh letter kyun nahi
dekhne dey rahi hai ]
[ mishti tyeh karti hai ke woh varun ko woh letter dikhaayegi ]
Mishti : [ mishti pareshaan rotey hue ] theek hai .............. agar tumhe yeh lagta hai ke
tumhe ........... tumhe oos letter mein india calling se related informations
milengi tou tum oosey dekh saktey ho .........
[ varun dustbin se woh letter nikaalta hai aur oosey khol ke sabke saamney padta hai ]
Varun : [ woh letter mishti ke gharwaalon ne
mishti ko likha thha ] beta humein pata hai ke mumbai mein ghar
milna bahut mushkil hai magar tumhe tou pata hai ke tumhaari aur do
behene bhi hain jinkey shaadi karvaani hai tou aise mein hum tumhe ees
waqt 50,000 rupaye nahi dey paayenge .......... humin tou laga thha ke tum humein
ees mahine paisa bheej waa dougi ...... jo bhi ho apna khyaal rakhna ......
Mishti : [ rotey hue gusse se ] mil gaya tumhe saboot ! ......... shaayad ab tumhe yakeen
hogaya ho ke maine india calling se koi bhi vishwaas-ghaat nahi kiya ........
[ Varun ko ab apni galti par bahut pachhtaava ho raha hai ke oosney mishti ko galat samjha ]
Varun : iam sorry ......
Mishti : sorry ?? ...... sabke saamney , mujhe beyzzat karke ab mujhe keh
rahey ho sorry ?........ aaj se mujhe kabhi bhi apni soorat matt dikhaana ............. kyunki ab mujhe tumse nafrat ho gayi hai .........
[ mishti wahaan se rotey hue chalii jaati hai ]
[ yaahan mishti ko apne ghar ka kiraaya dene ke liye 50,000 rupaye ki zaroorat hai
aur wahaan chaandnii neel ko beygunha karna chahti hai ]
[ Chaandnii vishesh ke cabin mein aati hai ]
Vishesh : aao chaandnii , chaandnii tumhe aisa kyun lagta hai ke neel
ne tumhaare computer se virus transfer nahi kiya hai ? ........
[ Chaandnii ke mann mein B.g ki woh baatein yaad aati hain
jab b.g ne chaandnii ko yeh bataaya thha ke kabhi kabhi
humaari aankein jo dekhti hai aur humaarey kaan jo soonte hain woh aksar sahi nahi hotey hain eeseliye jab tak such ka poora pata nahi lagg jaata humey toorant koi faislaa nahi karna chahiye ]
[ chaandnii yehi baatein vishesh ko kehti hai ]
Vishesh : tou jab tak koi saboot nahi ho humey koi decesion nahi lena
chahiye , am i right chaadnii ? .......
Chaandnii : je sir .......
Vishesh : tou theek hai , aao mujhe tumhe kuch dekhaana hai chalo .............
Guest- Guest
Episode 120
Vishesh : tou theek hai , aao mujhe tumhe kuch dekhaana hai chalo .............
[ Vishesh chaandnii ko india calling mein har jagah laggey hue camere ke video dekhaata hai ]
[ Chaandnii ke computer se virus ke transfer hone ke ek din pehle jab office mein chutti ho rahi thii aur saaarey employees ghar jaa rahey thhe tab neel kissi baahane se ruk gaya aur sabke jaaney ke baad neel ne chaandnii ke computer se virus ka transfer aditya ke poorey team members ke computer mein kar diya aur wahaan se chala gaya ]
[ Chaandnii ko yeh sab dekh kar ooska neel par se bharosa poori tarah se toot gaya ]
Vishesh : kya ab bhi tumhe koi aur saboot chahiye ? ........
[ chaandnii rotey hue vishesh ke cabin se chali aati hai ]
[ Chaandnii apne aasoo pochti hai aur neel se apna jawaab maangne jaati hai ]
Chaandnii : neel ! ..........
[ Neel samajh gaya thha ke chaandnii ko ab such pata chal chuka hai ]
Chaandnii : mujhe yeh tou pata thha ke kabaddi match mein tumne
apni naukri bachaane ke liye aditya ke team ehem waqt mein join
kiya jab meri poori team ko tumse ummeed thii .......... tumne
mujhe dhoka diya uski wajah main samajh sakti hoon magar .... een sabke baad bhi mere mann mein kahin ek thoda sa vishwaas thha magar tumne aaj mera woh vishwaas bhi torr diya hai .................. mujhe ees mumbai shey-her ne itna tou sikhaa hi
diya hai ke ......... ke kissi par vishwaas karne se kissi ko apna dost samajh kar oos par yakeen karne se sirf dhoka hi milta hai ..........
[ Chaandnii ees waqt poori tarah se toot chuki thii ]
[ Chaandnii wahaan se seedha chawl chali gayi ]
[ Chaandnii rotey rotey seedha aake b.g ke kandhe par sarr rakh kar roney laggi ]
[ B.g ko samajh nahi aaraha thha ke achaanak aisa kya ho gaya ke chaandnii itni pareshaan hai . b.g chaandnii se saari baat pochti hai ]
[ Chaandnii b.g ko india calling mein hue saari baat bataati hai ]
[ B.g ko yakeen nahi aaraha thha ke aise mein woh chaandnii se kya kahey ]
B.g : puttar rotey nahi , chup ho jaa puttar ..... [ b.g chaandnii ko delaasa dey rahi thii ]
B.g : aise shey-her mein kissi ka koi bharosa nahi puttar ......... yahaan kab kiska
nakaab ke peechey chupey asli chehraa kab
saamney aa jaaye koi bharosa nahi puttar .........
Chaandnii : [ rotey hue ] b.g , ab itney barey dhokey ke baad mujhe yeh pata chal
gayaa hai ke yeh corporate world hai .......... jaahan har koi apna
matlab nikaalney ke liye kissi ka bhi use kar sakta hai ............... magar
nahi b.g .... ab mujhse aur yeh sab nahi hoga .......... B.g hum aaj hi
mumbai chorr ke jaalandhar waapas chaley jaayenge .............
B.g : magar puttar ,hum agar manisha ke bagair jaayenge tou ghar
mein sabko jaa ke kya bataayenge .................... ke hum
manisha ke saath kyun nahi aaye ?............
Chaandnii : [ apne aasoo pochti hai aur kehti hai ] woh
sab main kuch nahi jaanti main aaj india calling
mein jaatey hi vishesh sir ko apna resignation letter dey doongi ...........
[ B.g yeh soon ke parshaan ho jaati hai ]
[ Raat ko india calling mein saarey employees waqt par india calling
aajtey hain chaandnii aatey saath hi apne table par maata raani ke paas jaati hai ]
Chaandnii : hey maata raani , mujhe itni shakti denaa ke main aaj
main yeh sab chor ke apne ghar jaalandhar waapas jaa sakoo ...........
ab mujhe ees shey-her se nafrat si ho gayi hai ...........
[ Chaandnii vishesh ke cabin ke taraf jaati hai ]
Guest- Guest
Episode 121
[ Chaandnii vishesh ke cabin ke taraf jaati hai ]
Chaandnii : may i come in sir ?.......
Vishesh : yes chaandnii aao ...... kaho ......
[ Chaandnii ke aankhon mein aansoo thhey aur
apna haath aagey kartey hue vishesh ke table ki taraf ]
[ chaandnii ke haathon mein resignation letter thha ]
Chaandnii : vishesh sir , ...... main india calling chorr rahii hoon .............
[ Vishesh chaukte hue ]
Vishesh : kya ! ........ yeh tum kya keh rahi ho ......
Chaandnii : haan sir , yeh raha mera resignation letter .......
main aaj abhi india calling chorr rahi hoon .......
Vishesh : kya main tumhaare ees naukri chorr ne ka
kaaran jaan sakta hoon ? ......
[ Chaandnii chup rehti hai ]
Vishesh : [ gusse se ] jawaab do chaandnii ! ....
Chaandnii : kya jawaab doo , yehi ke agar aap kissi ko apna dost maantey
hain aur jab musibat ke waqt woh hi aapka saath chorr de
aapko dhoka de tou aap oos par phir se
wohi vishwaas karey ?? .................... vishwaas ?? mera tou ees shey-her
se yaahan ke lougon se hi vishwaas ooth gaya hai ....... yahaan
india calling mein jahaan sabko eksaath mill jhul ke kaam karnaa chahiye
wahaan sabke groups banaa ke oonhey alag kiya jaa raha hai toura jaa raha hai ............
Chaandnii : iam sorry sir magar ab main yahaan kaam nahi kar sakti ..........
[ yeh kehke chaandnii apna resignation letter table par rakh ke wahaan se chali jaati hai ]
Guest- Guest
Episode 122
[ yeh kehke chaandnii apna resignation letter table par rakh ke wahaan se chali jaati hai ]
[ Cafeteria mein neel coffee pe raha hota hai tabhi chaandnii wahaan aati hai ]
Neel : chaandnii ek baar sirf ek baar yeh
nahi jaanna chahogi ke maine aisa kyun kiya ? ........
Chaandnii : bas neel ! mujhe kuch nahi soon-na ......
[ wahaan sab chaandnii aur neel ko dekh rahey hotey hain
aur neel ne sabko apni wajah bataa di thii ]
[ Tabhi keya wahaan aati hai ]
Keya : chaandnii , yahaan maujood hum sabko lagta hai ke tumhe neel ki woh wajah
ek baar soon leni chahiye ......
[ neel ke aankhon mein aasoo hai aur zubaan mein such aur maahol bahut
mushkil hai magar neel phir bhi apne majboori ko chaandnii ke saamney rakhta hai ]
Neel : maine jo bhi kiya eske peechey sirf ek hi wajah thii ............ meri
4 saal ki beti ..... main delhi se mumbai apne beti ko dhundne aaya
thha ....... magar oosey dhundne ke liye mere paas abhi itney paise nahi hai ...... aur ees sundance contract se milne waaley paiso se main apni beti ko dhund sakta thha aur eeseliye maine yeh
contact haasil karne ke liye adtya ke team members ke saarey computers mein
tumhaare computer se virus transfer kiya thha ..................
[ chaandnii ko such pata chaltey hi oosey samajh mein aaya ke
oosney neel pe yeh aarop laga ke bahut barri galti ki thii ]
[ kyunki jo baap apni beti ko dhundne ke liye apni naukri ko daav pe
lagaa dey woh kabhi galat nahi ho sakta ]
[ tabhi tycen wahaan aata hai ]
Tycen : neel , vishesh sir ne tumse yeh kaha hai ke tumhaare
peechley records bahut achhe rahey hain aur eese wajah se tum par
koi kaano-oni case na lagaa kar tumhe tumhaare ees gunha ke liye india calling se nikaala jaa raha hai .........
Tycen : aur sundance resort ke deals crack karne waaley winner group neel
aur ooskey poorey team members hain aur aditya sir aur team members neel ke team members se 5 deals se kam reh gaye eeseliye aditya sir ki team haar gaye hain .............
[ jeetney waaly team ke har ek member ko 2000 rupaye diye jaatey hain magar neel ko nahi ]
[ wahaan maujood neel ke team members ko yeh soon ke phir bhi khushi nahi hue kyunki neel india calling ko aaj alvida keh raha thha eeseliye yeh khushi ooskey bina beygaani thii ]
[ Neel chaandnii ko india calling ke bahaar bulaata hai chaandnii ko bahut
zaroori information dene ke liye ]
[ Chaandnii bahaar aati hai ]
Neel : chaandnii mujhe tumhe kuch bahut zaroori information denii thii ........
Chaandnii : information ? kaise information ? .......
Neel : yehi ke tumhaari minni didi kahaan mill sakti hai ....................
[ yeh soonke Chaandnii bahut khush aur oot-sook ho ke neel se poochti hai ]
Chaandnii : [ khush hotey hue ] kya ?? ......
Guest- Guest
Episode 123
[ yeh soonke Chaandnii bahut khush aur oot-sook ho ke neel se poochti hai ]
Chaandnii : [ khush hotey hue ] kya ?? ......
Neel : haan chaandnii , mujhe zyaada tou nahi magar haan itna zaroor
pata hai ke india calling ka annual party jo ki eese hafte hogi wahaan india calling ke saarey naye aur pooraaney employees aarahey hain ...... tou wahaan tumhaari minni didi zaroor aayegi .......
[ Yeh soon-ne ke baad Chaandnii ka apne minni didi aur b.g ke saath waapas jalandhar jaaney ka sapna ab poora hotey hue nazar aara hai ]
[ chaandnii ke aankhon mein khushi ke aansoo aajatey hain ke aaj jab woh wapas chawl
jaayegi aur b.g ko yeh baat bataayegi ke ooski minni didi ab oosey jald hi milney waali hai tou b.g ko yeh soon ke kitna achha lagega ]
Chaandnii : neel , tumne mujhe yeh bataa ke mujh par bahut barra ehsaan kiya hai .......
Neel : nahi chaandnii , bas tum mere liye itna dua karna ke main
apni beti se mill sakoo ........
[ chaandnii sochti hai ke aaj neel ne oosey ooski minni didi tak pahuchne ka raasta diya
hai eeseliye oosey bonus mein milley hue paise agar woh neel ko dey de tou
ooski madad ho jaayegi ]
Chaandnii : neel main tumhaari zyaada nahi magar tumhaare liye itni
madad zaroor kar sakti hoon ........
[ chaandnii neel ko apne bonus ke poorey 2000 rupaye dey deti hai ]
Guest- Guest
Episode 124
[ Chaandnii khush hotey hue chawl pahuchti hai ]
Chaandnii : b.g !! ..... B.g ....
B.g : oye puttar kya hua badi khush hai ...
Chaandnii : b.g meri pyaari b.g ..... aaj mujhe minni didi tak pahuchne
ka raasta mill gayya hai ! ......
B.g : [ khush hote hue ] kya ..... maata raani .......... tera laakh laakh
shukar hai ........
Chaandnii : [ chaandnii b.g ko aaj india calling mein hue saarey baat bataati
hai magar chaandnii ne neel ko apne saarey paise dey diye
woh yeh baat b.g se nahi kehti hai ]
Chaandnii : b.g , ees haftey hone waaley annual party mein india calling ke saarey
pooraney aur naye employees wahaan honge ........ aur mujhe agar
minni didi ka pata lagaana hai tou mujhe ees party mein jaana hoga ...
B.g : magar puttar , oos din tou lohri hai .........
Chaandnii : b.g , aap chinta ,matt karo ....... agar maata raani ne chaha tou
yeh lohri hum apne minni didi ke saath manayenge ........
B.g : aaho puttar ........
Guest- Guest
Episode 126
Chaandnii : b.g , aap chinta ,matt karo ....... agar maata raani ne chaha tou
yeh lohri hum apne minni didi ke saath manayenge ........
B.g : aaho puttar ........
[ India calling ka annual party wala din aajata hai ]
[ chaandnii annual party mein pahuchti hai ]
[ party mein bahut shor sharaaba hota hai ]
[ aditya dadaji ko dance ke liye kehta hai ]
Aditya : dadaji chaliye bahut mazaa aaraha hai .......
Dadaji : nahi beta , main kaha tumhare ees shor sharaabe mein
enjoy kar paoonga ? ... mazaa tou hamaare punjabi
bhangre mein hai ........
[ aaditya attitude se dadaji ko challenge karta hai ]
Aditya : tou chaliye dadaji aaj yeh faisla ho jaaye ......... ke aapke
oldy bhangra is the best ya mera hip- hop ....................
Hip-hop Vs Bhangra ......
[ tabhi wahaan vishesh aata hai aur dadaji ke taraf se bolta hai ]
Vishesh : ok done !
Guest- Guest
Episode 127
[ Dadaji , vishesh aur aditya wahaan sabko attention karte hain ]
Dadaji : yahaan aditya ko challenge koi karna chahega ? ........
[ koi saamney nahi aata hai ]
Aditya : [ attitude se kehta hai ] mujhe nahi lagta ke koibhi aadi se takkar lena chahega ....
[ tabhi oos bheer mein se challenge se bhara ek awaaz aati hai ]
[ woh saamney aati hai aur woh koi aur nahi chaandnii hoti hai ]
Aditya : tou ms. paraandey ab tum mujhe challenge karogi .... magar tum bhool rahi ho
aadi se koi jeet nahi sakta ......... [ Kutumb ka background sound hota hai "Pratham" ]
Chaandnii : [ challenge se kehti hai ] yeh tou abhi pata chal hi jayega
mr. rock-n-roll ........
Vishesh : o ho , tum dono ladaai bund karo ...
[ Annual party mein ab maahol bahut hi romanchak hogaya hai ek taraf punjabi dance ka tadka tou doosri taraf western rock-n-roll ]
[ music on hota hai aur pehli baari aditya ke rock-n-roll ki hoti hai ]
[ music ke ruktey hi punjabi bhangre mein chaandnii aditya ko muh torr jawaab deti hai ]
[ phir aditya ka music bajta hai aur aditya bhi peeche nahi hatna chahta chaandnii se magar jab chaandnii ki baari aati hai tab chaandnii dekha deti hai ke punjab da bhangra kissi se kam nahi ]
[ aditya koi dance steps sujh nahi raha hai tou doosri or chaandnii bhangre ke rang mein
doob ke jeet ka taaj punjab ke bhangre ko dilaati hai aur aditya chaandnii se haar jaata hai ]
Chaandnii : kyun mr. rock-n-roll ab kya hua ? ........
[ aditya wahaan se gussa hoke chala jata hai ]
Guest- Guest
Episode 128
[ chaandnii thak jaati hai tou woh juice order karti hai aur wahaan baithti hai ][ tabhi uske paas ek ladki ( Sheeba ) nashey ke haalat mein baithi hoti hai aur woh chaandnii ki or dekhti hai aur chaandni ko dekh ke muskuraati hai ]Sheeba : you know what ..... tumhara dressing style bahut intresting hai ........ seems u are from punjab ... ha ha ha ........Chaandnii : excuse me , aap kya keh rahin hain ? ...[ Sheeba chaandnii ke jhoomke dekhti hai aur kehti hai ]Sheeba : tumhaare jhoomke ....... [ yaad kartey hue ] hmmmm..... kuch theek se tou yaad nahi aaraha but i think maine aise jhoomke ek ladki ke kaano mein dekhe thhey ........ i dont but woh bilkul aise kaan ke jhoomke thhey jaise tumhaare hain darling ......[ chaandnii yeh soonke chauk jaati hai kyunki aise jhoomke sirf woh aur uske minni didi ke paas hain ]Chaandnii : [ khush hotey hue ] kya ! .............
Guest- Guest
Episode 129
Chaandnii : iska matlab tumhe pata hai ke meri minni didi kahan hai .... please
theek se yaad karo ... kahaan dekha hai tumne aise jhumke ? ......
Sheeba : dekho mujhe woh ladki ek party mein mili thii .... aur main
etne saarey parties mein jaati hoon itney saarey lougon se milti hoon ab mujhe
har kissi ka naam kaise yaad ho sakta hai .........
[ chaandnii sheeba se baat karti rehti hai tou achaanak chaandnii ki nazar sheeba ke baazoo mein ek paayal par partii hai ]
[ ees se pehle chaandnii sheeba se minni didi ke baarey mein kuch aur poochti
annual party mein music zordaar music shuru ho jaata hai aur wahaan maujood saarey
loug dance kartey hain aur eese bheer mein chaandnii sheeba se dooor ho jaati hai ]
Chaandnii : [ rotey hue ] minni didi tak pahutch ne ka ek yehi raasta thha
woh bhi chala gaya ........... chahey jo ho mata raani ne mujhe minni didi tak
pahuchne ka ek raasta tou dikha hi diya hai ab main har haalat mein
minni didi ko dhund ke rahoongi ........
Guest- Guest
Episode 130
[ ees se pehle chaandnii sheeba se minni didi ke baarey mein kuch aur poochti
annual party mein music zordaar music shuru ho jaata hai aur wahaan maujood saarey
loug dance kartey hain aur eese bheer mein chaandnii sheeba se dooor ho jaati hai ]
Chaandnii : [ rotey hue ] minni didi tak pahutch ne ka ek yehi raasta thha
woh bhi chala gaya ........... chahey jo ho mata raani ne mujhe minni didi tak
pahuchne ka ek raasta tou dikha hi diya hai ab main har haalat mein
minni didi ko dhund ke rahoongi ........
[ annual party se chaandnii chawl chali jaati hai ]
[ chawl mein sab Lohri ka aag jalaate hain ]
B.g : oye puttar achha hua tu sahi samay par aayi ......
Chaandnii : b.g , aaj main party mein ek ladki se milli ...... jiske baazoo pe minni didi ki
paayal thii .........
B.g : [ hayraan hotey hue ] kya ! ..............
Chaandnii : haan b.g , magar doosre hi pal mein woh wahaan se chali gayii .....
B.g : puttar tu fikar na kar aaj maata raani ne manisha tak pahuchne ka ek zariyaa
dekha diya hai .... aagey bhi wohi madad karegi manisha tak pahuchne tak ........
Guest- Guest
Episode 131
B.g : [ hayraan hotey hue ] kya ! ..............
Chaandnii : haan b.g , magar doosre hi pal mein woh wahaan se chali gayii .....
B.g : puttar tu fikar na kar aaj maata raani ne manisha tak pahuchne
ka ek zariyaa dekha diya hai .... aagey bhi wohi madad karegi manisha tak pahuchne tak ........
[ B.g apne palloo se paayal nikalti hai ]
B.g : [ B.g roti hai ] aaj lohri hai aur mujhe laga thha ke yeh lohri main apni
dono poti manisha aur chaandnii ke saath manaoongi .... magar aisa nahi ho saka .....
Chaandnii : b.g , kya hua ke yeh lohri mein minni didi hamaare saath nahi hai ...... maata
raani ne agar chah-ha tou minni didi agli lohri humaarey saath
manaayegi .... [ vishwaas ke saath kehte hue ] yeh mera aapse vaada hai ! ......
[ B.g aur chaandnii jaa rahey hotey hain ke chaandnii door payr ke peeche khari oosi ladki ko dekhti hai jo oosey india calling ki annual party mein milli thii ]
Chaandnii : b.g main abhi aayi ....
Guest- Guest
Episode 132
Chaandnii : b.g , kya hua ke yeh lohri mein minni didi hamaare saath nahi hai ...... maata
raani ne agar chah-ha tou minni didi agli lohri humaarey saath
manaayegi .... [ vishwaas ke saath kehte hue ] yeh mera aapse vaada hai ! ......
[ B.g aur chaandnii jaa rahey hotey hain ke chaandnii door payr ke peeche khari oosi ladki ko dekhti hai jo oosey india calling ki annual party mein milli thii ]
Chaandnii : b.g main abhi aayi ....
[ woh ladki jab dekhti hai ke chaandnii ooskey taraf aa rahi hai tou woh wahaan se jaldi se apne car mein baith jaati hai aur chali jaati hai ]
[ chaandnii oosey ekbaar phir se pakar nahi paati hai ]
[ Agle din india calling mein ]
Naina : kya ! you mean oos ladki ko tumhaari minni didi ke baarey mein pata thha ke
tumhaari minni didi kahaan hai .....
Chaandnii : haan naina , oos ke paas tou meri minni didi ka paayal bhi thha .....
Naina : phir tou ab wohi bataa sakti hai ke tumhaari minni didi kahaan
hai .... idea ! kal annual party mein aaye saarey lougon ke naam
aur phone number yahaan ek room hai wahaan par files mein hai magar .......... oos room tak pahuchna naam mookin hai kyunki wahaan har waqt tycen hai .... magar haan raat ko tycen 15 minute ke liye wahaan nahi hota hai .......
__________________
Guest- Guest
Episode 133
Naina : kya ! you mean oos ladki ko tumhaari minni didi ke baarey mein pata thha ke
tumhaari minni didi kahaan hai .....
Chaandnii : haan naina , oos ke paas tou meri minni didi ka paayal bhi thha .....
Naina : phir tou ab wohi bataa sakti hai ke tumhaari minni didi
kahaan hai .... idea ! kal annual party mein aaye saarey lougon
ke naam aur phone number yahaan ek room hai wahaan par files mein
hai magar .......... oos room tak pahuchna naam mookin hai kyunki wahaan
har waqt tycen hai .... magar haan raat ko tycen 15 minute ke liye wahaan nahi hota hai .......
[ raat ke teen baje chaandnii oos room mein rakhe files ko dhoondne jaati hai jaahaan saarey loug jo india calling ke annual party mein aaye thhe unke naam aur phone numbers hai ]
[ Chaandnii ekdum dhyaan se saarey files check kar rahi hoti hai aur tabhi chaandnii ko
woh page mill jaata jo oosey chahiye ]
Chaandnii : oh no ,esmein tou itne saarey naam aur numbers hai .... inmein se oos
ladki ka naam aur number kaise pata chalega ? .............
[ tabhi peechey se ek awaaz aati hai ]
[ Chaandnii darr jaati hai ]
Guest- Guest
Episode 134
[ Chaandnii ekdum dhyaan se saarey files check kar rahi hoti hai aur tabhi chaandnii ko
woh page mill jaata jo oosey chahiye ]
Chaandnii : oh no ,esmein tou itne saarey naam aur numbers hai .... inmein se oos
ladki ka naam aur number kaise pata chalega ? .............
[ tabhi peechey se ek awaaz aati hai ]
[ Chaandnii darr jaati hai ]
[ chaandnii peechey palat ke dekhti hai tou Woh naina houti hai ]
Chaandnii : [ gusse se ] tum ! ....
Naina : [ mazaak karte hue ] kyun dara diya na ! ...
[ Room ke baahar work place mein ]
Chaandnii : [ gusse se ] naina tumhaare liye yeh sab ek mazaak hoga ......
magar mere liye ..... mere liye yeh ek chori hai ......
Naina : come on chaandnii woh sab ek mazaak thha ...
Chaandnii : [ gusse se] mazaak ? ..... [ woh contacts ke page ko dete hue ]
yeh dekho ... yeh hai woh page jissey maine apne naukri ko daav
pe rakh ke apne minni didi ke talaash ke
liye chori ki hai aur ...... aur tum keh rahi ho yeh sab ek mazaak thha ? ......
Naina : iam sorry chaandnii .... mera maksad aisa nahi thha ......
Chaandnii : nahi naina dosti mein sorry ke liye koi jagah
nahi [ pareshaan hotey hue ] magar aaj
maine zindagi mein pehli baar chori ki hai ..... eske liye maata raani mujhe
kabhi maaf nahi karegi ......
Naina : [ dilaasa dete hue ] jo chori kissi achhey maksad ke liye ki jaaye woh
chori nahi houti .....
[ chaandnii naina ke taraf dekhte hue ]
Naina : trust me ......
Guest- Guest
Episode 135
nahi [ pareshaan hotey hue ] magar aaj
maine zindagi mein pehli baar chori ki hai ..... eske liye maata raani mujhe
kabhi maaf nahi karegi ......
Naina : [ dilaasa dete hue ] jo chori kissi achhey maksad ke liye ki jaaye woh
chori nahi houti .....
[ chaandnii naina ke taraf dekhte hue ]
Naina : trust me ......
[ Chaandnii ko yeh soon ke achha laga ]
Chaandnii : magar naina , esmein tou etne saarey lougon ke
naam aur numbers hai .... pata kaise
chalega ke oos ladki ka naam aur number esmein se kaun sa hai ? ......
Naina : style hai tou smyle hai ! ... tum yeh saarey numbers try
karo ..... esmein se koi na koi
number tou oos ladki ka hoga hi .... aur tumhe tou oos ladki ki awaaz pehchaan bhi hai ......
Chaandnii : haan ... tum sahi keh rahi ho main aaj hi yeh saarey
numbers try karoongi ......
[ Chaandnii std booth pahuchti hai ]
[ chaandnii oos list mein saarey numbers try karti hai magar oosey nahi miltey aur list mein diye akhiri number ko try karti hai ]
[ oos number pe phone karne par kissi ladki ne hello kaha aur chaandnii ko woh ladki ab mill gayi kyunki ees ladki ki aawaz aur india calling ke annual party mein chaandnii ko jo ladki milli thii ooski awaaz poora match karti hai ]
Guest- Guest
Re: Chaandnii
Usha.
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Episode 136
Chaandnii : b.g !! aaj main bahut khush hoon ... aur aap soonengi tou aap bhi khush ho jaayengi aur bhangra karengi .....
B.g : magar puttar bata tou sahi aakhir baat kya hai ?.....
Chaandnii : b.g , bahut jald hi minni didi aapke saamne hougi .....
B.g : [ bahut khush hotey hue ] kya !! ..... chaandnii tu such keh rahi hai .... dekh chaandnii aisa bahut baar hua hai ke hum minni tak pahuchte pahuchte reh gaye hain .... ees baar .......
Chaandnii : b.g ees baar aisa kuch nahi hoga .... ek ladki hai ... koi sheeba karke woh humaari minni didi ko jaanti hai aur ab woh hi hume minni didi tak pahucha sakti hai .....
Guest- Guest
Episode 137
[ chaandnii sheeba ke apartment pahuchti hai oos se milney par wahaan tala laga houta hai ]
Chaandnii : arre yahaan tou tala hai .... yeh sheeba ka hi apartment hai tou phir yeh sheeba kahan chali gayi ?? ....
[ tabhi paros ki ek aurat wahaan aati hai aur chaandnii se poochti hai ]
Paros ki aurat : aap kaun ho ? ....
Chaandnii : je , mera naam chaandnii hai ... aur main yahaan sheeba se milne aayi thii ... yeh oosi ka ghar hai na ? ....
Guest- Guest
Re: Chaandnii
[ chaandnii yeh soonke sochne lagi ke agar sheeba yahaan nahi hai tou ab ?? sheeba ka koi aur pata bhi nahi hai chaandnii ke paas tou ab kya kiya jaaye yeh sochte hue woh wahaan se chali jaati hai aur raaste mein chalte chalte yehi sochti hai ke sheeba ka pata kaise chale ]
[ tabhi achaanak jahaan chaandni bus stop mein khari thi wahaan ek gaari aake rukti hai aur gaari ke sheeshe se ek anjaana chehra saamne aata hai aur woh koi aur nahi "Sheeba " houti hai ]
Guest- Guest
Re: Chaandnii
gauriandme- Forum Media Director
- Best WriterPopular stories written by the writer.
-
Zodiac :
Age : 33
Location : INDIA
Humor : Friendly
Job/hobbies : Reading books, studying, ect.
Join Date : 2007-06-18
My Diary
About me:
*Medal*: Serial one Creative Writer
Page 6 of 10 • 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10
10/11/2024, 11:10 pm by Story7 Writer
» Muktaar Haar
2/12/2023, 2:54 am by Story7 Writer
» Kyunki Ghar Hai Ek Sapna...
23/10/2023, 10:45 pm by Story 7 Writer
» New Promo: Bairi Piya Sang Preet hai lagaayi...
21/10/2023, 4:57 pm by Story7 Writer
» 7 Robins: The greatest Villain was once a Savior...
18/9/2023, 3:22 am by Story7 Writer
» Kabhie Toh Millenge... Season 3
2/4/2023, 6:37 pm by Story-7 Writer
» VOTE: Which Story 7 sequel you would like next?
22/3/2023, 1:50 am by Story-7 Writer
» Desh Aur Dharam
22/3/2023, 1:47 am by Story-7 Writer
» Exclusive: Kahiin Toh Hogaa First poster out!
22/3/2023, 1:31 am by Story7 Writer
» Khwaab (2008)
16/3/2023, 12:05 am by Story7 Writer
» Dil Mein Koi Hai (2007)
15/3/2023, 11:57 pm by Story7 Writer
» Daamini Daamini (2007)
15/3/2023, 11:56 pm by Story7 Writer
» Pyaar Ki Ek Anokhi Kahaani (2007)
15/3/2023, 11:55 pm by Story7 Writer
» Khwaish Apnaa Apnaa- Chahat aur Dushmani ki ek nayi kahani... Ekbaar phir...
12/3/2023, 12:47 am by Story7 Writer
» Chandan aur Chandnii
29/1/2023, 12:18 am by Story7 Writer
» A World will look like in the Future
9/1/2023, 9:43 pm by Story7 Writer
» Forum's New Entrant is the Forbidden romantic saga
23/10/2022, 7:33 pm by Story7 Writer